Backlinks Ko Google Me Jaldi Index Kaise Kare [Free Tools]

Agar aapke banaye backlink ko google index nahi arta hai to wo backlink nahi hota bhale hi aap kitne bhi non-indexed backlinks bana lo unka koi fayda nahi hona wala. Aapki site ki search ranking tabhi improve hogi jab google aapke banaye backlinks ko index kare. Is post me aapko Backlinks Ko Google Me Fast, Free and Manually Index Kaise Karaye? ki step by step hindi jankari milegi.

Backlinks Ko Google Me Jaldi Index Kaise Karaye

Backlinks tab tak koi kaam ke nahi hai jab tak unhe search engines index na kar le. Normally backlinks ko index hone me kuch weeks ka time lagta hai lekin aap manually is process ko short kar sakte ho. Ji haa dosto aap kisi bhi backlinks ko 24 ghante (under 24 hours) me index kara sakte ho.

Is post me aapko in sab sawalo ke jawab mil jayenge.

  • Backlinks Ko Google Me Index Kaise Karaye
  • Backlinks Ko Index Hone Me Kitna Time Lagta Hai
  • Google Backlink Ko Kitne Time Me Index Karta Hai
  • Backlinks Ko Fast and Free Index Kaise Kare
  • Backlinks Ko Manually Index Kaise Kare
  • Google Backlinks Ko Index Kyu Nahi Karta Hai
  • Aur bhi Bahut Se Sawalo Ka Jawab Mile Jayega

Google ke according 100 low quality backlinks banane se better hai 1 high quality backlink banana. Low quality backlinks ko index karne me jyada time lagta hai kyuki google low PR wali sites ke pages ko kam crawl karta hai.

Aapko backlinks tabhi milega tab google use index kar le, so better hai high page authority wali site se backlinks banaye. Lekin ye possible nahi hai ki aapko humesha sirf High PR wali site mile.

Aese main aap apne banaye backlinks ko manually kuch tools ka istemal karke google me index kara sakte ho. Main yaha par aesi hi backlinks indexer tool ke bare me bta raha hu.

Backlinks Ko Google Me Jaldi Index Karane Ki Best Free Tools

Google jitni jaldi backlink page ko crawl karega backlinks utna hi jaldi index hoga aur aapki site ki search engine ranking improve hogi.

Google hume search console jais free tool deta hai. Jisme fetch a google feature ka use karke hum apni site ki kisi bhi post ko kuch hi seconds me google me index kara sakte hai.

Bilkul wese hi hum google ki hi ek tool ka istemal kar backlinks ko next 24 hours se pahle google me index kara sakte hai. Us tool ka name hai Google Submit URL jiska istemal URL submit karne ke liye kiya jata hai.

Ye web pages ko index karane ki sabse best aur free tool hai, aap ise backlink index karne ke liye bhi use kar sakte hai. Is method se backlinks google me under 24 hours me index ho jate hai.

Simply, iske liye aap google me "Google Submit URL" type kar search kare, top me hi tool mil jayegi ya fir aap direct Google Submit URL par ja sakte hai.

  1. Google me Google Submit URL search kare.
  2. Backlink URL add kare.
  3. Submit button par click kare.

Submit URL to Google

Backlink URL submit karne ke 24 hours me google URL ko index kar lega.  Kai bar isme 24 hours se jyada time bhi lag sakta hai.

Ab sawal ye hai ki kaise pata kare ki humare kaun kaunse backlinks index nahi hai to iske liye bhi kai tools hai. Maine is bare me researching to mujhe Bulk index Checker tool sabse best lagi.

Backlinks ko fast and free index karne ke liye aap is tool ka bhi istemal kar sakte hai. Is tool ke free plan me ek time me 50 backlinks add kar sakte hai aur paid plan me 100 URL add kar sakte hai.

Bulk index Checker

Is tool site par jaye aur apne sare backlinks URL paste kar Bulk indexing look up now button par click kare. Uske bad jo jo backlinks google me index honge unke samne yes likha show hoga aur jo index nahi honge unke samne no likha show hoga.

Indexing Status

Iske alawa aap index checking tool ka bhi istemal kar sakte ho. Aap google search karenge to is tarah ki bahut si tools mil jayegi lekin ye kafi hai.

