February 20th, 2024 ko YouTube Partner Program policy and rules change hone wale hai. Ab YouTube videos ko Monetize karne aur earning karne ke liye aapke channel par ek saal yani 12 month me minimum 1,000 subscribers aur 4,000 watch hours hona jaruri hai. YouTube Monetization New Rules 2024.
Ek time tha jab aap youtube par aaye aur apni email id se log kar youtube channel bana kar turant video upload karna shuru kar sakte the aur next kuch time bad adsense ke liye apply kar youtube videos par monetization enable kar earn karna shuru kar sakte the.
Lekin ab sabkuch badal gaya hai. Jaha aapko youtube channel par monetization enable karne ke liye kam se kam 10,000 views ki jarurat hoti hai wohi aapke channel par 1 year me 1000 subscriber and 4000 hours ka watch time hona chahiye.
Table of Contents
YouTube New Monetization Rules 2024
Ji haa dosto ab aapke youtube channel par minimum 1k subscribers aur 4k watch hours hona jaruri hai wo bhi 1 saal me warna aapke channel par se monetization disable ho jayega aur aapko fir se monetization enable process follow karni hogi.
YouTube Partner Program (YPP) New Policy in Hindi
Google ne April 2024 me 10,000 lifetime views ki eligibility requirement policy banayi thi jisme aap pane channel par total 10000 views hone ke bad hi videos par ad show kar sakte the.
Ab google ne apne officially YouTube blog par January 16, 2024 ko ek article me btaya ki wo YouTUbe partner program policy me changes kar rahe hai aur ye changes 20 February 2024 se lagu ho jayenge.
Google ke anusar ab aapke channel par 12 month se pahle 1,000 subs aur 4,000 hours watch-time hona jaruri hai. Ye rules google ne youtube se bad creators ko nikalne ke liye kiya hai.
Ye policy 20 February se lagu ho jayegi aur agar aapke pas pahle se youtube channel hai to aapko 20 February 2024 tak ye threshhold cross karna hoga. Agar aap aesa nahi kar pate hai to aapke channel par se monetization disable ho jayenge aur aapki earning band ho jayegi.
YouTube Channel Par 1,000 Subscribe aur 4,000 Hours Watch Time Kaise Paye
Ab youtubers ke liye sabse badi problem hai apne channel par kisi tarah 20 February 2024 se pahle 1000 subscribe aur 4000 hours watch time kamana. I think ye bahut mushkil nahi hai.
4000 hours me 4000*60 = 240,000 minutes hote hai yani aapke channel ki sari videos par total 240000 minute watchtime hona chahiye.
Suppose, aap ek video banate ho 5 minute ki ab use koi end tak dekhta hai to aapko total 48,000 views chahiye aur agar us video ko user 2.5 yani half time dekhte hai to aapko total 96,000 views chahiye.
Rahi bat 1,000 subscribers ki to agar aapki videos ko upar btaye anusar dekha jata hai to aapko itne views par 1000 subscribe easily mil hi jayenge. Aapko sirf watch time par facus karna hai.
Its very simple, aap kuch achhi videos bana kar apne channel par monetization banaye rakh sakte hai. Ek good creators ke liye ye mushkil kaam nahi hai.
Kuch sawal jo logo ko pareshan kar rahe hai.
Q. Mere Pas Pahle Se Channel Hai to Kya Mujhe 20 February 2024 Tak 1k Subs aur 4k Hours Watch Time Complete Karne Honge?
Ans. Yes, aap bhale hi 4-5 month se youtube channel run kar rahe ho aapko 20 February 2024 tak ye threshold clear karna hoga.
Q. Kya Ab YouTube Monetization Enable Karne Ke Liye 10k Views Jaruri Nahi Hai?
Ans. Ab aapko views nahi watch time par focus karna hai. Apne channel par monetization enable karne ke liye aapko 1k subs aur 4k hours watch time ki jarurat hogi.
So friend google ne ye kadam youtube se bekar ke creators ko nikalne ke liye kiya hai. Kya aesa ho payega aur kya youtube ki new policies se kuch fayda hoga. Iske bare me comment me jarur btaye.
- Youtube Video Ko VLC Media Player Me Kaise Chalaye
- YouTube Channel Par 10,000+ Views Pane Ki Top 10 Tips
Aur agar aapko ye jankari achhi lage to ise baki youtuber ke ath share jarur kare.
sir mene you tube chenal 2019 me bnaya tha but koi video aplode nhi ki thi me ab 2022 me aplode kr rhi hu us pr viwes bhi he to kya mera chanl clega
Mera channel 2018 ka h but m 1 month se videos upload krraha hu to kya 1 sal k under target poora krlu to मोनेटाइजेशन hojayga kya qnki growth to bd rahi h but koi fayda hoga ki ni mehant ka smjh ni aa raha h
Nhi, last 365 days ka watch time count hota h, channel kab bana h usse koi fark nhi padta
Hmne eak channel 2 din phle banaya uske baad video upload kr rha hu eak bhi views nhi aa rhe kyu
Apni videos ko social media par apne dosto ke sath share karo.
