Google Adsense Search Ads Kaise Banaye Blog Me Kaise Show Kare

Google AdSense apni site ko monetize karne ke liye sabse best tarika hai. Blog se earning karne ke liye bhi AdSense top advertisment services me se ek hai, All blogger apne blog par text and display ads, link ad unit and AdSense search ads ki help se paise kamate hai. But AdSense search box ads ke bare me bahut se new bloggers ko information nahi hoti hai. In this tutorial, mai aapko AdSense search ads create karne or use blog me add karke money earn karne ke bare me details se bta raha hu.

Support me india search results

Adsense custom search engine ke alawa Adsense matched content feature bhi offer karta hai. Jisme aapke hi blog ki recommended posts show hoti hai. Isse aapke blog par reader ko apni pasand ki post padhne me aasani hoti hai. Google custom search engine se paise kaise kamaye.

Google Adsense Search Ads Kaise Banaye or Site Me Kaise Add Kare

Jab aap AdSense search ads ko apne blog me add karoge to search box me reader ke search karne par aapke blog ki post show hoti hai. Isme aap ek se jyada blog bhi add kar sakte ho. Isse readers ko content find karne me help milti hai. I mean isse aapko 2 benfits hai ek aapko free search box mil jata hai dusra aapki earning bhi hoti hai.

  • Adsense custom search engine use karne se aapke reader ko content search karne me aasani hogi.
  • Blog search box me search karne par kei bar galat keyword search karne par “No results found” error aata hai. Custom search engine se ye issue kafi had tak solve ho jata hai. kyuki google related keywords results show karta hai.
  • Sabse important bat isse aapki earning bhi hogi. jab bhi koi search box me koi keyword type karega to search results se pahle AdSense ads show honge. Reader ke in ads par click karne se aapki kamayi hogi. Example is screenshot me dekh sakte ho.

AdSense ads in search results

Now, aapko samajh aa gaya hoga ki AdSense custom search engine use karne se kya fayde hai. Ab second sawal hai “Google Adsense Par Custom Search Engine Kaise Create Kare?

Step 1:

  1. Iske liye aap first apne AdSense account ko open kare or My ads par click kare.
  2. Ab left sidebar me Search >> Custom search engines par click kare.
  3. New custom search engine par click kare.

Custom search engines

Step 2:

  1. Fill, your name, search engine ka koi name set kare.
  2. What to search ke samne “Only sites I select” choose kare. Isse search result me sirf aapke hi blogs ki post show hogi.
  3. Yaha aap jis website or blog ke liye AdSense search box use karna chahate ho uska link add kare. Aap yaha par per line ek se jyada blog ke URL add kar sakte ho. (Sites ke url se pahle https:// use kare jaise “https://www.supportmeindia.com“)
  4. Yaha par aapko apne blog se related keywords add karne hai. Example, jaise mai apne blog par blogging, SEO and  Make money par articles likhta hu.
  5. Use SafeSearch ke samne tick kare.
  6. Country or territory select kare.
  7. Site language select kare. I mean aapko search results kis bhasha me dikhana hai.
  8. Encoding me Unicode (UTF-8) select kare. (We suggest you choose the search encoding that matches the encoding of your browser. Not sure how do to this?)
  9. Transliteration ko ayse hi chod de kuch bhi choose na kare.

Custom search engines settings

Step 3:

Thirst step me popular queries ko ayse hi chod de or search box ke liye custom channels, search box style and ad style choose kare. Ye sab baki ads ki tarah hai. Actually, aap already ad create kar chuke ho so isme aapko koi problem nahi hogi. Aap easily ye step follow kar sakte ho.

Popular queries

Step 4:

Aapko AdSense search results kaha par show karna hai. Yaha aapke pas 3 option hai.

  1. on a Gooogle page in the same windows: Means aapke hi blog par google ke ek page me search result show hoga.
  2. on a Google page in a nre window: Means search result alag se google page me open hoga.
  3. on my website using an iframe: Means aap apni website or blog ke kisi page par search results show kar sakte ho. (Example, aap mere blog par search results dekh sakte ho.)

In my experiences, Mere hisab se apni hi site par kisi page me search result show karna better hoga. I mean 3 option choose kare.

