Website Ya Blog Ko UC News Me Submit Kaise Kare – Full Information

UC browser world ke top mobile browser me se ek hai. Aapne bhi UC Browser ka istemal kiya hoga or UC News me news bhi padhi hogi. Aapko ye bhi pata hoga ki UC browser ke 10 million se bhi jyada users hai. Socho agar aapki site ki post UC news me show ho jaye to aapko usse kitna traffic milega. Aapne already UC news me kei website and blog ke articles dekhe bhi honge. Agar aap bhi apni post ko UC news me show karna chahate ho to ye post aapke liye hi hai.

Submit Site to UC News

UC browser ke UC news me apni site ki post kaise show kare? Is bare me har koi janna chahata hai shayad aap bhi yahi chahate hai. Actually, Uc browser ko millions users istemal karte hai. Aese me agar aapke blog ki post uc news me show hoti hai to aapko usse kafi traffic milega.

Is topic par internet par aapko shayad hi koi article mil payega but aaj main aako iske bare me details se bta raha hu. Aap 5 minutes me apne blog ya website ko UC news me submit kar apni posts ko uc browser me show kara sakte ho. Iski processing bahut simple hai. But usse pahle main aapko uc news me site content submit karne ke fayde ke bare me bta deta hu.

UC browser alibaba.com website ka part hai jisme UC news ke through har country me usi ki language me news update hoti hai. India me bhi uc news ko kafi pasand kiya jata hai or aapko isme har tpye ki news or information mil jati hai.

India me uc news me hindi content bahut jyada padhe jate hai so agar aapka blog hindi me hai to aapko daily lakho pageviews bhi mil sakte hai ya fir aapke blog par isse bhi jyada traffic ho sakta hai.

Site ko UC News Me Submit Kaise Kare? Is topic par aapko internet par kisi bhi website ya blog par koi information nahi milegi. Shayad hi koi aesi site hogi jisne iske bare me btaya hoga.

UC News Me Site Content Show Karne Se Kya Fayde or Nuksan?

Hum sabhi jante hai ki uc browser world popular browser hai jo android, iPad, iOS, windows, desktop, laptop, iPhone and other all version smartphone ke liye available hai. Puri duniya me iska istemal liya jyada hai. Only humare country india me hi iske million users hai.

1. Fayde:

  1. UC news ke million readers hai. Aapki post ko daily lakho views milenge or unme se kuch user aapki site par visit bhi karenge.
  2. Sabse achha benefit ye hai ki aapki post ke uc news me show hone par aapke blog ya aapke AdSense account par koi bad effect nahi padega. Kyuki UC news ki privacy bahut high hai.
  3. Mostly hum ye traffic ke liye kar sakte hai. Inse humara blog un logo tak pahuchega jinko hamare blog ke bare me pata nahi hota.
  4. Aapki post ke end me view soruce par click kare ne se aapka blog UC news me hi show hoga. Yani user ko aapke blog par jane ki bhi jarurat nahi hai.
  5. UC news me aapke blog ki post ko open karne par usme aapke ad bhi show honge jisse aapki earning bhi hogi.

2. Nuksan:

UC news me apne blog ki post search karne se koi nuksan nahi hai. Agar aap sochte hai ki aapki post UC browser me show hogi to wo google search engine ya other search engine me show hogi to aesa nahi hoga.

  1. Agar UC news me humari post add hone par wo search engine me index hoti hai to humari site ki search rank down ho sakti hai. But uc browser ki privacy bahut high hai or aapki koi bhi post search engine me index nahi hogi.
  2. UC news me blog post submit karne se koi bhi nuksan nahi hai.

Yani uc news me apni site ki post show karne se hume fayda hi fayda hai or nuksan kuch bhi hai. Maine is bare me UC browser ke indian member se bhi bat ki thi ki aesa karne par hume koi problem to nahi hogi or humare AdSense jaise advertising site istemal karne par koi bad affact to nahi padega.

