Google plus most important social media sites me se ek hai. Google+ par apne blog ke article share karne se na sirf aapko jyada visitors milte hai balki aapki site ki search engine me visibility bhi increase hoti hai. Agar aap apni google+ profile par apne blogger blog ki post ko automatically share karna chahate ho to is post me btayi trick aapke kaam aa sakti hai.
Blog Post Ko Google+ Profile and Page Par Automatically Share Kaise Kare
Blogger me already post ko google plus par auto share karne ka feature diya hua hai bas aapko use enable karna hai. Iske liye aap ye step follow kare.
- Blogger dashboard par jaye or drop down menu me settings >> posts, comments and sharing par click kare.
- Ab scroll down kijiye or share to google+ par jaye.
- Aapko google+ profile par post auto share karni hai ya google+ page par wo select kare.
- Agar aap chahate hai ki aapke post publish karne ke bad post automatically share ho jaye to “auto-share new published posts to your google+ profile” ke samne tick kare.
- Agar aap chahate hai ki aapke post publish karne ke bad manually post share karna chahate hai to “prompt to share after posting” ke samne tick kare. Isse jab bhi aap post publish karoge to google+ par post share karne ka pop up box show hoga. Yaha aap post ke sath text bhi add kar sakte ho.
Blogger ke is feature se aap na sirf google+ profile par posts ko auto share kar sakte ho balki aap google+ pages par bhi post ko auto share kar sakte ho. Iske liye bas aapko upar btaye first step par google+ profile ki jagah google plus page ko select karna hai.
- Google Plus Se Blog Ki Traffic Badhane Ke Top 5 Tarike
- Google Plus Par Page Kaise Banaye Hindi Me Jane
I hope aapko is post me helful and useful information milegi. Agar ha to is post ko social media par apne friends or other blogger ke sath share jarur kare.
Hi sir
Blog par jo blogger profile hoti hai use edit kar sakte hai koi problem to nahi
No problem kar sakte ho.
bahut acchi information di hai sir aapne … kya aap bata sakte he ki google plus ke alawa yaha par hum facebook ya twitter ka option add kar sakte hein kya
Nahi ye feature sirf google+ ke liye hai.
hi broo please help me :- mere blogger ki post ko google me search karane par google plus likhe aata hai ise kaise remove kare …
Google plus profile ki setting me jao or search engines wali features ko disable kar do.
Sir me jab google plus per share karti hu to author picture or author name aaraha hai. post name or post picture nahi aaraha. or share karte samai picture ko change karti hu to post picture aaraha hai but author name reh jata hai. kya karu samajh nahi aaraha.please check karka bataye kya probleme hai?
Aap apne blog ki template change karke share karo post image aa jayega.
helllo sir. me jab post ko share karti hu to post picture ke sath author picture bhi aaraha hai. kya karu ? please help.
Aapne site ka link add nahi kiya sorry main check nahi kar sakta.
Sir mere blog me AdSense ke liye earning ka option to hai lekin ise enable
kaise karage plz. puri jankari de agar iske bare me aapki koyi post ho to
uska link de
Aapke pas custom domain hai. Aapko is option ki jarurat nahi hai aap direct domain se AdSense ke liye apply kar sakte ho.
sir mai aapse kuch sawal puchana chahta hu ki comments ka reply kahase dete hai
aur blogger per blog 6,month se zada purana hai lekin domain 4,month old hai AdSense
ke liye domain kya 6,month purana hona chahiye mere blog per perday veiw 500,6oo, hai abhi tak mene AdSense per account ke liye ek bhi bar try nahi kiya hai kya me kar sakta hu.
Direct blog dashboard >> comments option se.
Yes agar aapke blog me earning ka option enable hai to kar sakte ho.