Kamyab Banne Ka Sabse Aasan Tarika – Apni Life Kaise Banaye

Jindagi me kamyab hone ke liye hum kya kuch nahi karte hai. har wo tarika apnate hai jo log hume btata hai. but ye tarika life me kamyab hone ka nahi situation ke piche bhagna hai. actualy hum apne aapko pahchante nahi hai or dusro ke piche bhagte hai. so hum khud ko bhul kar dusro ko copy karne ki koshish na kare or apne aapko pahchane or apne thode se gyan ko or badhane ki koshish kare.

Kamyab Life Kaise Banaye - Aasan Tarika

Agar aap jindagi me safal hona chahate ho to is post me btayi tips dhyan se pade or abhi se apni life badal ki soch le. i promise aapko ek din kamyabi jarur milegi. blogging karne walo ke liye ye jankari bahut kam ki hai. ek success blogger banne ke liye is ek tips ko follow karna bahut hai.

Humari Manzil humare aasapas ho hoti hai. bas humme power honi chahiye usse pahchanne ki. so life me kamyab hona hai to dusro ke piche bhagne, dusro ki kamyabi se jalne, dusro ko nuksan pahuchane ka kam chod ke khud ki manzil ka rasta khojne me waqt lagaye.

Kamyab Hone Ka Aasan Tarika – Life Kaise Banaye

Kuch log khud ki manzil ke bajaye dusre logo ki kamyabi se jalte hai or unhe nuksan pahuchane ki koshish karte hai. or apna sara time dusro ke bare me sochne me west kar dete hai. aysa karne se wo khud ki manzil ko bhool jate hai.

Or apne aap ko koshne lagte hai ki mai kuch nahi kar sakta. mai iske-uske jaisa nahi ban sakta. actualy hum jab khud ko bhul jate hai to har kam me ati karne lag jate hai. natijan hume jo thoda bahut gyan hota hai wo bhi kam hota jata hai. or aakhir me hume fail hone ka samna karna padta hai.

Mai aapko yaha ek choti si story suna raha hu. shayad ise pad kar aap aasani se samajh jaoge ki jindagi me success hone ke liye kounsa tarika acha hai or kis raste par chalna chahiye.

Swami Vivekananda Thoughts Jo Aapki Life Bana de

Ek bar Swami Vivekananda ji ke pas ek boy aaya jiski umar lagbhag 24-25 sal thi. wo bahut dukhi lag raha tha. uske chehre par udasi chayi huyi thi or lag raha tha jaise ki use koi bahut badi bimari hai. wo Swami Vivekananda ji ke pas aa kar Swami ji ke pairo me gir pada or rone huye help ke liye gidgidane laga.

Don’t Miss: कामयाब आदमी कैसे बने लाइफ में सफल होने के लिए अपनाये ये आसन टिप्स

Swami Vivekananda ji ne use utha kar pucha ki bete aysa kya hua jo tum itne udas or hare huye ho. tumhe kya pareshani hai. ladke ne hath jod kar kaha ki Swami mai apni life se bahut dukhi hu. mai jo bhi kam karta hu usme fail ho jata hu. mujhe kabhi kisi kam me aasani nahi hoti. pata nahi bhagwan ne meri taqdir me kya likha hai. mai bahut mehanat karta hu. din rat kam karta hu.

Yaha tak ki mai 12th pass hu or sabkuch janta hu. magar kabhi kamyab nahi ban saka mai ab bilkul har gaya hu. ab aap hi mujhe jindagi me kamyab hone ka koi rasta btaye. mujhe koi aysa tarika btaye jisse mai apni manzil tak pahuch saku.

Swami Vivekananda ji bole bete mai tumhare sawal ka jawab dunga. magar usse pahle tumhe mera ek kaam karna hoga.

Us ladke ne haa me sir jhukaya or bloa Swami ji mai aapka koi bhi kaam karunga. bas aap meri madad kar de. jisse mai success aadmi ban saku.