Mujhe iske bare me positive result mila or main kafi time se uc news ko istemal bhi kar raha hu. Abhi tak mujhe koi problem nahi huyi. Second maine or aapne uc news me aesi bahut si sites ko dekha hai jo AdSense istemal karti hai. Ye website last many year se uc news me content show karti hai.

Now, aao ab shuru karte hai ki kaise aap bhi apni site ke content ko UC news me submit kar sakte ho.

UC News Me Apni Site Ki Post Kaise Show Kare – Complete Guide in Hindi

Iske liye aapko aini website ya blog ko UC web me submit karna hoga. Uske bad ucweb team aapki site ke content ka review karegi or kuch time bad aapka account approve ho jayega. Accoutn approve hone ke bad aapke blog par new post publish karne ke bad wo automatically ucnews me index ho jayegi.

Follow Below Step and Submit Your Site to UC News:

Step 1:

  1. Sabse pahle aap mp.ucweb.com site par jaye.
  2. Ab top me right side me Sign up par click kare.

Submit Site to UC browser

Step 2:

  1. Apna email address add kare.
  2. Password set kare.
  3. Password re-enter kare.
  4. Verification complete kare. Switch ko ledt se right me le jaye or verify code verify kare.
  5. Terms & conditions accept kare.
  6. CONTINUE par click kare.

Submit Site to UC News first step

Step 3:

  1. Ab apna gmail address confirm kare.
  2. Check Email par click kare.

Submit Site to UC News confirm email

Step 4:

  1. Ab ek new tab me aapka gmail account oepn hoga. Usme email account ko confirm karne ka ek mail hoga.
  2. Us mail me verification email for registration ka ek link diya hoga us par click kare.

Step 5:

Ab jo page khulega usme aapko personal ya organization account banane ke bare me pucha jayega. Aapko jis type ka account banana hai wo select kare.

  1. Personal: Agar aap apne blog par sirf apne thoughts share karte ho or aap ek professional blogger ho or sirf aap blog par content likhte hai to personal account type select kare.
  2. Organization: Agar aapki site par multiple author content write karte hai or aapki site ko groups ya companies handle karti hai to aap organization select kare.

choose account type

Step 6:

Ab Account Information ka page khulega usme aapko sabhi jankari sahi se bharni hai.

  1. Upload photo par click kare or profile image ya blog ke liye logo set kare.
  2. Apna name name ya blog name add kare.
  3. Aapka blog kis bare me hai blog ki category select kare.
  4. Account operator name add kare.
  5. PAN Card number enter kare. (PAN Card hona jaruri hai.)
  6. Country code select kare.
  7. Apna mobile number add kare.
  8. Apni site ka link add kare. Aap chahe to yaha site ka RSS feed URL bhi add kar sakte hai.
  9. Agar available hai to service tax number add kare warna ise khali hi chord de.
  10. Authorization agreement accept kare.
  11. Finally continue par click kare.

Uc web account information

Step 7:

Process complete hone ke bad is tarah ka message show hoga. “Your account is under review. We will inform you when your application is proccessed.” Yani abhi aapki site ka UC team review karegi. Isme kuch hours ya 1-2 day ka time bhi lag sakta hai.

Account stats

Ab aapki site uc news me submit ho gayi hai. Review complete hone ke bad aapke blog ke article automatically uc news me publish hone shuru ho jayenge. Aap chahe to apne articles ko manually approve karwa sakte ho. Account approve hone par aapko apne blog ke bare me 150 characters me description bhi likhni hogi.

Jab uc news me aapki post show hogi to uske last me aapke blog ka link diya hoga. Jis par click karke user aapke blog par visit kar sakte hai. Apna dekhna ye hai ki millions readers me se aapke blog ko kitne log like karte hai.

