Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips

Aapne AdSense performance report me bahut bar dekha hoga ki ads click hone par bhi earning nahi hoti hai. Iski wajah Invalid click hoti hai. Or AdSense invalid click ka ek bhi paisa nahi deta hai balki isse humara AdSense account disable bhi ho sakta hai. Isliye hume AdSense invalid click activity ko rokne ke bare me sochna shuru kar dena chahiye.  Mai is post me aapko isi ke bare me bta raha hu. So har us blogger ko iski jarurat padegi jo AdSense use karta hai.

Stop Adsense Invalid Click Activity

“Hello Sir mere AdSense account ki report me meri earning $5 show ho rahi thi. But kuch der bad ye $4.83 ho gayi. Earning kam kyo ho gayi plz give me some better information” Ye sawal mujhse Harsh Agarwal ne 24 feb 2025 ko pucha tha. Mai harsh ko thanks kahna chahunga kyuki iske bare me maine koi post nahi ki hai. So mujh harsh ke sawal se AdSense user ke liye ek achi post likhne ka idea mila hai.

Adsense income kam hone ki wajah hoti hai AdSense ads par Invalid Click Activity. Jab bhi koi visitors humare ads par galat click karta hai to wo click invalid click mana jata hai. Prevent Invalid click Activity yani invalid click konse click mane jate hai. Ise aap in 3 point se samajh sakte ho.

  1. Jab user ads me btaye link ki jagah or kahi par click kare.
  2. Jab user ads ko aapki site ka hi hissa samajh kar click kare.
  3. Jab user ads par click nahi karna chahato ho or galti se click ho jaye.

Adsense invalid activity se humari koi income nahi hoti hai. Ulta invalid click se humari income kam ho jati hai. Or ho sakta hai jyada invalid click hone se humara AdSense account hi disable ho jaye. Har AdSense user is problem ka solution pana chahata hai. Or janna chahata hai ki kis tarah wo AdSense invalid click activity se bach sakta hai.

Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips [Stop Invalid Activity]

In this post, Mai aapko AdSense invalid click activity se bachne ke kuch tips bta raha hu. Jo aapke liye helpful sabit honge. Or aapa apne AdSense account ko safe rakh sakoge. Isse pahle bhi mai Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tarike post me bhi AdSense ko safe rakhne ki bat kar chuka hu.

1. Read & Follow Adsense Policy: Adsense user ke liye sabse important bat hoti hai AdSense plocies ka palan karna. Iske liye aap AdSense policy ko weekly check karte rahe or AdSense policy ke anusar btaye place par hi ads lgaye. Iski janakri ke liye aap Adsense Ads Placment policy ko ache se padh or samajh le.

2. Stop Relation With Bad Habits: Sabse pahle aapko bad peoples, bad website or blog, bad social group se relationship todna hoga. Bad se mera matlab hai s*x, p*rn, hacking jaisi gandi aadat rakhne wale log, website or blog. Aapko in sabse se bachna hoga. Kyuki ayse log humesha dusro ka bura sochte hai. Or humesha kisi ka bura karne ki koshish me rahte hai. In sabhi jagah se aapko bekar traffic milega. Jo sirf time pas ke liye aapki site par aayenge or aapka nukshan kar ke hi jayenge.

3. Make Good Relationship With Your Reader: Apne audience ke sath acha rishta banaye or unhe AdSense invalid click ke bare me samajhaye. Iske liye aap apni site ke liye privacy policy bana kar usme AdSense policy add kar sakte hai. Jisse aapke reader aapki site par lage ads par invalid click na kar sake.

4. Don’t Click Your Ads: Mnta hu aap bahut smart or intelligent hai. But google ko bevkuf banane ka vichar apne dimag se nikal de. Kabhi bhi AdSense ke ads par click mat karo. Isse aapka AdSense accont block ho sakta hai. Or agar block nahi bhi hoga to aapki Adsense CPC bahut kam (Low) ho jayegi.