  1. on my website using an iframe par select kare.
  2. Yaha par aapko us page ka URL add karna hai jis par aap search results dikhana chahate hai. (Aap apne blog par ek new page bana kar uska link is “https://www.supportmeindia.com/search” tarah set kare or use yaha paste kare.
  3. Width or results areas me 800px ya apne hisab se width select kare.
  4. Finally, Save and get code par click kare.

Search results areas

Ab aapka AdSense search ads bankar ready ho gaya hai. Ab aap apne blog ke dashboard par jaye or ek new page create kare. Uska link wohi rakhna hai jo aap upar “URL where search results will be displayed” ke samne add kiya hai.

Step 5:

Aap jaise hi Save and get code par click karoge to ek pop up windows open hogi. Usme search box code or search results 2 code honge.

Adsense search ads codes

WordPress or blogspot blogger dono ke liye same process hai aapko apne blog par ek page create karke usme search results code paste karna hai. or first code blog widget me add karna hai

Blog Me Adsense Search Ads Kaise Show Kare?

  1. Search box code: Ab aapko ye dono search engine ads code apne blog par add karne hai. Iske liye aap first search box code ko apne blog ki sidebar widget, menu bar ya aap jaha chaho waha widget me add kare.
  2. Search results code: second code ko aapne jo abhi new page banaya tha us par ja kar html section me paste karke save kar de.

All is well! You are done, Ab sab setting ho chuki hai or aap search ads se paise kamana shuru kar sakte hai. Agar aap search box ka size change karna chahate ho to aap first code me “Size=” ke samne ads size value set kar sakte ho.

Finally, aap css code ki help se apne AdSense search box ko design kar sakte ho. By the way, ek bar apne search box ko try kar le or agar aapko koi problem ho to niche comment me uske bare me puch sakte ho.

I hope aapko ye article pasand aayega or aap aasani se google AdSense search box ads yani custom search box create karke usse money earn karna start kar sakoge. So ho sake to is post ko other blogger ke sath jarur share kare taki wo bhi iske bare me jan sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 95 )

  1. Vandana

    Very helpful article sir,

    Sir mera ek sawal hai ki search box me ads aayegi ki not click krne ki wajah se readers dusre Page pr chale jayege
    Aur new bloggers ko yah use krna chahiye ya nhi

    • Jumedeen khan

      Yes ad aayegi, yes karna chahiye.

  2. Roshan

    Sir maine ब्लॉg पर custom search engine Laga Liya Hai. Aur post search mein bhi Aati Hai. Lekin Kya Yeh AdSense se connect hai.
    क्या मैं aise दो सर्च इंजन ऐड कर सकता हूं।

    • Jumedeen Khan

      Yes kar sakte ho.

  3. Anurag tiwari

    Jdk bhai, mere adsense account me msg show ho rha hai, apke ads kisi dusri site pe lge hain jbki maine kvl verified blog pe ad lgayen hai.
    Bhai jdk muje bta skte ho main kya karun.

  4. Raval sagar

    Mene Blogs PE ada lagadi he Aur Wattsup PE sahare 150 Group me link bheji he Aur mera account Hosted he to Kya muje is ads ke paise Nhi milenge 1Months Hua Hai Free blog He

    • Jumedeen Khan

      Agar koi aapke ads par click karega to hi paise milenge.

  5. Manzar

    Brother AdSense bhi approve ha or cse bhi add ha or cse monitization bhi on ha per cse ki ads show nae hoti pehlay pehlay hoti mainay AdSense bhi new bnay kia problem ha

    • Jumedeen Khan

      CSE ko AdSense se connect karo or monetize enable karo.

  6. jay

    bhaai new adsens interface k hissab se “custum search engine ” ka option hi nhi show hota hai. tab adsens ki help se kaise search engine add kare?

    • Jumedeen Khan

      Jay option same hai bas interface change hua hai. Aap steps read kar follow karo.

  7. Naveen Poonia

    Bhai Maine Search Box Add Kiya Hai Or Working Bhi Hai But Ads Show Nahi Hote Sirf Mere Articles Hi Show Ho Rahe Hain Fir Iska Benefit Kya Hua ?