Non-indexed backlinks ka pata kare aur google submit URL tool method se unhe index karaye. Main backlinks index karane ke liye isi tools ka istemal karta hu.

Agar aapko isse better koi aur tarika pata hai backlinks ko fast index karne ka to comment me bta sakte hai aur haa aapko ye article pasand aaye to ise social media par share jarur kare.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

44 Comments

Comments ( 44 )

  1. Aap sir jaise step samjate hai bahot clearly samajate hai ham kitne dino se aapke articles pade hai aur bahot sensitive se hi articles likhte hai hamko acha lagta hai aur wese hi useful article likhte rahe thank you so much......

    Reply
  2. Nice information ji. Thnxs for good work.
    Hmm apki sabhi post padhate hai. Aap bahut hi acchhi jankari share karte hai tabhi aaj ki date me apki website no.1 me chal rhi h.

    Reply
  3. Kya Aap Muje Ye Bata Sakte Hai Ki Ek Din Mai Kitne Backlink Banane Chaiye Jo Blog Ke Liye Teek Rahe #asksupportmeindia

    Reply
    • Jitne banao utna hi better hai. iski koi limit nahi hai.

      Reply
  4. सबसे पहले आपका बहुत धन्यवाद देना चाहते हैं कि आप मेरे जैसे हजारो लोगो की मदद करते हैं।

    मेरा सवाल है कि में आपकी हर Post Read करता हु. आपके द्वारा दिये गए Steps भी Follow करता हूँ लेकिन मुझे Traffic नही मिल रहा है।

    तो इसके लिए में आपकी साइट पर Guest Post करना चाहता हु क्या में ऐसा कर सकता हु।

    Reply
    • Please read guest post policy.

      Reply
  5. kafi time se ye question tha dimag mai aapke dwara eska jabab bhi mil gya thankyou sir

    Reply
  6. sir itni achi jankari share karne ke liye shukriya

    Reply
  7. Jummeddin brother aapne backlinks ke bare me samjhaya to hai par aapne ye nhi btaya hai ki ek post ke liye kitne backlinks Banaye jisse wo post top 3 me rank kare.

    Reply
    • Kya sawal hai bro, jis post jitne jyada backlinks honge uski rank utni hi better hogi.

      Reply
  8. jdk sir aapne bhut achchi jaankari de hai backlinks jaldi index karane ki lekin sir kiya ham apne post bhi url de sakte hain index ke liye

    Reply
    • Aap jo bhi page ko index karna chaho uska URL de sakte ho.

      Reply
  9. Sir mere blog post ke title me title ke bad automatic kuchh category ka naam araha hai...jabki post uss category ka hai hi nahi.maine yoast seo me bas title rakha hai fir bhi..Solution bataye.

    Reply
  10. Aapka jankari batane ka andaj kuch hi alag hai. Thanks batane ke liye.

    Reply

Leave a Comment

SEO

यूट्यूब वीडियो को गूगल सर्च में टॉप पर लाने की 7 टिप्स

7 Youtube SEO Tips To Drive Organic Traffic
गूगल के बाद यूट्यूब सबसे बड़ा सर्च इंजन है आपको भी पता होगा की यूट्यूब दुनिया में गूगल के बाद दूसरें नंबर पर आता है साथ ही यूट्यूब आज सबसे बड़ी वीडियो साझाकरण साईट बन चुकी हैं। इस पोस्ट में मैं YouTube videos पर अधिक व्यूज पाने और गूगल सर्च…
Continue Reading
SEO

Blog Ka Sahi Tarike Se SEO Optimization Karwane Ki 5 Best Tips

Website SEO Optimization Important Tips
SEO tips 2023: SEO is important factor, ye hum sabhi jante hai but ye bahut hi complex hai or isme bahut time lagta hai sath hi SEO optimization ke liye patience ki jarurat hoti hai. Site content ko SEO optimize karne ke liye search engine optimization ki basic knowledge hona…
Continue Reading
Blogging

Blog Post Title and Heading Create Karne Ki Top 5 Best Tools

Top 5 Free Websites To Generate Blog Post Title
Post title and heading post content ko viral banane me sabse jyada important hote hai. Aapki post ka topic jitna better hoga aapko usse utna adhik traffic milega. Agar post title badiya hoga to search engine par user us par sabse jyada click karenge or aapki post padhna chahenge. So…
Continue Reading
t20 win
x