500+ Motivational Quotes जो आपकी जिंदगी बदल सकते है!

Hi friends, aaj main aapko kisi metter par samjhne wala nahi hu balki aaj main aapko kuch aesi bate batane ja raha hu jo aapko ek great person bana dengi or jinhe log motivational quotes, inspiration tips, good thoughts, inspirational ideas, success tricks jaise name se jante hai par main inhe jindgi jine ka sahi rasta kahunga kyuki agar koi insan in sabhi bato ko follow kar leta hai to main use successful hone ki gaurunti deta hu aaiye padhte un motivational quotes ko jo kisi bhi insan ki jindagi badal sakti hai.

Motivational Quotes in Hindi

I sure, Aap me se bahut se log inhe padh kar avoid kar denge ya fir inhe padhenge hi nahi, par aap me se hi kuch log inhe padh kar follow karenge or ek din mahaan banenge. Or shayad unme se kuch log mujhe iske liye thanks bhi kahe, Tab mujhe proud hoga un par or main sochunga ki meri wajah se kisi ko sahi raste par chalne ki sikh mili.

Agar insaan chahe to sabkuch kar sakta hai. Yes you can? bas tumhe shuruat karne ki jarurat hai. Mai ye kar nahi sakta? mai shuru kaise karu? mujhse ye hoga nahi? mai ye kaise kar paunga? mujhe iske bare me kisi ne btaya hi nahi? facebook, whatsapp par na jane kitne log mujhse aese sawal karte hai.

500 Motivational Quotes जो किसी की भी जिंदगी बदल सकते है!

So main aaj un sabhi logo ke liye yaha wo sab bate bta raha hu, Jo kisi bhi insaan ko mahan banane ke liye, kisi bhi kaam me successful hone ke liye, apne aapko strong karne ke liye, ek achha insaan banne ke liye, paise kamane ke liye, apni manjil tak pahuchne ke liye, I mean duniya ke har kaam me success hone ke liye bahut hai. Top 100 Motivation Quotes in hindi.