Uc browser me site submit karne ke bad use manage kaise karna hai uske bare me ye post padhe UC News Me Blog Submit karne Ke Bad Kya Kare Ki Puri Jankari.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne frieds or other blogger ke sath share jarur kare taki wo bhi apne blog ki posts ko uc browser me show kara sake.

Good luck. Ummid karta hu aapko UC news se lakho traffic milega.

Reader Interactions

Comments (228)

  1. Hay jumedeen sir ji. aapko aur aapke parivaar ko naye saal ki bahut-bahut badhaiyan.Happy New Year.Sir mera ek question hai.

    Sir mera blog blogger me bans hua hai.main ise WordPress me le jana chahta hoon.sir aap mujhe website ko blogger se WordPress me le jaane ka tarika detail me bataye taaki mujhe ye kaam karne me dikkat na ho.

                     

    • Aapko and aapki family ko bhi happy new year.
      Iske bare me aap humari WordPress category wali post padho.

  2. hindi font me discription likhne par blog ko uc browser approve kregi ki nhi

    • Yes karegi.

  3. Sir mere post m niche profile nhi aa rha plzz btae setting b chnge kr di phr kyu nhi aa rha plz dekh k btae .mere blog ka naam goforgreatidea.blogspot.com

    • Aap blog ki template change karo.

      • Dear jumme deen khan happy new eyers you & your femaily
        Mujhe templet change karna chahiye ya nahi 1 baar dekhkar batiye agar yes to templet ko change karna kafi asan hai but uski setting kaise kare koi asan iska ilaj batiye
        2. Uc browser waqi mein world class par chalne wala hai but wahan par mere add bilkull show nahi ho rahe hain iske liye thodi jankari chahiye plz help me then i diside ki kya karna hai pehle mere cureents templet ko dekh ke batiye ki kya health2hindi ke hisab se yeh templet kaise hai ya kaisa hona chahiye thanks i m waitting for you dear

        • 1. Template to ye bhi best hai but ab isse bhi better template avaiablr hai. Iska aasan tarika nahi hai. Seriously hi karna hoga.
          2. Aap ad blocker use kar. Mere hisab se template chagne karo.

  4. Jume Deen Ji, kafi badhiya jaankaari di aapne. Mujhe bhi inki taraf se mail aayi thi aur maine bhi sign up kiya lekin apne blog ka content nahi dala, yehi dikkat thi ki kahi AdSense ko nuksaan na ho, aur aage mail bheji hai, abhi rply nai aya kyki abhi hi maine bnaya tha.
    Lekin fir bhi kya yeh bilkul sahi rhega?

    Iska ek aur bhi faayeda milega,jldi hi vo earnings bhi share krenge, isiliye PAN details mangte hai.

    • Future ke bare me to kuch nahi kah sakte but abhi kafi log ise use kar rahe hai. Unko koi problem nahi hai.

      • Jume Deen Ji, RSS feed link kya hota hai, mere blog ka kya hoga? UC wale kehte ki aap RSS feed link bhi share kr skte hai. Aur yeh link unke sath share kaise hoga?

        • Jaise hum feedburner service use karte hai to wo hume ek link deta hai. Jisme humari latest post index ho kar subscribe ke pas notification send karti. Jaise mera rss feed link ye hai http://feeds.feedburner.com/supportmeindia.

          Website ke link ki jagah aap rss feed ka link add akr sakte ho. is post me btaya hua hai.

  5. acchi jankari share ki aapne but ek baat samjh me nhi aayi aapne kaha uc news me post show karne par hamari post search me nhi aayegi jisse blog ka rank kharab ho sakta. iska kya matalb kya hai mai samjha nhi plz samjhaye…

    • Iska matlab agar uc news me publish huyi post search engine me show hoti hai to log huamre blog ki bajaye uc news wali post par click karenge. Jisse humara search traffic kam hoga or copyrighitng ho sakti hai.

  6. thanks to write a usefulcontent. i was lukin for this from long

  7. hey jume din
    kya blog ko approve hone ke liye koi conditions hai like traffic of blog,etc. ya ek starter blog bhi approv ho sakta hai.

