YouTube Video Ko Viral Kaise Kare – 10 Tips

Aapne bahut se youtube video ko viral hote huye dekha hoga, kyu na apne hi video ko viral banaya jaye, is post me Youtube Video Ko Viral Kaise Kare ke bare me step by step hindi jankari share kar raha hu. Toh chaliye jante hai How to Make Viral YouTube Video – Full Guide in Hindi?

How to Make YouTube Video Viral

YouTube video ko viral karna aasan nahi hai lekin agar aap kuch techniques ka istemal kare to aasani se apne youtube channel ke videos ko viral bana sakte ho.

Main ye post puri researching ke sath likh raha hu taki aapko video ko viral karne ki deeply information de saku aur is guide ko follow karke aap apne videos ko viral kar sako.

Maine apni pichli post me YouTube Video Ko Viral Karne Ke Liye 10 Jaruri Chheje btayi thi, aap pahle ek bar is post ko carefully read kar le.

YouTube Videos Ko Viral Karne Ki Top 10 Tips 2024

Maine internet par bahut si cheejo ka review kiya uske bad nimn tips and tricks ka pata chala jo video ko viral banati hai.

1. Researching Keywords

Sabs pahle to aapko keyword research karne hai ki kaunse keywords par video bana kar viral kiya ja sakta hai. Apne business ke liye video banani hai to uske keywords ke liye deeply researching kare.

Agar aap without researching apne aapko smart samajh kar video ko viral karna chahate ho to jan lo, ye nahi hone wala hai.

2. Promote on Social Media

Video share karne se pahle social media facebook group, pages, friends, twiiter, reddit etc. all social sites par video ko promote karne ki taiyari kar le.

Aapko video par first day me 80k views, second day tak 800k aur third day tak 1.8 million views video par lane hai, itna karne par video trending me bhi aa jayega.

3. Release on Right Time

Video banate kar upload karte hi hi publish button par click na kare balki sahi samay ka intzar kare. Wrong time par video upload karne se aapko loss ho sakta hai.

Monday or Tuesday ko video upload kare kyuki jab log kaam par hote hai to video dekhte hai. Sat hi hours ka bhi khyal rakhe. India e evening time me sabse jyada user online rahte hai.

4. Tell Story

Story video ki main power hoti hai, agar aapki video me koi story nahi hogi to acting kitni bhi achhi hone par user use like nahi karenge.

Ek achhi kahani buri video ko bhi attractive bana deti hai. Aap comedy, emotional jaise popular topic par badiya kahani likh sakte hai.

5. Add Effective Dialog

Dialog video ki jaan hote hai, agar aapki video me koi bhi dialog nahi hoga to viewer ko boring feel hongi. So video me good story ke sath kuch dialog bhi add karna na bhoole.

Agar aapne video me 5 dialog add kiye aur public ko unme se ek bhi pasand aa gaya to wo akela hi aapki video ko viral bana dega.

6. Make Good Video

Video ko viral karne ke liye sabse jyada jaruri hai ki aapki video achhi honi chahiye, agar video hi achhi nahi hogi to har koi use ignore kar dega.

Log aapke kahne par bhi like, share nahi karenge aur agar video achhi huyi to people aapke bina kahe hi use jyada se jyada like, share karenge aur comment me aapko thanks bhi bolenge.

7. Make Video Shorter

Aksar short video jayda viral hoti hai, long video ko viewer full nahi dekh pate hai, jisse usko viral karna mushkil hai. Video ki length 3-10 minutes honi chahiye.

3-10 minute ki video me har koi interested hoga aur puri video bhi dekhega. Agar average length ki baat kare to aap 5-6 minute ki video banaye, viral hone me aasani hogi.

8. Write Viral Title & Description

Video ko viral karne ke liye video ka title aur description aur thumbnails ka attractive hona jaruri hai. Aap jitni jyada attractive title use karoge utne hi jyada log video dekhne me interest lenge.

Youtube.com par jaye aur baki youtubers ki viral videos ke title, description, tags keywords, thumbnail ko check kare, uske baad aap bhi usi tarah se apni video ke liye viral title choose kare.

9. Ready to Compromise

Aapne ye kahavat to suni hogi “Akela channa faad nahi faud sakta” to use apni life me apply bhi kar lijiye aur compromise karne ke liye taiyar rahe.

Talented log (girls or boys) ko le kar video banaye taki video me acting magic dikhe aur logo par uska jadu chale, dialog hi nahi dialog bolne wala bhi shandar hona chahiye.

Ek team bana kar kaam kare, aese logo ko chune jo internet par online rahte ho aur thodi ya jyada fan following bhi rakhte ho taki un sabhi ke supporter bhi video ko viral karne me help kare.

10. What to do once Video Go Viral

Video viral hone ke baad video ki prashansa to bahut log karenge lekin aalochna karne wale bhi honge. Is bare me aapki video par bahut saari comments bhi aayengi, aur bhi bahut saari cheeze hai.

Aapko pahle se hi is sabke ke liye ready rahna hai aur video me aesi koi galti nahi karni hai jo koi aapki aur ungli utha sake aur video publish karne ke bad delete na karni pade.

Ho sakta hai video viral hone ke bad news media aapse contact karna chahe aur interview ke liye kahe. Is sabke liye bhi ready rahe.

Ye bhi padhe,

At last, I pray to god, aapki video viral ho jaye aur aap youtube par big star ban jaye, mujhe us din ka intzar rahega jab main aapko bade bante huye dekhunga.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 5 )

  1. Bablu Kumar br

    Reply
  2. Nice information

    Reply
  3. How can i talk to any blogger for uploading the video on his site?

    Reply
  4. Bahut achi jan kari diye.thenks

    Reply
  5. Bahut achchi post hai bhai

    Reply

Leave a Comment