  1. Duniyaa tumhe us waqt tak nahi hara sakti jab tak tum khud se na har jao.
  2. Duniya ek dhalta huya saaya hai, Agar ye tumhare liye baki bhi rahe to tum iske liye baki nahi rahoge.
  3. Aapka ek achha dost humesha aapse bahut zyada ladta hai. Magar aapki aankho me aansu dekh kar wo sari duniya se lad jata hai.
  4. Jab aap kisi se nafrat se baat karo or wo aapko mohabbat se jawab de to samajh jana ki wo aapse khud se zyada pyar karta hai.
  5. Khuda se mango to naseeb mango aqal nahi, kyuki bade bade aqalmand naseeb walo ke yaha gulam hote hai.
  6. Agar koi insaan apna jurm kabool kar le to ye ek tarah ka dharm hai.
  7. “Sabra” ek aesi sawari hai jo sawar ko kabhi girne nahi deti.
  8. Dushman chahe kitna bhi achha dost ban jaye us par aitbar mat karna. Kyuki paani ko chahe kitna bhi garm kar lo wo aag bujhane ke liye kafi hota hai.
  9. Talwar do qism ki hoti hai ek lohe ki or ek mohabbat ki, Farq sirf itna hai ki ek ek ko do karti hai or dusri do ko ek.
  10. Jab kisi se cheez se khatra mehsoos karo to usse dur mat bhago uska samna karo, kyuki khatra khauf se behtar hai.
  11. Gunaah se tauba karna wajib hai par gunaho se bachna or jyada wajib hai.
  12. Jab tumhare dil me kisi ke liye nafrat paida hone lage to fuarna uski achaiyo ko yaad karo.
  13. Apni jaban ki tezi kabhi us maa par mat aajmana jisne tumhe bolna sikhaaya.
  14. Logo ko usi tarah maaf kiya karo jis tarah aap apne rab se ummid karte ho ki wo tumhe maaf kar dega.
  15. Agar koi aapka dil dukhaye to naraz mat hona, kyuki ye kudrat ka kanoon hai ki jis par jitne jyada mithe fal lagte hai use utne hi jyada pathar mare jate hai.
  16. Beshaq apne dost ke liye apni jaan qurbaan kar do par kisi cheez ke liye apne dost ko kabhi qurbaan mat karna.
  17. Koi bhi dost us waqt tak dost nahi hota jab tak wo aapki gair – mojudgi me aapki izzat na kare.
  18. Logo se “Duao me yaad rakhna” kahne se jyada achha hai ki tum aese kaam karo ki logo ke dil se apake liye dua nikle.
  19. Logo ke dil me is tarah apna mukaam mana lo ki agar tum mar jao to tumhare liye sari duniya roye or agar jinda raho to log tumse milne ko tarse.
  20. “Apne aapko dusro se behtar samajhna, apne gunah ko bhool jana or apne allah ka zikr na karna” Ye 3 cheeze insaan ko mitti me mila sakti hai.
  21. Insaan kitna bhi door bhag le par ek cheez uska kabhi picha nahi chodegi, wo hai uski MOUT.
  22. Kabhi kisi ko aajmao mat, kyuki isse rishte kamjor ho jate hai.
  23. Kisi ko chhota mat samajho, Kyuki raaste ka ek chhota sa pathar bhi aapko muh ke bal gira sakta hai.
  24. Tum jab kisi ko ek bhi gaali guuse me ya majak me dete ho to usse tumhari kabra ke liye ek bichhoo ban jata hai.
  25. Insan ki fitrat uske chhote chhote kaamo se hi pata chalti hai, Kyuki bade kaam to wo bahut soch samajh kar karta hai.
  26. Agar tum kisi ko dhoka dene me kamyab ho jate ho to ye mat samajho ki wo kitna bewkoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbar kitna hai.
  27. Gusse me kabhi koi faisla mat karo or jarurat se jyada khushi milne par kisi se koi wada mat karo, dono hi humesha galat hote hai.
  28. Humesha apni chhoti chhoti galtiyo se bachne ki koshish karo, kyuki insaan pahardho se nahi chhote chhote pathro se hi thokar khata hai.
  29. Tumhari neeyyat ki aazmaish us waqt hoti hai, Jab tum kisi aese insaan ki madad karo jisse tumhe kuch bhi milne ki ummeed na ho.
  30. Jindagi ko aese jeeyo jaise tumhe humesha jinda rahna hai or mout ki fikra aese karo ki jaise tumhe agle hi pal marr jana hai.
  31. Kabhi apne dost ki sachhai ka imtehaan mat lena, Kya pata wo uski majboori ho or tum ek achha dost kho baitho.
  32. Mai jannat pane ke liye ibadat nahi karta kyuki ye ibadat nahi tijarat hai. mai narak ke dar se ibadat nahi karta kyuki ye ibadat nahi gulami hai, Main ibadat sirf isliye karta hu kyuki mera RAB meri ibadat ke kabil hai.
  33. Agar dost banana tumhari kamjori hai or tumhara koi dost nahi hai to tum duniya ke sabse taqatwar insaan ho.
  34. Insaan ke beemar hone ki ek badi wajah use apno se mile dhoke or dosto ki judai hai.
  35. Aapno ko humesha aapke hone ka ahsaas dilate raho, warna aesa na ho ki waqt unhe aapke bina rahna sikha de.
  36. Kisi ko mohabbat karne se pahle apne man me qabristhan bana lo, Taki uski choti choti galatiyo ko dafna sako.
  37. Jisne kisi ko akele me nasheeyat di usne uski jindagi sawar di or jisne sabke samne kisi ko nasheeyat di usne uski jindagi bigad di.
  38. Teen rishte be-naqaab hojate hai. (Budhape mein aulaad, musibat mein dost aur ghurbat me biwi)
  39. Lambi dosti ke liye 2 cheezo par amal karo, ek kabhi apne dost se guuse me bat mat karo dusri apne dost ki gusse me kahi bato ko dil se mat lo.
  40. Duniya me badiya insaan wo hai jiske liye koi roye or bekar insaan wo hai jiski wajah se koi roye.
  41. Koi tumse bhalai ki ummed kare to use nirash mat karo, kyuki logo ki zaroorato ka tumse wasta hona allah ki inayat hai.
  42. Hum kisi ke liye tabhi tak special hai, Jab tak unhe koi dusra nahi mil jata.
  43. Kisi ka dil mat dukhao, ho sakta hai wo tumhe aese chahata ho jaise marne wala Zindagi ?
  44. Insaan bhi kya cheez hai paise kamane ke liye apni sehat kho deta hai or fir apni sehat ke liye sari daulat loota deta hai.
  45. Ye mat socho ki allah humari dua faurn kabool kyu nahi karta, Balki ye socho ki wo humare gunaho ki saza fauran nahi deta.
  46. Insaan ki achhi niyyat par use wo inaam milta hai jo use uske achhe kaamo par bhi nahi milta.
  47. Pareshani khamosh hone se kam, sabr karne se khatam aur shukr karne se khushi me badal jati hai.
  48. Daulat milne par log badalte nahi balki wo Be – naqaab hote hai.
  49. Kabhi bhi apne jism or daulat ki taqqat par ghumaan mat karna, kyuki beemari or gareebi aane me der nahi lagti.
  50. Insaan gunah karne se bura nahi banta balki gunah par adde rahne se or apne zurm se mukarne ki wajaha se bura banta hai.
  51. Nafrat gunaho se karo gunah karne walo se nahi, shayad wo tumhari mohabbat me aa kar gunah karna chod de.
  52. Logo ki kamyabi dekh kar usne jalne se achha hai ki aap bhi unke jaisa ya unse behtar karne ki soche.
  53. Agar kisi ko guroor ho ki wo tumse jitni bar bhi roothoge, tum use mana loge to behtar hoga ki tum uska ye guroor tootne na do.
  54. Jo tumhe khushi me yaad aaye, Samajho tum usse mohhabbat karte ho aur jo tumhe gham me yaad aaye, Samajh lo wo tumse mohhabbat karta hai.
  55. Mushkeele humesha kabil logo ke raste me aati hai.
  56. Jo shakhs humesha tumhara bhala chahata hai, Uska udaas hona tumhare liye fikr ki bat hai.
  57. Agar tum mushibat me ho to ye mat socho ki ab kounsa dost kaam aayega, balki ye socho ki ab tumhe kounsa dost chod ke jayega.
  58. Insaan ke aanshu tab zayyeez hote hai jab wo kisi or ki taqleef mehsoos karke nikle ho, khud ki nahi.
  59. Jab insaan naarazgi khatm karne ki pahal karta hai to uska ye matlab nahi ki wo galat hai, Balki iska matlab use apni aan se jyada tum se rishta Aziz hai.
  60. Agar insaan ko ye pata chal jaye ki jab wo apne rab ke samne sir jhukata hai to us par rahm ki kitni barsaat hoti hai to wo sajde se sir uthana nahi chahega.
  61. Mujhe wo dost pasand hai jo mahfeel me meri mujhe galtiyo se bachaye or akele me mujhe bajaye.
  62. Dost ki koi bat buri lage to khamosh ho jao, Agar wo sach me tumhara dost hai to use iska dukh hoga or agar nahi hota hai to samajh lo wo tumhara dost nahi hai.
  63. Jhooth bolne wale aadmi ki sabse badi saza ye hai ki uske sach ka bhi koi aitbar nahi karta.
