Professional Blogging Ke Liye Apne Ghar Par Office Kaise Banaye

Aaj ka hamara topic hai  “Professional Blogging Ke Liye Apne Ghar Par Khud Ka Personal Office Kaise Banaye?” Aapko office ke liye bhari-bharkam kiraya (heavy fare) dene ki jarurat nahi hai, aap apne ghar hi ek office set up kar blogging kar sakte hai aur paisa kama sakte hai. Learn, How to Setup Home Office for Blogging in Hindi.

Setup Blogger Personal Office

Agar aap ek professional blogger banna chahate hai ya already hai to is post ko dhyan se or puri padhne ki koshis kare, I’m sure aapko es post se bahut fayda hoga. Ghar par office set up kaise kare?

Aaj se 2-3 saal pahle blogging ko bahut kam log jante the I think mai bhi nahi but aaj ke time ki baat kare to logo ne blogging ko apna career or business bana liya or har mahine lakho rupee kama rahe hai.

Blogging karne ke bahut fayde hai, jaha aapko koi dusra business start karne me lakho rupaye invest karne padte hai wohi aap 1,000-2,000 rupees ka invest karke blogging shuru kar sakte ho. Apna khud ka blog banane ke liye aapko sirf domain name or hosting service lene ki jarurat hoti hai.

Blog banane ke bad aap achhe se kaam karte ho to 2-3 month me hi aapki blog se earning honi shuru ho jayegi. Isme aapko jayda mehanat bhi nahi karni padti bas article likhne padte hai.

Lekin professional blogging karne ke liye aapko ek office ki jarurat hoti hai. Kuch blogger rent par office le kar blogging karte hai to kuch home office se blogging karte hai.

Rent office me money west karne se behtar hai ome office se (ghar ke kisi room ko office banakar) blogging kare. Kyuki home personal office me aap 24 hours me kabhi bhi work kar sakte ho.

To chahiye jante hai ki professional blogging ke liyeghar par office setup kaise kare? apne ghar ke kisi room ko apna personal office kaise banaye? ghar par office kaise setup kare?

Ghar Par Personal Office Setup Karne Ki 7 Best Tips

Yaha par diye gaye tips and tricks, advice, suggestion ghar par office set up karne me aapki help karenge. Professional blogging ke liye ghar par office setup kaise kare? Main apne ghar ke room ko office me kaise badalu? ghar ke room ko office kaise banaye?

Ghar Par Office Setup Kaise Kare?

1. Personal Room

Sabse pahle apne ghar me apne liye ek badiya saa personal room select kar le jisme aap aasani se apna pura setup laga sako. Room me proper space rahe or aesa room choone jisse aapko family ya relative jyada disturb na kare.

Aapka room aesa hona chahiye jisme hum apna personal samaan jaise computer, laptop, book, files etc. sab aaram se arrange kar sake. Over all, kahne ka matlab ye hai ki hame waha par office jaisi feelings aani chahiye.

2. Computer or Laptop

Agar aap professional blogging kar rahe hai to aapko in cheezo ki bahut jarurat padegi to sabse pahle apne liye badiya or budget ke according computer select kare.

Agar aapke pas budget hai to aap laptop or computer dono le. Professional blogging ke liye extra PC hona jaruri hai.

PC aesa le jisme saari latest technology ho, RAM, SSD hard disk matlab usme memory bhi acchi ho or apne computer ke liye badiya led ya LCD select kare taaki visual disturbance se bacha jaa sake.

Monitor achhi quality ka le taki aapki aankhe kharab na ho, hum is bare me pahle se bta chuke hai.

Aur agar aap bahut jyada travelling karte hai to apne liye accha sa laptop bhi purchase kar sakte hai taaki aap during travelling aaram se apne kaam ko continue rakh sake.

3. Table and Chair

Chahe office chota ho yaa bada usme hame table or chair ki bahut jarurat padti hai, taki jab aap computer pe work kare to aapki body, spinal cord, eyes par koi bura asar na pade.

Aapko apne sharir ko nuksan pahucha kar blogging nahi karni chahiye. Bahut saare blogger aesa karte hai aur unhe future me problemss hoti hai.

Aapko apni height ke anusar sahi size ki table aur chair purchase karni chahiye. Aap apne liye budget ke according acche furniture purchase kar sakte hai.

Chair aesi le jisme height ko adjust kiya ja sake, jisme wheel lage ho aur jise aap manchaha jhukav de sake. Isse aap work karte time comfortable feel karenge.

Agar aap achhe table or chair ka istemal nahi karte hai to aap thodi der blogging karke thak jayenge, kuch log apne bistar, simple chair aur table ke sath blogging karte hai, jisse future me problem hoti hai.

4. Internet Connection

Blogging ka koi bhi kaam ho usme internet connection ki jarurat jarur padti hai or ek blogger ka to pura kaam hi internet par depend hai, to apne liye badiya sa internet connection le. Jaise bsnl ka broadband le sakte hai jo ki km budget me aachi service deta hai.

Professional blogging ke liye aapke pas 1 MBPS se jyada speed wala internet connection hona chahiye aur agar aap youtube par work karte hai, video uploading karte hai to aapko aur bhi high speed wala internet connection use karna chahiye.

India me sabse best airtel broadband hai lekin ye kafi mahanga hai, saste me aap jio broadband, wifi ya dongle istemal kar sakte ho.

But agar aap gaav me rahte hai jo ki city se bahut dur hai, jaha par broadband nahi pahuch sakta hai waha par aap internet connectivity ke liye mts, airtel, reliance jio or idea ke internet dongle use kar sakte hai.

