WordPress Blog Par Spam Comment Rokne Ki 10 Important Tips

Are you receiving a lot of spam comment on your WordPress blog? Agar ha to aap akele ayse nahi ho sabhi WordPress user ke sath last kafi time se aysa ho raha hai. But ab humne spam comments se combat karne ke liye bahut se several ways sikh liye hai. In this tutorial, mai aapko kuch most valuable tips and plugins ke bare me bta raha hu jinse aap apne WordPress blog par automatically hone wali spam comment ko stop kar sakte ho.

Stop-Spam-Comment-WordPress

WordPress blog par spam comment ko rokne ke liye aapko WordPress me hi better feature mil jayenge bas aapko unhe use karna aana chahiye. Iske alawa aap akismet jaise plugin install karke bhi spam commenting ko avoid kar sakte hai.

Agar aap .htaccess ke throw spam comment ko block karna chahate hai to aap humari WordPress Spam Comments Ko .htaccess Method Se Stop Kaise Kare post padhe.

Tips and Tricks To Combat Spam Comment in WordPress Blog

1. Use Akismet Plugin:

Akismet most valuable plugins me se ek hai. Ise install karne ke bad aapke blog par spam traffic or spam comment bilkul band ho jayega. Sath hi ye aapko or bhibahut se feature offer karta hai. Aap iski help se regularly spam comments ka pata laga sakte ho or unhe handle kar sakte ho. I mean spam commenting ko rokne ke liye akisment sabse better plugin hai. Aap chaho to iske alawa bhi koi other plugin use kar sakte ho.

2. No follow comments links:

Sometimes, new blogger kisi plugin ki help se ya coding editing se comment author link ko nofollow ki jagah dofollow kar dete hai. Kuch newbie people aysa jyada comments pane ke liye karte hai. But aapko bta du ki ye spam comment ko invite karne ka sabse bada tarika hai. I mean aap khud kah rahe ho ki “Aao or mere blog ko tabah kar do” So alwats no follow comments links hi use kare.

Iska sabse bada fayda ye hai ki aapke blog par comment karne walo ki asaliyat pata chal jati hai ki koun aapke blog par sach me comment karna chahata hai or koun sirf self promotion ke liye aapke blog par comment leave karta hai.

3. Add Captcha Verification:

Aap WP-reCAPTCHA plugin use karke comment form me verify code option enable kar sakte ho. Recaptcha plugin comment form me images, text and number verification feature show karta hai jise koi human hi verify kar sakta hai. Robot dwara automatically hone wali spam comment ko rokne ka ye ek acha tarika hai. Sabse achi bat jab captcha plugin spam bots ko block karta hai to iska manually commenting system par koi extra effect nahi padta hai.

4. Removing Website URL Field from Comment Form:

Sab jante hai ki blog par commenting system only articles ke bare me disquss karne ke liye hota hai but kuch log apni site ka promotion karne ke liye bekar ki useless comment karte hai. Ye user aapki post ko read kiye bina hi comment kar dete hai. Inhe manually spammer kahna bura nahi hoga. Iska main reason hota hai comment form me website URL field ko hona. Website URL field na sirf automated spam comment ko attract karta hai balki ye human spammer ko bhi invite karta hai.

Bahut bar aapne apne hi blog par dekha hoga ki kuch blogger aapki post par “nice post, good information, thanks for share this guide, aapki is post se hume bahut help mili, new blogger ke liye ye post bahut kaam ki hai.” jaise words ko use karte hai. Actually, inhe aapki post se koi lena dena nahi hota hai ye sirf aapke blog par self promotion ke liye comment karte hai jo ek tarah se spam comment hi hoti hai.

5. Disable Comments on Media Attachments:

WordPress automatically image attachments pages create kar deta hai jise dekh kar user us par comment kar dete hai. Lagbhag sabhi website owner or blogger apni post me images use karte hai kyuki ye SEO ke liye most important hoti hai. So ab agar aap chahate ho ki aapke blog par image pages par koi comment na kare to aapko image attachments pages par comment form ko disable karna hoga. Paste the following code in your theme’s function.php file.

function filter_media_comment_status( $open, $post_id ) {
   $post = get_post( $post_id );
  if( $post->post_type == 'attachment' ) {
return false;
}
 return $open;
}
add_filter( 'comments_open', 'filter_media_comment_status', 10 , 2 );

Is code ko copy karke apne WordPress blog ke function.php folder me add kare. Agar aap ye code use karna nahi chahate ho to disalbel comments plugin use kar sakte ho.

6. Use Annoying Math Quiz Plugin

Jaisa ki maine upar btaya hai ki aap captcha plugin use karke spam commenting ko avoid kar sakte ho. But mai aapko suggest karunga ki aap math quiz plugin use kare. Ye plugin comment form ke sath user ko kuch math quiz solve karne ke liye dete hai. Jise koi bhi robot solve nahi kar sakta inhe sirf koi person manually solve kar sakta hai. Ye user ke liye dukhdayi jarur hota hai but spam comment ko rokne ka acha tarika hai.

7. Disable trackbacks:

Trackbacks comment spam ka ek big issue hai. Aap aasani se apne WordPress blog par trackback ko disable kar sakte hai. Iske liye aap WordPress dashboard >> setting discussion par jaye or default article settings me “Allow link notifications from other blogs (pingbacks and trackbacks) on new articles” ke samne unselect karke trackbabacks ko turn off kar sakte hai. This can prevent comment SPAM and it is very easy to do so.

disable pingbacks and trackbacks

Iske alawa aap new post write karte time, post edit and publish karte par bhi trackbacks and pingbacks ko diasable kar sakte hai.