  64. Kisi ko paane ke tamanna karke uske pichhe mat bhago, balki uske kabeel ban jao wo khud tumhare pichhe aayega.
  65. Tumhara imaan jaanat se bhi keemati hai, Ise do pal ke sukh ke liye duniya me neelam mat karna.
  66. Insaan ki sachahi uski zuban ke niche hoti hai, Agar kisi shakhs ko janna hai to use gusse ki halat me dekho.
  67. Duniya me kabhi kisi achhe insaan ki talash mat karo balki khud achhe ban jao, Ho sakta hai tumhare aesa karne se kisi or ki talash puri ho jaye.
  68. Jis tarah shabnam ke katre murjhaye phoolo ko tajgi dete hai, Usi tarah achhe lafz logo ke dil ko sadgi dete hai.
  69. Jindagi sirf 2 din ki hoti hai ek din tumhare haq me or ek din tumhare kheelaf. Jis din tumhare haq me ho us din guroor mat karna or jis din tumhare kheelaf ho us din sabra karna.
  70. Sabr do tarah ka hota hai ek jo napasand ho use bardast karna or dusra jo pasand ho uska intjaar karna.
  71. Jindagi jarurato ke hisab se jiyo khwahisho ke nahi, Kyuki zarurate to faqeero ki bhi puri ho jati hai or khwahish baadshaho ki bhi adhuri rah jati hai.
  72. Log pyar ke liye hote hai or cheeze istemal ke liye, bat us waqt bigad jati hai jab cheezo se pyar kiya jaye or logo ka istemal.
  73. Na insaan apni marzi se paida hua or na apni marzi se marega, fir kyu wo iske bich ka waqt apni marzi se gujarna chahata hai.
  74. Achhe logo ki ek sabse achhi pahchan hai ki un yaad rakhna nahi padta wo khud yaad rah jate hai.
  75. Rizq ke pichhe kabhi apna imaan mat becho kyuki rizq insaan ka pichha is tarah karta hai jaise uski mout.
  76. Lakho dost banane se achha hai koi aesa dost banao jo lakho dushman hone par tumhara sath de.
  77. Aitbaar aur pyar do aese parindey hai. Agar inme se koi ek urdd jaye to dusra khud hi udd jata hai.
  78. Jis shaks me wafadari na ho uske sath dosti karne ka matlab khud ko zaleel karna hai.
  79. Tum acchha karo aur zamana tumhe bura samjhe, yeh tumhare haq me behtar hai bajaye iske ki tum bura karo aur zamana tumhe accha samjhe.
  80. Tum gulab ka phool ban jao, Kyuki ye uske hatho me bhi mahak chod deta hai jo ise massal kr feq deta hai.
  81. Apni kismat par wo rota hai jo allah ko nahi manta, kyuki allah ko manne wale ki ummed kabhi khatm nahi hoti.
  82. Bura dost aag k itarah hai, agar jalta hai to aapko jala dega or agar bujha bhi ha ito aapke hath kale kar dega.
  83. Har kisi ko itni ehmiyat do jitni wo tumko deta hai. Agar kam doge ghamandi kahlaoge aur agar zyada doge khud gir jaoge.
  84. Yaad rakho ki is duniya se tumhara wajood hai, tumse is duniya ka nahi, kyuki kasti jab tak paani me rahti hai wo terti hai, paani kasti me aate hi wo doob jati hai.
  85. Jab bhi tumhe lage ki tumhari pareshani duniya se badi hai to apne maa ke aanchal me chale jao, Suna hai maa ka aanchal is duniya se bhi bada hota hai.
  86. Agar tum kabhi kisi ki help karo to kabhi kisi se uske bare me baat mat karo.
  87. Sabse bada gunah wo hota hai jo karne wale ki nazar me chhota ho.
  88. Jo zara si baat par dosti todne ki dhamki de, samajh lo wo kabhi tumhara dost tha hi nahi.
  89. Jab tum kisi se mohabbat karo to usse jara si mohabbat na mango, kyuki tumse usse mohabbat ki ha itijarat nahi.
  90. Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho to tum use door se dekh rahe ho, or dur se sab cheeze choti najar aati hai, asaliyat ka pata to samne se hota hai.
  91. Aapko kabhi koi dukh nahi de sakta, agar aap logo se ummede karna band kar do.
  92. Kisi ki madad karte waqt uske chehre ki or mat dekho, ho sakta hai uske chehre ki sharmindagi tumhare dil me guroori ka biz bo de.
  93. Azmaye huye ko bar bar ajmana sabse badi bewkoofi hai.
  94. Apni zubaan ko kaboo me rakhne wala humesha fayde me rahta hai.
  95. Agar tumhare dil me kisi ke liye chahat paida ho jaye to samajho wo tumhe pasand karta hai.
  96. Us shaks par zulm karne se bachha karo, Jiska is duniya me tumhare siwa koi na ho.
  97. Sabse behtar wo shaks hai, Jo un lgo se achha shalooq kare jinse kuch behtar hone ki ummid na ho.
  98. Teen kaam logo ke dil me aapki izzat badhate hai. 1. Sabse salaam karna 2. kisi ko apni jagah dena or 3. logo ko unke asaali name se pukarna.
  99. Jo shaks tumhari nigaaho se tumhari zarurato ko nahi samajh sakta, Usse kuch bhi mang kar khud ko sharmeenda mat karo.
  100. Jab tum kisi insaan ki tabiyaat parakhna chaho to usse kisi bare me uski salah lo, Yakinn uski advice me aap uski imaandari, neki, sachhai, insaaf, zulm sabkuch jan jaoge.
  101. Jab koi khuda se kisi ke sukh ke liye dua karta hai to to wo dua kisi or ke haq se pahle uske haq me kabool ho jati hai.
  102. Jab dua or koshisho se bat na bane to faisla khuda par chod do, Wo apne bande ke liye humesha sahi faisla karega.
  103. Sazza dene me der karo, jab tak ki tumhara gussa thanda na ho jaye.
  104. Duniya me sabse badi neki band mutthi se khairat karna hai.
  105. Agar tum mout ki raftar dekh lete to tum kabhi koi ummid na karte or inko pura karne me lage nahi rahte.
  106. Agar kabhi koi tumhare sath bura kare to tum uske sath achha kar ke us par ehsaan kar do. wo uske bojh ke niche dab jayega.
  107. Jab tumhara dil bure kaamo se khush rahne lage to ye is bat ka gawah hai ki tumhara rab tum se naraz hai.
  108. Kabhi koi gunah laannat ke liye mat karo kyuki lazzat ek din khatm ho jayegi or gunah baqi rah jayega.
  109. Insaan sabse bura kab banta hai, jab wo khud ko dusro se achha samajhne lage.
  110. Daulat mitti ki tarah hai or mitti pao ke niche achhi lagti hai. agar sir par chadaoge to kabra ban jayegi or kabra jinda insaano ke liye nahi hoti.
  111. Galat bat par gussa aa jana sharafat ki nishani hai par ussi gusse ko pee jana imaandari ki pahchan hai.
  112. Agar aap khud ke raaz khud chipa nahi pate to dusro se iski ummeed bhi mat karna.
  113. Jis ne kisi ko pane raaz bta diye to samajho wo uska mohtaz ho gaya.
  114. Jo dukh do, use chod do par jise chod do use kabhi dukh mat dena.
  115. Kabhi bhi deemag me kamyabi or dil me nakamyabi ko jagah mat do.
  116. Sirf 2 hi log khushnaseeb hote hai. ek jisse wafadar sathi milta hai or dusra jiske sath maa ki duaye hoti hai.
  117. Dua mangte raho, kyuki mumkeen or namumkeen to sirf humari soch me hai. Khuda ke liye kuch bhi namumkeen nahi hota.
  118. Duniya ki char cheeze aesi hoti hai jo kisi se bardast nahi hoti. Beti, mehmaan, baarish or beemari.
  119. Insaan ko pareshani sirf do wajah se hoti hai. (Taqdeer se jyada chahata hai or waqt se pahle chahata hai.)
  120. Apni soch achhi rakho har ek ke bare me, kyuki tum jise jis nazar de dekhoge wo tumhe wesa hi nazar aayega.
  121. Jis ghar me har orz khuda ki ibadat hoti hai. Wo ghar aasmano walo ke liye aese chamakta hai jaise zameen walo ke liye sitaare.
  122. Agar koi tumhe bura kahe or tumhe gussa aa jaye to samajh lo ki tum wakayi bure ho.
  123. Kisi ko apni safai bayan mat karo, kyunki jo shakhs tumko pasand karta hai usko safai ki zarurat nahi aur jo tum se nafrat karta hai wo kabhi tum pe yaqeen nahi karega.
  124. Kisi ki kamiya talash karne walo ki mesaal us makkhi jaisi hai, Jo insaan ke sare khoobsurat jism ko chod kar sirf jakhmo par hi baithti hai.
  125. Bura aadmi kisi le liye apne dil me izzat nahi rkahta, kyuki wo har kisi ko apne jaisa samajhta hai.
  126. Guroor or jabardasti se tum sirf logo par raaz kar sakte ho logo ke dilo par nahi.
  127. Lafz insaan ke ghulam hote hai “Magar sirf bolne se pehle”. Bolne ke baad to “Insaan apne lafzo ka ghulam ban jata hai”.
  128. Daulatmand hone par insaan apne aapko bhool jata hai or daulat na hone par log use bhool jate hai.
