Website Ya Blog Ko UC News Me Submit Kaise Kare – Full Information

UC browser world ke top mobile browser me se ek hai. Aapne bhi UC Browser ka istemal kiya hoga or UC News me news bhi padhi hogi. Aapko ye bhi pata hoga ki UC browser ke 10 million se bhi jyada users hai. Socho agar aapki site ki post UC news me show ho jaye to aapko usse kitna traffic milega. Aapne already UC news me kei website and blog ke articles dekhe bhi honge. Agar aap bhi apni post ko UC news me show karna chahate ho to ye post aapke liye hi hai.

Submit Site to UC News

UC browser ke UC news me apni site ki post kaise show kare? Is bare me har koi janna chahata hai shayad aap bhi yahi chahate hai. Actually, Uc browser ko millions users istemal karte hai. Aese me agar aapke blog ki post uc news me show hoti hai to aapko usse kafi traffic milega.

Is topic par internet par aapko shayad hi koi article mil payega but aaj main aako iske bare me details se bta raha hu. Aap 5 minutes me apne blog ya website ko UC news me submit kar apni posts ko uc browser me show kara sakte ho. Iski processing bahut simple hai. But usse pahle main aapko uc news me site content submit karne ke fayde ke bare me bta deta hu.

UC browser alibaba.com website ka part hai jisme UC news ke through har country me usi ki language me news update hoti hai. India me bhi uc news ko kafi pasand kiya jata hai or aapko isme har tpye ki news or information mil jati hai.

India me uc news me hindi content bahut jyada padhe jate hai so agar aapka blog hindi me hai to aapko daily lakho pageviews bhi mil sakte hai ya fir aapke blog par isse bhi jyada traffic ho sakta hai.

Site ko UC News Me Submit Kaise Kare? Is topic par aapko internet par kisi bhi website ya blog par koi information nahi milegi. Shayad hi koi aesi site hogi jisne iske bare me btaya hoga.

UC News Me Site Content Show Karne Se Kya Fayde or Nuksan?

Hum sabhi jante hai ki uc browser world popular browser hai jo android, iPad, iOS, windows, desktop, laptop, iPhone and other all version smartphone ke liye available hai. Puri duniya me iska istemal liya jyada hai. Only humare country india me hi iske million users hai.

1. Fayde:

  1. UC news ke million readers hai. Aapki post ko daily lakho views milenge or unme se kuch user aapki site par visit bhi karenge.
  2. Sabse achha benefit ye hai ki aapki post ke uc news me show hone par aapke blog ya aapke AdSense account par koi bad effect nahi padega. Kyuki UC news ki privacy bahut high hai.
  3. Mostly hum ye traffic ke liye kar sakte hai. Inse humara blog un logo tak pahuchega jinko hamare blog ke bare me pata nahi hota.
  4. Aapki post ke end me view soruce par click kare ne se aapka blog UC news me hi show hoga. Yani user ko aapke blog par jane ki bhi jarurat nahi hai.
  5. UC news me aapke blog ki post ko open karne par usme aapke ad bhi show honge jisse aapki earning bhi hogi.

2. Nuksan:

UC news me apne blog ki post search karne se koi nuksan nahi hai. Agar aap sochte hai ki aapki post UC browser me show hogi to wo google search engine ya other search engine me show hogi to aesa nahi hoga.

  1. Agar UC news me humari post add hone par wo search engine me index hoti hai to humari site ki search rank down ho sakti hai. But uc browser ki privacy bahut high hai or aapki koi bhi post search engine me index nahi hogi.
  2. UC news me blog post submit karne se koi bhi nuksan nahi hai.

Yani uc news me apni site ki post show karne se hume fayda hi fayda hai or nuksan kuch bhi hai. Maine is bare me UC browser ke indian member se bhi bat ki thi ki aesa karne par hume koi problem to nahi hogi or humare AdSense jaise advertising site istemal karne par koi bad affact to nahi padega.

