New Mobile Phone Buy Karne Ke Baad Uski Dekhbhal Kaise Kare

Agar aapne abhi abhi new mobile liya hai ya fir buy karne wale hai aur use saalo saal safe rakhna chahate hai to uski dekhbhal achhe se kare. Yaha main aapko Naye mobile ki dekhbhal kaise kare, new mobile buy karne ke baad uski care kaise kare, new smartphone purchase karne ke baad uski care karne ki best tips in hindi. Naya mobile lene ke bad uski dekhbhal karne ka tarika btaynga. How to Take Care of New Android Phone in Hindi?

New Mobile Take Care Tips in Hindi

Agar aap apne phone ka sahi se khyal rakhoge aur uski care karoge to wo kai saalo tak bina kisi problem ke run karega. Maine 2013 me Sony Xperia C mobile liya tha jo aaj bhi achhe se work kar raha hai.

Agar aap bhi apne device ko sahi se rakho, aur use sahi tarike se istemal karo to wo bahut time tak bina error ke work kar sakta hai.

New Mobile (Android Phone) Lene Wale Users Ke Liye 6 Jaruri Tips

Is post me btayi gayi tips ko agar aap follow karte ho to aapka mobile bhi 3-5 year tak ya uss bhi jyada chal sakta hai.

1. Mobile Screen Protector Use Kare

Naya mobile lene ke baad sabse jaruri hota hai uski screen ko scratch se bachana taki touch paid properly work kar sake. Iske liye aap tempered glass ka istemal kar sakte ho.

Mobile Tempered Glass

Isse mobile screen protect ho jati hai aur galti se kabhi mobile geer bhi jaye to usme scratch nahi aate, ye mobile safety ke liya sabse jaruri hai.

2. OS System Ko Update Kare

Latest version better performance, bug fixes, new feature aur security purpose ke liye aate hai. Agar aapke android phone me koi update available hai to use update kar le.

Isi liye apne mobile ko achhe se check kar le ki koi update to available nahi hai, phone ko up to date rakhe, aap mobile settings >> about option par ja kar update dekh sakte hai.

3. Unnecessary Apps Install Na Kare

Agar google play store me 100k application available hai to aapko un sabhi 100k apps ko apne phone me load karne ki jarurat nahi hai.

What happens when you overload

Third party apps karo lekin check karke aur kam karo warna upar diye screen jaisa aapke phone ka haal ho jayega.

4. Apne Phone Ko Sahi Tarike Charge Kare

Sabse pahle to battery ko mobile ke sath aane wale ya original charger se hi charge kare aur humesha battery ko 80% hi charge kare. battery ko 100% charge karna bilkul waisa hi hai jaise computer ko restart karna.

Charge Androi Phone Battery

Mobile battery ko 80% taki hi charge kare, iss battery life badhti hai, aur adhik jankari ke yie ye post padhe,

5. Phone Ko Cool Rakhe

Apne phone ko jitna ho sake chaya me use kare, dhoop me phone chalaneke liye high brightness karni padti hai, jisse phone garma ho jata hai.

Phone par bahut time tak gamekhelne, video dekhne se bhi wo garam hota hai, so use thoda time de kar cool kar le. Phone ko full brightness me na chalaye, aur bag aur aesi jagaho par na rakhe jaha wo hit hone lag jaye.

6. Internet Par Virus Se Bacha Kar Rakhe

Ek virus, malware script aapke phone ko bekar kar sakti hai aur internet par security ki koi gaurantee nahi hai, upar se spam and phishing mail ki problem hai.

Main aapne itna kahunga ki aap unknown links, websites, apps ka istemal na kare aur sirf apni jarurat ke hisab se top sites ka hi istemal kare.

7. Phone Ko Water Se Bacha Kar Rakhe

Pani phone device ka dushman hai, halanki kai bar phone ke pani me girne ke baad bhi wo dead nahi hota lekin phone me jara sa pani jane se uski performance kharab ho jati hai aur user ko kai tarah ke error face karne padte hai.

Geele hath, kageele kapde se phone ko saaf na kare, isse phone me pani jane ka dar bana rahta hai. Jitna ho sake apne phone ko pani se bacha kar rakhe.

In tariko ko follow karke aap apne phone ki life aur badha sakte ho, phone ka jitna khyal rakhoge wo utni hi achhi service dega.

Agar aapko ye jankari achhi lage to is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 2 )

  1. SahiL Khan

    Sahi Kaha Bhai Or Aapka Blog Main 2015 se Read Karaha Hoon Bhai Mazader Article Likhte Ho

    Reply
  2. phaguni mandal

    Starting me to sb care karta ha magar jaise samay bitna hai waise hi care krna xod deta hai to purane mobile ko care kais3 kar3 jo hng na ho

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...