8. Turn Off Comments on Old Posts:

WordPress aapko comment closure deadline allow karna ka feature deta hai. Jisse aap apni hisab se 10, 20, 50 ya 100 day purani posts par comments ko band kar sakte ho. Iske liye aap WordPress dashboard >> settings >> discussion me ja kar other comment settings me “Automatically close comments on articles older than 14 days” ke samne tick kare or 14 days ki jagah apne anusar comment closure time set kare.

disable comments

Ab WordPress automatically aapke dwara set kiye gaye dino ke numbers se old post par comment system ko band kar dega.

9. Block Sexual and Other Common Words:

Aapne dekha hoga ki jyadatar spam comments s*xualy ya other illegal website url, name, email address ke sath ki jati hai. Inem kuch words (like xxx, p*rn and other) common hote hai jo adhiktar comments me use kiye jate hai. Wordpress me ek aysa feature hai jisme agar aap in common words ko add kar de to jab bhi koi in words ke sath comment karega to wo automatically spam ho jayegi. Iske liye aap settings >> discussion me jaye or comment blacklist me in words ko line by line add kare.

  1. xxx
  2. p*rn
  3. s*x
  4. drug
  5. viagra
  6. adult
  7. and other

Aap blog par jo spam comment ho rahi hai aap unme se kuch common words ko choose karke yaha add kar sakte ho. In my experience, ye sap comment ko block karne ka ek bahut acha tarika hai.

10. Switch Off Comments:

Commenting system discus karne ke liye hota hai or iski jarurat discuss related blog par hi hoti hai. Agar aap news and othwer none discus topic par blogging karte hai to aapko iski koi jarurat nahi hai. Sochiye agar aapko lagta hai ki aapke liye commenting ki koi jarurat nahi hai to aap apne blog par commet system ko deactivate kar sakte ho. Iske liye aap settings >> discussion me ja kar ‘Allow people to post comments on new articles’ ke samne untick kar de uske bad aapke blog ki har post par se comment system show hona band ho jayega.

Extra solution, aap chaho to comment settings me “Users must be registered and logged in to comment” ke samne tick karke sirf WordPress user ke liye commeting on kar sakte ho.

Final Words,

Ye thi kuch badiya tips jinhe koi bhi blogger aasani se follow kar sakta hai or apne WOrdPress blog par spam comment ko cambat kar sakta hai. Agar aap soch rahe hai ki log humare blog par spam comment karte kyo hai to mai aapko bta du ki in logo ki soch hoti hai ki wo jyada se jyada backlinks bana kar apni website ko search me fist ranking me la sakte hai. I mean ye log apne blog ki search value badhane ke liye toher blog par illegal tarike se apni site ka promotion karte hai. Inki comments se aapko koi fayda nahi hai.

I hope aapko ye article pasand aayega or isme aapko avoid comment spam ki badiya information milegi. So plz is post ko other blogger ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 40 )

  1. Akhil

    That was an amazing article about WordPress, it helps me in understanding how WordPress is important for business.

    Reply
  2. Deepak Sahu

    sir meri website par aaj kal daily 60-70 spam/trash comment aate hai jinko bar bar remove karna annoying ho raha hai mere liye.

    aur sir mai bhi apne blog se “Removing Website URL Field from Comment Form” ye remove karna chahta hu so plz iska tareeka bataye.

    Reply
  3. Vinod

    Sir, I am a new blogger aur Maine mera blog blogger par banaya hai.
    Mere man me ek saval hai.
    Jab hum koi blog par comment karte hai to Apne blog ka address likhna hota hai
    Sir, www likhe,http likhe ya fir https likhna chahiye

    Reply
    • Jumedeen khan

      Kaise bhi likh sakte ho.

      Reply
  4. puran mal

    sir mere blog me abhi 150 post hai. lekin abhi abhi mene mere blog ko Worpress par transfer kiya hai. ab me google console me check karta hu to 180 post submit aur 170 post index bata raha hai.me isko kase thik karo

    Reply
    • Jumedeen khan

      Wo posts nahi all URL honge, jisme aapke blog ke page aur pagination URL bhi shamil hote hai.

      Reply
  5. Mahendra

    Hello sir comment box ke niche me mail name ka option keise lagate hain

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Blogger settings >> Posts, comments and sharing par jao or “Comment Form Message” box me chahe jo text add karo.

      Reply
  6. Mahendra

    Hello sir aap comment ke liye kon saa plugin use karte hain

    Reply
    • Jumedeen Khan

      akismet.

      Reply
  7. suresh Kumar gautam

    sir aisa koi software hai kya jisse hum apni template live dekh sake
    ya hum apni koi template banaye to usko live dekh sake aisa koi software h kya

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Nahi, aesa software nahi hai aap ek extra blog bana kar usme template design kiya karo. Complete hone par main blog me template upload karo.

      Reply
  8. suresh kumar gautam

    sir meri website me subscribe now bich blog me aa raha hai usse bahut problem ho rahi hai so plss ek bar meri website check karke batao ki bo kaise theek hoga plss sir

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Mere hisab se aap pop up use mat karo google se penalty mil sakti hai.

      Reply
  9. Harpreet Kumar

    Blog per spammy comments ki har blogger ko bahut problem ati hai bhai. Apne spam comments protection ke liye badhya tips bataye hai uske liye thanks bhai. Keep it up.

    Reply
  10. Gaurav

    sir WordPress par pingback comment kese band kare?

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Gaurav iske bare me isi post me btaya hai ek bar post ko padh liya karo.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...