    Please Check Once And Tell Me ???

    • Jumedeen Khan

      Search box ko AdSense se connect karo.

  8. Suraj yadav

    hello sir mujhe apna google search jaha mera category hai vha add krna hai pls btaye kaise vaha add kru. mera site wrdpress pe hai

    • Jumedeen Khan

      Aap sidebaki bat kar rahe ho wo search box ki coding widget me add karo or menu bar ki bat kar rahe ho to iske bare me wpbeginner ki post padho.

  9. ajay gupta

    bahut achhi post fainaly mene aapke post ko read karke apne blog me laga liya thanks jumedin sir

  10. LAKSHYA NARBARIYA

    Mere AdSense account ki privacy violations me niche ka message show ho raha hai or blog par ad bhi show nahi ho rahi hai.bled.

    • Jumedeen Khan

      Isme likha hai ki aap khud ke ads par khud hi click ka rahe ho.

  11. Bharat Machhi

    bahut hi Achhi tarah se Samjaya hai. Bhai adsense mein Kabi Call Lagta. Call Receved kare aisa Koi Number ho toh dijiye.

    • Jumedeen Khan

      mere pas aesa koi number nahi hai.

  12. deepak Jogi

    kya domain ke bina AdSense approve krega aur mere blog me footer me disclaimer , contact us , privacy policy
    me page add kaise kare ……

    • Jumedeen Khan

      In options ka domain se koi lena dena nahi hai blog me custom template use karo or footer link add karo.

  13. kavya

    sir jesa aap ney kha maine vesa hee kiya google custom search mere blog par lag toh gya par ussmey mey apny blog seh releted koi be post search kar rhi ho toh not found likha aarha hai aur mere blog key home page par jo maine new page creat kiya tha coding daalny key liye vo mere blog key home page par show ho rha hai sath mey coding be show ho rhi hai please help me sir.

    • Jumedeen Khan

      Kavya aap sahi se step follow nahi kar pa rahi hai, Achhe se karo search result me not found ka reason hai agar aapka blog hinglish me hai to aap search box ki language english rakho or agar apaka blog full hindi me hai to aap hindi language rakho error nahi aayega.

  14. Kavya

    Sir mujhe apny blog mey Google search custom ads lgani hai Maine aapky blog Ka ye airtcle pda sir Maine aapky step follow krny ki kosis ki par sir mere Adsense account mey custom cheenel Ka option toh aarha hai par custom search engine Ka option Nhi aarha hai.

    • Jumedeen Khan

      Aap AdSense par jao or my ads par click karke left sidebar me search par click karo. iske liye ye step follow karo.
      1. go to adsense.com
      2. click on search in left sidebar.
      3. click on custom search engines.
      4. Click on new custom search engine and create nee search engine.

  15. kavya

    Sir aapny bataya ki Search results code ko new page mey jakar html mey add krdy par sir new page kase banao pori post samaj aa gai bs yhi samaj nhi aarha ples help me

    • Jumedeen Khan

      Blog dashboard par jao or left sidebar me pages >> add n ew par click karke new page banao.

  16. Irshad Ahmad

    Bhai mere ad sense me account me msg aa raha hai
    We apologize for the inconvenience, but we are unable to process your request at this time. Our engineers have been notified of this problem and will work to resolve it.

    • Jumedeen Khan

      Ye message kisi issue ke liye hai jise AdSense abhi solve nahi kar pa raha hai. Adsense par ads lagane ke liye humari baki post padhe.

  17. Junaid Siddiqui

    bhai kya blogger power by hatane me liye 1 post ki thi usme step by step bataya gaya hai. so me apne blog ko bhi wapsite me convert karna chahta hun magar jese ki apne bataya template per click ke bad edit HTML me jae or fir Jo step btae unko me apne kar nahi praraha actually edit HTML me jate hi WAP hang hojati hai or hang bilkul hojati hai or mujhe close karna pad jata hai aap btae me kese karu

    • Jumedeen Khan

      Aapke blog ki template me hanging issue hai. Abhi template change karo or fir kuch time try karo ho jayega.