Sir mujhe avi pta chla ki 20 Feb.2022 tk youtubers ko 1000 subscriber aur 4000 watchtime complete krne pr hi channel monetize hoga pr maine apne purane channel ko 20 Feb 2022 ko hi rename krke videos dalna shuru kiya h to kya mera channel monetize ni hoga
Aesi koi date limit nahi hai, aapko last 365 mein 4k hours ka watch time chahiye hota h.
Mera channel monotize hai .. mujhe puchhna hai ki monotization ke baad bhi mujhe har saal 4k wt banate rahna hai ? Pls reply kijiyega .
Nahi, keval first year mein 4k hours watch time chahiye hote hai monetize ke liye uske baad aesi koi require nhi hoti hai.
Sir mera channel saini officail music monetize nahi ho rhaahai
अगर 20 फरवरी 2022 तक मेरे 1k सब्सक्राइबर पूरे नहीं हुए तो क्या मेरे चैनल को you tube डिलीट कर देगा
नहीं
Youtube Community Guidelines in Hindi, thanks for sharing this informetion.,
Sir, mere ek video me copyright claim tha or ek video corona se related the use youtube ne remove kar diya hai to kya mere channel me monetization ki problem ho sakti hai.
1000 subscribe पूरा हो जाएंगे
लेकिन 4000 घंटा पूरा नहीं होगा
1 वर्ष में इसको पूरा होने के लिए
1 दिन में मेरा यूट्यूब का वीडियो 11 घंटा कोई देखेगा तब ही पूरा होगा और यह संभव नहीं है क्योंकि जब हम न्यू अकाउंट खोलेंगे तो मुझे तो कोई नहीं पहचाने और मेरा वीडियो भी उतना कोई नहीं देखेगा तो 1 दिन में 11 घंटा पूरा करना नामुमकिन हो जाएगा मेरा कहने का मतलब 4000 घंटे वीडियो वॉच को कुछ और महीना बढ़ाया जाए
नहीं ऐसा नहीं है, अगर आपकी एक विडियो पर ही अच्छे व्यूज अ जाते है तो एक दिन में ही watch time उर हो जायेगा
sir mera youtube Channel 11 january 2017 ka hai ooor mene Ache se
continue mere channel pe kam karna 2019 me start kiya Or mene 2017 se 2019 ke bich 2000 subscribe Or 4000 watch time Complete kar diya hai fir bhi aaajjjjj tak 2022 tak mera youtube Channel Monotization qu Nhi ho raha sir me realy me bhaut paresan hu… plz .. Suggest me .. reply jaru do sir …kuch to Direction do sir kya karu kya nhi karu koi samaj nhi aaa raha ….hai….plzzzzzzzzzzzzzzzz sir meri help karo
इसकी लिमिट होती है आपको ये 1 साल में करना होता है आप youtube analysis में जा कर 1 year के subscribers और watch hours देखो
Sir mera watch time Or subscribe dono complete ho gye ha ap age ka process btaye plz kese channel monitizesetion hoga
Sir hmr vidios per views bhi nhi ate hi other koi tarika hi to brao kuch rank me aye hmr vidios
अगर आप अच्छी वीडियो बनाओगे तो व्यू जरूर आएंगे
Sir Mera 1k subscribe aur 4000 watch aur 10k view ho gaya lekin monetization nahi ho raha hai likh raha hai ki copyright content please remove copyright content and try again monetize
आपको पहले अपने यूट्यूब चैनल से कॉपीराइट वीडियो डिलीट करनी होगी
Sir mai 24 jan 2018 ko monetization kar diya tha bina 1k views aur 4 watch time ka. Abhi tak 1k view 4k watch time nahi hua hai. Kya mai video banakar upload karu. Mera monetization 1k view 4k watch time Pura hone par hoga kya aage hum paisa earning kar payege sir please bataye
हां करो, हो जायेगा
Maine 2017 me ek channal banaya tha…aur bo suspend ho gya
Kya ab me …same email use kr skta hu ..jo purane channal me use kiya tha
हां, कर सकते हों
Sir agar 1000k subscribe our 4000k watch time 1 year main nahi poora kar paye to Kaya mera channel band ho jayega sir fir se next year nahi poora kar sakte plzzz help sir
Nahi, aapko next year fir se karna hoga.
