Blogging Se Paise Kamane Ki 5 Best Tips (Earn More via Blog)

Blogging passionate blogger ke liye satisfying hobby hoti hai lekin ab ye online money earn karne ka sabse badiya platform ban gaya hai. Blogger part-time or full-time blogging karke internet se paisa kama rahe hai. Main yaha blogging se paisa kamane ke 5 tips btaunga jo aapki blog se jyada paisa kamane me help karenge.

5 Tips to Earn More via Blog

Blogging ko aap ek business ki tarah run kar sakte hai aur isse achi khasi income bhi kar sakte ho. Bas aapko ise sahi tarike se karna hoga, sahi tarika apnana hoga.

Jo blogger paise kamane ke liye blogging karta hai uske blog me aur jo blogger passion ke liye blogging karta hai kafi fark hota hai. Paise kamane ki chahe rakhne wale blogger ko kuch alag karna hota hai.

Aaj main aapko jo blogging tips bta raha hu agar aap unko follow kar lete ho to aap apne blog se apne competitor ke blogs ki tulna me kahi jyada paisa earn kar sakte ho.

Blogging Ke Madhyam Se Paisa Kamane Ki 5 Badiya Tips

Aap same site par same traffic se 20% se 30% adhik earning kar sakte ho bas aapko kuch alag tarike se blogging karni hogi aur kuch tips, tricks, tarike apnane honge.

1. Blog Ko Completely Setup Kare

Blogging ke through paisa kamana chahate ho to uske liye aapke pas ek blog ka hona jaruri hai. Sabse pahle aap ek achhi web hosting le kar khud ka blog banaye aur use completely setting up kare.

Blog ke liye ek achha domain, web hosting, theme choose kare aur blog ka achha design, SEO, speed, optimization setup kare.

Blog ke liye ek main topic choose kare jis par aapko content write karna hai aur single topic par hi blogging kare kyuki ek multi-topic ki tulna me single topic site jyada progressing karti hai aur usse benefits bhi jyada milta hai.

2. Awesome Content Share Kare

Koi bhi blogger jo paise kamane ke liye blogging karta hai use apne blog par aesa content share karna chahiye jo search engines aur social media dono par logo ko attract kar jyada traffic hasil kar sake.

Quality content ke sath aapko aese keywords par likhna hoga jis par sabse jyada searching ki jati ho. For example, aap trending keywords par likh sakte ho, event blogging kar sakte ho.

Keyword researching ke liye aap Semrush jaise SEO tool ka istemal kar sakte ho. Iske alawa aap apne mind se social media, news, google trend, google search etc. ka review karke bhi top keyword search kar sakte ho.

3. Email List Develop Kare

Koi bhi blogger ho wo sirf ye nahi chahata hai ki reader sirf uske blog par aaye aur content read karke chale jaye balki wo chahata hai user uske blog par aaye aur content read karne ke uske blog ke email newsletter ko subscribe bhi kare.

Taki wo subscribers ko new post and other notification mail notification send kar sake. Ab agar aap paise kamane ke liye blogging karne wale hai to aapke liye ye bahut hi jaruri hai kyuki aap apne readers ko email ke jariye product, post, offer discount etc. ke bare me notify kar sakte ho.

4. Trustworthy Relation Banaye

Log kisi aese vyakti ke madhyam se product buy nahi kar sakte jis par wo trust nahi karte ho. Isiliye agar aap paise kamane ke liye blogging karte ho to aapko audience ke sath bharosemand rishta banana hoga.

Aap aur aapki site ko pasand karne wale aap aur aapki site par jitna turst karenge aapko utna hi support milega aur aap jaise hi kisi product ko promote karoge to jyada se jyada log us product ko buy karenge.

Trust level increase karne ke liye aapko chahiye ki aap unhe free content provide kare aur behtar jankari de sath hi aapko chahiye ki aap sirf trusted product ko hi promote kare.

5. Audience Ki Jarurato Ko Pahchane

Apne audience ka wishwas jitne aur kuch paisa kamane ke bad kuch blogger sochte hai ki wo apne audience aur unki soch ke bare me sabkuch jante aur samajhte hai aur unhe pata hai ki real me unke audience ko kya chahiye.