      • Junaid Siddiqui

        OK thanks bhai aap jese insan is dunia me bhot kam bache hai aap jese hi Hindustan ko age bada sakte hai I m proud of you thanks is blog ke zariya aap sabki help karrahe hai Allah apko iski jaza de

  18. Dev Rathore

    Sir, meine AdSense ke liye apply kiya tha aur mujhe AdSense approval ki mail bhi nahin aayi. Fir meine dusri baar apply kiya to mujhe reply mila ki aapka AdSense pahle se hi approve ho gaya hai. Ab us pahle wale me ad bhi ban rhe hai aur website par show bhi ho rhe hai. Lekin ab swaal ye hai ki AdSense ke homepage par kuchh esa likha aa rha ha-“”after review your website.we are unable to Accept you into AdSense this time”” iska kya matlab hai samajh nahin aaya.

    • Jumedeen Khan

      Aapka AdSense account disable ho gya hai. aap kuch time bad fir se try karna.

      • Junaid Siddiqui

        jumedeen bhai me comment box nahi LA paraha apni wapsite per aap please kuch jankari dain or meri WAP open karke btaiye meri WAP me kya kya kamiya hai

        • Jumedeen Khan

          Aapke blog par koi pst hi nahi hai to comment box kis par show hoga.

  19. SATISH

    bhai YouTube hum AdSense ki ads nahi lagate hai to koi hamara video dekhta hai 1000 views hone par 2 dollar milta hai ha to woh kahape milega

    • Jumedeen Khan

      Nahi bina ad ke koi earning nahi hoti hai.

  20. Ram shiv

    hello sir,
    mujhe apna domain name renewl krna hai,maine domain go daddy se liya hai ,please help in detail

    • Jumedeen Khan

      Aap godaddt site par jao or my domain par click kar domain renew par click karo. Uske bad apne debit card se pay karo.

    • Arvind Mishra

      Bhai toh Godaddy ke Tollfree Customer care pe call Kr N usse baat kro tumhe bata dega…

  21. sheraz hamza

    bhai google ny meri ads aprove to kr di ha pr meri ads sirf computer per show hoti ha mobile per nhi plz koi help lr do

    • Jumedeen Khan

      Aap chrome browser me check karo

  22. Alpesh Desai

    Bahot badiya post hai. sir kya aap bata sakte hai ki jo search results mai ads hote hai uska cpc average kitna hota hai ?

    • Jumedeen Khan

      Nahi bta sakta AdSense cpc fix nahi hoti hai.

  23. Kunal Sharma

    hellow sir YouTube ka AdSense blog ko joda toh sirf add hi show hoti hai aur earning nahi hoti hai kya

    • Jumedeen Khan

      Earning tab hogi jab aapka AdSense account approved hoga.

  24. swapnil jambhale

    Jumedeen Khan ji mera abhitak google AdSense appuruv nahi ho raha hai. mera google AdSense account hosted hai. mai mere website ke uper ad bhi lagata hu lekin unki taraf se ad atomatic cancel ho jate hai. magar wo ad kyu cancel karate hai eska mail bhi nahi aata hai. kya problem ho sakta hai. please aap help kar sakte hai.

    • Jumedeen Khan

      Aap AdSense par iska feedback send karo or koi solution nahi hai.

  25. Harpreet Kumar

    bhai aap subscription ke liye konsi service use kar rahe hai. free ya paid. muje iske bare me confussion hai. ki konsi krni chahye.
    or ek baat baad me free wali ko upgrade ya move kar sakte hai ya nahi ki dusri wali subscription service ke sath

    • Jumedeen Khan

      Mai feedburner use karta hu. Ha kar sakte ho agar wo ye allow karte ho to.

