Kisi Bhi Account Ke Password Bhool Jane Ke Baad Reset Kaise Kare

Post title padh kar aapko ajeeb jarur lagega but ye sach hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jisse aap faceboo, twiiter, google gmail ID, blog and other kisi bhi A-Z account ke password bhoolne par bhi reset kar sakte ho. Actually bahut bar hum password bhoolne par forgot your password par click karte hai but jab isse password recover nahi hote hai to ummid chod dete hai. Magar ab aap chaho toapne kisi bhi account ke password or username pata kar sakte ho.

forgot your account password reset tips

Bahut bar aysa hota hai ki internet browser par work karte karte hum apne social media account ya kisi or ID ka password or username tak bhool jate hai. Or forgot password wale option ko try karne ke bad us account ko chod dete hai. But kei bar humare account me jaruri fataa hota hai or use restore karna important hota hai.

Shayad bahut kam log jante hai ki jab hum chrome, firefox, opera nad other browser me kisi bhi account par log in karte hai to browser hume save password ke liye bolta hai. Actually, agar kabhi aap save password par click kar dete hai to us account ke password and username browser me save ho jate hai or aap unhe aasani se pata kar sakte ho.

Apne Kisi Bhi Account and ID Ke Password Recover Kaise Kare

Aaj ke time me internet user sabse jyada google chrome browser hi use karte hai. Isiliye mai aapko sabse pahle chrome browser me hi password username restore kare ki tips bta raha hu.

Google Chrome:

Step 1:

Sabse pahle aap chrome browser ko open kare or right site me menu par click karke settings par click kare.

recover password

Step 2:

  1. Ab scroll down kijiye or sabse niche advanced settings par click are.
  2. Ab password and forums me manage passwords par click kare.

Manage Password

Step 3:

Ab ek pop up windows open hogi.Usme saved password me aapke sabhi account ke username or password ki list hogi.

  1. Is tarah list me aapke username or password honge.
  2. Password dekhne ke liye show par click kare,

Show password

Yaha par aapko wo sabhi username or password mil jayenge jo aapne store kiye the. Is tarah aap apne kisi bhi account ka password bhoolne par aasani se uska pata laga sakte ho.

Agar aapne galti se browser me password ko store kar diya hai to aap inhi step ko follow karke yaha par se password username ke right side me cute ke icon par click karke unhe remove kar sakte ho.

Mozilla Firefox

  1. Is browser me bhi same wese hi option hote hai. sabse pahle aap dayi taraf menu icon par click kar settings me jaye.
  2. iske bad niche diye gaye advanced settings par click kare.
  3. ab aapke samne jo option show ho unme se aapko security par click karna hai.
  4. ab saved log in par click kare.
  5. Ab aapke samne sabhi username or passwords ki list hogi. Ab jaise hi aap kisi password par click karoge to ek popup list windows open hogi usme likha hoga kya aap sahi me password dekhna chahate hai. yaha aapko yes par click karna hai. Iske bad password aapki aankho ke samne hoga.

Finally, Really, new internet users ke liye browsers ki ye service helpful hoti hai but kei bar ye aapke liye danger bhi ho sakti hai. Ho sakta hai koi or aapke borwser me aapki ID password pata kar le. Isliye apne PC me kabhi bhi browser me password save na kare or agar kar bhi diye hai to unhe delete kar de.

I hope aapko ye trick pasand aayegi. So plz ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.