Hindi Blog Se $1,000+ Per Month Kaise Kamaye – Tips for 2024

Kya aap ek Hindi Blogger hai aur apne Hindi Blog se har mahine 1,000 dollar kamana chahate hai? Agar haa to, Is post me main is matter ko details se explain kar raha hu ki ek hindi blog se per month lakho rupees kaise kamaye ja sakte hai. How to Earn $1000 Per Month from a Hindi Website? – A Beginner Guide for Hindi Bloggers in Hindi 2024.

Earn $1000 from a Hindi blog

Bahut se logo ka manna hai ki Hindi blog se adhik earning nahi ki ja sakti, lekin aesa nahi hai. Bahut se hindi blogger har mahine Hindi blog se lakho rupaye kama rahe hai, aur aap bhi kama sakte hai.

Mere liye ye bahut aasan tha aur mujhe wishwas hai ki Is article ko padhne ke baad aapko bhi samajh aa jayega ki ek hindi blog se $1000 monthly earn karna koi badi baat nahi hai.

Koi bhi hindi blogger aesa kar sakta hai, bas use kuch tips follow karni hoti hai aur smart tarike se kaam karna hota hai, uske baad wo aasani se is goal ko achieve kar lega.

Hindi Blog Se Har Mahine $1000 Kaise Kamaye – Beginner Guide in Hindi

Google AdSense se per month $1,000 earn karne ke liye aapke blog par lagbhag 5,000 pageviews per day traffic hona chahiye.

Blog par traffic badhane me humara ye article aapki help karega, (101) Blog Ki Traffic Kaise Badhaye 101 Popular Tarike 2024

Ab humara target hai, ek month yani 30 days me $1,000 earn karna. Yani per day $33-35 earn karna hai. Ab main aapko btata hu ki, aapko kaise apne blog se daily $33 earning karni hai.

Hindi blog se earn karne ke top 3 tarike (earning source) hai,

Inme se google adsense sabse jyada popular hai aur sabse jyada hindi blogger ka earning source bhi yahi hai. Isiliye ise hum top me rakhenge.

Hum kisi ek ka nahi balki 3no ka istemal karenge aur 3no se total 33-35 dollar per day kamane ke bare me janenge.

Main google adsense, affiliate parketing aur sell products ko nimn ratio me rakh rakha hu, jo ki har ek indi blogger ke liye perfect hai.

  • Google AdSense = $20
  • Affiliate Program = $10
  • Sell Own Products = $3-5 and more…

Chaliye ab main aapko expain karke btata hu ki aap in 3no se itni earning kaise kar sakte hai,

Google AdSense Se Daily $20 Kaise Kamaye?

Google adsense ki baat kare to hindi blog par adsense CPC $0.05 to $0.10 milti hai, average CPC $0.07 mane to hume $20 earn karne ke liye lagbhag 286 ad clicks ki jarurat hogi.

Normally, ek hindi blog par (as my experience) per 1k page views par 50-70 clicks milte hai, yani hume 286 ad clicks pane ke liye 5,000+ pageviews ki jarurat padegi.

Agar aap achhe se blog par adsense ads placement kar lete ho to aapko average CPC aur jyada ho sakti hai aur aap isse kam traffic par adsense se$20 per day earn kar sakte hai.

Affiliate Program Se Daily $10 Kaise Kamaye

Affiliate program se hume daily $10 yani ek mahine me $300 earn karne hai, iske liye aap apne blog niche se related kuch aese affiliate program join kijiye jo achha commission pay karte ho.

Aap ek se jyada affiliate program join kar sakte hai taki aapko jyada se jyada benefit mile, sells badhane ke liye mahine me 1-2 affiliate product promotion article jarur likhe.

For example, Hostgator web hosting affiliate program jo per sell minimum Rs. 1,250 pay karta hai. Yani mahine me lagbhag 15 affiliate sells se aap $300 (lagbhag 21,000 rupees) earn kar sakte ho.

