Aapne AdSense performance report me bahut bar dekha hoga ki ads click hone par bhi earning nahi hoti hai. Iski wajah Invalid click hoti hai. Or AdSense invalid click ka ek bhi paisa nahi deta hai balki isse humara AdSense account disable bhi ho sakta hai. Isliye hume AdSense invalid click activity ko rokne ke bare me sochna shuru kar dena chahiye. Mai is post me aapko isi ke bare me bta raha hu. So har us blogger ko iski jarurat padegi jo AdSense use karta hai.
“Hello Sir mere AdSense account ki report me meri earning $5 show ho rahi thi. But kuch der bad ye $4.83 ho gayi. Earning kam kyo ho gayi plz give me some better information” Ye sawal mujhse Harsh Agarwal ne 24 feb 2025 ko pucha tha. Mai harsh ko thanks kahna chahunga kyuki iske bare me maine koi post nahi ki hai. So mujh harsh ke sawal se AdSense user ke liye ek achi post likhne ka idea mila hai.
- Asynchronous Vs Synchronous Adsense Ads Me Kya Difference Hai
- Adsense Revenue Increase Karne Ki 10 Important Tips – Hindi Tricks
Adsense income kam hone ki wajah hoti hai AdSense ads par Invalid Click Activity. Jab bhi koi visitors humare ads par galat click karta hai to wo click invalid click mana jata hai. Prevent Invalid click Activity yani invalid click konse click mane jate hai. Ise aap in 3 point se samajh sakte ho.
- Jab user ads me btaye link ki jagah or kahi par click kare.
- Jab user ads ko aapki site ka hi hissa samajh kar click kare.
- Jab user ads par click nahi karna chahato ho or galti se click ho jaye.
Adsense invalid activity se humari koi income nahi hoti hai. Ulta invalid click se humari income kam ho jati hai. Or ho sakta hai jyada invalid click hone se humara AdSense account hi disable ho jaye. Har AdSense user is problem ka solution pana chahata hai. Or janna chahata hai ki kis tarah wo AdSense invalid click activity se bach sakta hai.
Adsense Ads Par Invalid Click Rokne Ke Liye Kya Kare 10 Tips [Stop Invalid Activity]
In this post, Mai aapko AdSense invalid click activity se bachne ke kuch tips bta raha hu. Jo aapke liye helpful sabit honge. Or aapa apne AdSense account ko safe rakh sakoge. Isse pahle bhi mai Adsense Account Ko Safe Rakhne Ki 12 Important Tarike post me bhi AdSense ko safe rakhne ki bat kar chuka hu.
1. Read & Follow Adsense Policy: Adsense user ke liye sabse important bat hoti hai AdSense plocies ka palan karna. Iske liye aap AdSense policy ko weekly check karte rahe or AdSense policy ke anusar btaye place par hi ads lgaye. Iski janakri ke liye aap Adsense Ads Placment policy ko ache se padh or samajh le.
2. Stop Relation With Bad Habits: Sabse pahle aapko bad peoples, bad website or blog, bad social group se relationship todna hoga. Bad se mera matlab hai s*x, p*rn, hacking jaisi gandi aadat rakhne wale log, website or blog. Aapko in sabse se bachna hoga. Kyuki ayse log humesha dusro ka bura sochte hai. Or humesha kisi ka bura karne ki koshish me rahte hai. In sabhi jagah se aapko bekar traffic milega. Jo sirf time pas ke liye aapki site par aayenge or aapka nukshan kar ke hi jayenge.
3. Make Good Relationship With Your Reader: Apne audience ke sath acha rishta banaye or unhe AdSense invalid click ke bare me samajhaye. Iske liye aap apni site ke liye privacy policy bana kar usme AdSense policy add kar sakte hai. Jisse aapke reader aapki site par lage ads par invalid click na kar sake.
4. Don’t Click Your Ads: Mnta hu aap bahut smart or intelligent hai. But google ko bevkuf banane ka vichar apne dimag se nikal de. Kabhi bhi AdSense ke ads par click mat karo. Isse aapka AdSense accont block ho sakta hai. Or agar block nahi bhi hoga to aapki Adsense CPC bahut kam (Low) ho jayegi.
5. Don’t Share Adsense Ads: Adsense ads code ko other site par dikhane ki permission nahi deta hai. Aap sirf apni verify site par hi ads laga sakte ho. Isliye un logo se bache jo aapko jyada traffic ka lalach de kar AdSense partnership karna chahate hai. Sath hi AdSense ke bare me post karte time dhyan rakhe ki aapki personal information publish nahi honim chahiye. jaise AdSense ads ID, AdSense ads code etc.