  129. Aapka achhe logo ke sath achhe se pesh aana koi khubi nahi, balki bure logo ke sath apaka achhe se pesh aana kamal hai.
  130. Agar tum use na paa sako jise tum chahte ho to tum use kabool kar lena jo tumhe chahata hai. Kyuki chahne se jyada chane wale ka sath achha hota hai.
  131. Insaan ka nuqsaan jaan or maal ka chala jana nahi hota hai, Uska nuqsaan tab hota hai jab wo kisi ki nazro me geer jata hain.
  132. Sirf jarurat ke liye allah ko pukarne wale dono surato me use chod dete hai. 1. jarurat puri hone par bhi or 2. jarurat puri na hone par bhi.
  133. Paisa mout tak sath deta hai, apne kabra tak sath dete hai or humare achhe karm humara humesha sath dete hai.
  134. Mout ke khauf se haq ki bat kahne se mat daro, Kyuki na hi to koi mout ko apake kareeb kar sakta hai or na hi koi aapse rizq ko door kar sakta hai.
  135. Humse jo bhi pyar karta hai ek din hum use ajmante jarur hai. Par duniya me ek aesa pyar hai jise azmane ke bare me koi sochta bhi nahi, wo hai MAA ka pyar.
  136. Agar tumse koi puchhe ki jindagi kyaa hai to apni hathely par khaq rakhna or fook mar kar urdha dena.
  137. 3 cheeze jindagi me ek bar milti hai. Walide, Hushn or Jawani.
  138. Teen cheezein soch samajh kar uthao, Qadam, Qasam or Qalam.
  139. Teen kaam soch samajh kar karo, Mohabbat, Baat or Faisla.
  140. Teen cheeze kisi ka intjaar nahi karti, Mout, Waqt or Umar.
  141. Teen cheezo ko kabhi chota mat samajho, Farz, Marz or Qarz.
  142. Agar koi tumhari burayi kare to use dekh kar bhi jawab mat do, Tumhari khamoshi uske liye bahut bada jawab hogi.
  143. Agar dua mango to apni dua ki kabiliyat par yakeen karo, kyuki khuda ghafil or laparwah logo ki dua kabool nahi karta.
  144. Apne sukh logo ke sath banta karo or apne dukho ke bare me kisi ko btaya mat karo.
  145. Mehanat itni khamoshi se karo ki aapki safalta logo me khalbali macha de.
  146. Aapka gareeb paida hona aapka kasoor nahi hai par aapko gareeb manra apaki sabse badi galti hai.
  147. Kabyaab hone ke liye aapko akele hi chalna hoga, kyuki log to piche tab aate hai jab aap safal hone lagte hai.
  148. Hatho ki lakeero par yaqeen karna chod do, kyuki jab insaan badal sakte hai to hatho ki lakeer kyu nahi.
  149. Agar kisi kaam me har ki koi ummeed na ho to us kaam me jit hasil karna bhi koi mayne nahi rakhta.
  150. Aap apna future nahi badal sakte par aap apni habit badal sakte hai or ye sach hai ki aapki aadate aapka naseeb badal sakti hai.
  151. Ek sapne ke toot kar chaknachoor hone ke bad dusre sapne ko asali jindagi kahte hai.
  152. Wo sapne sach nahi hote jinke liye aap bar bar sote hai, sapne wo sach hote hai jinke liye aap sona chod dete hai.
  153. Safalta ka diya aapki kathin mehanat ke paseene se jalta hai.
  154. Jinke iraade buland ho wo sadako ki nahi, aasmano ki baat karte hai.
  155. Sach bolne wala pareshan jarur ho sakta hai par kisi se har nahi sakta.
  156. Humesha socho “Mai har halat me jitunga“
  157. Sabse bada rog “Kya kahenge log”
  158. Aashawadi har mushkil ghardhi me avasar dekhta hai or nirashawaadi bahane.
  159. Agar aap me koi kaam shuru karne ki himmat hai to aap me usme safal hone ki himmat jarur hogi.
  160. Sachhai wo diya hai jise beshaq kisi pahad ki choti par rakh do. Wo bhale hi roshni kam kare par dikhayi bahut door se bhi deta hai.
  161. Dukho me aap akele hote ho or sukho me ye duniya aapke sath hoti hai, Yaad rakho jis jis par duniya hasi hai us su ne itihas rachha hai.
  162. Kamyab log apne faisle se duniya badal dete hai or nakamyab log duniya ke dar se apne faisle badal lete hai.
  163. Taqdeer or dusre logo ko dosh kya dena, Jab sapne humare hai to koshishe bhi humari thi.
  164. Agar aap sikhna hi chahate ho to apni galtiyo se sikho, Aapki har bhool kuch kuch sikha degi.
  165. Jhoothi shaan ke parindte hi jyada fadfadate hai. Tarkki ke baaz ki udaan me kabhi aawaz nahi hoti.
  166. Samsya ka samna karo, usse door mat bhago, tabhi use suljha sakte ho.
  167. Sahanshilta, sundarta or saralta, inki talash aap chahe sari duniya me kar lo, agar ye apake andar nahi to duniya me kahi nahi milengi.
  168. Kisi se irshya ya kisi ki hordh mat karo, Sirf apni manzil tak pahuchane wale raste par chalte ho, Ab ye aap par depend karta hai ki apaki chalane ki raftar kitni hai.
  169. Agar aap ko lage ki aap akele kya kar sakte ho to sir utha kar us suraj ko dekh lena jo sari duniya me roshni karta hai.
  170. Lagatar mil rahi nakamyabiyo se har kar kabhi nirash mat hona, kyuki kabhi kabhi ghuchhe ki aakhri chabi bhi tala khol deti hai.
  171. Jaldi milne wali cheeze jyada samay tak nahi chalti or jo jyada der tak chalti hai wo cheeze jaldi nahi milti.
  172. Inshan tab samajhdar nahi hota jab wo badi badi bate karne lage, balki wo tab samajhdar hota hai, jab wo chhoti chhoti bato ko samjhne lage.
  173. Sahayta / sewa sabhi ki karna par kisi se uski keemat mat mangna, Kyuki dusro ki madad ki keemat sirf bhagwan hi de sakte hai insaan nahi.
  174. Mushkil waqat ka sabse bada sahara hain “Ummidein”. Jo ek pyari si muskan de kar dheere se humare kaan me kahti hai. “Sab theek ho jayega”
  175. Duniya me koi bhi kaam asambhav (impossible) nahi hai. Bas use karne ke liye himmat or hausla chahiye. Jo har kisi ke pas nahi hota.
  176. Waqt aapka hai, ise chahe to sona bana do ya fir sone me guzar do. Duniya aapke karmo se badalegi aapke mashware se nahi.
  177. Agar aap duniya ko badalna chahate ho to abhi se khud ko badalna shuru kar do. Jab aap pure badal paoge tab tak ye duniya badal chuki hogi.
  178. Safal vyakti dusre logo ko safal dekhna chahata hai or asafal vyakti humesha dusro ko asafal dekh kar khush hota hai.
  179. Ghardi sudharne wale bahut mil jate hai par time koi nahi sudhar ke deta wo aapko khud hi sudhanra padta hai.
  180. Duniya me sab cheeze aasani se mil jati hai par humari galtiya nahi.
  181. Krodh or aandhi dono ek jaise hote hai. Dono ke shant hone par pata chalta hai ki kitna nuksaan hua hai.
  182. Gareebi or samrddhi, dono humare deemag ke vicharo ka parinam hai.
  183. Humari pasand ka har work hum badi aasani se kar lete hai, Sochne ki baat hai dusre kaamo me aesa kyu nahi hota.
  184. Jo uchhi udaan ke hausle bana lete hai wo kabhi aasman ki duri ke bare me nahi sochte.
  185. Apni kalpna ko apni jindagi ka margdarshak banaye apne atit ko nahi.
  186. Time west mat karo ki kya karna hai warna aapse pahle time soch lega ki aapka kya karna hai.
  187. Agar tum us waqt muskura sakte ho jab tum buri tarah toot chuke ho to mera yaeen kar lo duniya me kabhi koi tumhe tord nahi sakta.
  188. Imarat ki chat par jane ke liye sidhiya chardni padti hai. Unhe ginna bhar bahut nahi hota.
  189. Hume jindagi me bhale hi kitni bar harna pade par jindagi se kabhi nahi harna chahiye.
  190. Sirdhiya unhe mubarak ho jinhe chat tak jana hai. Mujhe to aasman tak jana hai to rasta khud banana hai.
  191. Manzil ke lambe rasto se darne walo, suno hazaro meel ke safar ki shrurat bhi ek chote se kadam se hoti hai.
  192. Agar tumhare liye duniya ke sare raste band ho jaye to aankhe band karke sochna, Ek rasta baki hoga jise khuda banata hai.
  193. Himmat se har impossible work bhi possible ho jata hai.
  194. Aapko apne kaam me jitni kathinayiya milegi us kaam ka fal bhi utna hi mittha hoga.
  195. Jo asambhab karya ko sambhav kar dikhaye, Use hi duniya mahaan kahti hai.
  196. Aane wale kal ko sudharne ke liye bite huye kal se shiksha lijiye or aaj par kaam kijiye.
