Agar aapka facebook par koi page hai to aapne apne facebook page par Facebook Instant Articles feature jarur dekha hoga. Ya fir aapne iske bare me kahi or suna hoga. Aaj is post me mai aapko facebook instant articles ke sabhi features ke bare me detail se information de raha hu. Ise padh kar aap aasani se samajh sakoge ki. Facebook Instant Articles Kya Hai?
Actually, Maine bhi ye featue apne facebook page par kei bar dekha tha but ek friend ke iske bare me puchne par maine iske bare me ache se information pata ki to mujhe laga ki iske bare me apne readers ko bhi btana chahiye.
- Facebook Page Par Auto Reply Message Kaise Shuru Kare
- Hamari Facebook Profile Ko Kis Kisne Dekha Hai Kaise Jane
So mai is article me aapko Facebook Instant Articles ke bare me wo sab jankari bta raha hu. Jitni me janta hu. Adhik information ke liye aap facebook help form par visit kar sakte hai.
Facebook Instant Articles Kya Hai – All Feature Information in Hindi
Facebook ne 12 may, 2025 ko Facebook Instant Articles feature ko launch kiya tha. Starting me ye features sirf kuch official pages par available tha. But ab ye sabhi facebook pages ke liye available hai or koi bhi ise use kar sakta hai. Pahle ye sirf iOS application me work karta tha but ab ye sabhi andorid mobile me work karne laga hai. Or koi bhi publisher ise apne facebook page me add kar sakta hai.
Ek bar aapke Facebook Instant Articles ko facebook page me enable karne ke bad aapke blog or website ki har post Facebook Instant Articles ke roop me automatically share hogi. Means aapko Facebook features ko use karne ke bad facebook page par manualy post share karne ki jarurat nahi hogi.
Facebook Instant Articles All Feature Details in Hindi
Facebook Instant Articles feature ko facebook ne publisher ke fayde ke liye banaya hai. Facebook team ka kahna hai ki facebook page par kisi post ko open karne me kei bar slow connection ki wajah se bahut time lag jata hai or post jaldi loading nahi hoti hai.
Is reason se bahut se reader aapki post padhe bina hi aapke page ko chod jate hai. Facebook Instant Articles features me aapki site puri post show hogi or fast open hogi. Aapke facebook page par ye service approved hone ke bad aap ise try kar sakte hai or iske bare me details se pata kar sakte hai. Fir bhi mai yaha aapko iske kuch important benefit bta deta hu.
- Fast loading time: Facebook ke anusar Facebook Instant Articles pahle 10% fastly open honge. Jisse slow internet connection use karne wale mobile user bhi aapke article jaldi or kam time me padh sakenge. Isse reader or publisher dono ko fayda hoga. Publisher ki site par traffic badhega or reader aapki post easily padh payenge.
- Analytics: Facebook team ne apne aritcle me btaya hai ki aap Facebook Instant Articles par aaye traffic ko aap google analytics and other traffic report btane wale tools par dekh sakte ho. Facebook bhi iske bare me alag se tools banane wala hai. Jis par aap ye pata kar sakte ho ki aapke Facebook Instant Articles ko kitne log padh rahe hai or ye visitors kaha kaha kis country se aaye hai. Iske alawa bhi aap or bahut kuch dekh sakte ho. Aap chaho to is feature ko google analytics se track kar sakte ho.
- Only for Mobile: Facebook Instant Articles features sirf mobile users ke liye hai. Ye sirf mobile me hi work karta hai,
- Advertisment: Aap chaho to Facebook Instant Articles me apne ads bhi dikha sakte ho. Aapki ads se jitni income hogi wo sabhi aapki hogi. Facebook iska aapse koi commission nahi lega. Iske bare me adhik information ke liye aapko apne page par Facebook Instant Articles features enable karne ka wait karna hoga. Uske bad aap facebook guidelines ki help se pata kar sakte hai ki aap isme kis type ke ads use kar sakte ho.
- Formating: Facebook Instant Articles features ko aap chahe jaise customize kar sakte ho. Yani aapko kaha kaise or kya kya dikhana hai or kya kya chipana hai. Ye sab aap is feature me set kar sakte ho. Iske alawa aap apni post ke text, link, logo and background ka color bhi change kar sakte ho.
Finally, Ab aapko Facebook Instant Articles kya hai ke bare me to pata chal gaya hoga. Next post me hum bat karenge ki kaise hum Facebook Instant Articles features ko apne facebook page me enable kar sakte hai or kaise apni site ki post ko facebook par automatic share kar sakte hai.
- Blog Me Smart Slider Facebook Like Follow Box Kaise Add Kare
- Facebook Par Apna Profile Name Hide Kaise Kare Invisible Name
I hope aapko ye article pasand aayega or aapko isme useful information mili hogi. So plz ise social media par share jarur kare.