Payoneer Kya Hai or Payoneer Par Account Kaise Banate Hai

Payoneer kya hai. Payoneer paypal ki tarah international money transfer karne ki financial services company hai jisse hum USA, UK other country se payment recieve kar sakte hai. payoneer aapke dollar ke payment ko INR (Indian Rupees) me convert kar aapko send karti hai. payoneer ek empowers global commerce hai jise bussiness, professionals, countries and currencie ke liye cross-border payments hwel ke liye banaya gya hai. chaliye aaj mai aapko btata hu ki payoneer kya hai or ye kaam kaise karta hai.

How to createw payoneer account

Paypal ki tarah hi ab hum payoneer ke throw videsh se apna paymen recieve kar sakte hai. aap chahe to AdSense se ki gayi income bhi payoneer me transfer kar sakte ho.

Payoneer Kya Hai?

Payoneer ko Yuval Tal ne 2005 me launch kiya tha. ye ek online money transfer karne ki service hai. jisse hum other countries se payment recieve kar sakte hai. aaj payoneer milions bussiness man se juda hua hai or lagbhag 200 countries me available hai. iski sabse acho bat ye hai ki ye payment ko country money me badalne ka bahut kam charge leti hai. yani aapki dollar ki income ko indian rupees me transfer karne ke liye ye bahut kam charge leti hai.

Payoneer professionas Offer For India

Payoneer india me freelancers, professionals and business-owner ko US or EU companies. Payoneer’s US, EU and UK se payment recieve karne ka offer deta hai. jinse hum direct apne bank account me money transfer kar sakte hai. aap jis country ke ho payoneer us country ki money me automatically money convert kar deta hai. or aapke bank me aapko apne desh ka paisa milta hai. iska payoneer low fees leta hai.

Payoneer Ki Payment Limit Kya Hai

Mai payoneer se kam se kam (minimum) kitne or jyada se jyada (maximum) kitne paise recieve kar sakta hu. ye janna bahut jarur hai to mai aapko bta deta hu ki aap payoneer se ek bar me minimum kitne paise nikal sakte ho.

Payoneer Withdrawal Amount Limits:

Payoneer card se aap minimum $50 or maximum $10,000 withdraw kar sakte ho.

Credit Card ki daily limit $5,000 hai jo ki $2,500 ATM or $2,500 bank teller dwara set ki gayi hai. Matlab aap card se $2,500 nikalne ke bad usi din $2,500 or nikal sakte ho.

Payoneer Limits:

  • $50: Minimum limit.
  • $10,000: Maximum limit.

Payoneer Limits in India:

  • 5,00,000 INR: single transaction ke liye.
  • 5,00,000 INR: Daily payoneer to bank transfer limit.
  • 2,500,000 INR: Monthly transaction limit.

India me aap aap minimum $50 or maximum 5,00,000 withdraw kar sakte ho.

Kya Mai Payoneer Ko Paypal Or Other e-wallets Sath Use Kar Sakta Hu

Nahi, aap payoneer ko paypal or dusre e-wallets service ke sath use nahi kar sakte or na hi inme payment transfer kar sakte ho.

Payoneer India Me Payment Kaise Karta Hai

Jab aap payoneer par profile banaoge to aapki profile banne ke bad aapko payoneer me apni bank account details add karni hai. uske bad payoneer 24 hours ke andar aapke bank account me money send kar dega.

Payoneer Par Accunt Kaise Banaye Hindi Me Jane

Ab aap ye to jan chuke hai ki payoneer kya hai or ye kaise kaam karta hai. to chaliye ab jante hai ki payoneer par accont kaise banate hai.

Step 1:

Sabse pahle aap payoneer.com site par jaye. or Sign Up & Earn $25 par click kare.

  1. agar aapko khud ke liye account banana hai to Individual or company ke liye banana hai to Company par select kare.
  2. apna name enter kare.
  3. apna surename enter kare.
  4. apni email id enter kare.
  5. apni birthday date set kare.
  6. Next par click kare.

Payoneer Sign Up

Step 2:

  1. apna country select kare. india hai to india select kare.
  2. apna address enter kare.
  3. apna city ka name likhe.
  4. postal yani pin code enter kare.
  5. apna mobile number add kare.
  6. Next par click kare.

Payoneer Sign Up 2

Step 3: 

  1. apna email check kar le sahi hai ya nahi.
  2. apna password selct kare. password me 7 word se jyada ne ho or ek numbirc word hona chahiye. jaise 1, 2, 3, 4, 5, 6, 7, 8, 9, 0 etc.
  3. apne hisab se security question select kare or uks answer add kare. yad rahe ye answer aapse bad me bhi pucha jayega.
  4. Next par click kare.

Payoneer Sign Up 3 - payoneer kya hai

Step 4: Ab jo page khulega. usme aapko apne bank account ki details bharni hai.

  1. apna bank account type select kare. or country or money details add kare.
  2. aapka account jis bank me hai us bank ka name add kare.
  3. apna bank account name add kare.
  4. apna bank account number enter kare.
  5. apni bank ke IFSC code enter kare. (IFSCcode aapki bank passbook par likhe hote hai.)
  6. account type select kare.
  7. Payoneer privacy policy or terms ke samne tick kare.
  8. finaly Finish par click kare.

Payoneer Sign Up Finish

Ab aapka payoneer account ban chuka hai. ek bar apni email ID confirm jarur kar le. ab aap USA and jo bhi payoneer me available ho un sabhi countries se payment recieve kar sakte ho. payoneer kya hai or is par account kaise banate hai ki jankari aapko hindi me mil chuki hai. ab aap bhi is post ko share karke humari help karna na bhoole.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 48 )

  1. rovin singh chauhan

    sir payoneer account banane ke liye pen card jaruri hai kya.

    Reply
  2. Yuva thakur

    Brother apse ek help chahiye please meri help kijiye
    Mera payoneer account hai
    Mere payoneer account me $10,000 se jyada balance hai mujhe apne payoneer account se money transfer karni hai bank me but mere pass pan card nahi hai
    Mera question hai – kya main apne kisi friend ka pan card use karke payoneer se money transfer apne ya apne friend ke bank account me kar sakta hu
    Issme koi problem tto nahi hogi ?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi aap apna pan card banwao, ye better hai.

      Reply
  3. Mofizul

    1. Minimum bank transfer kitna Hai ??
    2. PayPal ki tarah payoner me v verify karna Hai Kya ??
    3. Aur master card k Bina transfer ho sakta Hai kya bank me ??

    Reply
  4. Dhruvin

    Kya payoneer payment per koi charge leta hai?

    Reply
  5. Sumit Mishra

    Kya Payoneer Account Ko AdSense Se Connect Kar Sakte Hai?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi.

      Reply
  6. Sagar Kushwaha

    payoneer ka card kya hota hai. payoneer ka card bhi banwana padta hai kya

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...