Mobile Number Aadhar Card Se Link Hai Ya Nahi, Kaise Pata Kare

Government ne ab mobile number ko aadhaar card ko link karna jaruri kar diya hai. Aese me har user ko apni mobile number sim ko aadhar number se link karna pad raha hai but kai users aese hai jinka mobile number pahle se aadhaar number se link hai fir bhi wo link karwane ke liye pareshan hai. So is post me main aapko Kaise Pata Kare Ki Mera Mobile Number Aadhar Card Se Link Hai Ya Nahi ke bare me bta raha hu.

Mobile Number Aadhar Se Link Hai Ya Nahi

Jyadatar logo ko pata nahi hota ki unka mobile number aadhar card se link hai bhi ya nahi or link hone ke bad bhi wo link karane ki pareshani me hote hai. Agar aapko bhi yahi confusing hai to aap pahle ye pata kar le ki aapka aadhar card mobile number se link hai ya nahi.

Yaha main aesa tarika bta raha hu jiski help se koi bhi aasani se pata kar sakta hai ki uska phone number aadhar card se juda hua hai ya nahi. Mobile number aadhar se register hai ya nahi, check karne ki process bahut hi aasan hai.

Kaise Pata Kare Mobile Number Aadhar Se Link Hai Ya Nahi

To chaliye jante hai aapka mobile number aadhar se link hai ya nahi.

Step 1:

Sabse pahle aap UIDAI.GOV.IN website par jaye or Verify Email/Mobile Number option select kare.

  1. Aadhaar Services me Verify Email/Mobile Number option select kare.

Verify Email Mobile Number

Step 2:

Ab browser me ek naya page open hoga. Yaha upar ki taraf right side me Know How to Register Mobile with Aadhaar ke option par click karna hai.

  1. Know How to Register Mobile with Aadhaar par click kare.

Know How to Register Mobile with Aadhaar

Step 3:

Ab jo naya pae open hoga usme sabse niche “click here” ya “proceed” option par click karna hai.

  1. Click Here or Proceed par click kare.

Aadhaar Self Service Update Portal

Step 4:

Ab jo page open hoga usme aapko apna aadhar number enter karna hai.

  1. Apna Aadhaar Number enter kare.
  2. Text Verification code type kare.
  3. Send OTP button par click kare.

Verify mobile number aadhar card

Ab agar aapka mobile number aadhar card se register hoga to hi aapke mobile number par One-time-password (OTP) receive hoga warna nahi.

Is tarah se aap aasani se pata laga sakte hai ki aapka mobile number aapki sim aadhar card se link hai ya nahi. Agar nahi hai to aapko jald mobile number se aadhar card link kar lena chahiye. Iske liye ye post follow kare, Mobile Number Ko Aadhar Card Se Link Kaise Kare.

Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 9 )

  1. Chand Mohammad

    Hiiii bhai UIDAI side to open hota pr Aadhaar number wala site nhi open hota hai kyo pata nhi help kro bhai .

    Reply
  2. Ashish dey

    Kya Mai phone se mobile number link kar sakta hu ya nhi

    Reply
  3. BS.Gusain

    always awesome ! nice post !

    Reply
  4. Ankit Kumar

    Very nice, aur mujhko bhi ye hi pata karna tha aur bahut hi jabardast post hai aapka.

    Reply
    • Omprakash Pandey

      Very good and useful website thank you

      Reply
  5. Rajkumar meena

    aapke bataye tarike se mene apana mobile number aadhaar card se link kar liye so thank you sir

    Reply
  6. pradeep tripathi

    Bahut badhiya jankari di hai apne ,thanks for sharing.

    Reply
  7. Tapan

    sir bahut acchi jaankari di hai aapne
    sir mera 1 sawal hai
    sir mera jo Aadhar ke sath mob. number link tha wo kisi kaaran se band karna pada tha.
    agr me aadhar se naya no. link karta hoon to kya ye online ho sakta hai ya mujhe apne najdiki aadhar center jana padega.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Online ho jayega. Main jald hi iske bare me post karunga.

      Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...