Products Sell Karke $3-5 Earn Kaise Kare

Ab baat aati hai, apne khud ke product sell karke $3-5 earn karne ki to 5,000 daily traffic wale blog ke liye ye bahut kam hai, aap isse kahi jyada kama sakte ho.

Main iske liye aapko eBooks suggest karunga, ek achhi ebook banaye aur uska sahi se price set kar apne blog par sell kare, aap sidebar me sticky widget ke sath ebook ko promote kar sakte hai.

I’m sure, agar aapki eBook achhi hogi to aapko mahine me 20-30 sells aasani se mil jayegi, ab agar aap eBook price $5 bhi rakhte hai to bhi upar count ki gayi daily earning complete ho jayegi.

Iske alawa aap baki jo bhi services or product sell rakhte hai, unhe apne blog par sell kar earning kar sakte hai.

Dekha aap kitni aasani se apne hindi blog se har mahine $1,000 kama sakte ho.

Conclusion,

Is tarah se aap badi aasani se ek hindi blog se har mahine $1,000+ revenue generate kar sakte hai, ye koi mushkil kaam nahi hai, bas aapko apne blog par daily 5k traffic lana hai.

Main ye bahut pahle kar chuka hu, isiliye maine ye article apne experience se likha hai aur mujhe pura wishwas hai ki har ek hindi blogger aesa kar sakta hai.

Aap $1000 yani lagbhag 70,000 rupees hi nahi, ek mahine me 1 lakh se jyada kama sakte ho, bas aapko thoda serious ho kar blogging karne ki jarurat hai.

Agar aapko blog se earning karne ki aur adhi jankari chahiye to aap humari nimn posts read kare,

Agar aapko is bare me koi sawal puchna hai to aap comment section me puch sakte hai, hum aapki har mumkeen hel karenge.

Is post ko baki bloggers ke sath share jarur kare taki wo bhi iske bare me jan sake aur apne blog se achhi earning kar sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 75 )

  1. kya blogger pe blog bana ke paisa kama sakte hai….kya usme hindi aur english dono me blogging kr sakte h.. aur adsense approval kitne din baad le sakte haii

    Reply
    • हां बिलकुल कमा सकते हो, कर सकते हो, हां मिलेगा

      Reply
  2. hello Jumedeen bhai mere kush sawal hai
    1. New Blogger 1000 daily pageview tak aane ke liye kitni post likhni chahiye
    2. New blog ke liye initial backlinks kitni honi chahiye
    3. Blogging part time ya full time karna chahiye
    4.At presesnt Keywords density kitni honi chahiye
    5.Importnat question ( popular keywords par ek post jo 2000-2500 words ki ho aur fully seo optimised karna bhi aata ho lekin already internet par us keywods par post ho to nayi post ko kaise rank kare .)
    6. post nayi post par daily 100 page view ke liye hume apne subject se related konsa keywords use karna chajiye matlab keywords par searches and competition kitna hona chahiye.

    Reply
    • 1. कोई सीमा नहीं, मिल जाये टो 1 पोस्ट पर कई हज़ार ट्रैफिक मिल जाये, ये आपके पोस्ट टॉपिक पर निर्भर है
      2. कोई सीमा नहीं, जितनी क्वालिटी backlink बनोगे उतना बेटर है
      3. ब्लॉग्गिंग को जितना ज्यादा समय दोगे उतने ही आगे जाओगे
      4. कोई कीवर्ड डेंसिटी नहीं होती पर आप एक कीवर्ड को बिना वजह रिपीट मत करो
      5. आपको पहले से रैंक पोस्ट्स से बेहतर लिखना होगा और उनसे ज्यादा क्वालिटी लिंकिंग करनी होगी
      6. जिस टॉपिक पर ज्यादा सीर्चेस होने मतलब उस पर ट्रैफिक और competition भी ज्यादा होगा, जिस पर कम सीर्चेस होंगे उस पर कम होगा

      Reply
  3. Aapki jankari best rahi aur bahut hi kam ki hai , but mere kuchh sawal hai sir
    # Saste me hosting aur domain kaise milega mere pash adhik paisa nahi hai(minimum under in 300 )

    Reply
    • ब्लूहोस्ट और होस्टगेटर से होस्टिंग ले सकते हो, शुरुआती ब्लॉगर के लिए अच्छा है।

      Reply
  4. Sir auto ads acha performance karta hai ya manual ?

