Shadi-shuda Zindagi Ko Behtar Kaise Banaye – 10 Badiya Tarike

Shadi aadmi aur aurat ko milane ka wo rishta hai jisme 2 ajnabi ek dusre ke ho jate hai aur fir puri zindagi ek sath gujarte hai. Aayiye jante hai is Shadi-shuda Zindagi Ko Behtar aur Khushahal Kaise Banaye. Shadi Shuda Jindagi Ko Khushhal Banane Ke 10 Tarike Hindi Me.

Shadi-shuda Zindagi Ko Behtar Banane Ke 10 Tarike

Jab kisi ki nai nai shadi hoti hai to apne life partner ke sath talmel baithane me thodi mushkil hoti hai, kyuki dono vyaktiyo ka mahaul, parivar, soch, vichar etc. alag alag hote hai. Agar aapke sath bhi aesa hi hai to ye post aapki jindagi badal sakti hai.

Bahut se logo ko married life ko boring , pakau, zindagi barbad, faltu kahte huye suna hai. Lekin ye sach nahi hai hum agar sahi tarike follow kare to apni shadi shuda zindagi ko khushahaal bana sakte hai aur apne life partner ke sath behtar zindagi jee sakte hai.

Apni married life ko better banane ke liye aapko ek dusre se samjhota karna hi padega. Yaha main shadi-shuda jindagi ko behtar banane ki aesi hi 10 bate bta raha hu. Agar aap inhe apna lete hai to aap married life humesha khush rahoge.

Shadi Shuda Zindagi Ko Behtar Banana Hai to Apnaye Ye 10 Tarike

Marriage ke bad man and women dono ko puri zindagi ek sath rahna hota hai aur ek dusre ki family ke riti-riwazo ke samajh kar ek dusre ki galtiyo ko bhool kar achaiyo ko apnana hota hai. Chaliye jante hai aur kya kya karna hota hai.

1. Ek Dusre Se Pyar Kare

Aapki shadi ho chuki hai ya nai nai shadi huyi hai, aapka partner jo bhi ho ab aapko puri zindagi usi ke sath rahna hai. Shadi shuda zindagi ko achhi banane ke liye sabse pahle aur sabse jyada jaruri hai ek dusre se prem karna.

Ek dusre ki achai aur burai ko apnana ek dusre ka khyal rakhna aur ek dusre ko khush rakhna. Aapke dil me aapke partner ke liye kuch bhi karne ki bhavna honi chahiye.

Aap dono koi bat ek dusre se chipaye nahi aur jaha tak ho sake ek dusre ke sath share kare, aesa karne se aapke bich me kisi tarah ki koi galatfahemi nahi hogi aur na hi koi aapke partner ko bargala sakega.

Aap humesha apne sathi ko ye ehsaas karwaye ki aap zindagi me usse sabse jyada pyar karte hai aur ye dikhawa nahi hakikat hona chahiye.

2. Ek Dusre Par Bharosha Kare

Wishwas ek chota shabd hai par ye bade bade mahalo ki neem hilane ki takat rakhta hai. Aapko chahiye ki aap kabhi bhi apne partner ko bharosha na tode.

Bharosha wo cheez hai jo marte dam tak aap dono me prem banaye rakhega. Apne partner se jhooth bol kar apne aapko smart samajhne ki galti na kare. Sach ek din samne aa kar hi rahta  hai.

Agar aap partner ko koi bat btana nahi chahate ya btane layak nahi hai to aap use sidhe sidhe kah do usse jhooth mat bolo.

Agar aap partner ka bharosha tod dete ho to wo aapki koi bhi bat ka bharosha karna chhod dega aur aapke galti na karne par bhi aapko hi galat manega. Behtar hai bharosha banaye rakhe.

3. Ek Dusre Ki Galtiyo Ko Maaf Kare

Kahte hai ki allah ne kisi bhi insan ko 100% achha ya bura nahi banaya hai har insan me kamiya hoti hai aur har aadmi galti karta hai. Mistake sirf aapke partner se nahi aapse bhi ho sakti hai.

