Paypal Account Kaise Banaye and Verify Kaise Kare Hindi Jankari

Jab aap online work start karte ho to aapko payment send and receive karne ke liye ek mode ki jarurat hoti hai. Usually, aap online payment karne ke liye credit card or debit card use karte hai. But aapko online payment receive karne ke liye Paypal, Google Wallent jaisi services ki jarurat padti hai. Paypal online money transfer karne (send payment and receive payment) ki sabse oldest and trusted service hai. In this tutorial, mai aapko paypal account banane or usme bank account, mobile number, PAN card, credit card and debit card verify karne ke bare me details se bta raha hu.

Verified Paypal Account Kaise Banaye

Agar aap india ya kisi other asian country se hai to aap paypal ko other countries se payment send and receive karne ke liye istemal kar sakte ho. Agar aap ek blogger hai to aapko online work karne ke liye paypal account ki jarurat hogi.

Do remember, agar aap apna online career banana chahate hai to aapke pas credit card hona jaruri hai or agar aapke pas credit card nahi hai to online money transfer karne ke liye aapke pas paypal account hona chahiye, jisme aap debit card (ATM) use kar sakte ho.

Paypal account aap easily create kar sakte ho but aapko online payment pay karne or receive karne ke liye paypal account ko completly verify karna hota hai uske bad hi aap payment kar sakoge. Iske liye aapko paypal account me apna mobile number, PAN card, bank account, debit card or credit card link karne ki jarurat hoti hai. Isse paypal aapke bank account se paise withdraw karne ki limit remove kar dega or aap direct apne bank account me payment le sakoge.

Paypal Account Kyo Jaruri Hai or Iske Kya Benefits Hai?

  • Aap apne credit card ki details share kiye bina online payment kar sakte ho. Isse aapka credit card secure rahega or iternational transactions hosting, online shoping ke liye paypal account se payment karna jyada bentar hota hai.
  • Agar aapke pas credit card nahi hai to aap paypal me debit card add karke bhi online payment kar sakte ho. (Bahut se bloggers ke pas credit card nahi hota.)
  • Aap other countries se payment receive kar sakte hai.
  • Bahut si online services me recurring charge lagta hai. Agar aapke pas paypal hai to apa us recurring charge ko cancel kar sakte hai.
  • Paypal se aap other country me payment kar sakte hai.
  • Aap apne client ke liye direct invoice send kar sakte hai.

Paypal ka sabse bada fayda hai ki aap without credit card other country se payment send and receive kar sakte ho. But paypal ke kuch rules hai jo aapko follow karne hote hai. jaise –

  1. Ek indian paypal user other kisi bhi indian paypal user se money transfer nahi kar sakta.
  2. Aap paypal account se paise receive kar sakte hai but aap india me paypal ke throw online shoping nahi kar sakte.

Create Paypal Account, Paypal Account Kaise Banaye?

Mai already Paypal Account Kya Hai or Paypal Account Kaise Banate Hai post me paypal khata banane ki jankari share kar chuka hu but fir bhi yaha aapko iske short step bta deta hu.

Step 1:

Sabse first me aap Paypal.com site par jaye or SIGN UP FOR FREE button par click kare.

Ab yaha par aapko apne country ka name select karke apna email address or password set karna hai.

Step 2:

Next, tell us about yuorself form open hoga. isme aapko apna first name, middle name, last name, date of birth, country, address, district, state, pin code or mobile number add karne hai. Uske bad user agreement privacy policy terms ke samne tick karke Agree and Create Account par click karna hai. (Yaad rahe aapko paypal account apne PAN card wale name se banana hai.)

Link your debit card or credit card

Ab jo page khulega usme aapse credit card ya debit card link karne ke liye kaha jayega. Agar aapke pas credit card hai to aap abhi uski detaisl bhar kar yaha verify kar sakte hai ya fir aap image me btaye anusar I’ll link my card later par click kare. (Iske bare me hum isi post me niche bat karenge.)

Step 3:

Ab jo page open hoga usme aapko “Your new paypal account has been created” message dikhayi dega. Congratulations, aapka paypal account ban chuka hai.

Get more from PayPal by setting up the basics:

Ab bas aapko 6-7 kaam karne hai uske bad aap online money transfer karna start kar sakte ho.