Mujhe iske bare me positive result mila or main kafi time se uc news ko istemal bhi kar raha hu. Abhi tak mujhe koi problem nahi huyi. Second maine or aapne uc news me aesi bahut si sites ko dekha hai jo AdSense istemal karti hai. Ye website last many year se uc news me content show karti hai.

Now, aao ab shuru karte hai ki kaise aap bhi apni site ke content ko UC news me submit kar sakte ho.

UC News Me Apni Site Ki Post Kaise Show Kare – Complete Guide in Hindi

Iske liye aapko aini website ya blog ko UC web me submit karna hoga. Uske bad ucweb team aapki site ke content ka review karegi or kuch time bad aapka account approve ho jayega. Accoutn approve hone ke bad aapke blog par new post publish karne ke bad wo automatically ucnews me index ho jayegi.

Follow Below Step and Submit Your Site to UC News:

Step 1:

  1. Sabse pahle aap mp.ucweb.com site par jaye.
  2. Ab top me right side me Sign up par click kare.

Submit Site to UC browser

Step 2:

  1. Apna email address add kare.
  2. Password set kare.
  3. Password re-enter kare.
  4. Verification complete kare. Switch ko ledt se right me le jaye or verify code verify kare.
  5. Terms & conditions accept kare.
  6. CONTINUE par click kare.

Submit Site to UC News first step

Step 3:

  1. Ab apna gmail address confirm kare.
  2. Check Email par click kare.

Submit Site to UC News confirm email

Step 4:

  1. Ab ek new tab me aapka gmail account oepn hoga. Usme email account ko confirm karne ka ek mail hoga.
  2. Us mail me verification email for registration ka ek link diya hoga us par click kare.

Step 5:

Ab jo page khulega usme aapko personal ya organization account banane ke bare me pucha jayega. Aapko jis type ka account banana hai wo select kare.

  1. Personal: Agar aap apne blog par sirf apne thoughts share karte ho or aap ek professional blogger ho or sirf aap blog par content likhte hai to personal account type select kare.
  2. Organization: Agar aapki site par multiple author content write karte hai or aapki site ko groups ya companies handle karti hai to aap organization select kare.

choose account type

Step 6:

Ab Account Information ka page khulega usme aapko sabhi jankari sahi se bharni hai.

  1. Upload photo par click kare or profile image ya blog ke liye logo set kare.
  2. Apna name name ya blog name add kare.
  3. Aapka blog kis bare me hai blog ki category select kare.
  4. Account operator name add kare.
  5. PAN Card number enter kare. (PAN Card hona jaruri hai.)
  6. Country code select kare.
  7. Apna mobile number add kare.
  8. Apni site ka link add kare. Aap chahe to yaha site ka RSS feed URL bhi add kar sakte hai.
  9. Agar available hai to service tax number add kare warna ise khali hi chord de.
  10. Authorization agreement accept kare.
  11. Finally continue par click kare.

Uc web account information

Step 7:

Process complete hone ke bad is tarah ka message show hoga. “Your account is under review. We will inform you when your application is proccessed.” Yani abhi aapki site ka UC team review karegi. Isme kuch hours ya 1-2 day ka time bhi lag sakta hai.

Account stats

Ab aapki site uc news me submit ho gayi hai. Review complete hone ke bad aapke blog ke article automatically uc news me publish hone shuru ho jayenge. Aap chahe to apne articles ko manually approve karwa sakte ho. Account approve hone par aapko apne blog ke bare me 150 characters me description bhi likhni hogi.

Jab uc news me aapki post show hogi to uske last me aapke blog ka link diya hoga. Jis par click karke user aapke blog par visit kar sakte hai. Apna dekhna ye hai ki millions readers me se aapke blog ko kitne log like karte hai.

Uc browser me site submit karne ke bad use manage kaise karna hai uske bare me ye post padhe UC News Me Blog Submit karne Ke Bad Kya Kare Ki Puri Jankari.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne frieds or other blogger ke sath share jarur kare taki wo bhi apne blog ki posts ko uc browser me show kara sake.