  26. Sanju Dangar

    Vakil brodhar
    Aapki 0.97 total earnings bata raha hai vo YouTube video ki hogi, aapki site ki nahi

  27. Nadeem

    जुमेदीन सर
    मैने AdSense apply किया था ! और disapprove भी हो गया ! और जो mail आया है वह यह है !
    मुझे समझ नही आ रहा है क्या करण है disapprove करने का ! Please help me अब क्या करना है

    • Jumedeen Khan

      आप अभी ब्लॉग पर थोडा और कंटेंट लिखो और ट्रैफिक बढाओ ब्लॉग की सारी कमिया पूरी करो लोगो, फूटर लिंक, साइडबार widget सबअच्छे से सेट करो जैसे दुसरे ब्लॉग पर होते है उसके बाद AdSense के लिए अप्लाई करना।

  28. Sanju Dangar

    Bahut hi archi post, meri kafi problem solw hui, sir ak baat kehna chahunga, is question ke baare me maine aapko pahele bhi pareshan kiya hai, but ye last baar, sorry sir sirf iska answer,
    ki meri site templet me allredy 2 search box pahele se add hai, or ab me widget me new serch box add nahi karna chahta hu kyu ki is se tho di site speed kam hogi or 3 search box ho jayega, old search box ki desine bhi best hai, isliye me templet body me old serch box me AdSense ke ads add karu to koi problem nahi hogi na,

  29. vakil

    hello jumedeen bhai kaise hai AAP . mai kaam Pe jata hu isliye time…. mobile75help.blogspot.com is site me blank ads show rahe hai kya maine aj AdSense account check kiya to 0.97
    total earnings bata raha hai. mager AdSense ka approved email to nahi aya. please please check karke bataiye.

    • Jumedeen Khan

      ahi aapke blog par ads show nahi ho rahe.

  30. Debasish panda

    sir,plz ap ye 2 sawal ki jawab di je 1>WordPress blog ki post or comment par sitcker kaise add karte he jese fb par he smile face,sad etc style ka sticker.
    2>ap share button kelie konsa plugin use karte ho.

    • Jumedeen Khan

      Same wese hi aap WordPress comeemts me bhi sticker use kar sakte ho jaise facebook par karte ho. mai jetpack plugin use karta hu.

  31. Himanshu

    Bro अगर कोई YouTube के बिना ब्लॉग से ही एडसेंस approve करना चाहे तो वो कैसे कर सकते है जैसे मैने कल अपना ब्लॉग चैक किया तो उसमें एडसेंस वाले ऑप्शन पर मैने क्लिक किया तो एक एडसेंस का विजेट मेरे ब्लॉग पर add हो गया हैं अब मै ये जानना चाहता हूँ की मैंने एडसेंस का hosted account YouTube से बनाया था तो अभी उसमें 10$ नही हुए हैं तो क्या ब्लॉग पर ads लगाये जा सकते हैं या नही या 10$ के बाद ही ads लगा सकते हैं और अगर किसी का hosted account नही हो to वो डायरेक्ट ही कैसे बिना hosted account ke blog के जरिये ही एडसेंस approve kr सकता हैं?

    • Jumedeen Khan

      Aap first domain buy karke use blog me add karo uske bad domain ko AdSense site management me add karke apne blog par ads lagao.

  32. Manish

    jume deen sir
    1)
    aapne kaha tha ki main mere blog me. com ki jagah .in lagakar add karta hu to alexa widget add ho jayga. lekin mene essa karke dekha fir bhi alexa widget add nahi hua. kyoki mera blog alexa se verify nahi nahi or verify ke liye paise pay karne honge. jab alexa free tha tab aapne apni site ko alexa ke liye verify karaya tha issliye aap free me alexa widget use kar rahe honge. mera question ye hai blogger jinhone pahle se alexa se apni site ko verify kara kara liya hai kya vo dusre logo ki site par alexa widget add kar sakte hai….

    2) meri sabhi post google search me aa rahi hai fir bhi google se bhut kam visitors aate hai 20-50 essa kyo hai.

    3) main highlish me post likh raha hu to main AdSense ke liye apply karunga to konsi language choose karu.

    4) mere blog ko 6 month ho chuke or total post 42 hai kya AdSense ke liye apply karunga to apporoved ho jayga daily views 100-400 hai.

    5) agar AdSense disapproved hua or mene AdSense me sign up kar diya to main YouTube wala tarika use kar sakta hu.

    6 & last question aap mere blog par jaker dekh sakte maine ek dum real or ogerignal or jitna ho saka utni seo wali post ki hai. kya main aapki site par gurst post kar sakta hu…..

