Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte

Youtube par video upload karne se pahle aapko ye janna jaruri hai ki Youtube par kon konse video copyrighted hote hai or hum YouTube par kis kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Jisse future me hume copyrighting ki problem na ho or humara AdSense account ban na ho. Is post me mai aapko isi ke bare me bta raha hu. Ummid karta hu ye post all YouTube users ke liye helpful sabit hogi.

Youtube par kis tarah ke video upload nahi karne chahiye

Jab koi person pahli bar YouTube par video upload karta hai to kei bar uski self created videos bhi copyright ho jati hai. Or wo sochta hai ki ye video to maine khud banayi hai fir copyright kaise ho sakti hai. Actualy, Youtube par video upload karne ke liye hume YouTube ki policy follow karni padti hai. So jis video me YouTube ki policy ka ullaghan hota hai, google use copyright man leta hai.

Google jab humari video ko delete kar deta hai to "This video is no longer due to a copyright claim."  message show hota hai. Generally aysa kisi bhi new YouTube user ke sath ho sakta hai. Ye YouTube ki common issue hai. I sure is post ko padhne ke bad aapke sath aane wale time me copyrighting ki problem nahi hogi.

  1. Mai YouTube par kis tarah ke video upload kar sakta hu.
  2. Kya mai gaming video YouTube par upload kar ke paise kama sakta hu.
  3. Kya mai TV serial ya movies ko record kar upload kar sakta hu.
  4. Maine video khud banaya hai fir bhi copyright kaise ho sakta hai.
  5. Kya mai apni video par filmi songs use kar sakta hu.
  6. Kya mai bina sound ke video upload kar sakta hu.

Ayse bahut sare sawal hai jo YouTube user mujhse aksar puchte rahte hai. So mai chahata tha ki un sabko iska details me jawab du, Jisse unke sath dusre YouTube users ki bhi help ho sake. Isliye mai ye post mere friends or mere all visitors ke liye likh raha hu. Commnet me post ke bare me apne thoughts jarur share kare.

Youtube Par Kis Tarah Ke Videos Copyright Ho Sakte Hai

Agar aap YouTube par video upload kar ke paise kamana chahate hai to aapko YouTube ki copyright policy ache se jan leni chahiye. Jisse aane wale time me aapko koi problem na ho. Kyuki YouTube par roj 1000 log channel banate hai but copyrighting ki wajah se sirf 50-100 hi success ho pate hai. Youtube par kis tarah ke video upload nahi kar sakte. Iske bare me mai aapko point se samajha raha hu.

  1. Audiovisual works: TV seral, movies seens or videos ko record kar ke YouTube par upload karna.
  2. Sound recordings and musical compositions: Kisi or ki sound (Jo pahle se YouTube par active ho) record kar ke ya fir kisi musical compatitioans ki video record kar ke upload karna.
  3. Written works: Kisi books, lectures, articles, and musical compositions books se copy kar ke video banana.
  4. Visual works: advertisements, paintings and kisi posters ki video bana kar upload karna.
  5. Video games and computer software: Koi bhi video games ya kisi software ko record kar upload karna.
  6. Dramatic works: Kisi plays yani khel ki recording karna Ya kisi or ke songs ki chori se recording karna.
  7. Legal Audio: Video ke liye sound bahut important hoti hai. But hum kisi filmi songs, dialogue abd voice ko video me add kar YouTube par upload nahi kar sakte.
  8. Stills and Images: Hum khud ki li photos ko hi video me use kar sakte hai. Agar aap kisi or ki image ka video clip bana kar YouTube par upload karoge to aapko uski permission leni padegi.
  9. Recording Location: Video banane ke liye aap kisi bhi public place, park ko shoot kar sakte ho but aapko private place video me shoot karna allow nahi hai. Jaise aap kisi dusre ka home and bussiness shoot nahi kar sakte.
  10. Your Age: Youtube par aap tabhi video upload kar sakte ho jab aapki age 17 years se jyada ho. Kyuki YouTube kabhi bhi aaapse documents verify kartne ke liye bol sakti hai.