Jabki ye bilkul galat hai. Jaruri nahi hai aapke audience aaj jo kuch pasand karte hai agle 6 month ya 1 year ke bad bhi wesa hi hoga. Isiliye apne audience ki soch, pasand, jarurate, problems ko samajhe aur madad kare.

Agar aap aesa karne me kamyab ho jate ho to aapko humesha audience ka support milta rahega.

Conclusion,

Jaisa ki main aleady bta chuka hu ki earning karne wale blogger aur passion blogger ke blog me kafi antar hota hai. Ye antar agar aapko samajh aa jata hai to aapko safal hone se koi nahi rok sakta hai.

Aap agar chahate hai ki ek din me aap blog bana kar paisa kama loge to wo nahi hoga. Aap agar paisa kamane ke liye blogging kar rahe ho to aapko paise kamane wali blogging ke raste par chalna hoga.

Is post me btayi gayi 5 tips ko follow kar loge to aap apne blog se pahle se kahi jyada income kar sakoge.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (22)

  1. Avatar for Bhupendra paswanBhupendra paswan

    Kya sir ham total free blog nahin bana sakate?
    jisase ham paise bhi kama saken.

  2. Avatar for vnod thaqrivnod thaqri

    bahud badiya post share karlete ho aap ke blog read करके बहुद सिकने को मिलरा है धन्यवाद सर जी

  3. Avatar for kirankiran

    Amazing post, Thanks for sharing this to us.

  4. Avatar for rovin singh chauhanrovin singh chauhan

    sir me cheap ssd hosting use karta hu isse seo par effect padega kya.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Uptime aur speed problem hogi.

      • Avatar for rovin singh chauhanrovin singh chauhan

        ha sir server response time jyada hai ise kaise kam karu me koi plugin hai kya.

        • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

          Use faster web server and optimize site.

  5. Avatar for Haseeb AlamHaseeb Alam

    Kitna Kuchh Bhi Kyon Na Kar Le CPC To Badh Hi Nahi Rahi Hai?

    Sir Aap Apne Experience Se Bataiye Ki Kya Wajah Ho Sakti Hai?

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Try to understand adsense deeply.

  6. Avatar for ManavManav

    hey sir pls help me. mere blog par last 2,3 days me 50% traffic down ho gya hai. ab mujhe kya karna chaiye?

    kya aapke blog traffic par bhi koi asar padha hai august month me.

    kya ye yoast seo plugin ki wajah se to nhi hua.

    pls help me sir. ab me kya karu.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi, ye google update ki wajah se hua hai.

  7. Avatar for ashviniashvini

    thanks आपसे जुडकर हम अपडेट हो रहे है।

  8. Avatar for Md qureshiMd qureshi

    Sir mere blog ka traffic 1 August se 50% low hua hai kya problem ho sakti hai

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Read google update problem pata chal jayegi.

  9. Avatar for Mohd IrfanMohd Irfan

    Bohat Badiya Tips share kiye ap ne BHai…. In tips se mere jese new bloggers ko bohat help milegi… Thank you so much bhai

  10. Avatar for dharmesh rajputdharmesh rajput

    Bahut hi sunder post likhi hai. Jo new blogger ke liye bahut hi important he. achhi post share karne ke liye fhanyawsd

  11. Avatar for neeta bishtneeta bisht

    बहुत useful जानकारी, share करने के लिए thanks

  12. Avatar for Anoop BhattAnoop Bhatt

    बहुत अच्छी और हेल्पफुल जानकारी share की आपने
    सर मुझे यह जानना है की हम जो पोस्ट लिखते है तो उसको सर्च इंजन पर एक फिक्स रैंक मिलती है या नहीं.
    मेरी पोस्ट की रैंकिंग सर्च इंजन पर आगे पीछे होती रहती है इसका क्या कारण हो सकता है.
    सर semrush का use कैसे करना है क्या आपने इस पर पोस्ट की है.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Nahi, google random result display karta hai, isi wajah se rank up down hoti rahti hai. Is bare me sml par post mil jayegi.

  13. Avatar for AMIT KUMARAMIT KUMAR

    Bahut badhiya tips share kiye hai bhai, Beginner sai se agar padh kar follow kare to kamyabi mil sakti hai?

  14. Avatar for Manjeet singhManjeet singh

    Bahut accha post Sir thanks for sharing this post aapke sabhi articles awesome hote hai

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...

Ad