Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips

Aapne AdSense performance report me bahut bar dekha hoga ki ads click hone par bhi earning nahi hoti hai. Iski wajah Invalid click hoti hai. Or AdSense invalid click ka ek bhi paisa nahi deta hai balki isse humara AdSense account disable bhi ho sakta hai. Isliye hume AdSense invalid click activity ko rokne ke bare me sochna shuru kar dena chahiye.  Mai is post me aapko isi ke bare me bta raha hu. So har us blogger ko iski jarurat padegi jo AdSense use karta hai.

Stop Adsense Invalid Click Activity

“Hello Sir mere AdSense account ki report me meri earning $5 show ho rahi thi. But kuch der bad ye $4.83 ho gayi. Earning kam kyo ho gayi plz give me some better information” Ye sawal mujhse Harsh Agarwal ne 24 feb 2025 ko pucha tha. Mai harsh ko thanks kahna chahunga kyuki iske bare me maine koi post nahi ki hai. So mujh harsh ke sawal se AdSense user ke liye ek achi post likhne ka idea mila hai.

Adsense income kam hone ki wajah hoti hai AdSense ads par Invalid Click Activity. Jab bhi koi visitors humare ads par galat click karta hai to wo click invalid click mana jata hai. Prevent Invalid click Activity yani invalid click konse click mane jate hai. Ise aap in 3 point se samajh sakte ho.

  1. Jab user ads me btaye link ki jagah or kahi par click kare.
  2. Jab user ads ko aapki site ka hi hissa samajh kar click kare.
  3. Jab user ads par click nahi karna chahato ho or galti se click ho jaye.

Adsense invalid activity se humari koi income nahi hoti hai. Ulta invalid click se humari income kam ho jati hai. Or ho sakta hai jyada invalid click hone se humara AdSense account hi disable ho jaye. Har AdSense user is problem ka solution pana chahata hai. Or janna chahata hai ki kis tarah wo AdSense invalid click activity se bach sakta hai.

Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips [Stop Invalid Activity]

In this post, Mai aapko AdSense invalid click activity se bachne ke kuch tips bta raha hu. Jo aapke liye helpful sabit honge. Or aapa apne AdSense account ko safe rakh sakoge. Isse pahle bhi mai Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tarike post me bhi AdSense ko safe rakhne ki bat kar chuka hu.

1. Read & Follow Adsense Policy: Adsense user ke liye sabse important bat hoti hai AdSense plocies ka palan karna. Iske liye aap AdSense policy ko weekly check karte rahe or AdSense policy ke anusar btaye place par hi ads lgaye. Iski janakri ke liye aap Adsense Ads Placment policy ko ache se padh or samajh le.

2. Stop Relation With Bad Habits: Sabse pahle aapko bad peoples, bad website or blog, bad social group se relationship todna hoga. Bad se mera matlab hai s*x, p*rn, hacking jaisi gandi aadat rakhne wale log, website or blog. Aapko in sabse se bachna hoga. Kyuki ayse log humesha dusro ka bura sochte hai. Or humesha kisi ka bura karne ki koshish me rahte hai. In sabhi jagah se aapko bekar traffic milega. Jo sirf time pas ke liye aapki site par aayenge or aapka nukshan kar ke hi jayenge.

3. Make Good Relationship With Your Reader: Apne audience ke sath acha rishta banaye or unhe AdSense invalid click ke bare me samajhaye. Iske liye aap apni site ke liye privacy policy bana kar usme AdSense policy add kar sakte hai. Jisse aapke reader aapki site par lage ads par invalid click na kar sake.

4. Don’t Click Your Ads: Mnta hu aap bahut smart or intelligent hai. But google ko bevkuf banane ka vichar apne dimag se nikal de. Kabhi bhi AdSense ke ads par click mat karo. Isse aapka AdSense accont block ho sakta hai. Or agar block nahi bhi hoga to aapki Adsense CPC bahut kam (Low) ho jayegi.

5. Don’t Share Adsense Ads: Adsense ads code ko other site par dikhane ki permission nahi deta hai. Aap sirf apni verify site par hi ads laga sakte ho. Isliye un logo se bache jo aapko jyada traffic ka lalach de kar AdSense partnership karna chahate hai. Sath hi AdSense ke bare me post karte time dhyan rakhe ki aapki personal information publish nahi honim chahiye. jaise AdSense ads ID, AdSense ads code etc.