  1. Add your PAN card
  2. Confirm your mobile number.
  3. Confirm your Email address (Jab aap paypal par sign up karoge to aapko iska ek email message milega.)
  4. Add your bank account (Jis account me aap paypal se money withdraw karna chahate hai)
  5. Purpose code, (From the long list, aap apne paypal account par payment receive kar rahe hai, us par purpose select kare.)
  6. Verify and link your credit card or debit card.

Get more from PayPal by setting up the basics

Aap task board page par dekh sakte ho ki aapke paypal account me koi verification pending me to nahi hai.

Paypal Account Me Bank Account Credit Card Debit Card Link Kaise Kare

1. Add Your PAN Card:

Aapka paypal account name or PAN card name same hona chahiye. Agar aapki age kam hai or aapke pas PAN card nahi hai to aap apne parents ke name se paypal account bana sakte hai.

2. Confirm Mobile Number:

Mobile numer verify karna bahut aasan hai. Aap jaise hi paypal me apna phone number add karoge to aapko us no. par ek OTP password milega usse aap mobile number verify kar sakte ho.

3. Confirm Email Address:

Same mobile number ki tarah hi email ID link kar sakte ho. Aap jab paypal par sign up karoge to aapko ek email milega us me diye gaye link par click karke aap email address verify kar sakte ho.

4. Link Your Bank Account:

Is process ko complete hone me 2-3 day lagate hai, Because paypal verification ke liye aapke bank account me 2 small deposits send karta hai jo 24 hours tak aapke account me aata hai. Uske bad aapko wo small transaction paypal par verify karna hota hai. Mai aapko suggest karunga ki aap ye abhi shuru kar le taki future me aapko koi problem na ho or aapko 2-3 day ka wait na karna pade.

Iske liye aap paypal account ke front page me diye gaye add bank account par click kare ya upar btaye task board par ja kar add bank account ke samne start par click kare.

  1. Add your name (the name on your account must match the name on your PAN card.)
  2. Enter your bank account number.
  3. Select YES.
  4. Confirm your bank branch IFSC code here. ( Agar aapko IFSC code ke bare me pata nahi hai to aap iske bare me apni bank branch ya customer care se pata kar sakte ho, ya fir aap google me or apni bank ki website par ja kar IFSC code search kar sakte ho.)
  5. Click on Review after confirm account.

add a bank account

Ek bar aapke bank account details add karne ke bad paypal aapke bank account me two small deposits send karega. Aapko ye transactions next 24 hours ya 2-3 day me mil jayega. Uske bad aap paypal par log in karke sabse upar verify link par click karke 2 small amount ko enter kare or complete verification par click kare.

Confirm two small deposits

5. Add Purpose Code:

Suppose aap ek blogger hai to aapko affiliate commission ya other advertising se payment receive karne ke liye paypal me purpose code add karna hoga. Purpose code me aap Advertising and Market Research choose kare ya fir aap apne hisab se purpose code select kare.

Indian paypal account se paisa per day automatically bank account me withdraw ho jata hai ya fir aap manually bhi kar sakte ho. Paypal se aapke account me payment aane me 5-7 day lag sakte hai.

6. Link Your Credit Card or Debit Card:

Paypal account me ye most important metter hai. Kyuki aap credit card ko to aasani se verify kar sakte ho but debit card ATM ko paypal me link karne me problem hoti hai. Is issue ki wajah se bahut se un user ka paypal account complete nahi ho pata hai jinke pas credit card nahi hota.

Jab aap credt card ko paypal account se link karoge to koi issue nahi hogi or aap aasani se ye kar sakte ho. Aap new account ko add kar sakte ho or old account ko delete, remove and edit kar sakte ho.

But jab aap debit card yani ATM card ko link karna chahoge to kuch is type ke error show honge. Ye issue credit card ke sath bhi aate hai.

  1. “This card is not accepted. Please use a different card.”
  2. “The bank that issued your card didn’t approve this transaction. Please contact the card issuer’s customer service department if you have any questions. Or you can add a different card now to continue.”
  3. “The card you entered cannot be used for this payment. Please enter a different credit or debit card number.”

