Agar aap apne google account ko deactivate, temporary ya permanently delete karna chahate hai to yaha btaye steps follow kare. Is post me aapko google gmail account ko deactivate, temporary ya permanent delete yani google account ko humesha ke liye delete karne ki puri jankari hindi me milegi.
Google hume multiple account create karna allow karta hai but jab humare pas bahut sare google account ho jate hai or hum unme se 1-2 ka istemal karte hai to baki accounts ko deactivate ya permanently delete kar dena chahiye kyuki koi aapke old google account ko hack kar misuse kar sakta hai.
Isiliye apne bekar ke or use na hone wale all old accounts or gmail accounts ko delete kar dena hi behtar hai. Security ke liye better hai ki aap utne hi google account create kare jitno ki aapko jarurat ho or use na hone wale google gmail account ko band kar de.
Yaha main aapko complete google account ko delete karne ki process bta raha hu jiske bad aap google ki koi bhi service use nahi kar sakoge. Agar aapko sirf gmail account delete karna hai to Gmail Account Ko Deactivate Ya Permanently Delete Kaise Kare post padhe.
Google Account Ko Humesha Ke Liye Delete Kaise Kare
Is simple process se aap apne extra google account ko next 2 minute me delete kar sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle aap apne internet browser me us google gmail account se log in kare jisko delete karna hai.
- Sign in karne ke bad Google Account Settings par jaye.
- Ab Account preferences tab me Delete your account or services par click kare.
Step 2:
Ab aap Delete your account or services tab section par pahuch jaoge.
- Delete Google Account and Data par click kare.
Step 3:
Ab google aapko email address verify karne or password re-enter karne ke liye kahega.
- Password re-enter kar Next button par click kare.
Step 4:
Yaad rahe ab aapke delete account button par click karte hi aapka google account or uska all data photos, videos, contact etc. sab delete ho jayega.
- Aap chahe to download your data link par click kar google account ka backup bhi le sakte ho.
- Google terms accept kare.
- Finally, Delete Account par click kare.
Ab aapka google account permanently delete ho chuka hai. Ab aapke samne ye message show hoga. “Your Google Account and all its data have been deleted.”
Agar kabhi aapse accidentally google account delete ho jaye to aap upar screenshot me btaye 2 step go to account support or follow the steps to verify that the account is yours se account ko recover bhi kar sakte ho.
Is tarah se aap only 2 minute me google account ko humesha ke liye delete kar sakte ho. Agar aap apne old google account ko fir se recover karna chahate ho to ye post padhe.
- Disable Gmail Account Ko Fir Se Enable Reactivate Kaise Kare
- Google Gmail Account Me Recovery Phone Number Add Kaise Kare
Agar aapko ye post achhi lage to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.