Google Datally App Kya Hai or Ye Kaam Kaise Karta Hai

Google Datally App Kya Hai or Iska Istemal Kaise Kare? Duniya ki sabse badi technology company google ne mobile data control karne or bachane wala Datally app launch kiya hai. Ye app android user ke liye hai or iski jankari mujhe google official blog se mili. Is app se aap smartphone ke data ko na sirf save kar sakte ho balki isse mobile data ko control bhi kar sakte ho. To chaliye, ab jante hai google datally app ko use kaise kare?

Datally

Ye application na sirf smart phone me sabse jyada data istemal karne wale app ko monitor or control karta hai balki najdiki WiFi hotspot ka pata bhi lagata hai. Yaha main datally app kya hai or iska istemal kaise kare ke bare me details se bta raha hu.

Google Datally App Kya Hai

Ye app khastor par bhartiyo ko dhyan me rakh kar banaya gaya hai, kyuki badi sankhya me indian users ko apna data khatm hone ka dar laga rahta hai. Google ke according is app ko 5 lakh users ke sath test kiya gaya hai. In users ne is app ki help se lagbhag 30% data save kiya tha.

Datally app ko google ne 30 november 2024 ko launch kiya hai. Ye app Google Play Store par bhi available hai or ab tak ise 100 thousand people se bhi jyada download kar chuke hai. Ye android 5.0 or above version ke sath work karta hai. Iska size only 4-5 MB ka hai. Wese to market me pahle se bahut sare data saving apps hai but koi bhi app datally jitna better or powerful nahi hai.

Google Datally Kaam Kaise Karta Hai

Jab bhi hum apne mobile phone me internet data on karte hai to background me bahut se apps active hote hai or data charge karte hai. Ise humara internet pack jaldi hi khatm ho jata hai or hume pata bhi nahi chalta. Agar aap android phone me datally app install kar lete ho to aapka ye data save ho sakta hai.

Ye app aapke internet usage ko check karega or konsa app kitna data consume kar raha hai uska graph show karega. Example ke liye aap ye screenshot dekh sakte ho.

Datally Data Saver Graphs

Google Datally App Use Kaise Kare

Sabse pahle aap apne android device me datally app install kar open kare. Datally app open karne ke bad aapko continue tab par click kar app usage access ko allow karna hai. Iske bad aapko set up data saver ko right side me slide karke connection request ko allow karna hai. Ab data saving mode on ho jayega or by default all apps ka data block kar diya jayega.

Main screen par aapko manage data tab, find wifi or data consumption ke option dikhayi denge. Aap chahe to mobile home screen se data control ko on off bhi kar sakte ho. Kisi app par data usage allow ya block karne ke liye manage data me ja kar apps with no data usage option par jana hoga. Yaha se aap data on off kar sakte ho.

Is tarah aap datally app ka istemal kar sakte ho. Aa ise 3 tarah se use kar sakte ho.

  • Understand your data: Apne data usage ko hourly, daily, weekly or monthly dekh sakte ho or konsa aap jyada data kha raha hai, use block kar sakte ho.
  • Control your data: Background data usage ko block kar sakte ho. Har ek app ko use karte time realtime data usage check kar sakte ho. Ye app data controller ke sath data monitor ka kaam bhi karta hai.
  • Save your data: Kabhi kabhi aapko data plan me jo kuch bhi milta hai usse thodi adhik jarurat hoti hai. Aap is app se 30 percent data save kar sakte ho or jab aap public wifi ke near hote hai to ye aapko wifi hotspot ke bare me bhi btayega.

Google datally app ka istemal kaise karna hai. Iske liye aap ye video bhi dekh sakte hai.

I think ye app kamal ki hai, iska istemal karne ke bad aap bhi yahi kahoge. Background apps ki wajah se humara jo data lost ho jata tha wo ab nahi hoga or aap apne internet pack ka fully use kar sakoge.

Ye thi google datally app ki jankari. I hope aapko pasand aayegi. Agar aapko is app ke bare me koi sawal puchna hai to comment me puch sakte hai.

Is post ko social media par dusre logo ke sath share jarur kare taki dusre logo ko bhi is app ke bare me pata chal sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 7 )

  1. Saim

    बहुत ही बढ़िया जानकारी है जुमेदीन जी… ये सही में एक powerful app है, लेकिन जब मैंने Play Store में इसे search किया तो नहीं मिला.

    हो सकता है Google ने delete कर दिया हो और कुछ दिनों बाद फिर से Datally को launch करे.

    मुझे इस app का इंतज़ार रहेगा.. मुझे हर post में आपसे कुछ नया सीखने को मिलता है..

    इसलिए आपका बहुत-बहुत धन्यवाद इस तरह की नयी जानकारी शेयर करने के लिए.

    Reply
  2. Girdhari Singh

    Jumedeen ji, aap se ek suggestion chahiye ki , kya hosting lete vkt site lock aur code guard buy krna jaruri hai. Jis trh se hm roj sites hack hone ki khabre sunte hai to kya ye dono product buy krna jaruri hai. Agr nhi to hm apne wordpress blog ka backup kaise le skte hai aur security kaise rkh skte hai. Plz help.

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi jaruri nahi hai. Aap direct wordpress dashboard me tools >> expert se, cpanel se or plugin se backup le sakte ho.

      Reply
  3. Mann

    Bahut achchi app hai data save karne ke liye..

    Thanks is app ke bare me jankari dene ke liye.

    Reply
  4. Bunty Patil

    Yah Bahut hi acchi jankari hai, kya isse referrel se kitna paisa kamaya jaa sakata hai.

    Reply
  5. AmanChauhan

    sach kaha aapne yeh app baki Data Saving app se behtar hai, and Thanks for this amazing article

    Reply
  6. Karan

    Bhut he badiya jankari di ha sir

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...