DigitalOcean Cloud Hosting Par WordPress Install Kaise Kare

Digitalocean top cloud hosting providers me se ek hai. DO powerful VPS server (Virtual Private Server) or 100% uptime service provide karta hai. WordPress run karne ke liye ye mera favorite server hai. Is article me main aapko Digital Ocean par WordPress Install karne ke bare me step by step with screenshot details se bta raha hu.

Install WordPress on DigitalOcean

DigitalOcean Hosting par WordPress blog install karna bahut hi aasan hai, bas aapko iski basic information honi chahiye. Other web hosting ki tarah Do VPS server par bhi aap one click installation method se wordpress install kar sakte ho.

DigitalOcean VPS Server par WordPress install karne ke 2 tarike hai. 1. One-click apps, and 2. Manually Installation. Manually wordpress karna thoda hard hai iske bare me hum next time bat karenge. Yaha hum one click installation method se DO server par wordpress install karne ke bare me janenge.

Is process se aap Apache server, MySQL database and PHP language me wordpress install karoge. Nginx server par wordpress install karne ke liye aapko manually server setup karna hoga.

DigitalOcean VPS Server Par WordPress Install Kaise Kare

Sabse pahle aapko DigitalOcean se hosting buy karni hogi. Aap apni jarurat ke anusar $5, $10, $20, $40, $80 and more plan choose kar sakte ho.

Agar aap Digital Ocean se free me hosting lena chahate hai to humari DigitalOcean Se 2 Month Free Hosting Kaise Kharide post read kar 2 month free hosting le sakte hai.

DigitalOcean se hosting purchase karne ke bad wordpress install karne ke liye ye steps follow kare.

10 Steps to Install WordPress on DigitalOcean:

Step 1: Open DO Dashboard

First DigitalOcean Dashboard par jaye or right side me gravatar picture ke left side me Create button par click kare.

  1. Create button par click kare.
  2. Droplets (Create cloud server) select kare.

Create Droplet on DigitalOcean

Step 2: Select One-click Installation

  1. One-click apps select kare.
  2.  WordPress image choose kare.

Create Droplets on DigitalOcean

Step 3: Choose Droplet Size

Ab aapko apn blog ke data ke anusar droplet size choose karna hai. I mean aapko server space CPU, SSD Disk, Transfer size choose karna hai.

  1. Agar aap first time blog bana rahe ho to $5 ya $10 wala plan choose kare.

Choose Droplet Size

Step 4: Select Server Location

Ab aapko server location choose karni hai. Aapko jis country ke audience ke liye content write karna hai us country ke nearby data center choose kare.

  1. Indian traffic site banani hai to Bangalore datacenter select kare.

Choose a datacenter region

Step 5: Choose SSH Key

Ab aapko SSH key generate kar droplet name choose karna hai.

  1. New SSH Key button par click kare private key generate kare. (Aap PUTTY se SSH Key generate kar DO Droplet se connect kar sakte ho.)
  2. Agar pahle se hi aapne SSH Key generate kar rakhi hai to wo seelct kar sakte ho.
  3. Drople hostnmae choose kare.
  4. Finally, Create button par click kare.

Add SSH keys and Finalize and create droplet

Step 6: Open WordPress with IP Address

Ab 55 second me droplet ready ho jayegi or droplet name ke same IP address show hoga. Is IP address ko copy kare or browser me open kare.

Ab jo page opn hoga usme “Please log into your droplet via SSH to enable your WordPress installation.” message display hoga.

enable WordPress installation

Step 7: Access Droplet via SSH

Ab aapko SSH Key se droplet access karni hai. Iske liye aap PUTTY use kare. Iske liye aap DigitalOcean ka ye article read kare, How To Connect To Your Droplet with SSH.

  1. Droplet accecc kane ke bad console box oepn hoga usme Log in: likha hoga, iske samne “root” type kare.

Access droplet via SSH

Step 8: Install WordPress

Ab fir se apna droplet ip_address browser me open kare. Ab aapke samne wordpress installation page open ho jayega.

  1. Language select kare.
  2. Continue button par click kare.

WordPress Installation

Step 9: Setup Username or Password

  1. Site title: Apni wordpress blog ke liye title select kare.
  2. Username: WP dashboard par log in karne ke liye username choose kare.
  3. Password: Apne WP blog ke liye strong password set kare.
  4. Your Email: WordPress notification and sign in ke liye email address add kare.
  5. Install WordPress: Finally, Install WordPress button par click kare.

