Faceboook top popular social media sites me se ek hai. Jiski help se hum apne online business ka promotion kar sakte hai. Agar aap ek blogger hai to aap facebook par apne article share karke apni site ka traffic increase kar sakte hai. But aap agar direct post title ya link ke sath post share karne ki bajaye thoda carefully post share kare to aapko facebook se or jyada traffic mil sakta hai.
Kya aap nahi chahate ki jab aap facebook par apni koi post share karo to usse aapko jyada se jyada traffic mile? Ya fir aapke online business me facebook ka ahle role ho. Agar ha to aaj mai aapko is post me aysi tricks bta raha hu jinhe follow karke aap facebook se adhik traffic receive kar sakte ho or apne online business ko or jyada bada bana sakte ho.
- Website Blog Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
- Kisi Ki Bhi Zindagi (Life) Barbad Kar Sakti Hai Ye 5 Buri Aadat
Jis tarah khana pakane ke liye masale “spice” ki jarurat hoti hai. Masala use karne se khana or behtar ban jata hai. Same wese hi agar aap facebook par post status publish karte time facebook ke kuch or feature use kare to aapka content adhik eye catching ban jata hai or facebook aapke online business me char chand laga sakta hai.
Facebook ne increasing engagement ke bahut se feature diye huye hai. But hum unhe use nahi karte jisse hume facebook se jyada click handle nahi kar pate hai. Iske bina apne status ko viral karna bahut mushkil hai. Agar hum inhe follow kare to humari har post humare friends or other people ke liye top story ban jati hai. Jisse humara content jyada visible banta hai or hume jyada visitors milte hai.
Facebook Par Apne Online Business Ko Promote Karne Ki 7 Tips
Yaha di gayi humari tips padhiye or apne online business status update ko facebook par or viral banayiye. Ye tips na sirf aapki blogging me help karegi balki inhe aap apne kisi bhi online business promoting me try kar sakte hai.
1. Posting Time – पोस्ट करने का समय
Generally, aapne bahut bar dekha hoga ki jis time aapke friends and followers jyada online rahte hai us time post share karne se post ko jyada responsive milta hai. Post par jyada likes or comments aate hai or aapko traffic bhi adhik milta hai. Jabki yasa baki other time par post karne se nahi hota hai
Sabhi facebook user ke liye ek hi time fix nahi hota hai sabke friends alag alag time par online hote hai. But mere experience ke hisab se 6pm to 10pm ke beech post update karne se aapko better result mil sakta hai. Is time sabse jyada user online hote hai. But fir bhi mai aapko suggest karunga ki aap apne friends or apne followers ki activity ka reveiw karke apne liye posting time choose kare.
Yeh tips facebook par adhik promotion pane ka sabse important tarika hai. Agar aapko aysa nahi lagta hai fir bhi aap ek bar try jarur kare. Ho sakta hai ye trikc kaam kare or aapke online business ko iska fayda mil jaye.
2. Tag People in Your Post – लोगों का नाम दर्ज़ करना
Facebook par useless photos ya other status (like fake photos) me sabhi log apne friends ko tag karte hai. But jab apne blog ya website ki post ko share karte hai to bahut hi kam log us post me friends ko tag karte hai.
As a result, apni post me dusro ko tag karna ab jyada effective nahi rah gaya hai lekin fir bhi post me friends ko tag karna aapke friends of friends ke liye post ko interesting bana sakta hai. Isse jyada se jyada logo ko aapki post updating ke bare me pata chalega or wo aapke online business se judna chahenge. So tagging ko ignore karne se acha hai apne kuch friends ko tag kiya jaye jisse kuch na kuch badiya result jarur milta hai. Ho sakta hai kisi ke liye aapki post important sabit ho jaye.
Facebook photos and status me logo ko tag karne ke alawa aap important and post se related people and other category pages ko mention kar sakte hai. Iske liye aapko post me “@” ke us pages ke first word likhne hote hai. Upar aap iska screenshot dekh sakte hai. Jisme maine apne faceook page ko mention kiya hai.