5. Don’t Share Adsense Ads: Adsense ads code ko other site par dikhane ki permission nahi deta hai. Aap sirf apni verify site par hi ads laga sakte ho. Isliye un logo se bache jo aapko jyada traffic ka lalach de kar AdSense partnership karna chahate hai. Sath hi AdSense ke bare me post karte time dhyan rakhe ki aapki personal information publish nahi honim chahiye. jaise AdSense ads ID, AdSense ads code etc.

6. Stop Spam Traffic: Agar aapki site par traffic ekdam se badh jata hai or aapko duable ads click milne lag jate hai to ye aapke liye pareshani ban sakti hai. Isse bachne ke liye aap spam traffic, comments ko block kar sakte hai. WordPress blog par ye bahut aasan hai. Agar aapka blog free blogger par hai to aap ayse time me turant AdSense ko iski report send kare. Iski jankari ke liye aap AdSense ke Create and manage custom alerts form par jaye.

7. Don’t Buy Paid Traffic: Adsense paid traffic allow nahi karta hai. Adsense only unhi visitors ko pasand karta hai. Jo apni marzi se aapke blog par aate hai. Agar aap traffic kharidna chahate ho to aap AdSense use nahi kar sakte hai. Isliye kahi se bhi traffic kharidne se pahle ache se soch le ki paid traffic se aapke blog par invalid click ho sakte hai. Or AdSense aapko ban kar sakta hai.

8. Adsense Ads Color: Aap AdSense ads ko apne hisab se customize karne ke liye free hai but iska ye matlab nahi hai ki aap AdSense ads ko bilkul apni site ke color me mila de. Adsense chahata hai ki visitor apni marzi se ads ko ads samajh kar ads par click kare.

9. Don’t Use Popup & Sticky Ads: Adsense invalid click se bachne ke liye aap apni site par sticky or popup ads lagana band kar dijiye. Kyuki AdSense popup or sticky ads par huye click ko invalid click manta hai or AdSense ise allow bhi nahi karta hai.

10. Report To Adsense Invalid Click Activity: Agar aapko lagta hai ki aapki site par invalid click kiye ja rahe hai to aapko iske bare me turant google AdSense team ko notification bhejni chahiye. Adsense ko invalid click activity ki report karne ke liye aap Invalid Clicks Contact Form par ja kar AdSense ko report kar sakte hai.

I hope aapko is post me google AdSense ke bare me good information milegi. Ho sakta hai aapko is ke bare me pahle se jankari ho. But fir bhi aapko kuch na kuch new sikhne ko jarur milega. Agar meri bat 10% bhi sahi hai to post ke bare me commnet jarur karke apne thoughts jarur share kare.

Adsense invalid click activity ko rokne ke liye koi fix way nahi hai. But hum is post me btaye or kuch or tariko se apne AdSense account ko invalid click se bacha sakte hai. Iske liye mera aapko yahi suggestion hai ki aap AdSense ke bare me jitna ho sake jankari prapt kare.

If You can like this post as give you helpful information, Then plz share this post with your friends on social networking sites.

Reader Interactions

Comments (165)

  1. BHai post Bdiya he
    But Kuch log Jan bhuj Kar click krte he usse kaise bche
    Mere Adsense ko approve mile 3 din huwe or Invalid activity se Disable ho gya

    Kya blogger ke liye Koi script he Jisse invalid click Na Ho jese WordPress par

    • Blog par traffic badhao agar koi janbujh kar click karega to problem nahi hogi bas traffic jyada hona chahiye.

  2. sir adsense ka auto ads use karne se bhi invalid click aayega kya hume adsense ka auto ads use karna chahiye ya nahi

    • Invalid click kisi bhi ad par aa sakta hai.

  3. Koi hamare blog ke ads par bar bar click karta hai to use kaise roke, uski report kaise check kare, matlab kis ip address se ads par jyada click ho rahi hai.

