Oh! aap DigitalOcean se VPS server lena chahate hai, agar haa to ye post aapke liye hi hai. Is post me main DO se cloud hosting service buy karne ki jankari step by step share kar raha hu. Sath hi agar aap is guide ko follow kar hosting buy karoge to $10 credit kama kar DigitalOcean se 2 Month Free Hosting purchase kar sakte ho.
Mujhe amazon AWS ke bad DigitalOcean Cloud Hosting sabse best lagti hai or abhi mai abhi sabhi WordPress blogs ko DO Server par hi host kar raha hu. Iski wajah hai iski best and excellent services. Main Digital Ocean ke sath bahut khush hu.
DigitalOcean 99.99% uptime ke sath best virtual private server VPS hosting service provide karta hai. Maine apni pichli post DigitalOcean Cloud Hosting Last 3 Month Review 2024 me iske bare me details se btaya tha.
Agar aapko iske bare me jyada knowledge nahi hai to pahle ye post kar iske bare me achhe se jan le uske bad niche btaye step follow kar hosting buy kare.
Table of Contents
DigitalOcean Se 2 Month Free Cloud Hosting Kaise Kharide
Main yaha aapko digitalocean se hosting lene ke sath $10 free credit pane ke bare me bhi btaunga taki aap 2 month free hosting le sako.
Step 1: Get $10 Free Credit
Sabse pahle aap green button par click kar DigitalOcean site par jaye.
(Agar aap is link par click karke site par nahi jaoge to aapko $10 free credit nahi milega.)
Ab aapke samne Digitalocean ka homepage open hoga or “Free credit activate: You have a $10 credit from a friend, Complete registration to get started.” alert show hoga.
- Complete registration to get started par click kare.
Step 2: Confirm Email
Yaha aap top right side me dekh sakte hai ki aapke account me $10 referral credit add ho chuka hai. Ab aapko DO email address confirm karne ke liye kahega.
- Apne email inbox me jaye or digitalocean ke mail ko open kar usme diye link par click kar email ID verify kare.
Aapke mail me diye verification link par click karte hi aap fir se Digitalocean site par pahuch jaoge.
Step 3: Add Payment Method
Ab aapko payment method add karni hai. Yaha aapke pas 2 option hai.
- Credit Card: Aap apni bank ka credit card use kar sakte ho.
- Paypal: Aap paypal account ke through payment kar sakte ho.
Aapko jo method better lage wo choose kar sakte ho. Credit card add karna hai to upar screen k anusar stps follow kare.
Step 4: Get 2 Month Free Hosting
Payment Method add karne ke bad aap DigitalOcean ke log in dashboard par pahuch jaoge. Ab aapko 2 month free hosting leni hai. Iske liye ye steps follow kare.
- Top right side me apni profile picture ke left side me Create >> Droplets open kare.
- Choose a size option me $5/mo wala plan select kare.
- Ab baki details set kar droplet create kare.
Droplet 55 second me create ho kar ready ho jayega. Ab aapko digitalocean se 2 month ki free hosting mil chuki hai. Is tarah se aap $10 credit pa kar DO se 2 month ki free hosting buy kar sakte ho.
Agar aap One click apps method se WordPress install karte ho to aapko $10 per month wala plan choose karna hoga jisme aapko ek month free hosting milegi. But starting ke liye 5 dollar wala plan better hai jisme aapko 512 MB Memory, 1 CPU, 20GB SSD Disk, 1GB Data Transfer milta hai.
Hosting lene ke bad aapko bhi ek referral lin milega aap use promote kar or credit kama sakte ho. Agar aapko per month minimum $10 bhi milega to aapko hosting ke liye pay nahi karna padega.
- DigitalOcean Server Par Droplet Kaise Create Kare
- DigitalOcean Cloud Hosting Par WordPress Install Kaise Kare
Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par share jarur kare taki koi or bhi free hosting buy kar sake.