3. Add A Location – एक स्थान जोड़ें
Apne status update me usse related location add kare. Isse post users ke liye jyada effective ban jati hai. Bahut se logo ne to abhi tak facebook ke is advantage feature ko use nahi kya hoga. Jis tarah humari body par dress kaam karti hai same wese hi location status ke liye kapdo ka kaam karti hai. Ek success online business karne ke liye aapko main location ko tag karna better hota ha.
Alternatively, Apne business place ke aas-pas (neighborhood) district or city ki location add kare. Isse us place ke people aapki post me jyada interest lete hai. Ya fir aap location me apne khud ke online business store ya office ka name select kar sakte hai. Iske alawa bhi location me or bhi bahut se effective place hote hai.
Example, aap apni party status me kisi hotel ya restaurant ki location add karenge to I sure aapke friends aapki post ko gahrayi se lenge or us par action jarur karenge. Iske alawa agar aap event, area and apne online business ke liye koi bhi status location choose kar sakte hai.
4. Target Specific Locations – विशिष्ट स्थानों को लक्ष्य
Facebook post me location choose karne ka ye ek or acha feature hai. Isme aap ye select kar sakte hai ki aap apni post ko kaha kaha or kis kis se share karna chahate hai. Isme aap status ko public, friends, only me, custom and other place ke sath share kar sakte hai.
For example, Man lijiye aap product sell karne ka online business karte ho or aap apni facebook post ko sirf apne friends, apne business members ya kisi most place ke users ke sath share karna chahata hai to aap facebook ke is advanced feature ko use karke dusre logo se apni post ko hide kar sakta hai.
Ye trick aapke tab kaam aati hai jab log aapke sath facebook par galat behavior kar rahe ho or aapki post par galat comments kar rahe ho ya fir aap apne online business ko sirf apne logo ke sath share karna chahate hai. Is feature ko use karke aap ayse logo se apni post ko hide kar sakte ho. Iske liye aapko upar image me btaye anusar “public” option par click karke privacy location choose karni hai.
5. Scheduling – निर्धारण
Facebok ab pahle se likhi gayi post status ko update karna allow karta hai. Aap apni post ko ek fix time tak update kar sakte hai. Ye aapke liye tab bahut kaam ka ban jata hai jab aapke followers aapki post update chahate hai. Iske liye aap time icon par click kare or apni post ka time and date select kare.
Jab aapke friends or follower aapki past time activities ke bare me janna chaahte hai to aap apne apni facebook status me time or date set kar sakte hai. Ye status me “prime time” ka kaam karti hai or isse aapki post un logo ke liye very interesting ban jati hai jo aapke bare me janna chahate hai.
6. Add Photos or Videos – फोटो या विडियो जोड़ें
Direct facebook par photo publish karna aam bat hai but agar agar aap apni status me photos or videos add kare to aapko bahut jyada effective results mil sakte hai. Mai aapko iske liye suggest karna chahunga kyuki isse aapke online business me logo ka bahut jyada interst badhega.
Isse aapki post me jyada se jyada log interest lenge or post ko adhik like, comments and share milenge jisse jyada se jyada logo ko aapke online business ke bare me pata lagega. Aap post me jitni achi photos or vidoes add karoge aapki post facebook par utni hi jyada viral hogi. Aapko utna hi jyada benefit milega.
7. Facebook post advanced Features – फेसबुक पोस्ट उन्नत सुविधाये
Aapne bahut se blog or website ki post me dekha hoga ki unme videos add hote hai. But bahut kam sites par dekha hoga ki log facebook post ko embed karte hai. Mai aapko suggest karunga ki aap apni special post ko apne blog par embed kare. Jisse aapki facebook profile ya page par logo ka jyada interest badhega.
Iske alawa aap apni post ko edit kar sakte hai uska time change kar sakte hai. Facebook ke in advanced features se bhi aapko kafi fayda mil sakta hai or aap badiya tarike se facebook ke in feature se apne online business ko or jyada effective bana sakte ho.