    • Jumedeen Khan

      1. Manish mai aapko 2-3 bar samajha chuka hu par aapko koi bat samajh nahi hi nahi aati. Ab isme mai kuch nahi kar sakta. Sorry
      2. Aap blogger ke bare me post kar rahe ho jiske bare me lagbhag har koi janta hai. Ab koi dubara wohi post padhna pasand nahi karega.
      3. hindi choose karo.
      4. Agar aapke blog par daily 500+ traffic hai to bilkul approved ho jayega.
      5. Nahi aapko fir se AdSense ke liye apply karna hoga.
      6. Mainsh ji aysa sirf aapko lagta hai ki aap SEO friendly post likh rahe ho. Pahle aap SEO ko ache se samajh lo. Aap guest policy padho usme sabkuch bta chuka hu.

  33. shital kumar

    sir, mera aapse question hai-
    1. mere search console me blog indexed nahi dikha raha hai, iskeliye mai dubara search console me submit kiya phir bhi indexed nahi dikha raha hai.
    2. mai coding sikhna chahta hun, iskeliye hame kahan jana padega.
    3. mai money mail par bhi work karta hun, lekin usme kabhi-kabhi security error dikhata rahta hai.

    • Jumedeen Khan

      1. aap check karo ki aapke blog search console me submit hai ya nahi or agar hai to aap gwt ko iske bare me feedback send karo.
      2. Aap online khud bhi blogger par coding sikh sakte ho iske liye aap ek alag se blog bana kar use design kiya karo ya aap kisi site developer se iske bare me bat kar sakte ho.
      3. Ye PTC site hoti hai inme aysi problem hoti hai. Aap in par apna time west mat karo.

  34. surendra Rsdp

    Blogger Me Kaise Lagana Hai Yeh Toh Samaj Aa Gaya Lekin WordPress Me Lagane Ka Tarika Samaj Nhi Aaya

    • Jumedeen Khan

      Dono ka same tarika hai first code widget me add karo or second code blog ke kisi page me. Post ke step ache se read karo samajh aa jayega.

  35. Vivek Bairagi

    Bhai aapne ye jo number wale Teer ke nishan lagaye hai ue kon se software ki madad se lagte hai

    • Jumedeen Khan

      photoscape

      • Azaz ahemad

        Boss search preferences me META TAG DESCRIPTION ko apne hisab se feed kar diya hai, kya jab post likhte hai to fir right hand per lebels ke niche search description me likhna zaruri hai ,ya only lebels use kare ?

        2. Blogspot per jab custom domain lagate hai to kya pahle (blogspot) ki sari posts/comments ko bhi domain per transfer kiya ka sakta hai ?
        3.blogspot ke liye kaun sa templates sahi hai, please TEMPLATES ka NAME zarur bataye, because ap use kar chuke hain,
        Thanks in Advance

        • Jumedeen Khan

          1. Ha har post me search description add karna jaruri hai.
          2. ha kar sakte ho.
          3. aap google me search karo 100ro milenge jo best lage wo use karo.

  36. Sahil kumar

    Bhai ye aam search box ke mukable better hai halake isse kuch khas kamai nahi ho pati par phir bhi achha rahta hai.

    Bhai maine bhakar.com ko ucbrower me khol ke dekha to us me AdSense ke ads show ho rahe the par hamare blogs ke show nahi hote. Bhai jaldi se iske bare me pata karke batao ta ke hamari earnings increase ho sake.

    • Jumedeen Khan

      Bhaskar.com iske liye ucbrowser ko paise deta hai. Aap bhi ucbrowser ko paise de kar usme ads show karwa sakte ho.

  37. Sanjay Singh Rawat

    Bade bhai aapse ek question hai. Me new blogging kar raha hu aapke hisaab se mujhe konsi language use karni chaiye ? English – Hindi or English-Hingilsh ??? Jis bhasa ko AdSense bhi accept karta hain ?

    • Jumedeen Khan

      Mere hisab se aap english ya hindi ko select karo. Hinglish koi bhasha nahi hai.