  197. Agar koi aadmi aapse kah ki uske pas waqt nahi hai to asal me wo insaan nahi Helter Skelter hai.
  198. Aapka bhavishya usse banta hai jo aap aaj karte hai, Usse nahi jo aap kal karne wale hai.
  199. Jo apne liye jita hai wo kide makordo k itarah mar jata hai, or jo dusro ke liye jeeta hai wo humesha logo ke dilo me yaad rahta hai.
  200. Chahe 1000 bar nakamyabi mile, kathin mehanat or sachhi lagan se kaam karoge to ek din safalta jarur milegi.
  201. Khud ki tarakki me itna waqt laga do ki dusro ki burai karne ka waqt hi na mile.
  202. Pargati badlav ke bina asambhav hai or jo apni soch nahi badal sakte wo jindagi me kabhi kuch nahi kar sakte.
  203. Khushi ke liye kaam karoge to khushi nahi milegi or khushi se kaam karoge to khushi or safalta dono milegi.
  204. Parajay tab nahi hoti jab aap geer jate hai, parajay tab hoti hai jab aap uthne se inkar kar dete hai.
  205. Agar bharosha kismat par karoge to jo likha hai wohi paoge or agar khud par bharosha karoge to khuda aapki kismat me wohi likhega jo aap chahoge.
  206. Koshish karne ki himmat nahi hona, Ek nazar se yahi aapki sabse badi vifalta hai.
  207. Atit ke gulam nahi balki future ke nirmata (creator) bano.
  208. Safalta humara janam-sirddh haq hai or ise pane kel iye hi humara janm hua hai.
  209. Safalta to apake dwara soche gaye vicharo ka aakhri natiza hai.
  210. Adhuri jankari darka reason hai, Enough jankari nirbhayta ka saboot hai.
  211. Humesha lakshay (Goal) ko nazar me rakhne wale log success hote hai. Kyuki unhe pata hota hai kaha jana hai.
  212. Good result dekhna chahate ho to abhi se good feel karna shuru kar do.
  213. Sapne dekhne or unhe pura karne me kabhi umar bich me naih aati, Aap jab chaho kaam start kar sakte ho.
  214. Jamana jab bhi mujhe mushkil me daal deta hai, Mera rab hazaro raste nikaal deta hai.
  215. Aapko bar bar vifalta (failure) mile to nirash mat hona, kyuki Great Scientific Edison success hone se pahle 10,000 bar fail hue the.
  216. Aapki asafaltao me hi aapki safalta ke beez hote hai, bas unhe choonne ki jarurat hai.
  217. Sasyao se mat daro wo aapko todne nahi balki or jyada majboot banane ke liye aati hai.
  218. Agar aap har se sikhna shuru kar do to koi bhi har aapka nuksaan nahi kar sakti.
  219. Bhagye (Luck) ke bharoshe baithne wale aalsi log humesha har ko gale lagate hai.
  220. Aapki asafalta se ye sabit ho jata hai ki apane safalta ke liye puri lagan se mehanat nahi ki.
  221. Bina tay manzil (fixed fllor) ke anjaan raho par bhatkano bekar or samay ki barbadi hai.
  222. Challenges ko challenge karna shuru kar do, Wo bhi aapko darana band kar degi.
  223. Paseene ki syahi se likhte hai jo apne iraado ko, unke Muqqdar ke panne kabhi kore nahi hua karte.
  224. Ye jivan sirf day night katne ke liye nahi, balki koi mahan kaam karne ke liye hai.
  225. Agar aap fail hote ha ito aap sirf nirash hi honge, Lekin agar aap koshish hi nahi karoge to aap gunahgar bhi honge.
  226. Small change yani chhote chhote pariwartan hi bade badlav ki nishani hai.
  227. Kyo dare jindagi me kya hoga? Har waqt kyu soche ki bura hoga? Bardhte rahe manzeelo ki or hum, Kuch bhi nahi mile to kya, tazurba to naya hoga.
  228. Safalta humesha saahas se kaam karne walo ke pass jati hai kayaro or bujdilo ke pas nahi.
  229. Jindagi me do log har bar har jate hai, 1. Jo sirf soche hai par kuch karte nahi. 2. Jo kaam karte hai par kuch sochte nahi.
  230. Heere ko parkhna hai to andhere ka intjaar karo, Kyuki dhoop me to bekar kaanch ke tookrde bhi chamakne lagte hai.
  231. Dharti par sabhi jeeo me sirf insaan hi sabse jyada mehanat karta hai, Ajeeb bat ye hai ki sabhi ka time par pet bharta hai par insaan ko bhookha sona padta hai.
  232. Jeeawan me mushibat aaye to kabhi ghabrana mat, Geer kar uthne wale ko bazigar kahte hai.
  233. Wishwas rakho or bhagwan se kabhi jyada mat mango, kyuki wo kabhi kam nahi deta.
  234. Saare sabak kitabo me nahi milte yaaro, kuch sabak jindagi bhi sikhati hai.
  235. Shandar jindagi jine ke keval do hi tarike hai. 1. Jo pasand hai use hasil karo or 2. Jo hansil hai use pasand karo.
  236. Jindagi khushiya batorte batorte jane kab guzar gayi, Ab pata chala ki khush to wo log the jo khushiya bant rahe the.
  237. Meri safalta dekh kar aksar hairan hote hai bahut log, Magar kisi ne aaj tak mere pao ke chale nahi dekhe.
  238. Jo tumne kho diya us ke bare me sochna nahi or tumhare pas hai use kabhi khona nahi.
  239. Manzil kitni bhi door hai par kabhi ghabrana mat aye dosto, Kyuki nadi kabhi nahi puchhti ki abhi samundar kitni door hai.
  240. Teacer or life me bas thoda sa fark hai. Teacher sabak sikha kar imtihaan leta hai or life imtihan le kar sabak sikhati hai.
  241. Kuch log thokkar khane ke bad bikhar jate hai or kuch log thokkar kha kar itihas banate hai.
  242. Jab aap kisi ka apman kar rahe hote hai to wastav me aap apna samman kho rahe hote hai.
  243. Jivan me girna bhi achha hai apni okat ka pata chalta hai, badhate hai jab uthne ko hath to apno ka pata chalta hai.
  244. Kismat bhi nidar logo ka hi sath deti hai.
  245. Jindagi me sabse jyada dukh deta hai “Beeta hua sukh”.
  246. Jindagi hume humesha dusra mouka deti hai, Jise hum kal kahte hai.
  247. Intjaar mat karo, Jitna tum sochte ho jindagi usse kahi jyada tezi se nikal rah hai.
  248. Jivan bahut aasan hai par hum jabardasti ise kathin bana lete hai.
  249. “Mera jivan bahut perfect hai” Agar nahi bhi hai tab bhi aesi aasha rakho.
  250. Jindagi risk se bhari huyi hai. Sabse bada risk hai “Kuch nahi karna” Isse hume bachna chahiye.
  251. Humesha khush rahe or haste rahe, Mehsooss kare ki aap kitne saubhagyashali hai.
  252. Har insaan ke jivan jeene ka apna dhang or karan hota hai. Sabhi insaano ko ek hi tarazu me nahi tola ja sakta.
  253. Tumhara jivan ek khali canvas ki tarah hai, Ise rango se bhar do.
  254. Madhur boli kewal sunne me hi achhi nahi lagti balki ye ek sukhi jiwan ka nirman karti hai.
  255. Jindagi only problems solve karne ke liye hi nahi hai, Balki unse sikhne ko bhi jindagi kahte hai.
  256. Main khush hu kyuki main apne dukho ko pahachanta hu.
  257. Tumhare pas time bahut kam hai jindagi jeene ke liye, Dusro ki burayi karne me ise barbad mat karo.
  258. Humare pas jo nahi hai wo nahi lekin humare pas jo ha iwo jyada mayyne rakhta hai.
  259. Agar aap bachpan me sharate or jawani me acche kaam nahi karte ho to budhape me kuch soch kar hasne or khush hone ke liye kuch nahi bachega.
  260. Tumhara jeevan lgo ke liye ek message hai, Ise parenadayi banao.
  261. Kisi par kabhi bahut jyada depend mat raho, Kyuki andhere me parchayi bhi sath chod deti hai.
  262. Achha samay achhi yaade lata ha ior bura samay achhi sikh.
  263. Aapne aap se pyar karo, duniya khud aapse pyar karne lagegi.
  264. Samay ke sath pariwartan hota hai, Badlav par wishwas karo, ek jagah datte rakhna bekar hota hai.
  265. Jindagi bahut chhoti or anmol hai ,Ise dukhi rah kar barbad mat karo.
  266. Agar aap jindagi ka maja lena chahate ho to khush rahna shuru kar do.
  267. Ant me ye mayyne nahi rakhta ki aap kitne salo ta kkeeye balki ye mayyne rakhta hai ki aapne itne salo me kya kiya.
  268. Jivan ka sabse important sawla ye hai ki aap apni jindagi me dusro ke liye kya kya kiya.
  269. Hume har din yaad nahi rahta, magar hum achhe or bure dino ko achhe se yaad rakhte hai.
  270. Apne aaj ko behtar banane ki koshish kariye, Yahi aane wale kal ki taiyary hai.
  271. Hum ye jante hai ki hum kya hai par hum ye nahi jante ki hum kya ho sakte hai or kya ban sakte hai.
