Google Me Kuch Bhi Jaldi Search Karne Ki Top 5 Tips & Tricks

Google Me Kuch Bhi Jaldi Search Kaise Kare Ji ha dosto is post me main aapko google me jaldi search karne ke top 5 tarike bta raha hu jinse aap google me apne kaam ki jankari ko fast search kar sakte ho. Ab aapko google me jaruri jankari search karne ke liye time west karne ki jarurat nahi padegi. In google search tips and tricks ke istemal se koi bhi new user aasani se google search expert or smart ban sakta hai.

Google Me Kuch Bhi Jaldi Search Kaise Kare

Internet par aaj hazaro lakho websites or blogs available hai. Google me koi bhi topic search karne par million results aapke samne honge. Aap google, bing, yahoo, ask and other kisi bhi search engine ka istemal kar le aapko ek sawal ke kai jawab milenge.

Itni sari websites ki is bheed se apni pasand ki jankari wala web page search karna bahut mujhkil hai. Isiliye kai bar hume apne kaam ki information search karne me bahut time lag jata hai. Aapko valuable time searching me west na ho isiliye aaj main aapko Google Me Fast Search Karne Ka Tarika bta raha hu.

Google Me Jaldi Search Kaise Kare – Fast Search Karne Ke 5 Tarike

Actually, google hume fast search karne ke liye shortcut offer karta hai. Jinhe aap google search feature bhi kah sakte ho. Google hume 100+ shortcuts provide karta hai but yaha main aapko top 5 ke bare me bta raha hu.

1. Include and Exclude Keywords

Jab aap google me koi keyword search karte hai to aapke samne bahut sare results hote hai. Aese me aap search results se kisi bhi keywords ko include aur exclude kar sakte ho. I mean aap search results se specific keyword ko nikal sakte ho ya kisi keyword ko add kar sakte ho.

Include Keywords:

Agar aap chahate hai ki aap jo kuch search kar rahe ho usme aapka keyword hona chahiye to aap us keyword ke aage piche double comma laga de. Uske bad aap jo bhi search karo har ek search results me wo keyword hoga.

Example: (Internet se paise kaise kamaye “supportmeindia”) line google me search karo aapko sirf supportmeindia word wale hi results dikhayi denge.

Include Keywords

Exclude Keywords:

Agar aap chahate ho ki aap jo bhi search kare usme wo keywords na ho to aap us keywords ke samne minus laga kar search kar sakte ho.

Example: aap google me (kuch naya sikhne ka -tarika) search karo aapko wo sab post dikhayi dengi jinme “tarika” word nahi hoga.

Exclude Keywords

Is tarah aap comma or minus symbols ka istemal karke google search me keywords ko include or exclude kar sakte ho. Sath hi jab aap koi question wala sawal search kare to sume question mark jarur add kare.

2. Search within Websites

Jab aap kisi website par searching karna chahate ho to aapko us site par visit karne ki jarurat nahi hai aap bina site par jaye us site me search kar sakte ho. Is trick se aap kisi bih website ke sath search kar sakte ho.

Example: apna topic type karne ke bad uske last me site:url add karna hai. “Google Me Fast Search Kaise Kare site:supportmeindia.com”. Aap chahe to only site ka url add kar bhi searching kar sakte hai.

Search within websites

3. Set Time Period Limit

Agar aap google me latest information search karna chahate hai to aap date search ka istemal kare or time period limit select kar search results filter kare.

Iske liye aap google me kuch bhi search kare or drop-down navigation me Tools par click kar Any time option par click kar Past hour, Past 24 hours, Past week, Past month, Past year and Custom range ke anusar search kar sakte hai.

Limit Time Period

4. Search Personal

Normally, hume google photos, gmail inbox, google drive, google contacts me save apne data ko dekhne ke liye in sabki sites par jana padt hai. But main aapko bta du ki aapko in sab par jane ki jarurat nahi hai aap google me bhi apna personal data search kar sakte ho.

Example: aap google me “My photo” search karo google me upload sare photos aapke samne honge.

My Photos

Bas is sabke liye aap jis browser me search kar rahe ho usme sign in hona chahiye. Isi tarah aap Events, Bills, Packages, Reservations, Flights and Google photos ko search kar sakte ho.

5. Advanced Search

Agar aapko google ke feature or option kam lagte hai to aap google advanced search ka istemal kar sakte ho. Isme aapko search karne ke sare option mil jayenge.

Example: maine upar jo 4 tarike btaye hai un sabke sath advanced search me aapko or bhi kai option milenge. Iske liye app google.com par jaye or bottom navigation me Settings par click kar Advanced search open kare.

Google Advanced Search Feature

Agar aap google advanced search ke bare me adhik janna chahate ho to ke humari Google Advanced Search Kya Hai or Iska Istemal Kaise Kare post read kare.

Is tarah aap in top 5 tips and tricks ka istemal kar google me kuch bhi jaldi se search kar sakte ho. Agar aapko inse bhi better kisi trick ka pata ho to comment me jarur btaye.

Aesi hi post padhe,

Agar aapko ye jankari pasand aaye to is post ko social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 6 )

  1. Akshay

    Mera Question hai Sir Top me jo search form hai, ko google (personal search engine) se kaise connect kiya hai?

    Reply
  2. Afzalahmed

    Nice tricks bhai thanks pr abhi is ki jaroro nhi h

    Reply
  3. Hardeep Kumar

    sir meri SBI Bank ka swift code change ho gaya hai. Ab main adsense me new swift code kaise dalu. Account Edit Me Swift Code Change karne ke option nahi aati hai. kya main dowara se wohi wala bank account add karu. new swift code ke saath agar ha toh purana wal account baad me delete ho jayega.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Old account delete kar fir se ad kar lo.

      Reply
  4. Kunj Bihari

    Wow awesome trick thanks for sharing ❤

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...