Hi, Friends 2016 ka 4th month start ho chuka hai. Now, Time hai Mera income, traffic and blogging experience share karne ka. Mai jab bhi apne blog ki traffic and income report share karta hu to mai chahata hu ki mere reader ko isse online paise kamane me help mile or wo or jyada mehanat kar sake. Or wo bhi mujhse bhi jyada success ban sake.
Supportmeindia ki income report se sirf aapko hi fayda nahi hota hai. Balki is par post likhte time mujhe bhi next month or jyada better karne ki prenna milti hai. Or mai try karta hu ki next month mujhe kya changes karne hai or kis tarah apne business ko or better banaya jaye.
“Mai ek hindi blogger hu or hindi blogging se jyada earning karna to mushkil hai”. Mai is bat ko nahi manta or ye sach bhi nahi hai. Agar hum mehanat kare to hindi blog par bhi achi income ki jaa sakti hai. Mai is bat ko isliye bhi nahi manta ki mere sath aesa nahi hua hai. Balki is liye nahi manta ki agar hum dil se mehanat kare to hume har kaa me saflta milti hai.
- Success Blogger Banne Ke Liye Ye 5 Tips Follow Kare
- Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites
78,000: Support Me India March 2016 Traffic & Income Report
March 2016 ki starting me mai rajasthan journey par tha or 10 march tak comments ke alawa meri blog par koi activity nahi thi. 11 march 2016 se maine supportmeindia par work start kiya or is month ke last tak mai only 43 articles hi publish kar paya hu. Jinme se 5+ Guest Post hai.
Support Me India Traffic Report March 2016
Maine march 2016 me 21 day hi work kiya hai. But jaisa mai already bta chuka hu ki blogging ek aysa way hai jisse aap 24 hours paise kamate rahte ho. Mere readers ko daily new update pasand hoti hai or mai kah sakta hu ki jyadatar audience supportmeindia ki new post ka hi wait karte hai. Jiski wajah se mujhe 1 to 10 march tak traffic and earning, blog rank and other se kafi nukshan hua hai. March 2016 me supportmeindia par total 350k+ pageviews huye hai. Yaha aap last 30 day ka screenshot dekh sakte ho.
Support Me India Income Report March 2016
Mujhe blogging ki starting se hi traffic or income dono me better result mila hai. Same last month february 2016 ki tarah is mahine me bhi mujhe acha result mila hai. Or mujhe afsos hai ki mai march ke first 10 dino me work kyu nahi kar paya. Is mahine me maine supportmeindia se total $1123 earn kiye hai. Jiske source is parkar hai.
- Google Adsense: $876.32
- Affiliate Marketing: $130.17
- Blogging Service: 4,500 INR
- Youtube Videos: $10.82
- Other Work: $106
Total Earning: $1123 (74,000 INR)+4,500 = 78,500 Indian Rupee
Payout Source:
Internet Connection, Wordpress Hosting, Mobile Internet, Office Charge andOther Work Total Payout: 12,300 rupees
Now, Total Income: 78,500 – 12,300 = 66,200 INR
Ab Aapki bari hai aap apne blog se kitne paise kama rahe ho or kis kis tarike se kama rahe ho. Aap apni income report niche comment me share kar sakte hai. Or agar aapko earning karne se related koi problem ho rahi hai to aap uske bare me bhi yaha bat kar sakte ho. Mai chahata hu ki har ek blogger success bane or apne blog ko uchaiyo par le jaye.
- 10 Blogging Tricks Jo Aapko Successful Blogger Bana Sakti Hai
- Kya Aap Ek Successful Blogger Banna Chahate Hai – Success Baniye
Agar aap chaho to is post ko social media par apne friends and other hindi blogger ke sath bhi share kar sakte ho.