Good luck. Ummid karta hu aapko UC news se lakho traffic milega.

Reader Interactions

Comments (228)

  1. Sir uc news me approval milne ke bad me 6-7 posts likh chuka hu lekin abhi tk ek bhi post uc news me nahi aayi or na hi uc news ki officiel website pr meri koi post aa rahi hai

    • Aap ek bar uc browser ki terms padh le.

  2. Sir yha pr mera blog approve ho gya new post ka option aarha hai to maine apne blog ka ik post copy krke sumbit krdiya everytime yhi krna pdega kya ?

    • Nahi nayi post apne aap publish ho jayegi. Ab aapko kuch nahi karna hai.

  3. Bilkul new post share kiya hai aap ne.. Mai bhi apne Blog ko submit karunga

  4. जुमेदीन भाई,आदाब, मैंनें अपनी साइट UC News में सबमिट की और एप्रूव्‍ड भी हो गई। एक मेल आया है। जिसमें तीन लिंक दिए हुए हैं। 1,डेशबोर्ड एकाउंट, 2,आर्टिकल क्रियेेट, 3,faqhtml के बारे में है। जब क्रियेट आर्टिकल वाले लिंक पर क्लिक करता हूं। तो वहां एक पोस्‍ट लिखने और पब्लिश करने का पेज दिखाई पड़ रहा है। क्‍या मुझे अपनी पोस्‍ट यहां लिख कर पब्लिश करनी होगी। या फिर मैं जब भी अपने ब्‍लाग पर कोई पोस्‍ट लिख कर पब्लिश करूंगा, तो क्‍या वह अपने आप यूसी न्‍यूज पर दिखाई देने लगेगी। पोस्‍ट की हैडिंग वगैरह अंग्रेजी में होती हैं। वह हिंदी में कैसे बदली जाएगीं।

    • अगर आप सिर्फ uc के लिए पोस्ट लिखना चाहते होतो यहाँ लिख सकते हो हा न्यू पोस्ट अपने आप इंडेक्स हो जाएगी. मैं इस फीचर के बारे में भी जल्दी ही पोस्ट लिखूंगा.

  5. Sir me meri posts ko uc news me kese add karu muje approval mil gaya ab kuch esa aaa raha hai mene aapko eska screenshot bhi beja hai

    • Aapki post apne aap publish ho jayegi. Aapko kuch karne ki jarurat nahi hai.

  6. Bhut hi helpfull articale hai brother, traffic increase karne ka… thanks for share this…

  7. meri site approve bhi ho gyi but login karte time verification me bar bar error aa rhi h, me login nahi kar paa rha hu, aaj kam se kam mene 100 bar login karne ka try kiya but verification me error aa jati hai, kya karu me jise login kar saku.

    • Ek bar browser ko refresh kar lo or verification ko verify karte time verify hone se pahle kahi or click mat kiya karo.

  8. sir aap ye post ke niche sin up or article by, and recommended for you ka link kaise add kiya hai, 1 or ? hai mera sir 29 dec,2016 se mera sitemap Processed show kr rha hai or aag 1 january ho gei hai or is bich mene 2-3 tin post bi kr di hai pr mera sitemap 29 dec se aage hi nhi process kr raha hai sir.

    • Ye sab blog theme ke function hai. Sitemap fir se create karke search console me submit karo

  9. Hello Sir Mere Pas PanCard Nahi Hai Aur Service Tax No. Bhi Nahi Hai Kya In Dono Ke Bagair Approved Ho Jayga.

    • Nahi. Service tax jaruri nahi hai but pan card jaruri hai.

  10. Youtube Channel ko add kar skte h kya uc news me

    • Nahi.

      • mene aapke ek har pucha tha ki youtube channel ko submit kar skte hai kya uc news me, aapka ans tha nahi
        but mera uc account abi youtube channel se hi bna hua hai or earning bhi ho raji hai

        • Good but jab aapne pucha tha us time UC news me ye service available nahi thi ab hai. Enjoy.