Swami Vivekananda ji ne us ladke se kaha theek hai tum mere kutte (dog) ko dusre gav (village) tak ghuma kar le aao. tab tak mai apna kam pura kar lunga. or fir aapke sawal ka jawab dunga.

Ladka kutte ko le kar dusre gav ki taraf chala gaya or Swami Vivekananda apne kaam (apne student ko padane) me lag gaye.

After 4 hours:

Ladka kutte ko le kar wapis aa gaya. par is bar wo udas nahi tha, hara hua nahi tha or na hi wo bimar lag raha tha. balki is bar uske chehre par muskan thi or wo Swami Vivekananda ji ke samne aate hi muskurane lag gaya.

Swami Vivekananda ji ne usse pucha ki bete tumhare sawal ke jawab se pahle tum mujhe ek bat btao ki Mera kutta itna thaka hua kyu hai jabki tum bilkul nahi thake or muskura bhi rahe ho.

Ladke ne thodi der socha or fir darte huye btaya ki Swami ji maine aapke kutte ko kei bar rokne ki koshish ki par ye raste me har gali me dusre kutto ke pas bhag jata tha or fir mere pas wapis aa jata tha. isliye mai sidhe raste se gaya or maine kam rasta tay kiya jabki aapke kutte ne yaha waha bhag bhag kar mujhe dugna rasta tay kiya. isliye ye itna hara hua lag raha hai.

Swami Vivekananda ji muskuraye or us ladke ke kandhe par hath rakh kar use aashram me andar le gaye or use apne samne baitha kar bole ki bete tumhare sawal ka jawab to tumne khud hi de diya. par tum use samajh nahi paye. Ladke ne kaha Swami kaise mai samajha nahi.

Swami Vivekananda ji bole dekho bete tum mere kutte ko ghumane isliye le gaye ki tumhe wo kam karke mujhse apne sawal ka jawab milega. or tumne iski wajah se apne sare dukh dard bhula kar ye kam kiya. or jab tum mere pas aaye to tumhare chehre par muskan thi. kyuki tumhe pura bharoshaa tha ki mai tumhare sawal ka jawab dunga. yani ki tumhe apne kam ka fal milne par pura wishwas tha.

Tum isliye nahi hare the ki tumhare dimag me raste ki mushkil nahi sirf tumari manzil (mujhse jawab pane) thi. so manzil pane ki khushi me tum raste ki sari mushkile bhul gaye ki tumne kitna rasta tay kiya, kitni mehanat ki or yaha tak ki tum raste par kahi ruke bhi nahi honge.

Iske wiprit mera kutta raste me yaha waha bhagta raha. dusre kutto ke pas jata or tumhare pas wapis aa jata. natijan wo aakhir me har gaya.

Bilkul wese hi aadmi ki life hoti hai. wo apni manzil ke sahi rastee ko chod kar dusro ke pas yaha waha bhagta rahta hai. jisse wo manzil tak pahuchne se pahle hi har jataa hai. kyuki yaha waha bhatkne me wo apni manzil ka sahi rasta hi bhool jata hai.

So agar aapko life me kamyab hona hai to apne aap par wishwas kar manzil ke sahi raste par chale. jisse aapki mehanat kharab na ho. or aap sahi raste par chaloge to yakinn aapko ek din saflta jarur milegi.

Post Summary

Maine is post me Swami Vivekananda ji ki kahani ko thoda change kar ke likha hai. jisse aapko ye bat aasani se samajh aa jaye. or aap ye jan sake ki aakhir mai aapko ye kahani suna kyu raha hu.

By the way agar aapne post ko dhyan se pada hoga to post padne ke bad aapko ye samajh aa gaya hoga ki kamyabi pane ke liye kya karnaa chahye. to aaj se hi is post me btayi jankari ko follow karna shuru kar de.

Agar aapko is article se achi jankari mili ho to ise apne dosto ke sath share karna na bhoole jisse unhe bhi iski jankari mil sake. or wo bhi sahi raste par chal kar kamyab ho sake. agar aap kisi ki help karoge to hi koi aapki help karega.