  38. pramod

    bhai ! aapko 1 sal ho gya or aapka traffic 15000 daily ho gya congrats! mera blog english blog h or maximum traffic usa ko target kiya h mera traffic 5000 daily h. or daily earning 40$ ke aaps pas rahti with affiliate . mere friend ne aapka blog bataya tha ye phla hindi blog h jo m read kr rha hu. mujhe 1 bat samgm nhi aayi aap apni post me hinglish blog use kr rhe h ye hinglish ka meaning kya h. please jarur reply kre.

  39. Umesh Chavan

    jumedeen bro pahale to daily 1000+ visitor aate the par pichale 4 din se 500+ kum ho gaya hai yesa kyon ho gaya hai.

    • Jumedeen Khan

      Aap pata karo ki aapke blog par organic traffic kam hua hai ya direct. Iske liye aap google analytics ki help le sakte ho. Uske bad uske reason ka pata karo.

  40. Vivek Bairagi

    Bahot achhi post hai bhai

    bhai mera ek savaal hai AdSense pe account banane se pahle hamara domin bhi 6 month old hona chahiye kya

    • Jumedeen Khan

      Nahi ab bahut si location par blogger meearning feature enable hai. Aap pane blog par check karo.

  41. Prakash Kumar Nirala

    google ad ko show karne ke liye kafi achha post likha hai aapne. pura post padhkar bahut kuchh sikhne ko mila.

    Thanks for such a nice post.

    ~Prakash

  42. Abdul Razzaq

    very nice tutorial bhai mein apka kis tarah se shukria ada karoo mera AdSense account approved ho chuka hai website pe ads bhi show ho rahe hein but mujhay 2 problem hein

    1. mein jub bhi kisi post mein ad lagata hoo to post ki left side mein hi lagta hai mein chahta hoo keh jaha marzi laga loo yani center mein ya right side mein bhi laga loo jese ap ne apni iss post mein
    Google Adsense Search Ads Kaise Banaye or Site Me Kaise Add Kare word ke neeche jo links ad lagaya hai wo right side mein hai

    2. dosri baat ye keh ap ne apne header mein supportmeindia logo ke aage right side pe aik ad lagaya hua hai wo aap ne kese lagaya hai mein ne template ko edit kar ke aik header wala option to add kia hai ab jub bhi waha pe add a gadget kar ke AdSense html paste krta hoo to wo ad header ki right side pe nahi jata balkeh header ke neeche ya uper show hota hai usko mein kese right side pe la sakta hoo

    • Jumedeen Khan

      1. Aap AdSense ads ke pahle or bad me center code add kiya karo. isse ad bich me show hoga.
      2. Aap header me 468×60 size ka ads use karo.

  43. sid

    isme kya bollywood ke music use kiya ja sakta hai?asal me mai ak song karna chahatahu.but uske liye background music chahiye.jo copyright na ho..toh kya karu?

    • Jumedeen Khan

      Nahi music aapko khud hi create karna hoga.

  44. Murari kumar

    sir me jab apne cpanel me error ko open kiya to kuch yesa likha aya
    Last 300 Error Log messages in reverse order: OR iske box me yesa likha aya tha –

    [Sun Jul 17 05:29:32 2016] [warn] [client 45.121.10.13] mod_fcgid: stderr: PHP Fatal error: Class ‘ErrorFix_Storage’ not found in /home/techakdu/public_html/wp-content/plugins/wp-error-fix/vendor/ErrorFix/Core.php on line 152, referer: techanturn.com/wp-admin/plugins.php?action=delete-selected&checked%5B0%5D=wp-error-fix%2Fwp-error-fix.php&plugin_status=all&paged=1&s&_wpnonce=336c00ec1b

    par pana nahi ke ab ye box me nahi likha aa raha hai. koi problem to nahi hai na.

    • Jumedeen Khan

      Iske bare me aap apni hosting customer care me call karo wo aapki sari problem solve kar denge.

  45. sid

    Sir,mujhe YouTube pe video dalna hai..par uske liye music kaha se lau?..apka vi to YouTube tha apko music kaha se mila tha?

    • Jumedeen Khan

      Music aap YouTube creater software se bana sakte ho. Camtasia software use karo.

Comments are closed.

Ad

I need help with ...