Actually, paypal all indian bank ke credit card and debit card accept nahi karta hai. I mean sabhi banks me paypal ki service available nahi hai.

Yaha mai aapko kuch banks ke bare me bta raha hu jinke debit card aasani se paypal me add ho jate hai or koi issue nahi aata hai.

Card Issuer (Bank Name) Debit Card Credit Card
PayPal Google Wallet PayPal Google Wallet
Axis Bank YES YES YES YES
HDFC Bank YES YES YES YES
ICICI Bank YES YES YES YES
Indian Bank YES YES YES YES
Kotak Mahindra Bank YES YES YES YES
South Indian Bank YES YES YES YES
Union Bank Digipurse Wallet
NO NO N/A N/A
Bank of Baroda (Visa) NO NO YES YES
Indian Overseas Bank YES YES YES YES
Karur Vysya Bank NO NO NO NO
Oriental Bank of Commerce (OBC) NO NO NO NO
Punjab National Bank NO NO NO NO
State Bank of India (inc. subsidiaries) NO NO NO NO
Union Bank of India (UBI) NO NO NO NO
 Vijaya Bank NO NO NO NO

Yaha par maine aapko jin banko ke bare me btaya hai unki information maine internet se hi li hai future me isme changes bhi ho sakte hai. So mai aapko advice dunga ki aap ek bar confirm jarur kar le ki aapki bank ka debit card / credit card work kar raha hai ya nahi.

Agar aapke pas kisi or bank ki information ho jo paypal support karti ho to comment me uske bare me jarur btaye.

Agar aapko kisi bank ka debit card paypal me link karne me problem aaye to aap apni bank branch ya customer care me call karke unhe enable the international online transaction ke liye kahe aapka card work karna shuru kar dega. Agar aapka account ICICI bank me hai to aap registered mobile number se INTL to 5676766 message send karke bhi international transactions enable karwa sakte hai.

Now, agar aapko abhi bhi shaq hai ki aapka bank international transactions service deta hai ya nahi to aap uske customer care me call karke puch sakte hai or agar nahi hai to ye waqt hai paypal support karne wali axis, ICICI and other bank me account khulwane ka. Mai aapko suggest karunga ki aap paypal ko complete ready rakhe taki aapko blogging me hosting, theme etc buy karne me problem na ho.

Conclusion,

I sure is tutorial me aapko paypal account create karne or verify karne ke bare me useful and helpful information mili hogi or aapke paypal ke bare me bahut se doubts huye honge. Actually, new user samajhte hai ki paypal me sirf credit card hi use kar sakte hai debit card nahi to unko is post me sabkuch clear ho jayega.

Ab aap paypal se hosting le sakte hai, WordPress blog ke liye theme purchange kar sakte hai or other countries se online shoping kar sakte hai. Agar aap online work karna chahate hai to aapke pas paypal account hona chahiye.

I hope you make like this post and know everything  about create and verify paypal account. So now share this post on social media with your firends.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 88 )

  1. Altamash Ahmed

    nice information bhai. thanks itni acchi jankari dene ke liye.

  2. Dharmendra Yadav

    Hi sir मैंने paypal account बनाया मेरा बैंक account verify भी हो गया लेकिन मेरा Debit Card verify नही हो पा रहा है , sir मेरे को केवल paypal से ऑनलाइन payment recieve करना किसी को payment करना नही है तो क्या Debit card इसके लिए भी verify होना चाहिए .

    • Jumedeen khan

      Aap global debit card ya credit card use karo.

  3. Abhinath dhakad

    Sir mere pass “central bank of india”debit card hai par add nahi ho raha to kya bina debit card ke paypal se mere bank account me Paise tranfer kar sakte kya

  4. Mateeb Khan

    sir mera debit card paypal mai add nhi ho rha h
    mera account axis bank mai hai aur mera debit card international card hai

    • Jumedeen khan

      Sahi se check karo ki aapke pas global debit card hai aur paypal axis bank ke debit card support karta hai ya nahi.

      • Aftab shekh

        Hamako card banana hai

  5. Deepika

    mujhe apki jankari bahut achi lagi…good information.