    • Aap ad ke liye ad injection plugin use karo or us user ke ip address ko block kar do fir use aapki site par ad dikhayi nahi dega.

      • Ad Injection kaha milega, aur kaise lagana hai. blogger blog me.

        • Look here Blog Me Ad Injection Plugin Kaise Use Kare

  4. sir mera ek Question h aapse mera adsense account 1 mahine ke suspense ho gya or mail aaya invalid activity ka lekin sir mera CTR 10 % se upper nhi gya h? Ab aage ka kru?

    • Google team ko contact karo.

      • BhaiEk help kardo main youtube chalata hu lekin invalid activity kisi ne kar di hai aur mera adsense 30 days ke liye suspend hogya hai lekin 30 din ke baad wapas sahi to ho jayega lekin firse koi invalid activity kar dega to kya karunga please help kijiye sir adsense ek mahine baad kaise bachayenge please kuchh btao sir

        • Aap abhi youtube ko invalid click ki report send karo. next time bhi aesa hi kar sakte ho jab aapko lage ki aapke ad par invalid click ho raha hai to aap us time apni videos se ad hata do videos par se moenetize disable kar do.

  5. Sir mere blog par 7 days me 15 click huwe hai or o bhi different contry se or isse meri earning 1.63$ huyi hai to kya mai ise invalid click samjhu

    • Nahi

  6. Sir aap ki sari post Bhit achi hai main daily padhta hun.
    Sir mera sawal ye hai ki mere blog ke sare url google me index ho gaue hai par phir bhi mujhe google se traffic nahi mil raha hai iska kya karan hai sir please batane
    or mere blog me aisi kayi post hai jo sirf 1 hi hai yani google par usse milti koi dusri post nahi hai.Please sir iska solution batana.

    • Ankti aapki sari posts inde hai bahtu achhi bat hai ab apni posts ko google me top par lane ki koshish karo traffic apne aap badh jayega.

      • Sir google me apani post ko top par kaise lau please batayiye.Please

        • SEO optimizing karke iske liye apa humari SEO wali post padho.

  7. hello sar
    mera website hindi tech content ke bareme he.

    me 175 content publish kaar chuka hu. hindi me.

    usme se 15 content english Language me publish kiya hu. kya adsense Apply karnese ye koi problem La sakta he kya.

    please Guide me

    • No problem.

  8. Helo sir apki jankari bahut achi hai adsense ko safe rakhne ki
    But mera ek swal hai sir

    1. mene me ad per khud click nhi krta kabhi bhi or post ko Full SEO karke likhta hu na hi kisi ka Copy karta hu abhi tak mera 55url dala hai .

    2. blog me or console me submit hai lekin google index me 44 hi kyu hai mtlb kabse yhi index hai.

    3 . Search engine se Traffic bahut kam mil rha hai ekdum 0 eisa kyu please koi solutions dikhaye
    Mtlb muje website bnaye lag bhag 3 month ho gye hai
    Yha me Earning ki nhi Traffic ki bat kar rha hu
    4. Sir mene apko facebook page per massege kiya hai please reply dena jarur. Uske Important bat kiya hai

    • Dear maien aapse kaha tha ki logo ko thoda chota kar lo, Par nahi or na hi apane navigation menu ko sahi kiya hai. Sath hi aap sohrt content likh rahe ho wo bhi un topics par jinpe pahle s bahut se log likh chuke hai. Kuch naya karo taki google aapko pasand kare.

  9. Namskar sir, maine kuch din pehle hi apna youtube channel banaya h. Or mera adsense account disebal ho gya h jabki mere channel par roj sirf 5-7 click hi hote h. Sir isse sambandhit mere kuch swal h. Sir agar aap mere sabhi swalo ke jawab de to aapki bhut-2 mehrbani hogi
    1.agr mera adsense acount permanently disebal ho jaye to kya mera channel bhi ban ho jayega.
    2.agr mera adsense account permanently desebal ho jaye to kya m dusra adsense acount bna skta hu usi channel ke liye.
    3.mere channel par kitni bar invalid click hone par adsense permanently desable hoga.
    Aasa karta hu sir aap mere swalo ka jawab jrur denge dhanyawad.

