Google AdSense EFT ( Electronic Funds Transfer) method se payment kartha hai. EFT payment process sabse jyada secure aur fastest method hai. Adsense payment lene ke liye publisher ko address verify karke bank account information deni hoti hai. Iske steps bahut hi aasan hai lekin kuch new users ko confusing ho jati hai aur unhe guide ki jarurat hoti hai. Is post me main Google Adsense Se Payment Lene Ki Puri Jankari Hindi Me bta raha hu.
Google Adsense se payment lene ke liye aapko 4-5 steps follow karne honge uske bad hi aapko payment mil sakega. Google ke country ke according payment process hoti hai, aap India se hai to humari ye post read kare Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai.
- Google Adsense Guide in Hindi: Adsense Tutorial List
Main google adsense payment process ke bare me already bta chuka hu but yaha iske 4-5 steps ko explain karke btaunga taki aapko sabkuch clearly samajh aa sake aur aapko adsense se payment lene me koi problem na ho.
Table of Contents
- Google AdSense Se Payment Kaise Lete Hai Puri Jankari Hindi Me
- 1. Provide your Tax Information (not required in all locations)
- 2. Confirm your Payee Name and Address
- 3. Verify your Address
- 4. Select your Form of Payment
- 5. Add Bank Account Information
- 6. Meet the Payment Threshold
- 7. Wait 2-3 Weeks for Payment
Google AdSense Se Payment Kaise Lete Hai Puri Jankari Hindi Me
Agar aapko abhi ya next month adsense payment milne wala hai to ye guide aapki payment lene me help karegi.
1. Provide your Tax Information (not required in all locations)
Ji haa, ab aapko adsense se payment lene ke liye tax-related information provide karni hogi lekin ye all countries me require nahi hai. Aapki location par depend karta hai. Adsense me tax information submit karne ki jankari ke liye ye psot padhe.
2. Confirm your Payee Name and Address
Google adsense se payment lene ke liye aapko apna sahi payee name aur address use karna hoga. Adsense account name aur address aapki bank account name and address details se match hona chahiye.
Ye bahut important hai aur iske bina aap adsense payment nahi le sakte. So only real name and address ke sath hi adsense account banaye taki aapko payment lene me problem na ho.
3. Verify your Address
Jab aapki adsense earning payment threshold se jyada ho jayegi to google aapko address verification PIN send karega. Payment lene se pahle aapko ye PIN code adsnese verification page me add karna hoga.
Agar aapko iski adhik jankari nahi hai aur apa janna chahate hai ki adsense me address verify kaise karte hai to ye post read kare.
- Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai
- AdSense Account Me Without Pin Code Address Verify Kaise Kare
4. Select your Form of Payment
Jab aapki adsense earning payment threshold limit cross kar jaye to aap apni payment form select kar sakte hai. Aapke liye konsa payment form available hai ye aapki location par depend karta hai. Google wire transfer, checks, and cash payment karta hai.
Agar aap India se hai to aapke liye Wire Transfer Process sabse better hai.
5. Add Bank Account Information
Address verify karne aur payment threshold reach karne ke bad aapko adsense account me bank account details add karni hoti hai. Isme Bank Name, Bank Account Number, IFSC Code, SWIFT BIC Code etc. details add karni hoti hai.
Isme ye posts aapki help karengi.
- Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari
- SWIFT BIC Code Kya Hai Apni Bank Ka SWIFT Code Kaise Pata Kare
6. Meet the Payment Threshold
Jab aapka earnings balance month ki 21 tarikh se pahle payment threshold se jyada ho jata hai to payment period shuru ho jate hai. Aap chahe to payment hold par rakh sakte hai aur jab chahe payment le sakte hai. Iske liye aapko payment threshold limit set karni hogi.
New user se mistake se payment threshold $100, $500 etc. set ho sakti hai. Agar aapki payment threshold ki limit aapki earning se jayda hai to aapko payment nahi milega.
For example, Agar aap payment threshold limit $500 set kar dete hai aur aapki earning $200 hai. Ab India me minimum payment threshold limit $100 hai ab aapko $100+ hone ke bad bhi payment nahi milega.
Aapko $500 ke bad hi payment milega. So ek bar adsense payment settings me ja kar confirm kar le ki aap payment setting sahi se set ki huyi hai.