6. Stop Spam Traffic: Agar aapki site par traffic ekdam se badh jata hai or aapko duable ads click milne lag jate hai to ye aapke liye pareshani ban sakti hai. Isse bachne ke liye aap spam traffic, comments ko block kar sakte hai. WordPress blog par ye bahut aasan hai. Agar aapka blog free blogger par hai to aap ayse time me turant AdSense ko iski report send kare. Iski jankari ke liye aap AdSense ke Create and manage custom alerts form par jaye.

7. Don’t Buy Paid Traffic: Adsense paid traffic allow nahi karta hai. Adsense only unhi visitors ko pasand karta hai. Jo apni marzi se aapke blog par aate hai. Agar aap traffic kharidna chahate ho to aap AdSense use nahi kar sakte hai. Isliye kahi se bhi traffic kharidne se pahle ache se soch le ki paid traffic se aapke blog par invalid click ho sakte hai. Or AdSense aapko ban kar sakta hai.

8. Adsense Ads Color: Aap AdSense ads ko apne hisab se customize karne ke liye free hai but iska ye matlab nahi hai ki aap AdSense ads ko bilkul apni site ke color me mila de. Adsense chahata hai ki visitor apni marzi se ads ko ads samajh kar ads par click kare.

9. Don’t Use Popup & Sticky Ads: Adsense invalid click se bachne ke liye aap apni site par sticky or popup ads lagana band kar dijiye. Kyuki AdSense popup or sticky ads par huye click ko invalid click manta hai or AdSense ise allow bhi nahi karta hai.

10. Report To Adsense Invalid Click Activity: Agar aapko lagta hai ki aapki site par invalid click kiye ja rahe hai to aapko iske bare me turant google AdSense team ko notification bhejni chahiye. Adsense ko invalid click activity ki report karne ke liye aap Invalid Clicks Contact Form par ja kar AdSense ko report kar sakte hai.

I hope aapko is post me google AdSense ke bare me good information milegi. Ho sakta hai aapko is ke bare me pahle se jankari ho. But fir bhi aapko kuch na kuch new sikhne ko jarur milega. Agar meri bat 10% bhi sahi hai to post ke bare me commnet jarur karke apne thoughts jarur share kare.

Adsense invalid click activity ko rokne ke liye koi fix way nahi hai. But hum is post me btaye or kuch or tariko se apne AdSense account ko invalid click se bacha sakte hai. Iske liye mera aapko yahi suggestion hai ki aap AdSense ke bare me jitna ho sake jankari prapt kare.

If You can like this post as give you helpful information, Then plz share this post with your friends on social networking sites.

Reader Interactions

Comments (165)

  1. Bhai koi upaye bataiye mera account pehle jaisa kaise hoga please help me

    • Maine aapko screenshot dikhane ke liye kaha tha. Aap send akroge to hi main bta sakta hu.

  2. Bhai abhi mera YouTube account suspend ho gaya h apne aap or yeh mail aaya h iska kya mtlab huwa kya mene aisa kya jiske wajah se aisa huwa
    Hi,

    Google has suspended your Account, because of a violation of our Terms of Service.

    • Ameen aapne YouTube terms ka violation kiya hai isliye aapka channel suspend kar diya.

  3. Bhai mere YouTube ke accouny me 32 doller thy badi mehnat se kamaye thy 2 din me sare apne aap hi ky gaue kamane me 2 mahine lage thy.ktne me 2 din..aisa q bhai abhi.80 cents hi bache h.bhai batao me kya kru…

    • Ameen check revenue report carefully.

  4. Bhai 2 AdSense account 1 bank account access krega…

    • Nahi.

  5. Bhai mere AdSense account me doller to nhi katte h lekin add clicks sb kat jati h jaise ki 100 clicks mili to 1 ghante me 0 ho jati h jiske karan kuch earn nhi hota iska ilaz h kuch

    • Check my AdSense related other post and read carefully.

  6. bro jo ad code mene sidebar text widget se hataya tha.. usko vapis same jagah paste kardun kya.?? jisse mujhe AdSense team se reply mile.. kyu ki ab 12 days hogaye ab tak koi response nhi aaya .

    • Aap first blog par traffic badhao or kuch or content likho tab tak AdSense code blog se remove kar do uske bad jab traffic 500+ ho to hi add code add karna.