- Apne Online Business Ko Improve Karne ke 5 Jabardast Tarike
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
As you can see, aap upar di tips par ek bar ache se focus kijiye. Mujhe yakeen hai ki aapko inse better results milenge. Yakinn aap aysa kar sakte hai jisse aapko hi nahi aapke follower ko bhi iska fayda hoga or aapse facebook par adhik se adhik people contact karna pasand karenge. Ye na sirf aapke content ko viral banata hai balki aapko bhi social media par famous kar sakta hai. Log aapki har latest status ko special nazar se dekhna pasand karenge. Jisse aapko apne online business ko promote karne me help milegi.
I hope aapko ye article pasand aayega. So agar aapko ye jankari sachmuch useful lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.
Areeb khan
Bhai aap mujhey bta sakte hain k ye guest post kaise kia jata hai aapki Website pr to kahin bhi guest post nhi dikh rha hai aur ye jo humko guest post krna hai usme kitna lamba likhna hota hai aur Issey humko paise kis trha se miltey hain?
Jumedeen Khan
Areeb aap google me supportmeindia guest post likh kar search karo iske bare me post mil jayegi.
Vikash
Good information for promoting and branding..
this post definitely help newbies to some extend who are weak in marketing or SMO.
Mahesh Yadav
बहुत बढ़िया भाई, Thanks for sharing the great tips !!
Mahaveer Jain
Bhai Facebook pr promotion karna Apne Business ko famous karna hai… Facebook jitni popular Social site hai Uska fayda hmare business ko milega…. thanks
Moti suthar
Sir mera post Office gav me he or city se bhut dur he or uska khud ka koi parsnol pin code nhi he show kabhi kabhi post pahuch hi nhi pati .
Bro agar 3 bar bhejne ke bad bhi post nhi mile to tab kaisa hoga ?
Jumedeen Khan
Uske bad aap AdSense par documents verify kar sakte ho.
Moti suthar
Pts kiya bro postman ke pass jakar abhi tak mail nhi aaya ab kya kru me ?
Jumedeen Khan
Ab aap apne postman ko already bta do ki aapki google se ek post aayegi uske bare me mujhe pbta dena. or AdSense par fir se post send karo. Bro aapki pahli post bhi aayi thi but postman ne wo aapke kisi jankar ya kisi or ko de di or use shayad yaad nahi. So wo kabhi nahi kahega ki aapki post aayi thi. Aajkal har jagah yahi problem hai. Aap abki bar use pahle se bta dena ki post sirf mujhe hi dena.
Moti suthar
Mera AdSense verification pin 16 april ko bna tha lekin abhi tak muje post office me nhi mila he kya me dobara nye pin ke liye aply kru ya fir wait kru help plz
Jumedeen Khan
Wait mat karo post office me ja kar ache se pata karo google ka mail jarur aaya hoga. Postman se ache se pata karo.
Amit tripathi
Thanks jumedeen bro, achhi information di hai apne, mujhe abhi apne blog me sabse jyada traffic FB se hi ata hai.
vivek
sitemanagmant me blog ko esse phle add kiya tha ads code Bhi blog par laga liya par 7 din tak koi mail nhi mila mujhe to mai remove kar diya …or YouTube ke adsense account ke ..I will show add ..is box me blog ko sumit karne par ..URL not ublabile likhata hai .mai dusre nam se AdSense ke liye Aplly kar sakta hu kya.
or Maine ye vivekvihaan2@gmail. s es apply kiya uska application reject ho gya ab mai kya ads blog par se hata du kya
Jumedeen Khan
Dusre gmail id se kar sakte ho but uske liye aapko address change karna hog.a Ek bar socho agar usme bhi yahi problem aayi to kya karoge. Problem AdSense me nahi aapke blog me hai. Aapke blog par ya to traffic nahi hai ya fir aapne cop pasting ki hai.
vivek
to mujhe ab kya karna Chahiye.or AdSense walo ko ye kaise pta chala hoga ki mera ek AdSense account hai.ek AdSense to YouTube wala hai na..
mai dusra nam se blog ke liye AdSense account bna sakta hu na kya
Jumedeen Khan
Aapko pichli commet ke reply me iska solution btaya hai.
vivek
Thank you for your interest in Google adsense. While reviewing your application, we noticed that your account information matches a currently approved AdSense account associated with vivekvihaan49 @gmail.com.