  272. “Mera jivan logo ke liye ek sandesh hai” Kya tum aesa kahne ki kabiliyat rakhte ho ya fir tumne aesa koi kaam kiya ho.
  273. Van ki agni chandan ki lakrdi ko bhi jala deti hai, Arthat dusht aadmi acche aadmi ka bhi ahit kar sakte hai.
  274. Karz, Dushman or Beemari, In 3 chezzo ko jitni jaldi ho khatm kar de.
  275. Singh bukha hone par bhi khas nahi khata, Matlab majboor hone par bhi bura kaam mat karo.
  276. Sankat me sirf aapki buddhi hi kaam aati hai.
  277. Lohe ko katne ke liye lohe ki hi jarurat hoti hai.
  278. Agar mata dusht hai to use bhi tyag dena chahiye.
  279. Saap ko dudh pilane se zahar hi badhta hai na ki amrit.
  280. Yadi swam ke hath me wish fail raha hai to use kant dena chahiye.
  281. Kal ke mor se aaj ka kabootar bhala.
  282. Bhukh se bada koi dusra shatru nahi.
  283. Gyan ek aesi property hai, Jise aapse koi bhi nahi chura sakta.
  284. Apne lakshay tak pahuchne me kabhi bhi dushman ka sath na le.
  285. Saty bhi agar anuchit hai to use nahi kahna chahiye.
  286. Samay ka dhyan nahi rakhne wale log jivan me kabhi sukhi nahi rahte.
  287. Pahle nishchiya kariye, fir kary shuru kariye.
  288. Kathor vani aag se bhi jyada dukh pahuchane wali hoti hai.
  289. Shaktishali shtru ki humesha kamjori par aakrman kare.
  290. Yogya sahayako ke bina nirniya lena kathin hota hai.
  291. Bure guru ke hone se achha hai aapka koi guru hi na ho.
  292. Dush ki mitrta se ek achhe dushman ki dosti achhi hoti hai.
  293. Gyaani or chal kapat se rahit shuddh man wale vyakti ko hi mantri kahte hai.
  294. Samast kaam pure man se karne chahiye.
  295. Laparwahi or aalashy se humara bhed khul jata hai.
  296. Balwan se yuddh karna hathiyo se paidal saina ko ladane ke saman hai.
  297. Aadmi ko ut-patang athwa gawaro jaisi veshboosha dharn nahi karni chahiye.
  298. Khuda kaisa hoga, apne rab ki kamiyo ke bare me baat nahi karni chahiye.
  299. Sharabi vyakti ka kabhi koi kaam pura nahi hota.
  300. Aatm raksha se sabki raksha hoti hai.
  301. Bhale log dusre logo ke sharir ko bhi apna hi sharir mante hai.
  302. Intjaar karne walo ko sirf utna hi milta hai, Jitna koshish karne wale chrdh dete hai.
  303. Ek achhi book 100 dosto ke barbar hoti hai or ek achha dost ek liberary ke barabar hota hai.
  304. Sapna wo nahi hai jo aap neend me dekhe, sapna wo hai jo aapko neend hi na aane de.
  305. Aatm wishwas or hard work, asafalta namak bimari ko marne ki sabse achhi dawai hai.
  306. Desh ka sabse achha deemag class room me sabse aakhri branch par bhi mil sakta hai.
  307. Apni job se pyar karo apni company se pyar mat karo, Kyuki aap panhi jante ki company kab apako pyar karna band kar de.
  308. Kisi ko harana bahut aasan hai lekin kisi ko jitna bahut mushkil hai.
  309. Jab humare signature autograph me badal jaye to ye humari safalta ki nishani hai.
  310. Safalta ki kahani mat padho, Usme aapko sirf ek sandesh milega, Asafalta ki story padho usme aapko bahut sare idea milenge.
  311. Aapne mission me kamyab hone ke liye aapko apne lakshay ki or nishthawan hona padega.
  312. Ek murkh genius ban sakta hai agar wo samajhta hai ki wo murkh hai, Theek wese hi ek genius murkh ban sakta hai agar wo samajhe ki wo genius hai.
  313. Barish hone par sabhi pakshi apne ghosalo ki talash karte hai. Leki baaj badalo ke upar ud kar barish ko hi avoid kar deta hai. Problem common hai par aapka attitude inme difference paida kar deta hai.
  314. Zindagi or time, Word ke 2 great adhyapak hai. Jindagi hume samay ka sahi upyog karna sikhati hai or samay hume sahi se jindagi jeena sikhata hai.
  315. Insan ko dukho ki jarurat hoti hai, kyuki dukhe dekhe bina use sukho ka ahsaas hi nahi hoga.
  316. Main humesha ye bat swikar karne ko taiyar hu ki haa main kuch cheezo ko nahi badal sakta.
  317. Jo log aadhe adhure man se koi kaam karte hai, Unhe aadhi adhuri or khokhli safalta hi milti hai.
  318. Har subah apne aap se kaho ki “Main sabse achha hu or main ye kar sakta hu”.
  319. Aayiye aaj hum apne aaj ka balidan kar de taki humare bachho ka kal behtar ho sake.
    Kisi bhi dharm me apne dharm ko banaye rakhne ke liye dusre dharmo ko marna nahi btaya gaya.
  320. Insaan ke thoughts hi use mahan banate hai.
  321. Pyar se hathi ko bhi hara sakte ho gusse se chinti ko bhi nahi hara paoge.
  322. Tum unse pyar karo jo tumse sabse jyada nafrat karte hai.
  323. Wo log success nahi hote jo apni jit ko kabhi nahi bhulte or har ko do pal me bhul jate hai. Kyuki insan apni har se bhi bahut kuch sikh sakta hai.
  324. Hume jab tak udhne ki ummid rakhni chahiye jab tak hamare hath pair sahi salamat hai.
  325. Mahan insan wo bante hai jo khud amir ho kar bhi garibo ki help karte hai.
  326. Tum wo mat bano jo car chalane par bolta hai ki maine aaj airplane chalaya tha balki tum wo bano jo airplane chalane ke bad bhi bolta hai ki aaj maine car chalai thi.
  327. Kichad main rahane wale kante mat bano balki kamal ka ful bano. Kyuki kichad me log bas kamal ke ful ko dekh kar muskurate hai kanto ko dekh kar nahi.
  328. Tumhare pas jo time hai wo chahe sahi hai ya kharab hai kuch karne ke liye aapke pas bas yahi time hai.
  329. Ek bhag raha hai or ek aaram se baitha hai ab “main bhagu ya baitha rahu” ye soch kar apna time weat mat karo or na bhago or na baitho tum apne raste dhire dhire chalte raho tabhi apni manzil tak pahunch paoge.
  330. Tum wo insan bano jo apne dil me jagh sab ko deta hai or dil sirf ek ko hi deta hai.
  331. Ye sach nahi hakikat hai jo tumhara sabse achha dost hota hai wo tumse sabse jyada ruthta or ladai karta hai.
  332. Log kahate hai sachcha pyar nahi milta or ye hakikat hai sachcha pyar use milta hai jo khud kisi se sachcha pyar karta hai.
  333. Kisi kam ke bare me socho kam or karo jyada tabhi tum apne samay ka fayeda uatha sakte ho.
  334. Ruthe ko manana hi sansar ka sabse bada puny hai.
  335. Jaisa karne ke liye tumse duniya kahati hai wais karo mat balki waisa bano.
  336. Tum tab mahan ban sakte ho jab tum kisi dusre ke hisse ke bajaye apne hisse me se kuch dene lag jaoge.
  337. Asambhav ko sambhav banana chahate ho to namumkin ko mumkin karo.
  338. Duniya use chunti hai jo is duniya ko change kar sakta hai or aap aesa 100% kar sakte hai.
  339. Jaldi mat bolo or bolne se pahle apne words ka apne dimag me translate kar lo ki inka jus kada hai ya mitha hai.
  340. Duniya ke liye sabse bada aadmi banna chahate ho to kabhi kisi ke samne apni badai mat karna.
  341. Socho” tum wo hasti ho jo lohe ko bhi pigla sakta hai.
  342. Isse kuch farq nahi padta ki aap kaha hai aap kahi se bhi kuch bhi kar sakte ho.
  343. Andhere me bengan ko tamatar samajh kar khaoge to wo tumhare liye tamatar hi ban jayega.
  344. Isse koi matlab nahi hai ki pahle aapne kya kiya tha matlab isse hai ki ab aap kya kar rahe ho or aage kya karne wale ho.
  345. Asafalta mere liye saveekaary hai. Kisi ko bhi ye asafalta mil sakti hai magar mujhe wo log pasand nahi jo fir se kosish nahi karte.
  346. Aap kisi bhi topic ko 100% yad nahi kar sakte isliye kabhi bhi ye mat socho ki muhe me dimag nahi hai.
  347. Jindagi ki sabse badi galti aap tab karte ho jab tum apne aap ko sabse best man lete ho.
  348. Kabhi bhi bekar tarike se, Samay nikal jane par ya bad me kaam mat karo warna aapko fir se karna padega.
  349. Aap jitna achha karte jaoge duniya me aapki izzat utni hi jyada badti jayegi.
  350. Aap me jo talent hai uska upyog karo warna aapki jindagi bhi aesi hi ho jayegi jaise bina bards ke jangal ki hoti hai.