  6. Sachin Rana

    Sir main apna pan card link Nahi kr paa raha hu
    Name aur pan number type Karne ke bad submit ka option per click Nahi ho raha h
    Plz help me

  7. Amir khan

    Assalamualaikum bhai

    Bhai paypal me apne pan card debit card or bank account link krne se koi froud to nhi hoga(means, bank se koi pese to nhi chura lega )
    Please bhai rply de
    Kyunki me jis account ko link krunga usme mere or meri family ke pese jama he.

    • Jumedeen khan

      Nahi, koi nahi churayega par agar aapka paypal hack ho jata hai to chura sakta hai.

  8. Raj Aryan

    Hi, very good article
    Thanks for sharing, keep up the good work.

  9. Vandana

    Nice article sir

  10. Monoshree

    PAYPAL account me money add keise kare? money add karne ka koi option nahi mil raha hai.

    • Jumedeen Khan

      Nahi kar sakte aap sirf payment le sakte ho or credit card se pay kar sakte ho.

  11. arvind

    mera paypal account complate verify ho gaya he .mene sare task complete kar liya .fir bhi shayad koi problem he..mene pan card details paypal ko di he lekin shayad bank me pan card link nhi he to kya ye vahah ho sakti he jise me money recive nahi kar pa raha paypal me …

  12. arvind

    thanx bhai ..paypal me ek sath agar 2 bank connect kare to koi problem ho sakti he?

    • Jumedeen Khan

      No problem.

  13. arvind

    mera paypal account me punjab bank se connec he kya me sbi mastercard link kar sakta hu …debit card link karna jaruri he us ke bina paypal money recive karta he ya nahi paz answer

    • Jumedeen Khan

      Yes kar sakte ho, yes jaruri hai.

  14. Ansaar

    Kya payal transaction par charge leta hai

    • Jumedeen Khan

      Yes.

  15. shrishail more

    sir agar mujhe kisi site se apane bank account mein paise lene ho to kya mera bank account net banking se connect hona chahiye?

    • Jumedeen Khan

      Nahi, jaruri nahi hai.

  16. shrishail more

    sir paypal se paise mujhe bank account mein transfer karne ho to kya mera bank account net banking se connect hona chahiye ?

    • Jumedeen Khan

      Jaruri nahi hai.

  17. Mohd Parwana Shaikh

    Hello sir Mai mobile number jab veriyfy karta hun to mere account me se balance kat ta q sir btao
    kat ne ke bad bolta hai massage me buddy download karne ke liya kuch Samjh me nahi ara hai

    Mai Sirf abhi email verify kiya hai
    sir people help me

    • Jumedeen Khan

      Paypal verification charg lagta hai. Sabhi ke sath aesa hota hai.

  18. Md Dilroz Ansari

    Ramadan mubarak jumedin bro!

  19. Apurv

    Sir mai jab bhi bank account link karne jata hu to ye likhe aata hai (Sorry, we are not able to process your request. Please try again later.) Sir mai kya karu is problem free ho ja u sir help me

    • Jumedeen Khan

      Try another bank account.

  20. DEv

    Bro mne bhut tym pehle apna bank account link kra tha uss….time mere bnk mai small credit hua tha….but mai bank verify nhi kr paya tha..or PayPal m se bnk remove hogya tha glti se mgr ab mai bank add kr rha hu to add nhi ho raha try again bol rha h bar bar……mai kya kru please meri help krein.
    Thank you

    • Jumedeen Khan

      Aap koi screenshot dikha sakte ho.

  21. Amul Thakur

    Kya Bank Of Baroda Ka Credit card Paypal Accept Karega
    Please Help Kijiye Jume Deen Sir

    • Jumedeen Khan

      yes karta hai main upar list me bhi bta chuka hun.

  22. jita barik

    bahut badhiya jumme bhai apne mera sare dout clear kiya.so thank

  23. reena

    Nice to see informative post. Here we can all information regarding PAN card on the link provided by you Thanks for enhance our knowledge. And get some detail of pan card by know your pan.

  24. raj

    bhot achi post likhi he apne mein ishe follow kar raha tha bt mere pas bank account state bank of india mein he.

  25. Farhan shadiq

    hlo jumme bhai mere YouTube channel,aur google+, aur blog par…..
    inme se kisi ka bhi profile pic change karta hu to in sabhi accounts ke profile pic change ho jate hai….. kya karu

    • Jumedeen Khan

      Blogspot blog or YouTube channel par google plus profile ki photo hi show hogi.

