Free Software Download Karne Ke Liye Top 10 Websites 2024

Computer, laptop ke liye free software download karne ki bahut sari websites hai lekin free software download websites dangerous ho sakti hai. Ek bad website par ja kar aap fake download button par click kar aap apne PC me virus and malware file download kar sakte ho. Isiliye humesha safest free software download sites se hi file download kare. Yaha hum Free Software Download Karne Ki 10 Best Websites ke bare me bta rahe hai.

Free Software Download Websites

Aksar hum confuse ho jate hai ki apne PC ke liye safe method se software download kaise aur kaha se kare? Internet par software download karne ki bahut saari sites hai lekin wo sabhi safe aur secure nahi hoti hai.

Aaj main aapko aesi 10 websites ke bare me btaunga jinse aap apne windows computer desktop, laptop ke liye free me software download kar sakte ho.

Computer Ke Liye Free Software Download Karne Ki 10 Best Websites

Internet par koi bhi site 100% secure nahi hoti lekin yaha btayi gayi sites clean aur safe hai, fir bhi aap carefully software download kare.

1. FileHippo

Filehippo - Free Software Download Sites

Filehippo free software download karne ke liye sabse best site hai, is par lagbhag sabhi freeware open-source software available hai. Iska interface bahut hi simple aur clean hai. Homepage se aap aasani se software categories ka pata laga sakte hai aur aasani se apna favorite software find kar download kar sakte hai.

Jab aap is par kisi software ko download karne ke liye choose karte hai to ye aapko us software ke previous and outdated version bhi show karta hai taki aap apni pasand ka version download kar sake. Ye site windows or Mac platform ke liye free software provide karti hai. Is website par 20,000 se jyada free software available hai jinhe aap one click se download kar sakte ho.

2. Softonic

Softonic - Free Software Download Sites

Softonic 1997 me launch kiya gaya tha aur ye shayad sabse oldest software download websites me se ek hai. Iske alawa ye free software download sites me sabse jyada popular bhi hai. Isme ek clean aur simple navigation theme hai jo aapko aasani se pasand ka software khoj ke deta hai.

Is site se aap windows, android phone, iOS etc. ke liye software download kar sakte hai. Softonic ka blog bhi hai jisme aap software technology se related articles padh sakte hai. Ye site na keval free software provide karti hai balki free apps and free games bhi provide karti hai. Softonic Q&A forum bhi hai jisme aap software se related sawal puch sakte hai.

3. Softpedia

Softpedia - Free Software Download Sites

Softpedia ek aur popular website hai jo aapko free software download karne deti hai. Download links ke sath aap software ka detailed review bhi dekh sakte hai, jisse pata lag jata hai ki is software ke advantages and disadvantages kya hai?

Softpedia ko 2001 me launch kiya gaya tha aur aaj ye 850,000 files ko host karta hai. Ye aapko malware, virus free software download karne ki permission deta hai. Is par aapko windows, Mac, Linux, Android, web browser ke liye free software mil jayenge. Is par aapko PC games and mobile games bhi mil jayenge.

4. Ninite

Ninite - Free Software Download Sites

Ninite ke bare me bahut kam log jante hai lekin ye free software download karne ki top sites me se ek hai. Isme all software ko list me add kiya gaya hai. Aap apne hisab se jarurat ke programs and software ko tick kar custom installer ke sath download kar sakte ho.

Ye site apni security ke liye jana jata hai, isiliye aapko malware, junkware, virus ke liye tension lene ki jarurat nahi hai. Aap ek hi installer se multiple software ko download kar install kar sakte ho.

5. Cnet Download

Cnet - Free Software Download Sites

Cnet download site free software download karne wali top free websites me se ek hai. Ise 1996 me download.com ke name se launch kiya gaya tha lekin bad me iska domain download.cnet.com me change kar diya gaya.

CNET free software downloads karne ke liye sabse biggest and largest internet directory me se ek hai. Is par 100,000+ free software, apps and games available hai. Is site par aapko Windows, Mac, iOS and Android ke liye new released free apps or software mil jayenge.

6. Filehourse

Filehorse - Free Software Download Sites

Firehouse windows platform ke liye free software download karne ki best website hai. Ye Mac ke liye bhi free software provide karti hai lekin is par jyada software windows computer ke liye hi hai.

Website homepage apr hi software ki all categry add ki gayi hai. Jisme aap apni jarurat ke software ko aasani se dhundh sakte ho. Is site par aapko via email software se related news, discount, deals ki jankari bhi mil jayegi.

7. Filepuma

Filepuma - Free Software Download Sites

Filepuma bhi free software download karne ke liye best website hai. Iska designbahut hi clean hai jo aapko kisi aur website par nahi milega. Aap latest, popular, top, new, trending software ko aasani se find kar sakte ho. Har software details ke sath functions and features ke bare me bhi btaya gaya hai.

Is par aako updated program bhi milega jisse aap apne system ke software ko update, upgrade kar sakte ho. Update program ka size bahut kam hai aur windows platform par better work karta hai. Iske alawa is par aapko latest tutorial, news section bhi mil jayega.

8. Majorgeeks

Majorgeeks - Free Software Download Sites

Majorgeeks free software and shareware download karne ki another best website hai. Isme homepage par different categories add hai, jinse aap software explore kar sakte ho aur top read, latest download files ka pata laga sakte ho.

Ye website high-rated program ko host karti hai. Is par update installer bhi milega jo aapke system ko scan kar software ke latest version ka pata laga kar update karta hai. Agar aapka software se related koi question hai to aap Majorgeeks forum par puch sakte ho, forum par 250,000 se jyada registered member hai.

9. Brothersoft

Brothersoft - Free Software Download Sites

Brothersoft internet par sabse jyada visit hone wali sites me se ek hai. Ye popular and variety software download karne ke liye jani jati hai. Is par se aap free software, driver, browser, mobile application and video game download kar sakte ho.

Agar original download link work na kare to ye mirror download link bhi provide karti hai. Is par aapko windos, android, iOs, Mac sabke liye software and app mil jayenge. Lekin jab aap isse software download karoge to aapko downloader bhi install karna hoga.

10. Sourceforge

Sourceforge - Free Software Download Sites

Sourceforge ek open-source software platform hai jis par 450,000 se jyada project host hai. Iska design clean aur attractive theme hai. Ye every software ko details, review, editor rating ke sath provide karta hai.

Is par aapko har type ke free software mil jayenge, bahut se log develop and open-source software publish karne ke liye bhi sourceforge ka istemal karte hai. Agar aap ek developer hai to aap iska istemal software coding ke liye kar sakte ho.

Free Software Kaha Se Download Kare?

Is list me shamil ki gayi website se aap apne windows computer (desktop,laptop) PC ke liye free me software download kar sakte ho.

Agar aap apne PC ko secure rakhna chahate hai to uske liye jaruri hai ki aap apne pc me ek good quality ka antivirus install karke rakhe taki malware, virus aapke system par attack na kar paye.

Ye bhi padhe,

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social sites par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 2 )

  1. hello bhai mai kafi time se bahut pareshan tha aapne to acha solution bta diya is article ke jariye thanks bhai

    Reply
    • Good Job broThx

      Reply

Leave a Comment