    • 1.Yes ho sakta hai.
      2. Nahi alag se channel banana hoga.
      3. No limit aap khud ad par click mat karo no problem.

  10. Hello Bhai, mujhe bhi bhai google adsense ki or se account suspension ka mail mila hai, kal mene aapki di hui un websites ki url ko block kia tha jo kam CPC deti hai aur aaj mujhe is tarah ka mail mila hai. I dont know what should I do to overcome this problem. I am new for Adsense. Please help

    • Aapko adsnese ka jo mail mila hai wo mujhe dikhao.

  11. Bhai mera accouny suspend ho gaya h kuch din pehle mene apeal bhi ki or teh msg aaya..Thank you for your account suspension appeal. We have decided to keep your account suspended based on our Community Guidelines and Terms of Service. Please visit http://www.youtube.com/t/community_guidelines for more information.

    Sincerely,
    The YouTube Team.to bhai ab mujhe kya krna hoga jisse mera account mujhe return mil jaye…

    • इसका मतलब है की अब आपका account re-active नहीं होगा।

  12. Bhai usme temporaly Suspend dikha rha h email me.to yeh kb tk Suspend rhega…Yar lekin me sirf apni khud ki shoot ki hui video upload krta hun fir yeh log ne suspend q kr diya mene to inki terms ka koo violation nhi kya balki mene inki terms kafi acchi tarike se padhi or smjhi h .yeh YouTube wale bhi Middle Class People ko Aahe badhne hi nhi dete h mujhe itna struggle krne ke baad mere account me clicks aane lage thy daily 50k se 60k views traffic tha.lekin yeh **** Youtube wale To puri mehnat ki what laga di ek dm Dsmptd kr diya

    • Sameer agarapaen YouTube policy violation nahi kiya hai to don’t worry main kal iske bare me details article likhunga ki YouTube account suspend hone ke bad bakc kaise kare. I hope aap us method se apna channel fir se pa sakoge.

      • Thanks bhai jb post kriyga to uska link isi post me mere msg me send kr diyega.please

  13. Hlo bhai…
    Kuch dino se mere AdSense ki earnings nhi ho ri na pageviews badh rahe he…
    Or naaa hi click.
    I think self click ki wajah se..
    To bhai koi solution he kya ab iska…
    Dubara se traffic or click laane ka ?

    • Aap dusra AdSense approve karwa kar earning kar sakte ho.

  14. Bhai meri cpc 1 show hoti h..or me platform pe check krta hun to zada tr log phone se watch krte h or usi se adds pr click krte h kya isse to nhi h ki mobile se click huwe ads ki cpc bhot km hoti h aisa mene note kya h laptop destop se click huwe adds ki cpc 10.tk ho jati h lekin.mobile se.1 se aage hi nhi badti.aisa q bhai..i am very disapointed

    • Mobile me CPC kam hi hoti hai or desktop me jyada. Second user ad apr click karke usme interedt leta hai to CPC or jyada milti hai. Aap high paying keywords use kiya karo taki high level ad show ho.

  15. Sir ….meray adsens pr CPC 0.03 ho gai hai …pehly 0.04 thi plz help .
    or
    kiya meray ads pr invild calik ho rahy hain jis ki waja say CPC kam ho gai hai ??????

    or ayk bat …main YouTube pr kam krta hon YouTube pr mery earning 2.25 doller thi .
    aglay din mainay check kiya to 2.24 doller thi …
    plz bataye k meri earning km kiun hoi plz reply reply
    ..plz reply my all massege

    • Nahi 2017 me sabhi ki AdSense cpc low ho rahi hai.
      Sabki earning kam jyada hoti hai its not matter. Maine YouTube CPC ke bare me post ki hai latest post check kar lena.