    • Aaapke blog par kuch content to hona hi chahiye taki UC news aapko approval de sake. Iski koi strong terms nahi hai bas aapka content copyright na ho. Copyright hone par aapka blog suspend kar diya jayega.

  8. thank you sir mujhe is post ki kab se talash thi

  9. kya hum WordPress(free plan) pe add laga sakte he, kaise lagaye

    • example.WordPress.com par nahi laga sakte domain add karke laga sakte ho.

  10. Abhi to meri nazar me aesa koi rasta nahi hai but main pata karunga aap 1-2 day me mujhse puch lena.

  11. Bro. how can i change my blog font style in blogger

    • Try this code. body{ font-family: georgia;}

      • ye code bahut jagah hai

        • Aap mera btaya code CSS coding me add karo or font-family change kar lena kaam karega.

    • hey sudesh,
      agar aapka blog WordPress hai toh aap google easy font plugin try kar sakte ho. main aapne blog par yehi plugin use kar raha hu.

  12. Bina pan card ke koi wur rassta ni hai kya

    • Nahi aryan Pan card ke bina site ko uc web me submit nahi kar sakte.

    • PAN card jruri hai, future me jld hi vo hume pay bhi krenge

  13. bhai 1 or baat plz mera blog dekh kar bataye ki mene isme infolinks ki ads lagai hai kya ise mujhe remove kar dena chahiye ys nahi.

    • Infolinks is very bad ad network. Isse achha to aap media.net use karo.

  14. Sir country code or RSS feeds ke bich me mere ye aa raha hai yaha kya bharu

    Corporate Identification Number(CIN)

    • Try again. Step sahi se follow karo. Agar fir bhi problem ho to screenshot dikhana.

      • Sir meni site ke 2 waiter hai esliye me 2 option follow kr raha hu to usme yahi aa raha hai

  15. nice post bro. 1 question kya hamari latest post hi isme publish hogi ya jo abhi tak ki hai bo sari ho jaegi

    • Aapki Old post me index ho jayegi.

  16. Bro…padh kar really enjoying. apne outstanding post likhi hai…par kuch swal bhi hai.

    1) aapne apne blog ko ucnews me submit kiya h

    2) signup me pan no. dena jaroori hai isme koi dikkat to nahi hogi na

    3) fully free hai ye service ya kuch premium bhi h iske service i mean to say article submission ki.

    aur 1 swal aur hai flickr ki android app se pic download kr ke blog ke lie use kar sakta hu koi copyri8 ki issue nahi hogi na…as i knew ye yahoo ki free image service provider hai

    • 1. Post padhte to ye sawal nahi puchna padta.
      2. old comment padho. jaruri hai mere bhai.
      3. free hai paid hoti to post me bta deta.
      4. Hum kisi or ke photos use karenge to copyrighting to hogi hi.

  17. Sir me eske liye pichle 2 mahine se ghul rah hai mene n jane kya kya liye ucunian pr id banayi pura google chan mara lekin muje yah jankari nahi mili dhanywad sir aapka es jankari ke.liye

    Thanks Again

    • Welcome is post ko share jarur kare.

  18. process or post kafi accha hai…but Jiske Pass pan card nhi h wo kya karega…I have no pan card ..

    • Without PAn card nahi kar sakte. Pan card jaruri hai.

  19. kya apne apna blog Add kra?

    • Yes. Mera blog kafi time se submit hai.

  20. kya pan card number dena jaruri hai ? Agar ha toh kyu ?

    • Yes jaruri hai. Kyu ka jawab to aap ucweb team se hi puchiye. Main to ek guide hu mera kaam aapki help karna hai.

      • सर जैसे की मै uc news में दो अकाउंट बनता हु और दोनों अकाउंट में एक ही पैन नम्बर डालता हु तो APPROVE हो जायेगा न

        • Ho jayega.