Setup WordPress

Aapne digitalocean par successfully wordpress install kar liya hai. Ab aap easily apne wp blog ko manage kar sakte ho.

Step 10: WordPress Dashboard

WordPress dashboard ko open karne ke liye aap droplet_ip_address/wp-admin link open kar apni logged in username or password se log in kare.

WordPress Dashboard

Ab aapka wordpress blog ready ho gaya hai. But abhi blog IP address se open ho raha hai so aapko blog me domain name add karna hoga. WordPress blog me domain name add karne ke liye niche btaye steps follow kare.

DigitalOcean Server Se Domain Name Connect Kaise Kare

Digitaloceanserver se domain connect karne ke liye aapko digitalocean nameserver domain settings me add karna hai. Iske liye ye steps follow kare.

Step 1:

Fir se DigitalOcean dashboard par jaye or top menu me Networking par click kar domain add kare.

  1. Networking select kare.
  2. Apna domain name type kare.
  3. Add Domain button par click kare.

DigitalOcean Networking

Step 2:

Ab jo page khulega usme aapko domain name ko ip_address par point karna hai iske liye aap A record add kare or example.com ko ip_address par point kare.

Sath hi yaha 3 nameserver dikhayi denge inko copy kar notepad me paste kar le. Ye DNS record aapko apne domain ki website par ja kar domain setting me add karne hai.

DigitalOcean DNS Record

Step 3:

Ab browser me Droplet ip_address/wp-admin URL type kar wordpress dashboard open kare. Uske bad settings >> general par ja kar domain add kare.

  1. Settings >> General par jaye.
  2. Ab WordPress Address (URL) and Site Address (URL) ke samne apna domain name add kare.

Add domain on wordpress

Congratulations! Ab aapki site par domain nam set ho chuka hai ab aapka blog completely ready ho gaya hai. Aap wp dashboard par ja kar wordpress ki jaruri settings kar sakte hai. Jisme ye article aapki help karenge.

Conclusion

Ye thi digitalocean server par wordpress blg instal karne ki jankari. Maine yaha har step ko screenshot ke sath samajhaya hai, so aapko ek ek point clearly samajh aa jayega fir bhi agar aapko wordpress install karne me koi problem ho to aap comment box me apni problem bta sakte hai.

Next time, main aapko manually Linux Nginx, MySQL, PHP 7.0 version yani LEMP par wordpress install karne ke bare me btaunga.

Agar aapko ye wordpress installation guide useful and helpful age to ise other bloggers ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 65 )

  1. Bhai Mere website ka daily traffic 15-20k aata hai toh konsa best plan rahega. please reply jaroor krna bhai..

    Thanks

    Reply
    • $10 plan enough.

      Reply
  2. आजकल मेरे जैसे लोग जो अपने विशेष ज्ञान को दुनिया के साथ सांझा करने के लिए ब्लॉगिंग करते है पर कम पैसे और टेक्नोलॉजी का सही ज्ञान ना होने के कारण मात खा जाते है! भारतीय ब्लॉगर्स के साथ आजकल जो सबसे बड़ी समस्या है वो यही है की वो इंटरनेट की दुनिया में अपने ब्लॉगिंग प्लेटफार्म को अच्छा और उपयोगी बनाने के लिए क्या करें। इसमें सबसे पहला चरण यही है की वो अपने ब्लॉग को सही तरीके से उचित प्लेटफार्म पर Configure कैसे करें।

    यहाँ कुछ बिंदु है जिनको मैं पिछले कई दिनों से समझ नहीं पा रहा हूँ।

    सभी वर्डप्रेस इस्तेमाल करना चाहते है!

    1. डोमीन कहाँ से लें? (Best Domain Service Provider कोनसा है?)

