Chrome Browser Me Grammarly Extension Kaise Install Kare

Grammarly ek spell checker tools hai jo aapki english writing ko behtar banane me help karta hai. Iski help se aap apni post me spelling mistake, commas mistake and verb mistakes ko check or solve kar sakte ho. Agar aapki english loose hai to grammarly chrome extension aapki help kar sakta hai.

Install Grammarly Chrome Extension

Maine apni pichli post Apni English Writing Ko Behtar Kaise Banaye – Perfect English Kaise Likhe me btaya tha ki kaise hum grammarly spelling checker se apni english writing ko better bana sakte hai. Is article mai aapko chrome browser me grammarly extension install karne ke bare me bta raha hu.

Chrome Browser Me Grammarly Spell Checker Extension Tools Kaise Install Kare

Aapko Grammarly Spell Checker Extension chrome me install karne ke liye bas kuch simple step follow karne hai. Jinke bare me mai aapko yaha details se bta raha hu.

Step 1:

Sabse pahle aap apne computer me chrome browser open kare or Grammarly Spell Checker & Grammar Checker par jaye. Ab Add to chrome par click kare.

Grammarly Chrome Extension

Step 2:

Ab ek choti si popup windows khulegi isme aapse grammarly extension ko chrome me add karne ke liye pucha jayega. Usme Add Extension par click kare. Iske bad grammarly extension download hoga. Isme kuch seconds lag sakte hai.

Add Grammarly Spell Checker

Step 3:

Downloading complete hone ke bad ye tools apne aap chrome browser me add ho jayegi. Or chrome browser ke link bar me right side me grammarly ka icon show ho jayega.

  1. Grammarly icon par click karke Check for grammer and spelling ko enable kar de.

Add Grammarly Spell Checker Tools

Bas ab aapke chrome browser me grammarly extension install ho gaya hai. Ab aap chrome browser me kahi bhi jaise facebook, twitter, google plus and WordPress, blogspot post par likhoge to grammarly aapki post me huyi mistakes ke bare me btayega. Sath hi ye aapko uska solution bhi suggest karta hai.

Grammarly ko use karne ki puri jankari ke liye yaha click kare. How To Use Grammarly For Write More Better. Is post me aapko grammarly tools ko use karne ki puri jankari details me milegi.

Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath sahre jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 24 )

  1. ARIF RAZA

    sir aap ne internet se releted bohot sari jankari di h
    pls agar aap yeh bhi bata den to bohot acha hoga
    ghar bethe train ka onlin tecket kese karte h online tecket book karne ka account kese banate h?
    agar yeh bhi jankari share karden to bhoht hi achi bat hogi

    dusri bt sir aap kounse photo editer se photo banate ho?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Ok iske bare me bhi post karunga. mai photoshop use karta hu.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...