Net Neutrality Kya Hai or Iske Bare Me Janna Kyu Jaruri Hai

USA me donald trum ke Net Neutrality law ko change karne ke bad ek bar fir se Net Neutrality par charcha hone lagi hai. Net Neutrality ka mudda 2024 se shuru hua tha or india me bhi internet neutrality ke bare me kafi behas huyi thi. Is post me hum Net Neutrality Kya Hai or Iske Bare Me Janna Kyu Jaruri Hai ke bare me details se janenge.

Net Neutrality

Net Neutrality har ek aadmi ka adhikar hai. Internet use karne ka sabko haq hai or sabke liye internet rules barabar hone chahiye. Aap abhi jaise internet use karte ho agar aap aane wale time me bhi aese hi freedom ho kar internet use karna chahate hai to aapkoa Net Neutrality ke bare me janna jaruri hai.

I hope aapne iske bare me suna hoga. Agar aapko internet neutrality ke bare me adhik jankari nahi hai to koi bat nahi is post me main aapko Net Neutrality Ki Puri Jankari Hindi Me dunga jise padh kar aapko iske bare me sabkuch maloom ho jayega.

Net Neutrality Kya Hai Internet Neutrality Ki Puri Jankari Hindi Me

Sabse pahle main aapko bta du ki agar aapko net neutrality ke bare me pata nahi hai to ab aapko is post k padh kar ise achhe se samajh lena chahiye warna ek din aesa aayega jab aapko net par apni pasand ki site par visit karne ke liye pay karna hoga.

Abhi aap internet par kisi bhi website, blog, web page, software, application, games ya kuch bhi use karte ho to uska koi charge nahi hoga. Net neutrality ke khatm hone ke bad aapko in sabke liye pay karna hoga.

Bilkul wese hi hai jaise aapko TV par kuch channles free milte hai or kuch channels like sports channels ke liye different charge ke sath pay karna hota hai. Internet par ye sab nahi hona chahiye or har user ko internet par kuch bhi search or use karne ki permission honi chahiye. Net Neutrality Ki Puri Jankari in Hindi

Net Neutrality Kya Hai

Net Neutrality ek sidhant (principle) hai jise Internet Neutrality, Network Neutrality or Net Equality bhi kaha jata hai. Iske according internet service provider companies or governments ko internet ke data ko saman manna chahiye or users, content, website, blog, platform, usage and device type ke aadhar par koi bhedbhav nahi hona chahiye.

Internet jis par aapko har type ki information mil jati hai. Internet free me logo ko apni jankari ek dusre tak pahuchane me help karta hai. Is sabko hi Net Neutrality kahte hai.

Ye word sabse pahle Columbia University me media law profession Tim woo ne istemal kiya tha. Net neutrality wo principle hai jiske anusar mana jata hai ki internet service provide karne wali company internet par sabhi tarah ke data ko saman darza degi Yahi net neutrality ka matlab hai.

Internet service dene wali companies me telecom companies bhi shamil hai in companies ko different data ke liye alag-alag keemte nahi leni chahiye fir chahe wo data important or popular websites par ho ya kisi normal websites par ho.

Internet service provide karne wali company ko kisi service, website ko na to block karna chahiye or na hi kisi service or website ki speed slow ya fast karni chahiye. Ye bilkul wesa hi hai jaise road par har taraf ke traffic ke sath same behavior kiya jaye.

Matlab car, bus, bike, track etc. sabke liye petrol ka price model ke according alag-alag na ho kar same hona chahiye. Agar aap chahate ho ki aapko aane wale samay me aaj ki hi tarah freedom internet use karna hai to net neutrality ko support kare.

Net Neutrality Kyu Jaruri Hai

Sabse bada sawal ye hai ki net neutrality ke bare me janna aapke liye jaruri kyu hai, simple hai isse mukarne par aane wale time me aapke kharche badh sakte hai or aap internet par sabkuch use karne ke liye aajad nahi rahenge.

Aap har online work ke liye internet ki jarurat padti hai so aapko har kaam ke liye pay karna hoga. Agar aap aesa kar sakte ho to wo log kabhi nahi kar payenge jo aapke jaise ameer nahi hai.

Telecom Regulatory Authority of Indai (ARAI) ka net neutrality ko support kiya tha. TRAI ka manna hai ki net neutrality har customer ka haq hai. TRAI ke anusar sabhi users ke liye internet ki sari jankari saman roop se available honi chahiye.

Is bare me ek servey bhi hua tha jisme direct internet users se ise khatm karna na karne me feedback manga gaya tha. Bahut se users ne feedback send bhi kiya tha. Future me kya hoga pata nahi but usse pahle aapko net neutrality ki jankari honi chahiye.

Net Neutrality Khatm Hone Par Kya Hoga

Agar future me kabhi net neutrality khatm hoti hai to aapko internet par website, blog, page, forum, platfom ya fir kcuh bhi karne ke liye pay karna hoga. Internet neutrality khatm hone par telecom company puri tarah se aajad ho jayegi or customers ko chahe jaise lootna shuru kar dengi.

Example, abhi aapko airtel to airtel, airtel to idea, airtel to other, local, national call or message karne ke liye alag alag charge dena hota hai. Net neutrality khatm hone par internet par bhi yahi sab hoga.

Telecom compaines manmani par utar aayegne or most popular websites ko block ya slow kar degi ya fir un par visit karne ke charge bada degi or apne fayde ki ya apni sites ko free kar degi.

Natijan internet users ko majboori me unki sites par jana hoga. User ko na chaahte huye bhi service provider ki reate ko accept karna hoga. Ye puri tarah se ek freedom country ke aadmi ke adhikar ka hanan hai.

Duniya me aadhe se jyada log gareeb hai or ameer countries se jyada gareem desh hai. India ke alawa or bhi kai desh hai jaha abhi tak internet service avaiable nahi hai. Agar aesa hota ai to gareeb log kafi had tak internet use karna ya internet me interest kam kar denge.

Isi wajah se sabhi telecom operator company net neutrality ka virodh karti hai taki iske khatm hone par wo public se jyada se jyada paisa hadap sake.

Ye bhi padhe,

Agar aapko future me net neutrality banaye rakhni hai to is article ko facebook, twitter, google+, instagram, whatsapp social media par sabhi ke sath share kare taki wo sab bhi iske bare me jan sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 4 )

  1. Rajkumar meena

    Net Neutrality Kya Hai mere ko isake bare me pata nahi tha aapki post read karke pata chal gaya hai.

    Reply
  2. kumar

    bahut hi kam ki jankari di h apne jumedin bhai its unique or useful iformation.
    thanks for sharig

    Reply
  3. Nitish Kumar

    Bahut sahi baat batai aapne sir, Main bhi iska support karta hun. Internet par sabka samaan adhikar hai.

    Reply
  4. rohaan

    Kamaal ki jaankari hai, Unique post thanks for share with us !

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...