Since our AdSense Program Policies do not permit multiple accounts, we’re unable to accept your new application at this time.
If you can’t access your approved account with vivekvihaan49@ gmail.com, please follow the steps in our login troubleshooter. In case you aren’t able to regain access to your account in the process, you’ll find an option to contact us. We’ll then work with you to access your account with your desired login.
If you need more than one AdSense account please see this help article for more guidance on trying to submit multiple applications.
If you’d like to add vivekvihaan2@ gmail.com as a login to your approved account, you can do so by following these steps.
bhai ye AdSense ka mail mujhe abhi mila hai maine vivekvihaan2 @gmail.com se AdSense ke liye Aplly kiya ..mujhe mail Bhi ese par mila hai to upar ek or email hai vo Bhi mera he hai uska AdSense to YouTube pe kb ka laga hua hai ..aap plz es mail ka matlv bataye is mail me kya hai
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki aapke pas pahle se approved AdSense account hai to aap dusra kyo bana rahe hai AdSense 1 se jyada account banana allow nahi karta. Vivek aapke pas jo YouTube wala AdSense hai na aap usi se apne blog me ads laga sakte ho. Iske liye aap site management me apne blog ka link add karo uske bad ads bana kar apne blog me lagao.
vivek
mob me ye option nhi aata hai aap pc se karte ho kya bhai.
maine Facebook share button par click kiya.uske bad share you timeline ke alawa kuch option nhi aata hai
Jumedeen Khan
Ha ye option sirf desktop me aata hai.
Amit kumar
bhaut hi acchi jankari hai , Jumedeen
Mo Aziz
Intresting Trick Kya Baat hai bro
Maan gaya
Follow jarur kare Mai Bhi karta hoo
Jumedeen Khan
Thanks bro.
vivek
post ke end me se post ko share to kar sakte hai par vo Facebook par share hoga na ki Facebook Grup me .bhai …yesa kaise ho hua aap post ke end me se kaise direct Facebook Grup me post share kar dete hai.
Jumedeen Khan
ok mai aapko step btata hu.
1. Share btoon par click karo.
2. ab Share on your own Timeline par click karo or share in a group par click karo.
3. ab group select karo or post share karo
vivek
bro aap jab koi Bhi post ka link apne Facebook grup me post karte ho to us post ka image Bhi show karta hai …yesa kaise post ka link share karte ho ap.
ham yesa karte hai to bas link show hota hai ..post nhi dikhta
Jumedeen Khan
Mai meri post ke end me lage facebook share button se post share karta hu bina link ke aap bhi ek bar try karke dekh sakte hai.
abhi
sir mujhe ek dikat bhut sta rhi hai.sir mai jab bhi AdSense create krta hu to apni website or language select krne ke bad kuch nhi aata. continue ke bad kuch nhi aata. plz.help me sir .YouTube ko bhi AdSense se jodte time bi yhi dikat aati hai.
Jumedeen Khan
Aap browser ki history delete karke try karo and fast internet connection use karo. 2gh se jyada time lagta hai.
vijay panara
Hello jdk sir aap se mai ek sawal puchna cahta hu ke
* maine godady se domin liya hai or blog mai bhi add kiya hai or last step mai jub blog mai dessbord mai save karta hu to kus nahi ho raha hai koi dusra page bhi open nahi ho raha hai sirf save likha ataa hai kaya domin add ho gaya hai ke kaya problems hai..
Jumedeen Khan
ap ek bar apne domain se site ko open karke dekho agar koi error aaye to mujhe btao.
vijay panara
Sir mai apne blog ka url open kar raha hu to godady ke site open ho rahi hai..
Jumedeen Khan
Domain ko active hone me time lagta hai thoda wait karo.
Abdul Razzaq
Assalam.o.Alaikum sir apki website check ki me ne bht perfect website hai
mjhy ye btaye keh blogger pe Pakistan me absence ke kitne ad views hone pe 1 $ milta hai plz
Jumedeen Khan
W/A bro AdSense earning aapke blog ki post me use kiye gaye keyword par depend karti hai.
Sumit Sharma
meri website ki theme SEO friendly hai kaise pata kare
Jumedeen Khan
Theme ki details me check karo.