  351. Us kaam ke bare me mat socho jise tum kr rahe ho uske bare me socho jise tum is kaam ko khatm kar ke start karne wale ho.
  352. Agar aap koi kaam karoge to ho sakta hai koi nuksan ho jaye or agar aap koi bhi kaam nahi karoge to pure nuksan me rahoge.
  353. Agar aapka kaam achha tha or use karne me aapko maja aaya tha to samjho aapne wo kaam dil se kiya tha.
  354. Allah ne hume is tarah se banaya hai ki mehanat karne se hamara jism kamjor hone ki bajaye or takatvar hota hai.
  355. Shaq mat karo or agar shaq hai to achha hoga change kar do.
  356. Duniya ko change karne ki chahat rakhne se achha hai khud ko ho pura change kar lo.
  357. Soch badalne se or dosto ko chordne se kisi ki life khatm nahi ho jati.
  358. Aage badhna hai to badlav jaruri hai.
  359. Main duniya ko akele badal nahi sakta lekin samundar me patthar dalkar bahut sari lahare utha sakta hu.
  360. Girta hua nadi ka pani patthar ko baha sakta hai lekin jangal ko nahi.
  361. Kismat sanyog ki bat nahi hai ye pasand ka sawal hai iske liye intjar karne wali bat nahi hai yah hasil karne ki bat hai.
  362. Jo sachhe hote hai wo aksar dhokha kha jate hai or jo jhuthe hote hai wo aksar dhokha de jate hai.
  363. Mujhe aese dost ki dosti pasand nahi jo mere sath sath badle or meri ha me ha kahate hai.
  364. Asli sher wo hota hai jo harkar bhi jitna chahata ho jise apne aap par wisvash ho main mere dushman ko abhi bhi hara sakta hu.
  365. Aalochna se bachne ka bas ek hi rasta hota hai, Kuch mat kijiye, Kuch mat kahiye, Kuch mat baniye.
  366. Nadi paar karni hai to kudna padega chahe tume tairna na aata ho, Khade ho kar dekhne se aap kabhi bhi nadi paar nahi kar paoge.
  367. Ek mahan baat jo jo mahan logo se sikhi ja sakti hai wo ye hai ki insan jo kuch bhi karna chahata hai use pure dil or jordar kosish ke sath kare.
  368. Safalta ke liye jaruri hai ki safal hone ki aapki kamna asafal hone ke dar se bahut jyada or badh kar honi chahiye.
  369. Final me ye mayane nahi rakhta ki aapke pass jivan me kitne saal bache hai, un bache huye salo me kitna jivan bacha hai ye mayane rakhta hai.
  370. Kisi bhi kaam start karne ka sabse achha tarika, Muh band kare or kaam me lag jaye.
  371. Asafalta ki sima janne ka ek hi tarika hai asafalta se bhi aage chale jao.
  372. Har us chiz me sondary hai jo aapke pass hai lekin use koi dekh pata hai or koi nahi dekh pata hai.
  373. Sabse bada sach, Har dosti ke piche lalach hota hai wo lalach kuch bhi ho sakta hai.
  374. Puri duniya me kadi mehanat ka koi dusra viklap nahi hota.
  375. Mahan uplabdhiya aamtour par sambandhit vyakti ke mahan tyag or balidan ka parinam hoti hai ye kabhi bhi khudgarji ka natija nahi hoti.
  376. Jo sahi ahi ye jante huye bhi use nahi karna hi sabse badi kayarta hai.
  377. Safalta pahle se ki gayi taiyari par nirbhar hai or bina aesi taiyari ke asafalta nishchit hai.
  378. Boddhikta or sangam ka aanand hi srjatmakta hai.
  379. Dhokha bhi thik badam ki tarah hai jitna khaoge utni auql aati jayegi.
  380. Jis insan ne apne jivan me kabhi galti nahi ki usne kabhi kuch naya karne ki kosish nahi ki.
  381. Hume jo milta hai usse hum jivan chalate hai par hum jo dete hai usse hum hamara jivan banate hai.
  382. Log yah yaad nahi karte ki aap kitni baar hare, balki yah yaad rakhte hai ki aap kitni baar jite ho.
  383. Yadi aap khushiyo se bhari jindagi chahte hai to jivan ko vyakti or vastuoo se badhne ki bajaye apni manzil se bandhiye.
  384. Us din jab main udhne ke kabil nahi rahunga to wo din mere liye sabse mayus din hoga.
  385. Jo apne pass pankh rakhte huye bhi udhna nahi chahata ho wo duniya ka sabse bada badnashib hai.
  386. Agar aap sikhna chod denge to aap chahe 21 saal ke ho bude hi kahalaoge, Kyoki sabse jyada jaruri apne dimag ko yoa banaye rakhna hai.
  387. Gyani purush jan vivek se sikhte hai, Simple insan anubhav se, Agyani purush jarurat se or pashu svbhav se.
  388. Agyani hona utni shrm ki baat nahi jitna ki sikhne ki kamna na hona.
  389. Apne sapne khud pure kare nahi to koi or apne sapno ko pura karne ke liye aapko kaam par rakh lega.
  390. Agar aap kamyab hona chahte hai to kamyabi ko mat khojiye, chamta ko khojiye or apne sarvshrsth se kam kuch bhi mat kijiye.
  391. Sahasi bate karna, upyogi chize karna or sundar chizo ke bare me sochna is dharti par achhi jindagi ke liye insan ko isse jyada kuch nahi chahiye.
  392. Bada jivan hone se achha hai mahan jivan hota hai.
  393. Jis kaam se khushi milti hai wo kaam karo pura brmandh aapke liye waha darvaje khol dega jaha pahle divare thi.
  394. Hum sab ko bahut sari parajy mil sakti hai lekin hume unhe yaad rakh kar parajit nahi hona chahiye.
  395. Agar aapko safalta ka aanand chahiye to har kathinayo ko apnana padega.
  396. Unke sath mat bhago jo roj roj ek hi raste par bhagte hai unke sath bhago jo roj alag alag rasto par bhagte hai, Kyoki agar aap roj ek nai jagah par jaoge to kuch to naya milega jise dekhkar aap bhi kuch naya kar sakte ho.
  397. Unka sath mat dijiye jo roj kuch naya karte hai unka sath dijiye jo har roj kuch naya karne ki sochte hai, Yakinan aapko kuch naya karne ko milega.
  398. Tum chaho to ek amir aadmi ke bete hote huye bhi duniya ka sabse bada pahalvan ban sakte ho/sakti ho.
  399. Jaisa aap sochoge waisa bilkul nahi ho sakta hai par jaisa aap karoge waisa yakinn ho sakta hai.
  400. Kisi ke charo taraf ghumte ghumte uski raqcha karne se achha hai use bina bataye dur se hi uski raqcha karna behatar hota hai.
  401. Mahan log wo hote hai jo kisi ke aane par usse puchte hai ki kaha jaoge, mahan log wo nahi hote jo kisi ke aane par usse puchte hai ki kaha se aaye ho.
  402. Jab sab aapke khilaf ja raha ho to yaad rakhiye havai jahaj hava ke wiruddh udan bharta hai.
  403. Har insan ko kathinaiyo ki jarurat hoti hai kyoki safalta ka aanand uthane ke liye ye jaruri hai.
  404. Agar aapne ek bar bhi maidan choda to aadat ho jayegi jitna chahate ho to kabhi bhi maidan mat chodiye.
  405. Insan ko apni or khichne wala is duniya me koi chumbak hai to wo kaival perm hi hai.
  406. Har bachha ek kalakar hai, Pareshani yah hai waysk ho jane par bhi kalakar bankar kaise rahe sakta hai.
  407. Man ka sanklp or sharir ka parakrm yadi hum kisi kaam me purii tarah laga denge to safalta 100% mil kar rahegi.
  408. Aap ye kabhi nahi jaan paoge ki aap kitne takatvar ho, Jab tak takatvar banne ke sivaye aapke pass dusra koi wiklp na ho.
  409. Adchan wo chiz hai jo aapko manzil se apni drsti hata lene ke par dikhai deti hai.
  410. Sare nishan dikhai nahi dete, Sare jkhm bharte nahi. Kadva bolne se pahle ek bar soch le to behatar hoga.
  411. Agar ek achha dost banaoge to baki sab dushman ban jayenge, Sab ko dost banao.
  412. Agar aap kuch banne ke sapne dekhte hai to aapke sapne kabhi sakr nahi honge. Lekin aap kuch karne ke sapne dekhte hai to aapke sapne jarur sakar honge.
  413. Kabhi bhi “Kamyabi” ko dimag or “Nakamyabi” ko dil se nahi lena chahiye, Kyuki “Kamyabi” dimag me ghamand or “Nakamyabi” dil me mayushi paida karti hai.
  414. Apne khilap ab baatein badi khamoshi se sunta hu main, aes dosto jawab dene ka jimma maine ab waqt ko de diya hai.
  415. Mujhe itna nicha na girana ki main pukaru or aap sun na pao, Mujhe itna upar na uthana ki koi mujhe pukare or main sun na pau.
  416. Agar aap kisi ki dil se izzat nahi kar sakte to kam se kam lafzo me izzat banye rakho.
  417. Nauk shauk karne se behtar hai shanti se galatfahemi door ki jaye.
  418.  

