Agar aapke pas 4G support smartphone hai to aapke bas Jio sim jarur hogi or aap free internet, free call enjoy kar rahe honge. Magar kya aap jante hai ki Reliance Jio ke 4G sim se aap computer or laptop par high speed fast internet ka lutf utha sakte hai. Main yaha aapko 4G jio sim se desktop me net chalane ki 3 tricks bta raha hu aapko jo pasand aaye wo try kar sakte ho.
Reliance ne jio sim 4G support mobile user ke liye launch kiya hai but aapke pas kuch aese tarike bhi hai jinse aap apne computer me bhi jio sim se free internet ka maja le sakte ho. Aap online apne desktop par movies, videos dekh sakte ho ro download kar sakte ho.
- Airtel Sim Me Free Internet Kaise Chalaye 3G 4G Speed Se
- Idea Sim Me Free Internet Kaise Use Kare 2G / 3G Speed Se
Jin logo ko online movies, serial and other videos dekhne ka shouk hai or unka har mahine kei GB Data kharch ho jata hai to wo ab jio sim se computer me internet use kar sakte hai. Actually, sabhi log PC me sim se internet chalana nahi jante hai or wo mostly modem or router ka istemal karte hai.
Computer Me Jio Sim Se Free Internet Kaise Use Kare 4G Speed Se
Main aapko yaha par three tips bta raha hu jinse aap PC me reliance ji ki 4G sim se internet chala sakte ho. Wese 3no best tarike hai aapko jo pasand aaye aap us tarike se net chala sakte ho. Jio 4G Sim Se Computer Laptop Me Free Internet Chalane Ki Best Tips.
1. Wi Fi Portable Hotspot
Sabhi Android phone me wi-fi portable hotspot ka ek feature hota hai jiski help se aap laptop ya computer ko apne mobile se connect kar sakte ho. Aap chaho to smartphone me jio sim laga kar apne laptop ko mobile se jod sakte ho or free internet use kar sakte ho.
Iske liye aap mobile setting me jaye or data usage ke bad more par click kare. Yaha aapko tethering & portable hotspot ka option mil jayega. Aapko portable wifi hotspot chalu karke apne usme name or password set karne hai uske bad apne laptop me network search karna hai.
But aap is trick ko desktop computer me use nahi kar skate kyuki usme wi fi ka feature nahi hota hai. Computer me hotspot se net chalane ke liye aapko extra wifi system le kar computer se connect karna hoga.
2. USB Data Cable
Aapke pas smartphone hai to aapne dekha hoga ki phone ke charger ki line charger se alag ho jati hai or same data cable ke jaisi hoti hai. Actually, aap isse na sirf apna mobile charge kar sakte ho balki aap isse apne mobile ka data computer me transfer kar sakte ho or phone ko PC se connect kar internet bhi chala sakte ho.
Iska option bhi hotspot ke sath hi hota hai. Aapko sirf hotspot par ja kar USB tethering ko enable karna hai. Uske bad aap computer me mobile se net chala sakte ho.
Ya fir aap extra USB data cable le kar mobile ko PC se connect kar internet chala sakte ho. Is tips se aap laptop or desktop dono me internet use kar sakte ho. Reliance ji sim 4G speed se computer me net use karne ka ye achha tarika hai.
3. Use Dongle or Modem
Computer or laptop me jio sim se internet chalane ki sabse best or last trick hai modem or dongle ki madad se desktop me internet chalana. Aap 4G support dongle me reliance jio sim laga kar usse computer me net chala sakte ho or me browsing and other online work kar sakte ho. Dongle PC or laptop dono ke sath kaam karta hai.
Wese agar aap desktop user ho or already PC me internet chalate ho to aapke pas dongle or modem to jarur hoga but shayad 3G support hoga. So jio sim se computer me net chalane ke liye aapko 4G support dongle lena hoga.
- Airtel All USSD Codes Balance, Offer, Plan Check Karne Ke Liye
- Internet Se FREE Me Call Kaise Kare Puri Duniya Me Kahi Bhi Kisi Bhi Jagah Par
Agar aapke pas 4G support mobile nahi hai to aap kisi aese friend ke mobile ke throw reliance jio sim buy kar sakte hai jo internet use nahi karta ho.
I hope ye trick aapko pasand aayegi or aapke kaam bhi aayegi so please is post ko social media par apne friends ke sath share jarur kare.