Readers Ka Adsense Advertisement Me Interest Kaise Badhaye

Kya aapki site par AdSense ads mobile, desktop version and all devices me proper show hote hai or kya aapke readers aapki advertisment se satisfied hai ? Or kya wo aapki site ya blog ko pasand karte hai. Shayad is sawal ka jawba bahut kam logo ke pas hoga. Kyuki hum sirf site par ads laga kar chord dete hai or readers engagement, user interest ki performance report check nahi karte hai.

keep reader interest: AdSense guide to audience engagement

Internet par bahut sare website owner or blogger hai. Jinme se millions people mostly blogger Google Adsense ka istemal karte hai or unka main income source bhi AdSense hi hota hai.

But bahut sare log jo apne blog par AdSense se earning karte hai wo AdSense performance report check nahi karte hai or na hi user engagement, reader interest par dhyan nahi dete hai. Isi wajah se log AdSense se good earnings nahi kar pate hai.

Sirf yahi nahi kei bar to bad ad placement se AdSense account block tak ho jata hai. So is problem ko solve karne ke liye google ne kuch tips ki guide taiyar ki hai. Jinhe follow karke aap apni site par audience engaement ko boost kar sakte ho.

Readers Interest & Audience Engagement Boost Karne Ki Free Adsense Guide

For bloggers, audience enagaging na sirf blog ke liye important hota hai balki ye challenging bhi hai. Aap easily engagement win nahi kar sakte.

Google ke ek research ke anusar 30% smartphone users agar aapki site ke advertisement and look se satisfied nahi hote hai or unhe apni jarurat ki information nahi milti hai to wo immediately another website par move kar jate hai.

Audience engagement banaye rakhne ke liye google ne ek eBook create ki hai. Aap iski copy yaha se download kar sakte hai Adsense Guide to Audience Engagement.

Is Ebook Me Aapko Kya Kya Milega ?

Ebook download karne se pahle aap ye jarur sochoge ki aapko isme kya kya jankari milegi or ise download karne se aapko kya fayda hoga to ye point aapke kaam aa sakte hai.

  1. Audience enagagement boost hogi or reader aapke familiary banenge.
  2. Aap site par ads place or achhe tarike se kar sakoge.
  3. Aapki AdSense practice better hogi.
  4. Audince ke liye better ads content develop karna sikhoge.
  5. Unique content write karne ke ideas milenge.
  6. Adsense ads par jyada click pane ki tips milegi.
  7. Adsense CPC, RPM and earnings increase kar sakoge.
  8. Adsense ko apni site ka good income source bana sakoge.
  9. Aapki site par readers ka interest badhega.
  10. other many tips.

Inke alawa bhi aapko is eBook me bahut kuch sikhne ko milega jinse aap apni site ke advertisement me user interest ko increase kar sakte hai. Agar aap AdSense user ho or really me AdSense se achhi kamai karna chahate ho to aapko ise jarur test karna chahiye.

Agar aap chahate hai ki aane wale time me aapko aesi hi useful updates milti rahe to humare blog ko subscribe jarur kare.