    2. अब होस्टिंग कहाँ से लें (अभी नए ब्लॉगर है तो ट्रैफिक भी कम होगा और हम बजट भी नहीं बढ़ाना चाहते।) DigitalOcean का 5$ या 10$ वाला प्लान अच्छा रहेगा। और Bengaluru का सर्वर भी मिल जाएगा। जैसे-जैसे ट्रैफिक का लोढ़ बढ़ेगा हम इसको खींचकर बड़ा कर लेंगे। (इसपर तो अपना ही राज है पर पंगा तो इसको सही तरीके से Configure करने का है।)

    3. अब सबसे बड़ी मुसीबत ये है की हम बजट नहीं बढ़ना चाहते तो हम CloudWay जैसों की सर्विस नहीं ले सकते क्योंकि वो तो DigitalOcean से भी डबल चार्ज करते है। तो हम अच्छे से अपनी वर्डप्रेस वेबसाइट को DigitalOcean पर Configure कैसे करें? (आप DigitalOcean और CloudWays के प्लान को देखिए)

    अब DigitalOcean पर WordPress को Configure करने के भी कई तरीके है।

    1. linux कौनसा लें? (Ubuntu, CentOS या कोई और।)

    2. अब linux के साथ LAMP लें या LEMP लें? (इनमें से कोनसा बेहतर होगा। कोई CPU पर लोड ज्यादा डालता है तो कोई ज्यादा ट्रैफिक हैंडल नहीं कर पाता।)

    3. चलो LAMP या LEMP में एक का चुनाव कर लिया, अब Apache और Nginx में से कोनसा लें? या दोनों को एक साथ इस्तेमाल करें या कुछ और करें?

    4. चलो इनमें से भी एक का चुनाव हो गया अब Docker और Kubernetes का क्या करना है ये समझ से बाहर हो गया? कुछ लोग तो ये भी नहीं समझ पा रहे की ये बला काम क्या करती है।

    5. चलो अब इनका भी कुछ हो गया, अब सिक्योरिटी का क्या करें, आपने Nginx के लिए और Apache के लिए काफी सारे आर्टिकल लिखे हुए है, क्या करें समझ से बाहर हो गया।
    मार्किट में हर एक सिक्योरिटी Issue के लिए अलग -अलग प्लगइन है, इसके बारे में कृपया बताएं की क्या करें। (Nginx जैसों में कमांड से भी कुछ सिक्योरिटी Changes किये जा सकते है।)

    6. थीम के लिए तो आपकी तरह Genesis Framework का इस्तेमाल कर लेंगे। या Astra, GeneratePress, OceanWP में से किसी का चुनाव कर लेंगे।

    7. अब Cache का क्या करें? कौनसा प्लगइन DigitalOcean+Linux+LAMP+Nginx में सही तरीके से काम कर पाएगा। (WP Rocket, WP Super Cache, WP Fastest Cache ?????)

    8. अब इनके साथ Varnish, Redis, Memcached इनका क्या करना है ये भी समझ से बाहर हो गया??

    9. अब एक सस्ता-सुन्दर-टिकाऊ सा CDN चाहिए, चलो CloudFlare ले लिया (अब SSL का क्या करें क्योंकि नए ब्लॉगर है तो खरीदने से परहेज करेंगे तो क्या CloudFlare के SSL का इस्तेमाल करें या कहीं से Let’s Encrypt SSL का कोई जुगाड़ करें, करें तो करें कैसे?) अब Let’s Encrypt Wildcard SSL या Let’s Encrypt SSL का क्या मसला है वो भी समझ से बाहर हो गया।

    10. अब इसमें से Flexible, Full या Full (Strict) कौनसा करें और कैसे क्योंकि तीनों की अलग-अलग डिमांड है। और कुछ Banchmark वालों ने इनपर Web Page Load और DNS Connectivity Slow करने का इल्जाम लगाया है। ये मुद्दा भी हमारी समझ से बाहर हो जाता है क्योंकि हम तो रेसेपी ब्लॉग वाले है तो ये हमें समझ ही नहीं आता, हमें तो आलू पराठा बनाना आता है।

    11. और यही हालात और इल्जाम TLS Version का भी है।

    12. चलो इन सबका भी कोई जुगाड़ हो गया, अब मान लो की हमने Let’s Encrypt Wildcard SSL या Let’s Encrypt SSL या CloudFlare का फ्री वाला SSL ले रखा है तो HTTP Strict Transport Security (HSTS) का क्या करें, इसको कैसे Configure करें क्योंकि फ्री वाले SSL की उम्र और छमता बदलती रहती है।