Sir 4k watch time 1000 subscribers or 10k views complete krne ka samay kab start hota channel create krne par ya account verified hone par
Yes, jab aap channel banate ho tabhi se hota hai.
Sir mera channel 2016 aug me create kiya tha only 3 video upload kiya tha
Ab June 2018 me again video uploading krna start kiya hu kya channel monitization ho ga ya nhi.
Sir youtube last 365 din ka record dekhti hai na
Yes, aapke channel par 1 year me 4k hours watch time or 1k subscribe hone chahiye.
sir ye bataye maine 26 September 2017 ko channel create kiya tha. or mujhe aaj yani 3 September 2018 ko 500 subscribers & 1000hrs ho gye h…. toh please bataye ki mere pas kitna time h monetization ke liye….
1 year me 1k subscriber aur 4k hours watch time chahiye hota hai.
1= आप बस इतना बता दीजिए की new create youtuber 1 साल में 1k subscriber ना कर पाए उनका चैनल बन्द तो नहीं होगा?? हा या न
2= अगर चैनल बंद नहीं होगा तो उनके sbscribers को youtube clear करके ziro तो नहीं कर देगा?? हा या न
3= अगर यूट्यूब उनका चैनल भी न बंद करे और सब्सक्राइबर भी ziro ना करे तो हम अपने पुरानेे हुए सब्सक्राइबर के को मिलाके next year 1k सब्सक्राइबर बना सकते है क्या या ज़ीरो से स्टार्ट करना पड़ेगा??
1. Nahi hoga.
2. Nahi karega.
3. Yes, aap apne purane channel par hi subscribers badha sakte ho.
Agar Ek saal me 4000 hours watch time nhi hua to Kya krna hoga
fir aap channel monetize nahi kar sakte.
Bhai .. mai 31 january 2018 ko vhannel create kiya.. aor mere 10k subsribers & 8000+ hrs watch time ho gya hai.. maine monetization ke liye 11-02-2018 ko apply kiya.. likha hua hai. Review under process.. within a week.. to muzhe kitne din tak wait karna hoga.. monetizatìon on karne ke liye.. btao.. bhai..
No fix time, thoda wait karo 2-5 day me approve ho jayega.
1.5 month se upper ho chuka hai.. abhi bhi under review.. CHANNEL par koi problem nhi hai.. fir bhi. Monetization on nhi. Plz help me sir…
Please follow youtube terms.
1. Old Youtuber Agar 20 Feb Ke Baad 4000 Watch Time Aur 1K Sub Karenge To Kya Monetization Enable Hoga?
2. Aur Agar 1 Sal Me Na 4000 Watch Time Na Poora Kar Paay Ya 1.5 Saal Time Me 4000 Watch Time Aur 1K Sub Poore Kiye To Monetization Enable Hoga?
1. Yes milega.
2. Google ne abhi tak jo btaya hai uske anusar nahi.
sir mere account par 4hrs tak ke video nahi hai. eske karan yadi mera youtube account disable ho jaye to phir se apply kar sakte hai kya
Yes, is threshold ko cross karne ke bad kar sakte hai.
Maine is topic se realed bahut dhoonda but finally milgya.
Thanks for sharing this topic.
sir aapki najar me youtube better hai ya blogging
Dono.
Isse bahut khub problem hue
Bro kya har saal chanel par 4000 hours watch time and 1000 subscriber hona jaruri hai ya ek Hi baar is saal hoga aur next year phir Se nahi hua to koi problem bhi Hai.And
Old YouTuber Ko 20 February tak ye target complete karna Hai.Lekin agar hum 20 February 2018 Ke baad chanel create karte Hai to kab tak Ka time milega 4000 h. Watch time and 1000 subscriber complete karne Ke Liye.And
Kya hum new YouTube chanel create karne Ke baad ads monetize kar sakte Hai 4000 hours watch time and 1000 subscriber Hone Se pahle.
Agar aap ye post carefully read karoge to sabke jawab mil jayenge.
brother mere blog par google adsense ajeeb tarah ka link add dikha raha hai q parso se hi samjh me nahi aa raha aisa kyu
Mujhe aapke blog par proper ad dikh rahe hai. I think koi problem nahi hai.
Batane Ke lIYE Thanx Sir.Sir aap Youtube Channel Kyu Nhi Banate please bataye
Time issue.