7. Wait 2-3 Weeks for Payment
Above all steps ko follow karne ke bad aapko 2-3 week tak wait karna hai. Google har mahine ki 21 tarikh ko payment send karta hai. Mostly, adsense publisher ko 22 to 25 tak payment mil jata hai but kai par date aage piche ho jati hai
Google adsnese payment aapko kitne time me milega ye aapki location par depend karta hai. Kai bar new user aur kuch adsense publisher ko 8-10 tak payment nahi milta to wo confuse ho jate hai.
Agar aapek sath kabhi aesa ho to tension na le aur 2-3 week wait kare uske bad apni bank branch ja kar bank manager se inquiry kare.
In easy steps ko follow karoge to aapko google adsense payment lene me koi pareshani nahi hogi aur na hi koi confusing hogi.
I hope ab aapko adsense se payment lene ke bare me kisi se kuch puchna nahi padega agar abhi bhi aapko apne sawal ke jawab nahi mila hai to aap comment section me apna sawal puch sakte hai.
Ye bhi padhe,
- Google Adsense Se Jyada Paise Kaise Kamaye, Best Earning Tips
- Top 10 Simple Tips Google AdSense Earning Increase Karne ke Liye
Ye post achhi lage to ise other adsense publisher aur blogger ke sath share jarur kare.
Sir mera sawal yeh hai kya hum AdSense dwara bheji gaee pin ko submit karne ke baad bhi AdSense account me jo hamara address hai use change kar sakte hai jisse voh humare bank Address ke saman ho jaye
हां कर सकते हो
hello JMD,
1 mera aapse ek sawaal hai. aap itni acchi tareh article kaise likh lete hai. kya aap ek writer hai. agar ha to aapne ye sab kaise or kaha se sikha.
2 isse pehele aap kya the. kya karte the.
3 kya hindi grammer ka gyaan ho to article likhne mein asaani ho sakti hai.
krpya karke mere in tin question ka jawaab jarur diziyega.
Thank You
Blogger se pahle main ek student tha, yes aapki grammar jitni achhi hogi aap utna hi achha likhoge.
payement threshold kitna set kare in india.
Let maine $500 set kar diya,sayad mai $100 kama pau to kya 5 month ke bad total $500 mil jayenge.
Yes mil jayega.
Hi Sir!
Mera ek sawaal hai mera Adsense se February ka payment nhi aaya aur naa hi koi Adsense ki taraf se mail aaya jabki mere adsense me 810$ the aur naa hi koi policy Violation thi to iske liye maine Adsense se contact ki lekin abhi tak koi sahi jawaab nhi mila bas wo bol rhe hai ki abhi humaari team is par kaam kar rhi hai. ye aisa pichale ek Month se bol rhe hai to aap mujhe bataaye ki kya karna chahiye?
Kya mai apna Google Adsense account Cancel karunga to mujhe wo payment mil sakte hai?
Nahi, aapko adsense account cancel nahi karna hai, aap wait kare google team aapki problem solve kar degi aur sath hi aap bank me achhe se pata kar le ki aapke account me payment aaya hai ya nahi.
Bhai payment threshold $100.00 set kiya hua Hai.Isse koi problem to nahi Hai?
No problem.
Mere bank account me abhi tak balance nahi aaya Hai.Jabki AdSense ki taraf Se mail aaya tha ki 5 working days Ke andar payment ho jayega aur aaj 8 din ho chuke Hai.And is bare me Maine aapko FB par bhi Screenshot send kiya and bahut sare message kiya but aap reply Kyu nahi dete ho Bhai.
Shahid aap mujhe mail karke btau ki aapne pahle isi bank detail se payment liya hai ya first time payment le rahe ho.
1-Bhai g Kya hum apne name me kuch changing kar ke adsense par kai account bana sakte hain.
2-suppose agar hamara adsense account suspend hota hai to Kya hum apni earning ko dusre adsense account me bhej sakte hain.
3-Kya eak person apne youtube channel ke liye alag aur blog ke liye alag adsense account create kar sakta hai.
plz guide me.
1. Yes bana sakte ho.
2. Nahi.
3. Nahi aap dono par ek hi adsense use kar sakte ho. Wese different ID se bana sakte ho.
Sir aapne apne blog page per Adsense, blogging, earn money, etc ka jo options lagaya hai vo kaise aur kaha se lagate hai
Please rasta dikhaye
Ager Mai blogspot. com istemal karta hu aur aage chalker domain name lena chahu to hamare blog per kis Tarah ka asar hoga
Maine is sabke bare me blogger category me sabkuch btaya hai aap wo post check kare.