    13. इसके बाद छोटे छोटे कई पॉइंट है जो एक नए ब्लॉग को Configure करने के लिए जरूरी है। पर समस्या इन पॉइंट्स की ज्यादा है।

    आपसे निवेदन है की आप इन पॉइंट्स पर अपनी राय दें ताकि मेरे जैसे नए ब्लॉगर जल्दी से अपने ब्लॉग को सही तरीके से Step by Step Configure करके अपना काम शुरू करें।

    बड़े भैया आपके उत्तर का इन्तजार है, अब आप मेरे उत्तर का जवाब देंगे या इसपर कोई आर्टिकल देंगे ये आप पर निर्भर करता है।
    भारतीय ब्लॉगर्स आपके इस उत्तर का बेसब्री से इन्तजार कर रहे है इसलिए आपसे अनुरोध है की कृपया Step by Step जानकारी के साथ आर्टिकल लिखें।

    और मुझे जरूर बताएं क्योंकि आपके जवाब पर ही मेरी वेबसाइट की होस्टिंग टिकी है।

    थोड़ा जल्दी करें।
    मेरी बात को समय देने के लिए धन्यवाद।

    मुझे पता है आपके पास समय की काफी कमी है तो ज्यादा न हो सके तो कृपया आप हमें कुछ इस तरीके से समझा देवें ताकि हम अपना काम जल्दी से जल्दी शरू कर सकें।

    1. Ubuntu/CentOS
    2. LAMP/LEMP
    3. Apache/Nginx
    4. Docker/Kubernetes
    5. Genesis/Astra
    6. Varnish/Redis/Memcached
    7. WP Rocket/WP Super Cache/WP Fastest Cache
    8. Let’s Encrypt Wildcard SSL या Let’s Encrypt SSL या CloudFlare Default SSL
    9. Flexible/Full/Full (Strict) — Speed & Security Issue
    10. TLS Version — Speed & Security Issue

    बस आप ये बता दीजिए की इनमें से किस किस का चुनाव करें और इनके कौनसे वर्शन का चुनाव करें: जैसे कुछ Tech Blogger का कहना है की Ubuntu 16.04 से 18.04 से बेहतर है?

    Reply
    • ठीक है मैं जल्दी ही एक नया पोस्ट लिखूंगा जिसमें आप के सभी सवालों के जवाब अच्छे से समझा कर दूंगा

      Reply
  3. How to migrate site from go daddy to digital ocean

    Reply
    • I will do this, contact me on admin@supportmeindia.com

      Reply
  4. Sir, DO Droplate me ek site pe wp install karne ke baad dusri site add kaise hogi? aur uspe fir wp install kaise hoga

    Reply
    • Digitalocean community me iske bare me step by step guideline article hai.

      Reply
  5. Jume Deen bhai, jab maine WordPress mein hosting buy kiya tha tab us samay maine apne friend ke Paypal se payment kiya tha. Ab mera sara credit khatm ho chuka hai aur mujhe 31 July tak ka time diya gaya hai payment karne ke liye. Ab main apne BOI ke Visa card se Paypal ke through Payment karta hoon to Card dicline ka message aata hai aur payment nahin hota hai. Mere friend ke saath bhi kuchh samasya hai jis wajah se unke card se payment nahin kar sakta. Kya aap mujhe iska solution bata sakte hain?

    Reply
    • Sorry dear, aapko ye sawal apne kisi friend ya relative se akrna chahiye.

      Reply
    • BOI ke platinum debit card se ho sakta hai apka classic hoga jo international transaction support ni krta Aap kisi bhi private bank ke debit card ka use kr sakte ho jaise axis bank ya icici bank Ya sbi global debit card ka use kr sakte ho

      Reply
  6. Main kal se hi try kar raha hoon lekin (Step 7: Access droplet via SSH) par jakar atak jata hoon. Is step mein kya karna hai mujhe kuchh samajh hi nahin aa raha hai. Aap batayein ki kya karna hoga?

    Reply
  7. Bas yahi setting karni hai baki bhi batao….

    Aur kya kya manage karna padta hai….

    Aur aap konsa plan use kar rahe ho…..
    Kitne doller ka…….

    Reply
    • Main is bare me kai article likh chuka hu abhi kuch baki hai kuch time bad complete guide available hogi.