Sir , Iss Hisab Se Toh Bhut se Youtubers Ka Future Daav pe Hain . Subscribe toh ho Jaynge lekin 4000 hours watch time Choti baat nahi hain . Waise mehnat ki jaye toh 4000 watch time bhi kar sakte hain .
aap kosis karenge to koi muskil nahi h
aapko kebal ek video daily upload karna h or thoda sa trending pe dyann dena h
i also with u
Sir,
1. Siteground se hosting kaise le ye indian payment support krta h ?
2. kya siteground ki support team hindi support krti h ?
3. Hostgator se siteground me shift hone ke liye kya kya krna pdta h ?
4. Supportmeindia.com kon kon si web hosting me host ho chuki h ?
1. Credit card se
2. Nahi.
3. new hosting par wordpress install kar old hoting se wordpress backup le kar new hosting par import karna hai.
4. Main siteground use kar chuka hu jaisa ye kahte hai wesi service nahi hai. Main lagbhag sabhi web hosting try ki hai finally mujhe cloud hosting best lagi aur abhi main cloud hosting i use kar raha hu.
Sir kya ek hi channel se baar baar video dekhne se koi dikkat to nhi hogi ek hi video ko,aur kya 4000 hours me wo count hoga
1sir mera 3 mahina hua hai avi to kya mera chanel band 20 feb tak kuchh hoga ya fir one year ke bad hoga?
2.sir jis ke chanel pr ek sal 1k subcriber or 4k hour watch time nhhi ho paya to uska chanel ka kya hoga?
In dono sawalo ke jawab post me already de chuka hu.
जुमेदीन जी एक बेहतर पोस्ट के लिए शुक्रिया. कुछ youtubers जैसे की मैं जिनका channel एक साल होने को है और बिच में बैन कर दिया गया हो, और हाल ही में वापस activate हुआ हो तो,
क्या जब मेरे 1 हजार सब्सक्राइबर और व्यू का आंकड़ा cross होगा तब में कभी भी monitization के लिए अप्लाई कर पाउँगा या फिर मुझे एक टाइम पीरियड का इंतजार करना पड़ेगा.
कई बार ऐसा होता है की youtube पर हमें पता नहीं चलता की जो background music हम use कर रहे है वो पहले से किसी और video में होता है और वो कॉपीराइट का केस फाइल कर देता लेकिन अगर हम background music को रोयालिटी free नाम की वेबसाइट से जहा से ज्यादातर music download किये जाते है क्यों की वो कॉपीराइट नहीं होते तो वहा से download कर अपने video में लगे तो क्या कॉपीराइट होगा जब की वही music दुसरे video में है लेकिन हमने वो music वेबसाइट से download किया है ना की video से
Aapko is threshold ko cross karna hoga. Jo pahle se monetize unko bhi 20 February tak ye threshold cross karna hai. Youtube policy ke according aap kisi ka music use nahi kar sakte.
Sir yeh toh bahut hi problem ho gai new youtubers ke liye. yaha ek new youtuber ke liye 1000 hrs views ka threshold karna bhi muskil hai aur yeh youtube waale 4000 hrs maang rhe.
sir maine new youtubers ke liye ek article likha hai jisme bataye gaye kch tips ki madad se new youtubers ko 4000 hrs watch time aur 1000 subscribers complete karne me madad milegi,
kya mai iss topic pe aapke blog pe guest post likh sakta hu.
agar haan toh kaise post karu article
maine article ready rakha hai.
No bo ek achhe aur sachhe youtuber ke liye ye mushkil kaam nahi hai. Aapke pas unique content hai to aap easily ye threshold cross kar sakte ho. Aap guest post ke liye guest post policy read kare.
Good information Sir.
Aap Koi Bhi Nayi Jankari Kaha se Lete ho sir.
To sir matlb jinka enable ni ho paya h unhe 10k view +4000 hour watch time +1k subs bhi chahiye.
Yes aur ek saal me ye threshold bhi clear karna hai.
Thnx sir. Ab to youtube ke rules bahut hi strick ho gye hain
dear sir , mere name nitin maine kal hi aapne youtube channel banaya hai aur ek video bhi upload kar di lekin jab maine search kiya toh mera channel ka name nhi channel ka learn english tha maine do baar name change kiya aur uske baad kiya lekin serch mai nhi aaya kya search bar me aane me thoda lagata hai ya turaant aa jaata hai mai ek baar aur name change karna chahat hun already do baar kar chuka hun kya ek baar aur kar sakta
aur kuch tips bataiye channel grow karne ke liye
saath ye bhi btaiye ki muje kya kya saavdhaani bartni hai taaki channel par koi problem nhi aaya.
please help me
हां सर्च में आने में थोड़ा समय लगता है, चेंज कर सकते, इसके लिए आप हमारी यूट्यूब कैटेगरी की बाकी पोस्ट पढ़ें