Is tarah ke sare video copyright ho sakte hai. Kei bar game ya kisi or ki recording kar ke YouTube par upload karne se video copyright nahi hota hai. But ye dar humesha rahta hai ki copyright ho sakta hai. So hume sirf self created videos hi upload karne chahiye.

Ye post YouTube policy ka ek thoda sa part hai. Mai bahut jald iske bare me details se post karunga. I hope is post me bhi aapko achi jankair milegi.

Continue Reading
Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

356 Comments

Comments ( 356 )

  1. Sir kya mai kisi movie scen par apni voice me video bana skta hu

    Reply
  2. Ek hi channel pe 2 language ki video bana sakhte h kya?

    Reply
  3. Sir, Kya main hindi motivation video ko Tamil language re convert kar ke aur apni voice pe bana ke upload kar sakta hun. Please reply ❤

    Reply
    • Yes

      Reply
  4. Educational books ki pics se pdf bnakr read krte hue YouTube me upload krne se copyright strike aa skta h kya please reply

    Reply
  5. Hello sir kya mai apne channel pr new movi uplod kr sakta hu ya nahi kya ye copy right hoga plz riplyy

    Reply
  6. Hello sir mai kisi bhi star ya TikTok ke pic lekar uski Video bna kar upload kar skti hu?
    Usme song lga kar.
    Jaise ki upload karte time par youtube short me music ka song use kar skti hu uske liye koi liance nhi lena hoga na sir.
    Please reply sir

    Reply
    • nahi kar sakte, aap kisi aur ka content use karte ho to wo aapki video par copyright ka dawa kar sakta hai, haa licence le kar kar sakte ho.

      Reply
  7. Sir mai youtube pr jaise hero heroine hai aur famous tiktok stars h un logo ķi image ko download krke usme image ko lgakr music lgakr video post krti hu kya ye copy right h sir

    Reply
      • Sir kya kisi cooking video ke content ko kuch change krke uspe video bana skte hai ?

        Reply
  8. Kya mai Zee5 se video ki screen recording karkai YouTube per upload kar sakta hoo koi copyright to nahi aayaiga

    Reply
    • Aap nhi kr skte upload because of copyright issue.

      Reply
  9. ek channel pr kitna copyright pad skta h jisse wo band ho jaye?
    ar agr hm kisi video k screen record kr rhe h (jo youtube pr nhi h) ar usko youtube pr upload kr rhe h to kya copyright padega?
    ar agr speed badha kr screen record kr rhe h fir bhi padega?

    Reply
    • jo youtube par nahi hai wo copyright nahi hoga.

      Reply
  10. Sir Kya mai google ke fact padhar fact video bana Sakta hu sir please bataye

    Reply

Leave a Comment

Blogging

Youtube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Amazing Jankari Hindi Me

Youtube interesting facts and amzing information in hindi
Youtube video share karne ki sabse jyada popupar website hai. Youtube par daily hazro videos upload kiye jate hai. Shayad hi ko ihoga jisne YouTube ko use na kiya ho or kabhi YouTube par video na dekhe ho. Aaj is post me mai aapko YouTube ke bare me kuch interesting…
Continue Reading
Make Money

YouTube से पैसे कैसे कमाए? पूरी जानकारी हिंदी में

YouTube से पैसे कैसे कमाए? पूरी जानकारी हिंदी में
YouTube पर आपने विडियो तो बहुत देखी होगी पर क्या आपको पता है कि यूट्यूब से पैसा कैसे कमाए? अगर नहीं तो ये पोस्ट आपके लिए ही है, क्युकी यहाँ पर हम YouTube से पैसे कमाने की पूरी जानकारी (Complete Information) शेयर करने जा रहे है। तो आईये जानते है…
Continue Reading
YouTube

YouTube Se Paise Kamane Ke 10 Aasan Tarike - Top 10 Ways

YouTube Se Paise Kamane Ke Aasan Tarike
Internet से online पैसे कमाने की बात होती है तो YouTube का name जरुर आता है YouTube पर आप video upload कर easily earning कर सकते हों। इसके बारे में आपको internet पर बहुत सारी posts मिल जायेगी मगर आज मैं आपको YouTube से पैसे कैसे कमाये? के बारे में नहीं बल्कि…
Continue Reading
t20 win
x