      Reply
  8. Sir ek baat aur maine aapke referal link se digital ocean ka hosting buy kiya hai jisme mujhe 10 usd mile hai.aur maine plan bhi 10usd/m wala liya hai too jab bhi paid karna hoga too kitna monthly total kitna pay (with tax ya extra) karna hoga pls bataye.

    Reply
    • Aapko plan price ke sath GST tax bhi dena hoga.

      Reply
  9. HI
    Kya aap bta sakte hai ki digital ocean me wordpress install karne ke baad usme ssl certificate ko kese install kare pls mujhe btaye mujhe bahut need hai.jab ki mere pass hostgator ka ssl certificate 1 year ka hai.ya aap iska bta do ya phir free ssl ko kese install karna hai bta do pl sir pls.

    Reply
    • Aap free Let’s encrypt ssl ya cloudflare flexiable ssl use kar sakte ho.

      Reply
  10. HLO SIR,
    aapne bahut acche se samjhaya nd maine pura setup se wordpress install kr liya but ek baat samajh me nahi aayi ki jab kabhi wordpress uninstall karke dowara install karna ho too kaise karenge aur isme jaise hostgator me cpanel milta hai sab kuch operate karne ko too isme cpanel kha hota hai.pls reply sir.

    Reply
    • Is sabke liye aapko cloud server ki thodi bahut knowledge hona jaruri hai.

      Reply
  11. Sir, Digital Ocean Par Another Server Se Migration Kaise Kare, Jaise Hostgator Se Digital Ocean me,

    Reply
    • Very simple wp-content foldr aur database ka backup le kar DO par install wordpress me import karo.

      Reply
  12. ek droplet par kitna domain add kar sakte hain?. agar mere pas 2 site hain to alag-alag droplet create karna padega??

    Reply
    • Multiple par droplet size aur domain traffic ke according domain number hi add kare.

      Reply
  13. Jume deen bhai meine theme change ker k different locations pe ads lgaye hain or pehli theme se zyada achi locations pe lgaye hain. lekin filhal itny clicks nhi arhy. ? kia wajah ho skti ha aur jume deen bhai jab se theme change kia ha CPC b itna kam hogya ha k kia bataon ? me tau pareshan hogya hoon. achi bhala blog chal rha tha 12 december k bad sab kch down hona shuru hogya 🙁
    aap ki theme boht fast ha. meine is se fast blog abhi tk nhi dekha. yeh theme ka kamaal ha k hosting ka ?

    Reply
    • First January me adsnese CPC low hoti hi hai. Second aap new theme se satisfied nahi hai to ek bar fir se old theme use try kar lo. Ye sab optimizing ki wajah se hai.

      Reply
  14. Jume deen bhai assalam o alaikum kia haal hain ap k ? ap k kehne k mutabiq meine apni website ki theme change ker li ha. genesis framework kia ha. or us ki sample theme install ki hai…
    ap se puchna tha k kia genesis sample theme or kisi premium genesis theme me kch khas farq hoga ya nahi ???
    or aap k blog pe jo mozedia theme install ha yeh kahan se mily gi ?

    Reply
    • Sirf design ka fark hoga baki framework to same hi hoga.

      Reply
  15. Sir mane WordPress par Site banaye hai par jab me koi post karta hu to username aa rha hai(post by….. ) Me ese change kaise karu

    Reply
    • WordPress dashboard >> users par ja kar sakte ho.

      Reply
  16. Bhai badiya jankari de DO ke bare mai bhi soch raha hoo is par move karlu par mere par https enable hai.
    To mai DO par ssl kaise instal karu iske bare me bataiye.

    Reply
  17. jumeedin bhai aapki ye wali website konsi host par hosted hai ?

    Reply
    • AWS

      Reply
  18. wah sir ji kya post hai..ise to implement krna shikna hi padega

    Reply
  19. Shukriya jumdeen bhai bohot helpfull article hai

    Reply
  20. kal maine Bigrock se domain buy kiya aur godaddy se hosting ek mahina pahle buy kiya. maine unko link bhi kar diya ab kabhi-kabhi yh mere web pr real content na dikhakar , kuch aur hi dikha raha hai.

    aur main yh nahi samajh pa raha hun ki yh domain ka problem hai ya hosting ka. please check karke dekh lijiye aur is pareshani ko hal karne ka koi idea bhi bataiye .

    aur han yh problem har bar nahi aa raha hai , kabhi-kabhi jaise 4 se 5 minutes bad.