  11. Great post Jume Deen Khan,
    Meri ek problem hai,me Yoast SEO plugin use karta hu,jab me google xml sitemap plugin install karta hu to ek massage show hota hai.ki ye apke SEO ke liye good nahi,to kiya me dono plugin use kar sakta hu?

    Yoast SEO bhi sitemap generat karta hai,to kiya google sitemap plugin use karna jaruri hai?

    Agar me apki site par kisi comment ka answer dena chahu to de sakta hu?

    • Aap sirf yoast seo ka sitemap use karo.
      Nahi yoast seo plugin use karte ho to sitemap ke liye kisi or plugin ki jarurat nahi hai.

      • Thanks for Help

  12. BHAI UC ME ACCOUNT APPROVED HO GYA HAI. AB ISME KYA KARNA HAI ISME TO NEW POST KA OPTION AA RAHA HAI

    • Ab kuch nahi karna hai bas post likho new post apne aap uc news me publish ho jayegi.

      • HUM OLD POST KO NAHI KAR SAKTE

        • Old post bhi pane aap index ho jayegi.

  13. sir , uc news me hinglish website submit kar sakte hai kya ? baise meri website hindi me hai me bas jaankari lena chahta hu

    • Yes kar sakte ho but hinglish ko support kam milega.

  14. Sir i m open my website on google chrome but he is show me “The Domain No Longer Parked By Godaddy” how to solve this problem.
    Tell me i m wait your answer

    • NeNew domain lene ya domain ko blog me connect karne par proper work karne 24 hours tak lag sakte hai. Abhi aapka blog open ho raha hai.

  15. sir isme to post likhna padta hai kya. khud se nya.
    par apne bola tha ki apki post show hone lagegi meri to nhi ho rha hai. mera account bn gya hai. pls rply sir ise kaise use kre smjh me nhi aa rha h

    • Yes.
      Account approved hone ke bad post show hogi. Aap account sign in karke dekh bhi sakte hai.

      • Sir maine signin kiya bt post koi show nhi kr rha hai. Usme new post ka option de rha hai jisme usme kuchh likhna padega fir published krna hoga tbi show hoga. Sir aap mujhe btaye ki kya kru singin krne ke baad pura step wise btaye pls..

        • Thoda wait karo or new post likho fir kuch time bad wo publish ho jayegi.

          • Maine dusre email se account bnaya hu uc me isse koi dikkt nhi hogi n. Mns jis email se site hai us email ka use nhi kiya hu uc me.

          • No problem

  16. Awesome post bro.

  17. bro kya full hindi blog hi chahiye uc news ko

    • Nahi hindi, english and other language ke blog ko bhi kar sakte ho.

  18. Hlo sir first of all happy new year u n ur family…..
    My question is…
    Me agr uc news me post daalunga to google se or other search engine se bhi traffic aayega na?

    • Yes aayega.

  19. thanks for this cool article.
    aapke post aaye kya UCNews mein??

  20. जुमेदीन जी जैसा की आपने कहा की UCNews हमारी पोस्ट Google में Index नही करेगा तो ऐसा नही है मैंने खुद अपनी एक पोस्ट को UCNews के Link से Google Search में देखा है लेकिन उसकी Ranking बहुत पीछे थी मुझे नही लगता की Ucnews का Google में पोस्ट करना CopyRight का issu होगा क्योंकि अगर ऐसा होता तो UCnews ऐसा कभी नही करता

    • Big master thoda dimag se socho aap ki post ko koi apne blog par same copy karke paste kare or use google index kare le to isse aapko ye problem hogi.
      1. UCnews aapse kei guna jyada famous hai or user aapke blog title par nahi uske title par click karega. Isse aapki site ka traffic kam hoga or search ranking bhi down hogi.
      2. Google ke niyam ke anusar ek content ko ek site se jyada site par show karna copyrighting hota hai. Yani aapki post uc me show hoti hai or google use index karega to ye copyrighting hogi. Isiliye ucnews ki post google me index nahi hoti.