Agar kabhi aapke partner se koi galti ho jati hai to use ladne ki jagah se pyar se samjhaye. Ek dusre ki galtiyo par ladne ki jagah ek dusre ko maf karna sikhe.

Kai bar aesa hota hai ki humari pati patni ke koi galati karne par hume us par bahut gussa aata hai par wohi galati humare bhai behan se ho to aesa nahi hota. Iski wajah hoti hai uska humara family member na hona.

Dear aapka partner aapki family se bhi important hai. Ek wohi hai jo last time tak aapke sath rahega aapke marne tak aapka sath dega. Use sabse jyada pyar kare aur uski galtiyo ko bhool kar uski achaiyo ko dekhe.

4. Ek Dusre Ki Izzat Kare

Bahut bar aesa hota hai ki ladke ya ladki ke jyada educated ya intelligent hone par wo apne aapko apne partner se jyada smart samajhta hai aur apne partner ko iska rob dikhata hai.

Kuch log to aesa karte hai ki apne partner ki sunte hi nahi aur sirf apni chalate hai. Aesa aadmi jyada karta hai aurat kam wo apni biwi ke sath naukar jaisa vyavhar karte hai. Ise shadi-shuda zindagi nark ban jati hai.

I think husband wife dono ko same hona chahiye aapka partner aapke barabar hona chahiye use competitor na banaye aur na hi use nicha dikhane ki koshish kare.

Agar aap aesa karte ho to iska result ye hoga ki aapka partner aapko avoid karne lagega ya fir apne aapko kamjor mehsoos karne lagega.

Ye sab band karo or kabhi bhi apne partner ko chota hone ka ehsaas mat karo use itni izzat do ki wo apne aap hi aapko khud se ya sabse behtar samjhne lage.

5. Ek Dusre Ke Sath Imandar Rahe

Shadi shuda zindagi me ladai jhagde, ek dusre se nafrat, majboori me sath rahna, talak, dusri shadi karne ki ichha etc. sabki wajah hota hai “partner ke sath imandar na rahna” agar aap apne partner ka bharosha tod dete ho to wo aapko ignore karne lagega.

Aapki history kya hai mujhe nahi pata par shadi-shuda hone ke bad aap kisi ke sath koi rishta na banaye, apne partner se life time imandar rahne ka wada kare aur fir ise kabhi tootne na de.

Note:- Agar aap chahate ho ki partner aap par bharosha kare to pahle aap khud us par bharosha karo aur iske prati vafadar raho.

Agar aap khud imandar nahi hai aur apne partner se iski ummid karte hai to aap galat hai. Aap jaisa karoge aapka partner bhi wesa hi kar sakta hai, behtar hai uske liye imandar bano.

6. Boyfriend & Girlfriend Jaisa Vyavahar Kare

Aap dekha hoga ki hum apni girl friend aur boy friend par kis tarah paisa kharch kar dete hai par ye pati patni ke bich nahi hota hai. Girl friend 10,000 kharch kar de chalega par biwi 1000 kharch kar de do ghar me bawal mach jata hai.

Kyo na hum apni patni ke sath bhi girlfriend jaisa hi behavior kare fir dekhna life kaisi hoti hai. Aap agar aesa kar lete ho to I’m sure aapki life khushiyo se bhar jayegi.

Apne partner ko partner nahi boyfriend girlfriend bana kar zindagi jio fir dekhna life me kabhi koi problem nahi hogi.

7. Khushi Ke Lamho Ko Yaad Kare

Jab bhi kabhi aapko married life me boring feel ho to aap apne happy moments ko yaad kare. I think khushi ke chote hote pal bhi aapke man ko fir se khushiyo se bhar sakte hai.

Sabse achhi bat apne partner se khushi ke palo ke bare me bat karne se wishwas baithta hai. Sabse achhi bat aap apne partner ki har achhi bat ko yaad rakho.

Jab bhi aapko time mile apni family ke bich baate kare aur purani achhi bato ko bta kar family ya partner ka manoranjan kare. Sath hase aur hasaye.

8. Ek Dusre Ko Time De aur Dating Par Jaye

Jab aap ek successful person ya business person ban jate ho to aapke pas time bahut kam hota hai aur aap bahut samay tak apne partner ko time nahi de pate ho.