Loading …..

Agar insaan sikhna chahata hai wo to wo kisi ke do lafzo se sikh sakta hai, Warna nasamajh logo ke liye to 1000ro kitabe bhi kam pad jati hai. Sirf jit’ta wohi hai jo ladna shuru karta hai, warna bahaduri ki bate to humare yaha bachhe bhi karte hai.

I hope aapko ye motivational quotes pasand aayegi. Agar haa to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare.

Please share this post with your friends.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 133 )

  1. kunwar lalit pratap singh

    Sirf aapki is koshish se mene apna rishta bachaya hai……thanks for giving me a new life………….

    Reply
  2. Prasenjit Reang

    Student agar sooch mei achche ho to kitna bhi school kharab kyu na ho yo achche result lekei niklegi aur agar Student uss ke sooch mei bhure ho to kitna bhi school chahe america ho ya jaapan ho wo student achche cheaz ko chhod kaar baki sab adaat banake niklegi….

    Reply
  3. Deepak

    Aap bahut great hai bhiya

    Reply
  4. Irshad ali

    Bhaut achha apne likha hai uper apko salamat rakhe

    Reply
  5. Ramsakal bind

    Great bhaiya ji

    Reply
  6. Ravishankar Tiwari

    the quoter are very beautiful and motivational

    Reply
  7. Ramsakal vind

    Mindfulness thought

    Reply
  8. TayyaB

    Brother apki think Boht Achi hai or ap ki baton sy pata chalta hai k ap ak Boht achy insan hain Mera koi Bhai nehi hai Zindgi me Bhai ki kmiii Mehsos krta hon kynk Agr koi bra Bhai huta jissy py mujhy trust hota k wo mujhy Zindgi me jahan B zarorat hu ak achi advice dey ga Dost B boht hain or sb ki Apni Apni nature hain to Ap sy guzarish hai k kiya ap mere ak achy Dost Or ak Achy Bhai ban sktey hain …

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...