Nitesh
Bhai digital ocean ka credit 100$ ab khtm ho gya hai ab mene jo card add kiya hai ab payment usse kb hogi apne aap hogi ya mujhe krna pdega aur payment droplet ke size ko choose kiya 15$ to ye hogi ek bar me ya kuch aur
जुमेदीन खान
आप 1 महीने में जितना charge करोगे उतने का ही पेमेंट होगा, card ऑटोमेटिकली पेमेंट होता है, मैं आपको सलाह दूंगा कि आप इसके लिए paypal इस्तेमाल करें
Nitesh
Ji bhai apki slah jaroor manege thankyou
Imran Ahmad
Jumedeen bhi kya digital ocean se Internet banking ke dwara bhi hosting kharid sakte hain
Jumedeen khan
Nahi, credit card ya paypal se kharid sakte hai.
Tarun kumar
DigitalOcean me frist Month ka paisa dena hoga? Ya sirf sing up karne par 10$ milenge?
Jumedeen khan
first month payment karna hoga.
Aman Patel
sir mai backlinks banata hu par jab kisi backlink tool ka use karke check karta hu to waha backlinks show nhi hote.
Jumedeen khan
Backlinks ko index hone me time lagta hai, 1-3 ya isse jyada month bhi lag jate hai.
Rehan
Sir ek question hai ki digital ocean me bade file ka theme upload nahi ho raha hai use kaise solve kare. Aur .htaccess usme nahi hota to .htaccess me kabhi kabhi jo change karte hain wo kaise karenge.
Jumedeen khan
Big file size ke liye aapko uploads (max file size) limit increase karni hogi. Google me thodi researching kar lo is bare me kai post mil jayegi.
Rashid Khan
Mene aapke kehne par digital ocean par apni wordpress site host kr li hai. 5 days to sahi se website open ho rha tha bt avi site bht jyada slow open ho rha hai.. Kya kru koi best solution dijiye…..
Jumedeen khan
Fastcgi cache, Opcode cache enable karo aur cdn use karo.
Irfan Khan
Bhai inko setup kese karte iske bare m bhi ek post bana do plz main intzaa kar rha hu.
Jumedeen khan
Already kar chuka hu please same category psots.
Anand Kumar
Main wordpress ke liye bilkul ready hoon aur apne blog ke liye ek achchha sa premium template lena chahta hoon. Aapke khyal se mere electric blog ke liye kaun sa theme best rahega? Kya SMI wala theme mere topic ke liye sahi rahega? Yadi nahin to ek achchhe se theme ke bare mein bata dijiye. (Aapka reply mere liye bahut importence rakhta hai)
Jumedeen Khan
Main aapko studiopress theme suggest karunga. Usme aapko ek se badhkar ek achhi theme mil jayegi.
Rohit
Bro mere 2 Question hai repley jarur karna
?1. jaise live tv website (viruwap.in, hellotv.com) jin par ham live tv dekh sakte hai.
inke ek/do tv chaneel ki link maine copy ki lekin 1/2 hours
Tak to link kam karti hai. lekin 1/2 hours ke baad wah kam nahi karti hai (matlab) 1/2 ghante ke baad ham us link se live tv channel nahi dekh paate.
Us link ka khuch number change ho jata hai. For examples Jaise link aise hoti hai (rtsp://2.8.token=22954 etc). toh puri link same ek jaisi hi rahti hai kewal iska token number change hota hai.
Har baar kewal token number hi change hota hai. baki pur link same ek jaise hi rahti hai.
(Ye kaise hota hai. yen log apne aap hi link change karte hai (ya) kuch automatic system hai?)
?2.is trah ki live tv website mujhko bhi bannani hai (ya) mujhko bhi apni site par live tv dikhane hai same inke jaise. uske liye kya karna padega?
Jumedeen Khan
Javascript se aap ye sab kar sakte ho.
Iske bare me aapko google me search karna chahiye guideline mil jayegi.
Abhishek
Please write on Linode too. I have tried it and it is awesome. Additionally it costs half the price of DO
Anuj Mishra
Mai apne blog me kuchh post kafi achha likhta hu fir bhi vah google ke first page me nahi aati , kaise aapne bataya hai mai backlink using tarah banata hu, mujhe kya karna chahiye first page me lane ke liye
Jumedeen khan
Do something new and special.