Blogger Blog Me Category Widget Kaise Add Kare Ki Jankari

Apne blog ki traffic badhane me category bahut kam aati hai. Aapke blog me category ki list hogi to aapke visitors ko apni jarurat ki post khojne me aasani hogi. Agar aapke blog par aapne category list add nahi ki hai to ye aapke liye buri bat hai. Is post me main aapko apne blog me category widget add karne ka tarika bata raha hu kyuki isse hume bahut fayda hai. Aaiye jante hai ki apne blog me category widget kaise add kare.

how to add category widget in blogger

Blog me category widget add karne ke liye aapko bas ye simple step follow karne hai.

Blog Me Category Widget Kaise Add Kare

Step 1:

  1. Sabse pahale blogger.com par jaye or login kare.
  2. Ab layout par click kare.
  3. Ab jaha aapko category widget add karni hai waha par add a widget par click kare.
  4. Ab ek popup window open hogi usme link list par click kare.

select link list

Step 2:

Ab ek or new popup window open hogi.

  1. Yaha par categories type kare.
  2. Is box ko empty rahane de.
  3. Yaha aapko ye set karna hai ki aapki categories abc ke hisab se ho ya fir automatic ho.
  4. Is box ko empty rahane de.
  5. Yaha par apne blog ki tag ya label ka URL add kare.
  6. Yaha aap jitne chahe category URL add kar sakte hai.
  7. URL type kare or add link par click kare.
  8. Aapko kon kon si category add karni hai kar le jaise maine ki hai.
  9. Full settings karne ke bad save par click kare.

blogger category settings

Step 4:

Ab kuch is tarah se aapke blog me categories ka option aa jayega.

category widget

Ab aapke blog me category widget add ho chuka hai. Agar aapko ise add karne me koi problem ho comment me bataye.

Agar aapko blogger blog me category widget add karne ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.

Agar aap apne blog me google points install karna chahte hai to ye post padhe. Blog Me Google Fonts Kaise Install Kare – Full Guide in Hindi

Sath hi agar aapne abhi tak apne blog me comment box add nahi kiya hai to ye post padhe. Blog Me Comment Box Kaise Add Kare

Agar aapka blog se related koi or sawal hai to comment me bata sakte hai.