Hindi Blog Se $1,000+ Per Month Kaise Kamaye – Tips for 2024

Kya aap ek Hindi Blogger hai aur apne Hindi Blog se har mahine 1,000 dollar kamana chahate hai? Agar haa to, Is post me main is matter ko details se explain kar raha hu ki ek hindi blog se per month lakho rupees kaise kamaye ja sakte hai. How to Earn $1000 Per Month from a Hindi Website? – A Beginner Guide for Hindi Bloggers in Hindi 2024.

Earn $1000 from a Hindi blog

Bahut se logo ka manna hai ki Hindi blog se adhik earning nahi ki ja sakti, lekin aesa nahi hai. Bahut se hindi blogger har mahine Hindi blog se lakho rupaye kama rahe hai, aur aap bhi kama sakte hai.

Mere liye ye bahut aasan tha aur mujhe wishwas hai ki Is article ko padhne ke baad aapko bhi samajh aa jayega ki ek hindi blog se $1000 monthly earn karna koi badi baat nahi hai.

Koi bhi hindi blogger aesa kar sakta hai, bas use kuch tips follow karni hoti hai aur smart tarike se kaam karna hota hai, uske baad wo aasani se is goal ko achieve kar lega.

Hindi Blog Se Har Mahine $1000 Kaise Kamaye – Beginner Guide in Hindi

Google AdSense se per month $1,000 earn karne ke liye aapke blog par lagbhag 5,000 pageviews per day traffic hona chahiye.

Blog par traffic badhane me humara ye article aapki help karega, (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2024

Ab humara target hai, ek month yani 30 days me $1,000 earn karna. Yani per day $33-35 earn karna hai. Ab main aapko btata hu ki, aapko kaise apne blog se daily $33 earning karni hai.

Hindi blog se earn karne ke top 3 tarike (earning source) hai,

Inme se google adsense sabse jyada popular hai aur sabse jyada hindi blogger ka earning source bhi yahi hai. Isiliye ise hum top me rakhenge.

Hum kisi ek ka nahi balki 3no ka istemal karenge aur 3no se total 33-35 dollar per day kamane ke bare me janenge.

Main google adsense, affiliate parketing aur sell products ko nimn ratio me rakh rakha hu, jo ki har ek indi blogger ke liye perfect hai.

  • Google AdSense = $20
  • Affiliate Program = $10
  • Sell Own Products = $3-5 and more…

Chaliye ab main aapko expain karke btata hu ki aap in 3no se itni earning kaise kar sakte hai,

Google AdSense Se Daily $20 Kaise Kamaye?

Google adsense ki baat kare to hindi blog par adsense CPC $0.05 to $0.10 milti hai, average CPC $0.07 mane to hume $20 earn karne ke liye lagbhag 286 ad clicks ki jarurat hogi.

Normally, ek hindi blog par (as my experience) per 1k page views par 50-70 clicks milte hai, yani hume 286 ad clicks pane ke liye 5,000+ pageviews ki jarurat padegi.

Agar aap achhe se blog par adsense ads placement kar lete ho to aapko average CPC aur jyada ho sakti hai aur aap isse kam traffic par adsense se$20 per day earn kar sakte hai.

Affiliate Program Se Daily $10 Kaise Kamaye

Affiliate program se hume daily $10 yani ek mahine me $300 earn karne hai, iske liye aap apne blog niche se related kuch aese affiliate program join kijiye jo achha commission pay karte ho.

Aap ek se jyada affiliate program join kar sakte hai taki aapko jyada se jyada benefit mile, sells badhane ke liye mahine me 1-2 affiliate product promotion article jarur likhe.

For example, Hostgator web hosting affiliate program jo per sell minimum Rs. 1,250 pay karta hai. Yani mahine me lagbhag 15 affiliate sells se aap $300 (lagbhag 21,000 rupees) earn kar sakte ho.

Products Sell Karke $3-5 Earn Kaise Kare

Ab baat aati hai, apne khud ke product sell karke $3-5 earn karne ki to 5,000 daily traffic wale blog ke liye ye bahut kam hai, aap isse kahi jyada kama sakte ho.

Main iske liye aapko eBooks suggest karunga, ek achhi ebook banaye aur uska sahi se price set kar apne blog par sell kare, aap sidebar me sticky widget ke sath ebook ko promote kar sakte hai.

I’m sure, agar aapki eBook achhi hogi to aapko mahine me 20-30 sells aasani se mil jayegi, ab agar aap eBook price $5 bhi rakhte hai to bhi upar count ki gayi daily earning complete ho jayegi.

Iske alawa aap baki jo bhi services or product sell rakhte hai, unhe apne blog par sell kar earning kar sakte hai.

Dekha aap kitni aasani se apne hindi blog se har mahine $1,000 kama sakte ho.

Conclusion,

Is tarah se aap badi aasani se ek hindi blog se har mahine $1,000+ revenue generate kar sakte hai, ye koi mushkil kaam nahi hai, bas aapko apne blog par daily 5k traffic lana hai.

Main ye bahut pahle kar chuka hu, isiliye maine ye article apne experience se likha hai aur mujhe pura wishwas hai ki har ek hindi blogger aesa kar sakta hai.

Aap $1000 yani lagbhag 70,000 rupees hi nahi, ek mahine me 1 lakh se jyada kama sakte ho, bas aapko thoda serious ho kar blogging karne ki jarurat hai.

Agar aapko blog se earning karne ki aur adhi jankari chahiye to aap humari nimn posts read kare,

Agar aapko is bare me koi sawal puchna hai to aap comment section me puch sakte hai, hum aapki har mumkeen hel karenge.

Is post ko baki bloggers ke sath share jarur kare taki wo bhi iske bare me jan sake aur apne blog se achhi earning kar sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 75 )

  1. Bittu

    agar $1000 per month banana hai to iske liye hmare hindi blog pr near about kitne post publish krna chahiye aur post kitne words ke hone chahiye aur kitne cpc tk o target krna chahiye?

    Reply
    • Jamshed Khan

      $1000 per month banane ke liye posts ya words mayne nahi rakhte, traffic par depend karta hai.

      Reply
  2. Rahul

    Blogging sikhne k liye koi course suggest kr skte h sir jo im price me acha bhi ho

    Reply
  3. Rohan

    Mere blog ka traffic 22k se 25k hai.
    Lekin cpc .02 hi rahti hai.
    .03 ke upper kabhi bhi nhi gayi……

    Reply
    • Monika trivedi

      Kis niche se Related website hai aapki

      Reply
  4. ankush

    me esa kya kru ki mere blog per viewers aaye hi aaye

    Reply
    • naresh

      jao baba ke pass totka karwao aa jayenge

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...