  26. Kumar

    MERE PAS EK PAYPAL A/C HAI MAINE USME APNA BANK KI PURI TARH SE BHAR DIYA HAI LEKIN MERE PAS PAN CARD NAHI HAI KYA MUJHE VERIFY KARNE KE LIYE KYA KARNA HOGA EK PROBUL AUR PANCARD BHARNE KA OPTION NAHI DE RAHA

    • Jumedeen Khan

      Aapko pan card ki jarurat hogi.

  27. Bhupender Kashyap

    hello sir mera uco bank ka account hai or ul bank ka he atm card hai mere pass pan card nhi hai mene paypal to account bna liya hai bt pura ne bna abhu plz mere help kariye or btaiye ki me kese account ko complete bnau kya me pan card ek month bad kr skta hu isme add abhi mere pas pan card ne hai plz help me sir

    • Jumedeen Khan

      Post me jo banks banayi hai unme se kisi me account khulwa kar uska debit card use karo.

  28. Sharma G

    Hey bro,,,,can i using paypal for receiving payment…without cr/dr card….

    • Jumedeen Khan

      No.

  29. Dharmendra

    Bahut achhi jankari hai, thankyou sir aisi post ke liye, very helpfull for me

  30. mohsin

    Sir.kya me ek bank acoount se do paypal use kar sakta hun.

    • Jumedeen Khan

      Nahi kar sakte.

  31. mohsin

    Hello sir. Kya me paypal account delete kar sakta or kya me ek bank account se do paypal use kar sakta hu.

    • Jumedeen Khan

      Haa kar sakte ho.

  32. DURGARAM LILAWAT

    Sir,
    Mujhe paypal par account banana hai.
    Mera ICICI bank me account hai. jo ‘ DURGA RAM ‘ name se hai . aur PANCARD me surname bhi laga rkha hai ‘DURGA RAM LILAWAT’. pancard ke alawa sare documents without surname hai, mujhe kya karna chahiye

    • Jumedeen Khan

      Koi problem nahi bank account or debit card paypal se connect kar lo.

  33. Sadh

    hello sir Mera SBI bank me acount hai kya me paypal acount create kar sakta hu

    • Jumedeen Khan

      Nahi nahi kar sakte, post me already btaya hua hai.

  34. Z Vlig

    Sir PayPal account banane ke credit ya debit zaruri chaiye hoga
    kya hum saving account ke throw PayPal nahi bana sakte
    jald reply de please

    • Jumedeen Khan

      Aap fisrt name se comment kijiye. Second post ko achhe se read karoge to ye sawal puchne ki jarurat nahi padegi.

  35. Jerold Nohe

    Aesa koi account nahi banta.. Jab koi Jada popular hota hai to facebook uska account verify kar deti hai.. Sir mujhe ye bataiyen facebook account wo wala kaise banate hai jise hum sirf like kar sakte hai or ye bataiyen jis tarh apne ye website banae hai aise website kaise banate hai plz sir

  36. Rohit singh

    Kya hum apne bank account se paypal me paise transfer kar sakte hai?

    • Jumedeen Khan

      Ha kar sakte ho credit card ya debit card ko paypal me add karke.

  37. mohammad

    Sir mere paas pan card credit card or debit card nahi hai sirf idbi mai bank account nahi hai to kyaa mai PayPal account bana sakta hu

    • Jumedeen Khan

      Nahi, aapko in sabki jarurat padegi. Post me already bta chuka hu padh lo.

  38. satish

    paypel me bank account aur dabit card dono ki detail chahiye .ya bank account detail se kaam chal sakta hai

    • Jumedeen Khan

      Dono ki

  39. Akshay

    Hello,
    Kya main Zero Balance pe Axis Bank mein account open kar sakta hu for Paypal?

    • Jumedeen Khan

      Nahi iske liye aapko kuch paise jama karane honge iske bare me aap axis bank ke cusmore care ya kisi bank branch se bat kar sakte ho.

  40. namdev

    Mere paypal account me log in kiya to ye notification ayi h.