    Reply
    • Domain name server change karne ke bad proper work karne me 24 to 48 hours lagte hai.

      Reply
  21. Hy, your posts are quite helpful dude, not a waste of time. Keep It Up!

    Reply
  22. Ye Hosting SSL Provide karta hai kya. I want to create a website for my business.

    Reply
    • Nahi aap Let’s encrypt ya custom SSL use kar sakte ho.

      Reply
  23. boss maine 0ne week pahale aapke blog subscribe ke but aaj tak koi notification nahe recieve hua. maine dubara se subscribe option par click kiya to “already suscribe this email’ jaisa kuchh likha mila , and update ko bola, to update bhi kar diya…
    wo email id es comment me submit ker raha he

    Reply
    • Thanks btane ke liye main jaldi hi is issue ko fix kar dunga.

      Reply
  24. Aapke articles bahut detailed hote hain. Thanks for writing

    Reply
  25. Asslamu alaykum Bhai

    Sir aap har ek article bohot accha likhte ho and aapki like ki skill per day increase ho rahi he and aap best bloggers me se ek ho
    Isme koi shak nahi ki aap kuch time me India ke best blogger ban gaye and me bhi aapko follow Kar ke blogging Kar raha hu aur Allah ne chaha to me bhi ek din accha blogger ban jaounga aur me ye bhi chahunga ki aap world class blogger bano

    Reply
    • Thank you, mai chahata hu ki aap ek din mujhse bhi bade blogger bano.

      Reply
  26. Sir maine News Website ke liye ek domain liya hai wo dainik jagaran ,dainik bhaskar jasie bade prakashan se milta julta hai

    Toh kiya mujhe isKo lekr baad mai koi dikkat aa skati hai

    Mera domain
    “Dainik desk” Hai

    Reply
    • Dikkat to kuchnahi hai but aapke samen bahut bade competitor hai. Soch lo unk samna kar sakte ho.

      Reply
      • Ya sir

        Koshish kar ke dekhtey hai

        Kya result milega

        Wasie jumedeen
        Aap bhuat hi zada ache insaan ho

        Sach mein
        Really

        Reply
        • Its my pleasure.

          Reply
  27. Maine ek blog banaya tha Jiski post ka title tha loan karwaaayein. Tab Mai Google Search box me loan karawaein likhta tha to meri website pahle page par dikhti Thi. Baad me maine title badal kar loan karwana hai.. Loan Lena hai.. Loan kaise karaye kar diya. Ab jab Mai Google Search bar me loan karwana hai ya loan Lena hai type karta hu to meri website kahi Dikhayi nahi De rahi kahi. Pls help me

    Reply
    • Aap post ko promote karo rank wapis mil jayegi.

      Reply
  28. Badhiya jankari. Ek sawal hai jin bando ne 2 month ki free hosting le rakhi hai kya wo one click installation ka use kar sakte hai ? Q ki unhone to already droplets create kar rakha hai aise me wo dusra plan to buy nhi karege.

    Reply
    • Agar aapne droplet nahi kiya hai to kar sakte ho or agar kar liya hai to another plan choose kar install kar sakte ho.

      Reply
  29. Sir aap theme konsi use karte ho aur vha free hai yaa paid

    Reply
    • Genesis framework + child theme, paid.

      Reply
  30. One click install me wordpress me problem aati h.
    Manually method thoda hard h.

    Alternative method:- serverpilot se droplate ko connect kr wordpress install achha tarika h.
    M apne 1 blog pr serverpilot use kr rha hu, achhi service h or koi problem nhi aati.

    Reply
    • Yes ye tarika bhi best hai.

      Reply
  31. Sir, wordpress install krne ke bad website new ho jata ya phle jitna Post, page ya installed plugin hai o rahega,?

    Reply
    • WordPress new install hi hota hai.

      Reply
  32. Thanks sir for helpful information. sir post se unrelated ek question hai. google search me post URL ki jagah Category show ho raha jabki permalink setting me post name set hai. iski kya wajah hai aur SEO ke liye koi bad hai or good ?

    Reply
    • Breadcrumbs disable karo.

      Reply

Leave a Comment