  16. Sameer mostly google YouTube channel ko 30 day ke liye hi suspend karta hai. I hope aapka account bhi 30 day ke liye suspend hua ho warna aapko kabhi channel nahi mil sakega. Aapki earning wapis milegi ya nahi is bare me kuch nahi kah sakte.

    • Ok bhai thanks ab dekho kya hota h 30 days bad re enabled hota h ya parmantly disabled hota h.

  17. Bhai Aaj subaj jb me soh ke utha to dekha mera AdSense account bhi Disabled ho gaya h or YouTube accouny bhi 2no on nhi ho rhe h kal tk to on to ho rhe thy abhi AdSense account disapproved show ho rha h on nhi ho rha ek mail aaya usme likha h ki invalid activity or bhi bhot kuch likha h bhai mere add pr na hi me clicl krta hun na koi asal me to mere adds pr koi click bhi nhj krta h daily ka 4.se.5 click aate h bs.Ab usme bhi invalid activity hd ho gye bhai..batao yar ab kya kru me.

  18. Bhai Mere YouTube Channel pe me video upload krta hun to upload nhi hoti h show krta h your video is currently not upload & channel pe jane ke baad Uploading Video Disabled Show hota h red colour ki line nechay hoti h bhai mera channel kaose thik ho ga please help me

    • Sameer iski wajah loose internet connectino ho sakta hai. Aap mujhe full error message dikhate to or clear bta deta.

      • Nahi Bhai Internet to bhot mazboot h..Acutaly me Meri Camunity guidline.Or copyrigjt strike 2 .2 ho chuke h .Or iski wajah se..Shayad Video uploading disabled ho gaya h.Jaise Kbhi kabhi Google hmara monetize disabled kr deta h waise hi uploading disabled ho gaya h .Or Koi Video upload nhi hoti 1 per% baad direct Yeh show hota h you are not currently upload video.ab bhai aap bataiye.Ki video uploading enabled kaise hoga..Or Bhai Yeh bhi bataiye ki 3 copyright strike Hone ke bad mera channel disabled ho jayega..Agr ho jayega to kitne din ke liye..or usme Copyright strike expire bhi dikhata h 15 march dikha rha h 3 mahine baad Meri Copyrigjt strike hat jayegi kya Bhai Bataiye.

        • yes sameer YouTube par aapko 30 day, 3 month ya 6 month ke liye suspend kiya jata hai. Its your good luck ki aapko 3 month ke liye suspend kiya gaya or humesha ke liye nahi. Aap 15 march ke bad video upload kar sakoge.

  19. bhai yeh likha h mail me
    Action required: Your Google Account is temporarily disabled
    Hi,

    Google has suspended your Account, ameenk45 @gmail.com, because of a violation of our Terms of Service.

    Using a web browser, Sign in to your account or to any Google service as soon as possible, to reactivate your account.

    If you are unable to login into your account via the web browser and would like to try to recover your account, please contact us.
    If you don’t take any action soon, your account and all of its contents will be scheduled for deletion.
    Best,
    The Google Accounts team
    bhai aap mere is mail pe hi ans reply kr diyega plz or bhai bataiye ab me kya kru bhot pareshan hu

    • Aapka account suspend ho chuka hai. aap adsense.com par log in karo agar hota hai to setting icon par click karke google ko feadback send karo ki aage se aap policy violation nahi karoge.

  20. Bhai comments gayab ho jate h kabhi kabhi or bhai isme attach photo system nhi h screen short kaise bheje bataiye or bhai waise me screen shot kahe ka dun.google ka jo email aaya h mere ko suspend ka uska ya.Youtube account ka Youtube account to khul hi nhi rha h dikha rha h account terminated ab bhai aap hi kuch kr skte ho puri ummed aap hi se h.plz help

    • Ok aap mujhe google ka jo mail aaya hai wo dikhao.