Kisi Bhi Account Ke Password Bhool Jane Ke Baad Reset Kaise Kare

Post title padh kar aapko ajeeb jarur lagega but ye sach hai. Aaj mai aapko aysa tarika bta raha hu jisse aap faceboo, twiiter, google gmail ID, blog and other kisi bhi A-Z account ke password bhoolne par bhi reset kar sakte ho. Actually bahut bar hum password bhoolne par forgot your password par click karte hai but jab isse password recover nahi hote hai to ummid chod dete hai. Magar ab aap chaho toapne kisi bhi account ke password or username pata kar sakte ho.

forgot your account password reset tips

Bahut bar aysa hota hai ki internet browser par work karte karte hum apne social media account ya kisi or ID ka password or username tak bhool jate hai. Or forgot password wale option ko try karne ke bad us account ko chod dete hai. But kei bar humare account me jaruri fataa hota hai or use restore karna important hota hai.

Shayad bahut kam log jante hai ki jab hum chrome, firefox, opera nad other browser me kisi bhi account par log in karte hai to browser hume save password ke liye bolta hai. Actually, agar kabhi aap save password par click kar dete hai to us account ke password and username browser me save ho jate hai or aap unhe aasani se pata kar sakte ho.

Apne Kisi Bhi Account and ID Ke Password Recover Kaise Kare

Aaj ke time me internet user sabse jyada google chrome browser hi use karte hai. Isiliye mai aapko sabse pahle chrome browser me hi password username restore kare ki tips bta raha hu.

Google Chrome:

Step 1:

Sabse pahle aap chrome browser ko open kare or right site me menu par click karke settings par click kare.

recover password

Step 2:

  1. Ab scroll down kijiye or sabse niche advanced settings par click are.
  2. Ab password and forums me manage passwords par click kare.

Manage Password

Step 3:

Ab ek pop up windows open hogi.Usme saved password me aapke sabhi account ke username or password ki list hogi.

  1. Is tarah list me aapke username or password honge.
  2. Password dekhne ke liye show par click kare,

Show password

Yaha par aapko wo sabhi username or password mil jayenge jo aapne store kiye the. Is tarah aap apne kisi bhi account ka password bhoolne par aasani se uska pata laga sakte ho.

Agar aapne galti se browser me password ko store kar diya hai to aap inhi step ko follow karke yaha par se password username ke right side me cute ke icon par click karke unhe remove kar sakte ho.

Mozilla Firefox

  1. Is browser me bhi same wese hi option hote hai. sabse pahle aap dayi taraf menu icon par click kar settings me jaye.
  2. iske bad niche diye gaye advanced settings par click kare.
  3. ab aapke samne jo option show ho unme se aapko security par click karna hai.
  4. ab saved log in par click kare.
  5. Ab aapke samne sabhi username or passwords ki list hogi. Ab jaise hi aap kisi password par click karoge to ek popup list windows open hogi usme likha hoga kya aap sahi me password dekhna chahate hai. yaha aapko yes par click karna hai. Iske bad password aapki aankho ke samne hoga.

Finally, Really, new internet users ke liye browsers ki ye service helpful hoti hai but kei bar ye aapke liye danger bhi ho sakti hai. Ho sakta hai koi or aapke borwser me aapki ID password pata kar le. Isliye apne PC me kabhi bhi browser me password save na kare or agar kar bhi diye hai to unhe delete kar de.

I hope aapko ye trick pasand aayegi. So plz ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 133 )

  1. Luckysongara

    My Instagram account is recovered

    Reply
  2. Kajal pathak

    Mai apna snapchat ka password bhul gyi thi fir maine snapchat me forget password kar ke dusra password bana liya too app yea bataye ki agar mai new pass word se apna snapchat fir se log in karu to snapchat ka photos or video romove ya delete to nhi hoge

    Reply
  3. PRINCE CHOUDHARY

    Mera bhi number band ho gaya hai
    Aur password yaad nahi hai

    Reply
  4. vishal

    sir mera hotmail ka password nhii yaad hai or jis no se banaye the wi no kho gya hai kaishe kholu

    Reply
    • Rajat sharma

      Sir mera instagram account tha vo number bnd ho gya mera aur gmail sai link ne hua muje vo bahut jrure hai (rajatamrahs )ke naam sai id thi

      Reply
  5. Meena

    Main apna fb password. Bhool gyi.. Nd jo no. Link h fb se vo b bnd ho chuka or gmail b link nhi h koi solution. H kya sir

    Reply
  6. Kumar anil

    Mera G-mail account password bhul gaya hu mera phone reset ho gaya he G-mail account login nahi horaha hai keese kare sar

    Reply
    • Jyoyi

      Mera phone resent ho gaya hai or me apni gmail id ka password bhool gai hu kese pata kare

      Reply
      • जुमेदीन खान

        password भी reset कर लो

        Reply
        • Khursheed abbas

          Sir mera pasword bhul gaya hu aur mobille no bhi band hain yo es cunditonmekya karenge aur sin in maang raha hain

          Reply
  7. Vikash

    Sir ji m mere phone ka MI account ka name or password bhul gya ab use remove kse kro plz sir help me

    Reply
    • Pankaj Gupta

      Hii sir….. Mai apna Facebook password bhul chuka hun…. Aur jab mai password forgate karta hun… Toh Facebook otp ke liye bolta hai… Wah otp pankaj__gupta@india.com iss mail pe aa raha hai.. But jab maine India mail open kiya toh ye mail kuchh din pahle band ho chuki hai… And ab mai apna fb account kaise use karu… Please help me

      …… Please reply me sir…..

      Reply
      • Manish

        Realme C1 ka password bhul Gaya Hun

        Reply
      • Pankaj patel

        Sir mai apna enter password bhool gaya ho mera phone reset nahi ho raha hai Enter code mang raha hai

        Reply
  8. Preksha

    Hello dear sir,
    Mara gmail account ka password reset nahi ho rha. Jo recovery mail di the vo rediff ki he lekin rediffmail open nahi ho rha. Fir mene mobile mobile number se krne ki koshish ki mobile pe otp aaya or mene otp reset ke liye dala fir aaya ki this account is not belongs to you. Fir mene apni or email se reset ke liye dala. Email me message aaya ki 3 to 5 days wait kro hum investigate kr ke reply krenge. Sir mera youtube account or adsense issi account se bna he. Sir agar koi bhi tarika he to please meri help karne ki koshish kre. Apki sda aabhari rahungi. Sir please reply jaroor kijiyega. Thanks

    Reply
    • Jumedeen khan

      wait 3-5 day me account recover ho jayega.

      Reply
  9. israr khan

    Sar g mai apni recover email bhol giya hun or mai apna facebook ka password bi bhol giya hun or jis nambr se banya ta us nambr se kisi or id arahi hai. Israr khan ke nam se nai arhi or facebook ka gmail yad hai leken kuch kam nai ho rha. Mai ye apni facebook ki id har hal mai wapiskolna chahta hun jis par meri pic lagi hai.
    Ap mehrbni kar ke kuch karen.

    Reply
    • Jumedeen khan

      Facebook ko contact karke document se veriy kar recover kar sakte ho.

      Reply
  10. Rohit kumar

    Mere phone kho gya h or muihe mail I’d let Shiba kuc bhi nhi PTA kes see bani

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...