    Your PayPal account balance is automatically withdrawn to your local bank account daily, subject to the terms of the User Agreement. It can take up to 7 days to receive your funds in your bank account.

    lekin ispar click krta hu to open nhi hoti. Jo 2 small amount paypal Humare bank me send krta hai use paypal par varify kaise kru mere paypal me use verify krne ka koi option abhi tak nhi aya 3-4 Din ho gye . Maine apna Allahabad bank account ka use kiya hai iske liye.
    kya muje dusra account use krna hoga

    • Jumedeen Khan

      Maine ike upar post me link diye huye hai wo follow oaro or step ache se padho.

  41. Aniketsinh Solanki

    Hello Sir Mere blog pe AdSense me image nahi dikhai deti aapki tarah nahi dikhta image only text hi dekhta he

    • Jumedeen Khan

      Aap only display ads use karoge to images ads show hoga.

  42. Govind

    Jume Deen aap ke blog ko 1 saal pura hone ke liye aapko bahut bahut mubarak, wish you many more success ahead.
    Mujhe kisi ne bola tha ki verified paypal account ke liye kuch documents submit karne hote hai par is article mein aapne esa kuch mention nahi kiya. Plz clear the confusion.

    • Jumedeen Khan

      Nahi aapko paypal account me koi bhi documents verify karne ki jarurat nahi hai.

  43. Sanjay Singh Rawat

    Hello dear! Very useful post ek question hai 1 PayPal account me 2 bank account add ho jaate hai???

    • Jumedeen Khan

      Nahi aap paypal par sirf ek hi bank account add kar sakte ho.

  44. Arsh Khan

    sir meri web pr ads show nhi ho rhe hai ky kro
    pls mera blog dheko or bato

    • Jumedeen Khan

      Ads show karne ke liye aapke pas approved AdSense account chahiye or AdSense acoount aproved karane ke liye aapke blog par daily kam se kam 500 pageviews hone chahiye.

      • naveen kumar pal

        Sir mera sbi bank mai international hai to kya mera paypal account bansakta hai

        • Jumedeen Khan

          nahi post me check karo ki konsi bank ke debit card paypal allow karta hai.

  45. rohaan

    dost mko thodi bahut aati hai aap mere website me ek baar visit kar ke dekhiye mera aur aapka search box same hai par mai isme mai custom search add nahi kar pa raha ho sake to thodi help kar de.

    • Jumedeen Khan

      Don’t worry mai iske bare me post likh dunga aap wo folloow kar lena.

  46. Aniketsinh Solanki

    hello Sir Me ne Abhi Abhi Blog Banaya he bloging Bhi Start Ki He Sir Muje Usme Do Problam Aa rahi he sir muje aasha he ki App Vo Do Problam Ko Sovle Kardo
    1 Sir Mere Ko Mere Blog Me Apke Jaisa Social Follow Bouttn Chaiye Jo Aapne Edit Kiya He Sir Muje Uska Code Cahiye Sir Aap Meri Help Karo.
    2 Sir Mera Blog He growtricks.blogspot.com/ Sir Mere ko Isme adsense Ki Add Dali Post Ke bich Par Samaj Nahi Aa raha Ads achi Show Nahi Hoti Sir mere Isme Ads ke Baju Me Jagah Baki Rehti He To Udhar Post Ke font Show Kaise Karna He Muje Ye Do PRblam Ka Solvution Dijiye SIr

    Asha He Ki Aap Jaldi Reply Karo Me Aapka Intajar Karta hu

  47. rohaan

    hy dost aapne gogle custom search ko current search buttton me kaise add kaiye bata sakte hai kya?

    • Jumedeen Khan

      Rohaan agar aapko coding aati hai to aap apne blog ko chahe jaise design kar sakte ho. Iske bare me mai aapko pahle bhi bta chuka hu.

  48. sarfraz

    sir agar hum apne wp par blogger ka backup file turant na upload kare balki kuchh post jaise 10-15 post karne ke baad upload kare to kya ye sahi padega

    • Jumedeen Khan

      Aap jab chaho kar sakte ho. Isme koi problem nahi hai.

  49. Shibam Kar

    Great guide on creating paypal account. Thanks for sharing.

Comments are closed.

Ad

I need help with ...