  7. I am mohd faizan

    We recently detected invalid activity in your AdSense account. As a result, we’ve temporarily suspended your account for 30 days. During this time, no ads will be served on your sites.

    bhai kya karu…
    We found that you were clicking on your own AdSense ads, which is prohibited by the AdSense Program Policies.

    • Adsense placement sahi se karo or khud ads par click mat karo.

    • Aapko waise case me sabse pahle apne ads code apne site se remove kar dena chahiye, Then ak form aata hai google AdSense invalid clicks contact form usse turant fill kar ke google ko submit kar de. then google se response aane ke baad ads fir se laga de.
      is link se aap us form ko dekh sakte hai. http://support.google.com/AdSense/contact/invalid_clicks_contact

      Invalids click ko pata karna ka sabse better idea jab page impression ka 30-40% se above CTR ( Click through rate) jaane lage to usse AdSense invalid click maanta hai.

  8. 18 sep ko mere site mai total click 229 show ho rahe the , or19 sep ko total click 221 show hone lage or aaj 20 sep ko 207 show ho rahe hai ,or dollar kal 19 sep ko 0 .60 thaa aaj 0.61 show ho raha hai meri site 29 July ko shuru hui thi mai song lyrics, content leekhti hu please mujhe bataya kya kami hai, dia24.in mai

    • aapne site ka url mention nahi kiya mai aapko site check karke hi suggest kar sakta hu.

  9. Adsense Payment History me “Invalid Traffic – AdSense for Content” hai kya ???

    aur, Payment Generate hone par Kuchh Dollars “Dedits ($)” kar liya jata hai …

    Suggestion please….!!

    • Ye invalid click ka charge hota hai. Sabke sath aesa hota hai.

  10. Jumedeen bhai ye sawal maine apse kuch din pahle picha tha par apse koi reply nhi mila. Aaj maine ye post padhi aur kuch achha solution mila onvalid click activity se niptne ka. Thanks for thse suggestion.

  11. hame kaise pata chalega ki hamari site par invalid traffik/activicty ho rhi hai………….

    • Aap google AdSense total earning report me check kar sakte ho. Waha clear likha hota hai ki itne paise invalid click ke cut kiye hai.

  12. hi, thank you for sharing this article to us…

  13. plz plz plz hlep AdSense account not ad show 1 account AdSense site 1

    • Aap apni site par ads lagao or AdSense ka message ka wait karo. ads show hone lag jayenge or nahi bhi honge to iske karan ka aapko message mil jayega.

  14. sir mere AdSense account ki Account information me time zone (UTC-08:00) Los Angeles dikhay de raha hai vo sahi hai ya nahi…. agar koi sujav ho batayega…..pls sir

    • Glat hai aap use change karke india ka time set kato (UTC+05:30)

      • sir 05-00 to kuch alag dikha raha hai… india ke liye (UTC+05:30) Kolkata ka time hai…. vo hi set karu to chalega

        • Ham maine 05:30 hi btaya hai.

          • sir mene AdSense account ki Account information me time zone change to kar liya lekin niche jo likha hai vesa msg aata hai… to iska matlab kya hai aur muje kya karna padega….

            You have just changed your time zone and may notice discrepancies in estimated earnings on the homepage. Your payments will not be impacted.

          • Iska matlab hai ki aapne abhi AdSense ka time change kiya hai. ab AdSense me usi time ke hisab se report show hogi.

  15. sir mene mere blog ka domain name change kiya hai to ab me AdSense me vo naya domain name kaise ad kar sakta hu…. pls help me…

    • Adsense.com par jao or right side me setting gear icon>>setting par click karke left side sidebar me site management par click karke apna new domain add karo.

    • sir mene apne blog ka name change karne ke bad sitemap generate karke google webmaster me add kiya tha total 760 url submit ho gayi hai lekin index nahi huvi hai esa kyu…. abhi google me bhi mera blog name change karne ke bad search me nahi aa raha hai…. pls help me..

      • Aapka blog search me bhi aa jayega or google aapki site ke urls ko index bhi kar lega. isme thoda time lag sakta hai.