5. Office Environment

Sabse pahle office ko noice free (sound proof) banane ki koshis kare taki aapko aur aapki team member ko work karne me koi problem na ho.

TV, Xbox, friends, family member and neighbor ke disturb karne se bache. Apne office room ka vatvaran normal rakhe jarurat ho to air-conditioning ka istemal kare. Jisse aap bina ruke kaam kar sake.

Apne room ko matlab office ko clean rakhe, Isse aapke ghar wale bhi impress honge or aapka support karege aur aapko proper office jasi feeling aayegi.

Clean room hone se aapka man kaam me jyada lagega aur aap behtar blogging kar sakoge. Saaf-sudhra office hone se aapke sath kaam karne wale bhi happy ho kar work karenge.

6. Proper Arrangement

Aapko apne office room me saaman ko is tarah se aarange karna chahiye ki aap puri cheezo ko achhe se utilize kar sake.

Jaise ki apne computer ko table par sahi se rakhna, files ko table par sahi se rakhna or Cupboard me luggage sahi tarike se rakhna taki aapko jis cheez ki jarurat pade wo aasani se mil jaye.

Kahne ka matlab ye hai ki aapse jitna ho sake apne office ke room ko utna organize kare. Isse na keval aapko office ki feeling milegi balki kaam karne me mazaa bhi aayega.

7. Choose Perfect Partner

Agar aap blogging se 50,000+ hazar rupaye kama rahe hai or thoda work load jyada hai to apne liye perfect worker dhund le jo ki accha writer ho aur thoda computer ka knowledge rakhta ho.

Aese bahut saare log mil jayege jinke pass kaafi telant hota hai lekin unke pass koi work nahi hota to aap aese bande ko chune jisse aapko achhi help mil sake. Isse aapka fayda to hoga hi sath hi kisi berojgar ko kaam bhi milega.

Aapke office me aapke sath 2-5 member ho to aap aur achhe se kaam kar sakoge lekin iske liye aapko ek big office room ki jarurat hogi. Aap jab 50k se jyada earning karne lagte ho to ek big office ko arrange karna aapke liye mushkil nahi hoga.

Conclusion

To dosto ye kuch steps thi un logo ke liye jo apne ghar se hi professional blogging karna chahate hai or apne liye ghar par hi personal office banana chahate hai. I’m sure aap in steps ko follow karke apne liye ghar par hi badiya office ready kar sakte hai.

Agar aap bhi ghar par hi blogging karte hai to apne ghar ke kisi ek room ko office banaye aur cheezo ko organized rakhe aur professional blogging karne ke liye upar di gayi 7 tips ko follow kare.

Ye bhi padhe,

Kya aap bhi home office se blogging karte hai, agar haa to aap apne personal office ko kaise arrange karte hai?

Agar aapko hamari ye post achi lagi ho to comment karke jarur btaye or es post ko apne dosto ke sath social media parshare jarur kare.

Avatar for Muskan Rangrez

About Muskan Rangrez

नमस्कार मेरा नाम मुस्कान रंगरेज़ है और मैं इंडियन ब्लॉगर हूँ! मैं ब्लॉगिंग ओर एजुकेशन पे आर्टिकल लिखती हूं अगर आपको मेरे द्वारा लिखे आर्टिकल अच्छे लगे है तो Social Media पर शेयर करना ना भूले.

Comments ( 21 )

  1. Ashish

    Bahut badiya jankari di hain aapne

    Reply
  2. Ajay kumar gupta

    Office setup ko lekar bahut se logon ka sawal rahta hai. Aur vah janana chahta hai ki kaise office setup kare bloging ke liye ? So, Aaj aapne puri details ke saath jankari share kar diye hain. Thanks is best information ke liye.

    Reply
  3. dharmesh rajput

    Achha article likha he aapne, share karne ke liye bahut bahut dhanyawad

    Reply
  4. Rakesh Verma

    Aapki Ye post vastav me sabhi Blogger ko ek professionaly work Karne me kafi help Karega.
    Thanks for this good article.

    Reply
  5. Ronak

    Very Good article Muskan Jii. But Ghar pe office wali feeling nhi ata chahe ham kitna bhi accha office kyu na bana le.

    Reply
  6. Anil Kumar

    Very Nice Post . Sir hum apane wordpress blog me woocommerce store kaise baneye jisme blog bhi ho or online store bhi .

    Reply
    • Jumedeen khan

      WooCommerce theme use karo aur WooCommerce plugin se activation karo. Done!

      Reply
  7. Anoop Bhatt

    आपने बहुत अच्छी जानकारी दी है वाकई में यह पोस्ट कुछ सिखा गई

    Reply
  8. kuldeep singh

    Good Information,Aapne Jo Kuch Bataya Hai Ye Sab Agar Sahi Se Ho To Blogging Karne Me Interest Bana Rehta Hai. Agar Hamare Aas Paas Ka Mahol Thik Nhi Hoga To Ham Blogging Me Jayada Der Tak Man Nhi Laga Payenge

    Reply
  9. Deepak sahu

    Sach batau to mujhe ghar par reh kar blogging karne me kaafi problem hoti hai so mai kaafi time se soch raha hu ki jab blogging se acche khaase paise kamane lagu to ek alag room lekar work karu. kyu ki bhale hum apne ghar ko hi office bana le lekin wo mahaul nahi ban pata jo ghar se dur reh kar banta hai.

    fir bhi kosish karunga ki aapne is post me jo bhi points bataye hai unko follow karu aur try kar ke dekhu iska result.

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...