WordPress Blog Par Favicon Kaise Set Kare – 3 Badiya Tarike

Is tutorial me mai aapko “How to add favicon to WordPress blog” ke bare me information de raha hu. Yaha mai WordPress blog par favicon set karne ke 3 best tarike (method) bta raha hu. Agar aapke blog par kinhi karano se favicon show nahi ho raha hai to aap in tariko ko try kar sakte hai.

Wordpress blog par Favicon kaise add kare

WordPress par Blog Install karne ke bad hume blog me jo important settings karni hoti hai. Unhi me se ek hai apne blog ke liye favicon icon add karna. Jo humari site ki pahchan hota hai. Or sabhi chahate hai ki uski site ki alag pahchan bane.

Agar aapka blog blogspot.com platform par hai to aap Blogspot blog par favicon kaise add kare article padh kar apne blog par favicon add kar sakte hai.

Mostly .jpeg, .png file favicon par work nahi karta hai. Site par favicon add karne ke liye aapko small size ka favicon banana hota hai. Starting me favicon inhi reason se show nahi hota hai. Wese kei bar .JPEG OR .PNG file ka favicon bhi work karta hai. Yaha mai aapko faivcon ke liye kuch points bta deta hu.

  1. Favicon ka recommended size 16×16, 512×512,  150×150 ya 12×12 ka hona chahiye.
  2. Favicon ko FTP (File Transfer Protocol) se change karke upload karna chahiye.
  3. File favicon.ico support hona chahiye. .jpeg or .png kei bar work nahi karte hai.

Site ke liye favicon banane ke liye aap favicon banane wali website use kar sakte hai. In my case, Maine apne blog ka favicon www.favicon.cc site par banaya hai.

WordPress Blog Par Favicon Kaise Add Karte Hai ?

WordPress blog par aap jo theme use kar rahe ho. Usme bhi favicon add karne ka features hota hai. But kuch free WordPress theme me favicon set karne ka option nahi hota hai. Ayse me aap niche btaye tariko se apne blog me favicon logo set kar sakte ho.

Method 1: Add Favicon By WordPress Directory

WordPress 4.4.2 me favicon add karne ka features diya hua hai. Jisse aap direct WordPress customize option se favicon add kar sakte ho.

Apne WordPress blog admin panel par ja kar log in kare or blog ka homepage open kare. Ab top sidebar me Customize par click kijye. Agar top sidebar show na ho to users > your profile par ja kar “Show Toolbar when viewing site” ke samne tick kare.

  1. Ab Select Image par click karke favicon upload kare.
  2. Save & publish par  click kare favicon add kare.

Select Image for WordPress favicon

Method 2: Add Favicon By Using Plugin

Second method me aap WordPress plug-in use karke favicon add kar sakte hai. Iske liye aap apne WordPress blog ke administration panel par jaye or Plugins > Add New par click karke favicon plugin upload kare. WordPress par favicon add akrne ke liye aapko bahut sare plug in mil jayenge. Jaise All in One FaviconCustom Favicon or Favicon by RealFaviconGenerator. Isme All in One Favicon plugin ko 200,000 se jyada log download kar chuke hai. Custom Favicon ko 30,000 se jyada users download kar chuke hai or  Real Favicon Generator ko 90,000 se jyada log download kar sakte hai. Aapko jo pasand aaye use kar sakte ho.

Wordpress Favicon Plugin

Method 3: Add Favicon By Directory Using FTP

Third method me aap direct blog me code paste kar favicon add kar sakte ho. Iske liye aapko blog theme ke edit option me ja kar header.php me favicon ka code paste karna hai.

WordPress admin panel par jaye or Apearance > Editer open kare. Ab right sidebar me “header.php” par click kar open kare. Ab yaha <head> ke niche ye code paste kar de.

<link rel="shortcut icon" href="yoursite.com/faviconurl" type="image/x-icon"/>

Is code me link me “yoursite.com/faviconurl” ki jagah apni site ke favicon ka link change kar le. (Favicon .png, .jpeg, .ico ya kisi bhi format ka ho sakta hai.)

Agar upar di three method se bhi aap favicon set nahi kar pao to mai aapko suggest karunga ki aap All in One Favicon plugin use kare.

I hope aapko is post me WordPress favicon ki achi jankari milegi. Or aap isme btaye tarike follow karke apne WordPress blog me aasani se favicon set kar sakte ho. Agar fir bhi aapko koi problem ho to niche comment me puch sakte ho. Ya fir aapke pas iske alawa bhi koi or tarika hai jisse WordPress blog par favicon set kar sake to aap comment me apne vichar share kar ke humare readers ki help kar sakte ho.

Agar aapko ye article pasand aaye to ise social media par apne friends or other WordPress user ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 42 )

  1. Aapne bahut hi usefull jankari diya hai, maine aap ke method se hi fevicon upload karta hu

    Reply
  2. sir humne kai baar fevicon add krne ki koshish ki lekin nahi hua. aur site icon bhi show nahi ho raha hai. ab aapke bataye hue tarike se try karege.

    Reply
    • Favicon add karne ke bad page refresh karo.

      Reply
  3. SIR MAI HTTP TO HTTPS ME JANA CHAHTA HUN. ISE START KARNE ME KOI GALTI HO JAYE , TO MERI WEBSITE PAR ISKA BURA EFFECT TO NAHIN PADEGA.

    SIR PLEASE REPLY

    Reply
    • Yes bura effect padega. Aapko traffic kam ho jayega. So pahle ise achhe se samajh lo tab move karna.

      Reply
  4. Nice आर्टिकल

    Reply
  5. मैने अपने blog मे https:// enable किया, अब मेरा blog https:// से ही open होता है लेकिन google पर मेरे blog title के नीचे जो url दिखता है उसमे https:// नही दिख रहा है। करीब 7-8 दिन हो गये है।

    Reply
    • Aap search console me apna blog https ke sath submit karo uske bad google aapke http wale links ko index karega.

      Reply
  6. hello sir
    aap jo post me heading ke liye blu color ki patti ke liye konsi plugin use karte hai

    Reply
    • Main koun koun se plugin use karta hu wo aap wpthemedetector.com iste par check kar sakte ho.

      Reply
  7. Mere me favicon nhi add ho rha h. Pls mujhe btayenge me kya kru ki mera add ho jaye,mai WordPress use krta hu ribbon theme h

    Reply
    • Aap favicon ke liye plugin use karo.

      Reply
  8. me bhi apne site me favicon add karna chata hu, lakin ise add karne se Seo me koi faieda ya fark padhta hai kya .

    Reply
    • Koi fark nahi padega. ye aapki site ki pahchan ke liye hai.

      Reply
  9. bahut hi achi jankari hai jummedin bro
    mai aapke likhne ke style ka aur hum jaise ko samjhane ka jo aapka style hai mujhe bahut acha lagta hai
    aur mai ye keh sakta hu ki aap samjhane ki jyada kosis karte ho

    Reply
  10. bhai plz mere visiter wait kar rahe h jaldi meri post publish karen
    or haa jaisa h plz vaisa hi post karen
    sab sahi h mene cheak kar liya h
    plz plz plz

    Reply
    • Maine aapko email par reply kiya hai. aap check kar lena.

      Reply

Leave a Comment