WordPress Kaise Aur Kaha Se Sikhe – WordPress Sikhne Ke 10 Tarike

Ek beginner blogger ke liye WordPress confusing se bhara hota hai kyuki use nahi pata hota ki WordPress par blog banane aur use manage kaise karte hai. Is post me main WordPress sikhne ki ek nahi balki 10 tarike bta raha hu, jinse aap aasani se WordPress ke bare me sabkuch sikh sakte ho.

WordPress Kaise Aur Kaha Se Sikhe - WordPress Sikhne Ka Tarika

Internet par Blogs, Websites, Forums, Online Courses, Webinars, Videos, Conference etc. bahut si jagah (place) available hai par aapko WordPress ke bare me puri jankari (full information) mil jayegi lekin newbie user ke liye sabse badi problem hai shuru kaha se kare, WordPress Sikhna Kaha Se Start Kare?

Is post me main aapko WordPress sikhne ke kuch important aur best options, place and tarika bta raha hu jaha se aap easily aur free me WordPress learn kar sakte ho.

WordPress Kaise Sikhe – WordPress Sikhne Ki Beginner Guide

Jab maine apna first wordpress blog create kiya tha to mera bhi yahi question tha aur shayad aapka bhi yahi hoga. Agar aapko isme interest hai to yaha btaye tarike se basic WordPress sikh kar aap apni WordPress Website Launch kar sakte ho.

Top 10 Best Place to Learn WordPress:

1. Learn WordPress with Official WordPress Site

WordPress ka apna special learning wordpress blog hai https://learn.wordpress.com jis par aap wordpress sikh sakte ho. Agar aap wordpress ki officially guidelines chahate hai to aap is site ka use kar sakte hai. WordPress.com ke alawa wordpress.org par bhi aapko bahut kuch sikhne ko milega.

Learn WordPress with Official Site

Kisi aur blog par aapko galat jankari mil sakti hai lekin is par aapko wordpress ke bare me 100% sahi jankari milegi. Isiliye main aapko iske bare me sabse pahle bta raha hu.

2. Learn WordPress with WPBegginer

WPBeginner blog ki main jitni tariff karu utna kam hai. Maine wordpress ko sabse jyada isi blog se sikha hai. Is blog ko specially wordpress users ke liye banaya gaya hai.

WordPress se related koi bhi problem ho is site par sabhi wp problems ka solution mil jayega. Ye ek aesi community hai jis par aapke sabhi wp sawalo ke jawab mil jayenge.

Learn WordPress with WPBeginner Blog

Aapko wordpress ki puri jankari free me mil jayegi. Ye meri favorite wordpress sites me se ek hai. Aap ek bar iske articles read karke dekhe. WPBeginner par aapko text content ke alawa wordpress learning videos bhi mil jayenge.

3. Learn WordPress with ShoutMeLoud

ShoutMeLoud mera favorite indina blog hai. Iske founder harsh agarwal ji time to time wordpress ke bare me unique inofrmation share karte hai. Halanki ye multi-topic blog hai but is par wordpress ki best jankari share ki jati hai. Is blog par aapko WordPress hosting, WordPress Setup, WordPress plugins etc. ki jankari milegi.

Learn WordPress with ShoutMeLoud

Is blog ki sabse achhi bat ye hai ki iska founder apni income report bhi share karte hai. Jisse motivation ke sath blogging se earning karne ki nayi jankari bhi milti hai.

4. Learn WordPress with Kinsta

Kinsta top class hosting hi provide nahi karta balki top class wordpress guideline resource bhi offer karta hai. Is site par aapko wordpress optimization ke bare me puri jankari milegi. WordPress setup, customize, optimize karne ke bare me janne ke liye kinsta resource sabse best hai.

Learn WordPress with Kinsta

5. Learn WordPress with ManageWP

ManageWP name se hi pata chalta hai ki is site par kya jankari milegi, aapko wordpress manage karne ke bare me koi bhi problem ho to uska solution yaha milega. Ye site wordpress tutorials se bhari huyi hai.

Learn WordPress with ManageWP

Ye the wordpress sikhne ke free tarike. Ab main aapko wordpress sikhne ke aesi website aur learning platform btaunga jo wordpress sikhne ki free and paid dono services provide karti hai.

6. Learn WordPress with Udemy

Udemy ek bahut hi achha online learning platform hai jis par aapko WordPress sikhne ke free and paid bahut se course mil jayenge. WordPress expert and teacher WordPress course develop kar Udemy par sell ya free offer karte hai. Aap time to time Udemy check karte rahe aur jaise hi aapko koi achha course mile aap use download kar le.

Learn WordPress with Udemy

Udemy par aapko text content articles, Videos milenge jinse aap aasani se wordpress learn kar sakte ho. Ye mera favorite learning platform hai aur isse maine bahut kuch sikha hai. Aap bhi ise try kar sakte ho.

7. Learn WordPress with WP101

WP101 WordPress sikhne ka special platform hai is par only WordPress ki information milti hai. Is par Udemy ki tarah bahut sare WordPress tutorials nahi hai lekin jo hai wo bahut hi better aur clear content wale hai. Beginners ke liye wordpress sikhne ka ye bahut hi achha platform hai.

Learn WordPress with WP101

8. Learn WordPress with Lynda

Lynda.com bhi udemy ke jaisi quality rakhta hai. Is par bhi aapko bahut type ke learning videos mil jayenge jinme wordpress bhi shamil hai.

Yaha aapko 3D Animation, Audio, Music, Design, Developer, Education, Earning, Marketing, Video, Web Development etc. sabke collection and guidelines mil jayegi. Aap iske free trial ka lutf utha sakte hai.

Learn WordPress with Lynda

9. Learn WordPress with WP Sessions

WP Sessions wordpress learn karne ki bahut hi achhi community hai jis par aapko wordpress ki A to Z guideline milegi. Aap is platform ke through text content and videos dono tarike se wordpress sikh sakte hai. Aapko hours ke hisab se training courses videos milenge jinse wordpress sikhna bahut aasan hai.

Learn WordPress with WP Sessions

10. Learn WordPress with WPMU DEV

WPMU DEV site par aapko wordpress plugins, theme and wordpress setup or errors ki jankari milegi. Ye free and paid service offer karta hai. Iske blog section me wordpress se related high quality content share hota hai jo kisi bhi wordpress user ke liye useful and helpful hai.

Learn WordPress with WPMU DEV

Ye thi 10 jagah jaha par aap wordpress learn kar sakte ho. In sabke alawa bhi aapko internet par aesi kai website mil jayegi jo wordpress information share karti hai. Iske liye aapko google search karna padega. Inke alawa aap humare is blog par bhi wordpress sikh sakte hai.

Agar aap already ek wordpress user hai to jahir hai aapne bhi kahi se wordpress sikha hoga. Aapke wordpress resourse kiya hai aap uske bare me hume comment section me btaye.

In sabhi me se WPBeginner wordpress sikhne ke liye meri first choice hai. Aapki nazar me inse bhi achha koi tarika ho worpdress sikhne ka to uske bare me bta kar humare readers ki help kare.

Ye bhi padhe,

Agar aapko ye article pasand aaye to ise dusre blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 15 )

  1. Deepak

    Sir wordpress genesis theme design kaise karte hai. Is bare me post likhiye

    Reply
  2. Deepak

    Sir aap website theme design karne ke liya konsi plugin ka use karte ho. Aur aap konse pagebuilder ka use karte ho

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...