Aapke life partner ki sabse badi khyawish hoti hai ki aap uske sath samy bitaye, Bhag-daud bhari jindagi me samy nahi mil pata hai par jab bhi aapko tim mile apne partner ko time de aur ho sake to weekly ya monthly dating par jaye.

Ho sakta hai aapke partner ke dilo-dimag ko kuch bate ghere rahti ho par family ya kisi aur wajah se wo kah nahi pata hai. So apne partner ko bahar ghoomane le jaye aesi jagah par jaha par sirf aap dono ho aur aap apne dil ki bat kar sake.

Dating par jane se aapko apne partner ki har bat pata chalegi aur wo dheere dheere aapko sabkuch btata jayega. Isse relationships majboot hote hai.

9. Ek Dusre Ki Pasand Ka Khyal Rakhe

Shadi-shuda rishte ko majboot banane ke liye jaruri hai ki hum apne partner ki pasand ka khyal rakhe. Use uski pasand ki cheez lakar de aur use btaye ki aapki zindagi me uski kya ahmiyat hai.

Sabse better tarika hai ki aap pahle to apne partner ki pasand ka pata kare aur fir kisi khas mauke par uski pasand ki cheez la kar use surprise de. Is tarike se aapka partner jyada impress hoga.

Aesa kabhi nahi hona chahiye ki aapka partner aapse kisi ek cheez ke liye bar bar request kare. Ek happy married life ke liye jaruri hai ki aap ek dusre ki har pasand ka khyal rakhe.

10. Ek Dusre Ke Liye Sabse Behtar Bano

Aksar hum dekhte hai ki bahut se couple apni married life se khush nahi hote hai. Uski sabse badi wajah hoti hai ki wo ek dusre ko achhe se nahi samjhte aur ek dusre me kamiya nikalte rahte hai.

Aapke partner ke liye aap duniya ke sabse important aur better person hone chahiye. Use lagna chahiye ki aap se behtar is duniya me koi nahi hai. Aap uske liye sabkuch kar sakte ho aur aap duniya me uske liye sabse badiya insan ho.

Iske liye aapko apne partner ki har khwahish ko pura karna hoga. Uski har khwahish puri hogi to wo apne aapko khushnaseeb samajhega. Uske sath aesi jindagi jio ki wo har janm me aapki khwahish kare.

In sabke alawa aap aap apne partner ka samman kare, uski madad kare, uske kaam me hat bataye, uski tarif kare aur use kabhi dukhi hone ka mauka na de.

Ye the 10 tarike jo aapki shadi-shuda zindagi ko khushiyo se bhar sakte hai. I think aapne inke bare me pahle bhi suna hoga par aaj sirf padhna nahi hai inhe ajmana hai to aaj abhi se ye 10 baate apne dilo-dimag me baitha lo.

I’m sure aapki married life jannat ban jayegi aur aapko kabhi bhi shadi-shuda zindagi boring nahi lagegi. Aap aur aapka life partner dono humesha khush rahoge.

Agar aapko ye article pasan aaye to ise dusre logo ke sath share jarur kare taki wo bhi apni married life ko behtar bana sake.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 5 )

  1. Haseeb Alam

    Lag Raha Hai Shaadi Ka Khayal Aa Raha Hai Jumedeen Sir Ko…

    Kyon Sir Barati Log Taiyar Hain Aap Order Kar Do Bas…

    By The Way, Nice Suggestion…

    Reply
  2. Virendra maurya

    aap blogging ke alava bhi in sab cheezo pr bhi article likhte hai. bahut hi achha likha hai aapne

    Reply
  3. arti maurya

    Aapne bahut achhi baat batayi hai. iss article mein likhe hue word bahut hi achhe hai. thank you sir

    Reply
  4. Ashish

    Blogging ke aalwa bhe aap jo articles likte hain vo bahut acche hote hain.

    Reply
  5. sumit kumar

    बहुत ही अच्छा आर्टिकल है अगर लोग एक दुसरे पर इतना भरोसा करने लगेंगे तो फिर रिश्ता ही नहीं टूटेगा

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...