        • mene apne blog ka domain name change kiya hai… aur sitemap bana kar google me submit kiya hai… 4 din ho chuke hai fir bhi mera blog google me search nahi ho pa raha hai aur url bhi index nahi ho rahe hai….

          mera purana domain name “www.infoguru24.com” tha aur jo change kiya hai vo naya nam “www.CareerGujarat.com” hai

          abhi bhi google me sare url purane domain se search ho rahe hai… pls sir help me… mera traffic kar ho chuka hai…

          • Apne old domain ko search console me se remove karo or new domain ko add karo. Site ka domain change hone par bhi 1-2 month tak old domain bhi search me aayega. iske liye aap old domain ka ek blog bana kar use new domain par redirect karo. new domain ko search me aane me time lagta hai. Isme 10+ day bhi lag sakte hai.

          • sir old domain ka blog to bana liya hai…. par sir use redirect kaise karu…. pls help me…

          • sir ye code dalkar me apna blog redirect karu to AdSense me koi problem hoga ya nahi… redirect karne par traffic meliga vo AdSense ki policy ke hisab se sahi hai ya nahi….

          • Nahi AdSense ko isse koi problem nahi hai.

        • sir mene jo site map submit kiya hai use me muje niche di gaye ek error dikhay gayi hai.. to iska kya matlab hai aur iska kya solutions hai…..

          We encountered an error while trying to access your Sitemap. Please ensure your Sitemap follows our guidelines and can be accessed at the location you provided and then resubmit.

          • sir mene google webmaster tools me se crawl errors 2 din pahele hi fix kari thi abhi koi error dikhay nahi de rahi hai aur sitemap bhi fir she submit kiya hai fir bhi ye error aa rahi hai…..

          • Maine aapko jo post btayi hai. Usme btaye anusar sitemap greate karo. Kyuki webmaster tools ki report bta rahi hai ki aap humariguidelines follow karke sitemap nahi bana rahe ho. or ha apni site ke samne www laga kar sitemap banao. example. http://www.xyz.com

          • sir mene aapke post padhkar usme aapne jesa bataya hai usi ko follow karke he sitemap banakar submit kiya hai fir bhi ye problem aa raha hai….

          • Aap ye step follow karo.
            1. google webmaster tools me check karo ki aapki site verify hai ya nahi.
            2. agar aapki site www se open hoti hai to www se hi sitemap create karo.
            3. Google search console me se crawl erros or parameters ko fix karo.
            4. Uske bad google search console me se sabhi sitemap ko remove kar do.
            5. Ab fir se sitemap bana kar submit karo. ho jayega.

    • sir me google me site:careergujarat.com likhkar apne site ke kitene url index hai vo chek kar raha hu…. to kai url ke niche muje niche diya gaya msg dikhay deta hai… ye domain name change karne ke bad problem aaya hai… to iska kya matlab hai….

      “A description for this result is not available because of this site’s robots.txt”

      • Aap galat robot.txt file use kar rahe ho. Ye post padho

        • Sir par mene robots.txt file to add ki he nahi hai…. vo setinngs o blogger me mane default he vohi rakha hai…. jese pahele tha… lekin domanin name change karne ke bad ka ye problem hai….

          abhi jo blogger me settings hai vo niche diya hai…

          Custom robots.txt ? [Disabled] Edit
          Custom robots header tags ? [Disabled] Edit

          • Aap google search console me ja kar robot.txt file check karo.

          • sir vo bhi check kiya aur vo ok hai… mene niche code diya hai….

            ser-agent: Mediapartners-Google
            Disallow:

            User-agent: *
            Disallow: /search
            Allow: /

          • It’s ok aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi hai. aapki problem apne aap solve ho jayegi.

  16. Aisa Kuch Ho Sacta hai kya jissay mere site par USA or UK Ki Company ke Ads Show Ho

    • Aap USA or UK se related post karo.

  17. Alexa Rank ka koi Monthly Charge Bhi Hota hai kya

    • Nahi. rank free show hoti hai baki option paid hai.

  18. hello sir aesi konsi website he jisme ragister karvake money kama sakte he…

    • Nahi mere pas aysi koi site nahi hai. Aap khud ki site bana kar paise kama sakte ho.

  19. bro
    mujhe ek bahot bada problem ho gaya hai help

    problem –
    maine wo free net wala vpn use kiya tha to mera Adsense bhi 1-2 bar open kiya hu to ab koi mere site par visit karega or wo ip se usne ads par click kardiya to mera Adsense block ho jayega please koi solution do

    -VPN ke server mai IP kavi change nai hoga wo IP rahega to kya kare

    • Alpesh aysa kuch bhi nahi hai. koi usi ip se aapki site open kyo karega. wo computer to sirf aap use karte ho.

  20. Helpful Article.