Google Adsense Se Related 20 Important Question Answer

Jab Maine blogging ki starting ki thi to google AdSense mere liye kisi dusre grah ke system ki tarah tha. But aaj mujhe google AdSense ke bare me kafi knowledge hai. Pichle kuch time se mere reader AdSense ke bare me bahut sawal puch rahe hai. So mai is post ki help se un sabhi new blogger ki problem solve kar raha hu. Jinhe AdSense ke bare me jyada jankari nahi hai or wo AdSense ke bare me janna chahate hai. Adsense ke bare me 20 jaruri question answer list.

20 Important Question Answer About Google Adsense

Is article me mai aapko AdSense ke bare me kuch sawalo ke ke jawab de raha hu. Ummid karta hu ki isme aapke bhi kisi sawal ka jawab mil jayega. Agar na bhi mile to don’t worry aap niche comment me apna sawal puch sakte ho.

Google AdSense humesha hi new blogger ke liye sabse badi problem bana rahta hai. But ek nazar se dekha jaye to hum AdSense ko 2 day me ache se samajh sakte hai. Bas iske liye hume google AdSense ki policy padhni hogi or ache se samajhni hogi.

But 90% newbie blogger aysa nahi karte hai. Wo google terms padhne ki bajaye other bloggers se iske bare me puchte rahte hai. Agar aap bhi inhi blogger me se ek hai to mai aapko recommended karunga ki aap dusro se puchne ki bajaye google AdSense ki terms sand conditions read kare or ab to aap google terms ko hindi me bhi padh sakte ho.

Ye Article 18 march 2024 ko likha gaya hai. Aane wale time me google AdSense policy me changes ho sakte hai.

Google Adsense Ke Bare Me 20 Important Question and Answer List – Sawal Jawab

Agar aap upar btayi bato ko follow nahi kar pate hai to aapko google AdSense ko samajhne me salo lag jayenge or tab tak aapka career kharab ho chuka hoga. So fiasla aap hi ko karna hai. Yaha mai aapko AdSense se relatedd kuch bate bta raha hu jo aapke kaam aa sakti hai.

Question 1: Kya mai apne password change kar sakta hu or kaise?

Answer: Yes, you can change your password. Sign in to your account. Click the gear icon and select Settings from the drop-down list. In the “Personal settings” section, click edit password in Google Accounts. Follow the steps to change your password.

Question 2: Kya mai apna payment addpress change kar sakta hu or kaise?

Answer: Yes, aap capna payment address change kar sakte ho.Follow tihs guide Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare

Question 3: Kya mai AdSense account type badal sakta hu?

Answer: Adsense aapko two type ke account offer karta hai, Business and Individual. In dono ki payment services me jyada difference nahi hai.  Business account me aapko company name se payment milta hai or Individual account me aapko payee name yani aapke name se payment milta hai.

Question 4: Mai apne AdSense account me country address change kar sakta hu?

Answer: Yes, Generally, agar available ho to aap apne AdSense account me country address change kar sakte ho. Iski jankari ke liye ye post padho Adsense account me country address kaise change kare.

Question 5: Kya Mai apna AdSense account delete or cancel kar sakta hu?

Answer: Yes, Aap apne google AdSense account ko cancel or delete kar sakte hai.

Questin 6: Mai apna address verify kaise or kab kar sakta hu?

Answer: Jab aapke AdSense accont me $10 earning ho jati hai to aap AdSense par apna address verify kar sakte ho. Iski jankari ke liye Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai article padhiye.

Question 7: Mai kitni bar address verification PIN recieve akr sakta hu?

Answer: Google AdSense aapko three time PIN number send karta hai. Agar fir bhi aapko PIN nahi milta hai to aapko google AdSense se contact kar apne personal documents verify karne honge.

Question 8: Kya mai ek se jyada AdSense account bana sakta hu?

Answer: No, Google hume ek se jyada AdSense account banane ki permission nahi deta hai. Aysa karne par google hume ban bhi kar sakta hai.

Question 9: Kya mai apne ek hi AdSense accout se ek se jyada sites par ads laga sakta hu?

Answer: Yes, Aap ek hi AdSense account se apni sabhi sites par ads laga sakte ho. Iske liye aapko other AdSense account banane ki jarurat nahi hai.

Question 10: Mai Google AdSense ke sath good relationship kaise bana sakta hu. Jisse future me bhi mujhe AdSense ki services milti rahe.

Answer: High quality traffic recieve karna hi aapki google AdSense ke sath dosti ko barkar rakh sakta hai. Agar aap apni site par high traffic lana chahate hai to mai aapko suggest karunga ki aap Google Webmaster Guidelines ko follow kare or Google Search Console me apni site ko submit kare.