    क्या auto ads or manual ads me koe different hae earnings ko dekhe to ?

    Reply
    • मैन्युअल ad प्लेसमेंट auto ad से ज्यादा बेहतर है, क्युकी auto ads से अनावश्यक जगहों पर ad show होते है, जिससे CPC कम हो जाती है

      Reply
  5. bahut hi smart article hai

    Reply
  6. apne sahi kaha but ye bhi bata do ke traffic kaha se laoge

    Reply
  7. apka explain karne ka tarika kafi gajab hai.

    Reply
  8. Bhai aap supportmeindia me hostgator ke alawa or kon kon se affiliate marketing site use karte hai. Deka gaya hindi blog me jada affiliate marketing nahi hai muje bas hostgator ka pata.

    Aap kon kon sa use karte plz bataye

    Reply
    • Main lagbhag sabhi hosting affiliate use karta hu.

      Reply
      • Par bhai bahut se affiliate Hindi blog ko support nahi karte unko bas English blog pasad. Hindi me aap bata sakte kon kon karta support.

        Reply
        • Unke liye aap english blog bana kar us par approval le kar hindi blog se promotion kar sakte ho.

          Reply
      • Sir mai online paisa kmana chahti hm

        Reply
  9. meri cpc to 0.01 ya 0.02 rehti hai aur pageview 25k se 30k per day pageview rehte hai lekin meri to adsense se 10 to 12 dollar hi aate hai mujhe kya karna chahiye?

    Reply
    • Aap ad optimization theek se karne ki jarurat hai.

      Reply
  10. thanks for this post , सर मैं हिंदी फोंट्स में ब्लॉग्गिंग करता हु मेरे ब्लॉग पर 1000+ ट्रैफिक पर मैं लगभग 1 से 2 डॉलर तक कमा लेता हूँ , मेरा सवाल यह है की अभी

    1. मैं ब्लॉगर पर हु और यदि मैं वर्डप्रेस पर शिफ्ट हो जाऊं तो क्या मेरे ब्लॉग की ट्रैफिक बढ़ जाएगी ?
    क्योकि मैंने कई बार देखा है की जिस टॉपिक पर मैंने पोस्ट लिखा है उससे पहले लिखने वाले ब्लॉगर की साईट गूगल में टॉप पर आ रही है जबकि मेरी पोस्ट की क्वालिटी उससे बेहतर है तथा मैंने कीवर्ड का इस्तेमाल भी ठीक तरीके से किया हुआ है और मेरे लिखे गए पोस्ट से आधा भी उसका पोस्ट नहीं है | तो मैं समझ नहीं पता ऐसा क्यों होता है ?

    2. क्या मैं ब्लॉगर पर हु इसलिए मेरी वेबसाइट की रैंकिंग अच्छी नहीं है ,
    इतना तो मुझे पता है की ब्लॉगर की होस्टिंग hostgator या bluehost से बेटर नहीं है , और शायद इसीलिए मेरी वेबसाइट टॉप पर नहीं आ पाती ,

    3. क्या वर्ड प्रेस पर yoast seo की मदद से ब्लॉगर की तुलना में वर्डप्रेस पर अधिक ट्रैफिक लाइ जा सकती है ?

    Reply
    • 1. Aesa kuch bhi nahi hai, us blog ki domain authority aapke blog se jyada hogi, isliye wo top me hai.
      2. Nahi, Platform se koi fark nahi padta.
      3. Yes, wordpress par aapko blogger se jyada features milenge.

      Reply
      • Mujhe blogging start krni hi plz pura discrib kr de

        Reply
        • Read our article, sabke bare me jankari mil jayegi.

          Reply

Leave a Comment