Question 11: Kya mai hacking or s*xualy site bana kar AdSense use kar sakta hu?

Answer: No, Aap s*xy or hacking ki jankari dene wali site par google AdSense use nahi kar sakte.

Question 12: Mai google AdSense ke sath or konsi advertising sites ke ads use kar sakta hu?

Answer: Google kisi other advertising program ke ads allow nahi karta hai. Aap Affiliate Marketing and Infolinks ko google AdSense ke sath use kar sakte ho. Bidvertiser, chitika and other some advertisment sites ko use nahi kar sakte.

Question 13: Agar mai apna account type change karna chahu to kya mai apne old AdSense account ko delete kar fir se new account create kar sakta hu?

Answer: No, Aap old account ko remove kar fir se AdSense account nahi bana sakte. Agar aapko account type change karna hai to aap google help center me contact kare.

Question 14: Maine AdSense ke liye apply kiya but mera account reject ho gaya. Ab mujhe kya karna chahiye?

Answer: Agar aapka AdSense account reject ya disapproved ho jata hai to AdSense aapko ek mail send karta hai. Usme account diactivate hone ka reason hota hai. Aap us problem ko solve kar fir se AdSense ke liye apply kar sakte ho. Ya fir aap AdSense team se contact kar sakte ho.

Question 15: SWIFT BIC code kya hai or mujhe SWIFT code kaha se milega.

Answer: SWIFT BIC code ke liye aap apni bank branch ya bank customer care se contact kar sakte hai. Iski adhik jankari ke liye ye post padhiye. Google Adsense Me Swift BIC Code Kya Hota Hai.

Questin 16: Google AdSense se mai kitni earning kar sakta hu?

Answer: Google AdSense se aap unlimited income kar sakte hai. Aapki site par jitna traffic hoga aapki utni jyada income hogi.

Question 17: Mai AdSense Premium Publisher kaise or kab ban sakta hu?

Answer: Yes, Ban sakte ho. AdSense Premium Publisher banne ke liye aapki site par per month 20 million pageviews and 5 million unique search query traffic hona chahiye. Or aapke AdSense ke sath ache relation hone chahiye. Sath hi aapki site par original content hona chahiye.

Questin 18: Google AdSense kitni earning hone par payment karta hai?

Answer: Google AdSense alag alag country ke hisab se alag alag tariko se payment karta hai. India me google AdSense 100 dollar income hone ke bad hi payment karta hai.

Question 19: Google AdSense hume kab or kitni bar payment karta hai?

Answer: Google AdSense month me ek bar mahine ki 21 tarikh ke bad payment karta hai. Aapko payment milne me 3-5 day lag sakte hai.

Question 20: Google AdSense se jyada paise kaise kama sakte hai?

Answer: Google ne khud AdSense se jyada money earn karne ke bahut se tips bataye huye hai. Iske liye aap google AdSense terms policy read kar sakte hai. Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye post me maine google AdSense terms ko follow kar AdSense se daily $1o earn karne ka tarika btaya hai.

Google AdSense ke bare me abhi bahut si bate hai jo hume jan leni chahiye. Agar aap AdSense use karte ho to mai aapko suggest karunga ki aap google AdSense ki all terms ko padh le. Is article me btaye sawalo ke alwa agar aapke pas bhi koi AdSense se related question hai to aap use humare reader ke sath comments me share kar sakte ho.

I hope aapko google AdSense ke bare me ye jankari pasand aayegi. Agar ha to is post ko other AdSense user jo abhi AdSense field me newbie hai ke sath share kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 48 )

  1. Soham patel

    Kya me ek hi adsense display ad code apni multiple websites par use kar sakta hu ??? Ya phir mujhe apni dusri website ke liye dusra display ad code generate karna hoga ???

    Reply
    • Jumedeen Khan

      kar sakte ho.

      Reply
  2. Rohit

    Hello sir,

    I have two google adsense account. One is mine and the other is my friend’s. I am running one website and my friend is running another website.

    My question is that can I add two different (SBI and HDFC) bank accounts named my same name in these two google adsense?

    (Two different bank accounts but the same details like name, pan card number etc. belong to the same person)

    Will my adsense account be banned?

    please help me

    Reply
    • Jumedeen Khan

      No, you can’t do this, add account of adsense owner only.

      Reply
  3. Shanker dangi

    Sir muje AdSense ke liye apply kiye hue 10 din ho gaye hai aabhi tak AdSense team ka koi reply nahi aaya hai ! To ab muje Kya karna chaiye

    Reply
    • Jumedeen khan

      wait, isme 1-2 month ka time bhi lag sakta hai.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...