6. Stop Spam Traffic: Agar aapki site par traffic ekdam se badh jata hai or aapko duable ads click milne lag jate hai to ye aapke liye pareshani ban sakti hai. Isse bachne ke liye aap spam traffic, comments ko block kar sakte hai. WordPress blog par ye bahut aasan hai. Agar aapka blog free blogger par hai to aap ayse time me turant AdSense ko iski report send kare. Iski jankari ke liye aap AdSense ke Create and manage custom alerts form par jaye.
7. Don’t Buy Paid Traffic: Adsense paid traffic allow nahi karta hai. Adsense only unhi visitors ko pasand karta hai. Jo apni marzi se aapke blog par aate hai. Agar aap traffic kharidna chahate ho to aap AdSense use nahi kar sakte hai. Isliye kahi se bhi traffic kharidne se pahle ache se soch le ki paid traffic se aapke blog par invalid click ho sakte hai. Or AdSense aapko ban kar sakta hai.
8. Adsense Ads Color: Aap AdSense ads ko apne hisab se customize karne ke liye free hai but iska ye matlab nahi hai ki aap AdSense ads ko bilkul apni site ke color me mila de. Adsense chahata hai ki visitor apni marzi se ads ko ads samajh kar ads par click kare.
9. Don’t Use Popup & Sticky Ads: Adsense invalid click se bachne ke liye aap apni site par sticky or popup ads lagana band kar dijiye. Kyuki AdSense popup or sticky ads par huye click ko invalid click manta hai or AdSense ise allow bhi nahi karta hai.
10. Report To Adsense Invalid Click Activity: Agar aapko lagta hai ki aapki site par invalid click kiye ja rahe hai to aapko iske bare me turant google AdSense team ko notification bhejni chahiye. Adsense ko invalid click activity ki report karne ke liye aap Invalid Clicks Contact Form par ja kar AdSense ko report kar sakte hai.
I hope aapko is post me google AdSense ke bare me good information milegi. Ho sakta hai aapko is ke bare me pahle se jankari ho. But fir bhi aapko kuch na kuch new sikhne ko jarur milega. Agar meri bat 10% bhi sahi hai to post ke bare me commnet jarur karke apne thoughts jarur share kare.
- Adsense RPM Kya Hai or Adsense RPM increase kaise Kare [What is RPM]
- Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare – Approved Tips
Adsense invalid click activity ko rokne ke liye koi fix way nahi hai. But hum is post me btaye or kuch or tariko se apne AdSense account ko invalid click se bacha sakte hai. Iske liye mera aapko yahi suggestion hai ki aap AdSense ke bare me jitna ho sake jankari prapt kare.
If You can like this post as give you helpful information, Then plz share this post with your friends on social networking sites.
raj
mere blog ka post ek blog ne copy kar rha he isko kse roke?
Jumedeen Khan
Aap us blog admin se iske bare me bat kar sakte ho.
kiranbhai
View Page Source se koi Kuchh Copy karna Chahe tab Adsense code Bhi Kabhi Kabhi Copy ho jate hai. Aur Galati se Copy karne Wala Dusare blog me Paste kar Deta hai. Bro.. tab Invalid Click ka Kya Kare. claim your site Ka Option Adsense Ma hai Isake Siva Koi option Hai ?
Jumedeen Khan
Agar koi views page source se aapka ads code copy kar ke apni site par publish kare to aap uske khilap google ko report kar sakte ho.
hari narayan
Bhai mai apne WordPress blog ka pageviews wagerh dekna chahta hu to kon sa plugin achha hai iske liye
Jumedeen Khan
Jetpack plugin
rohit gupta
jumedeen sir,
agar mai.kisi bhi site me koi post dekhta hu. aur us post ko ham samjhkar apne words me blog me publish karu. toh wo copyright mana jayega aur usse hamara seo kharab ho jayega
Jumedeen Khan
Nahi kar sakte, Copyrighting ho sakti hai. aap apne dimag se or apne hisab se apne tarike se post likho.
Rahul yadav
Sir koi ek best free blogger template btaiye jo seo freindly, mobile freindly aur AdSense freindly ho. Please sir koi ek hi btaiye bhut sare me to mai confuse ho chuka hu. Please sir btaiye.
Jumedeen Khan
Ye post padho Blog Ke Liye Top 10 SEO Optimized & Mobile Friendly Templates [Free]
Rahul yadav
Sir, ek question to mai aapse 8-10 bar kar chuka hu ki mere blog me domain add nahi ho raha hai kyoki maine galat detail dns zone file me bhar di thi. Wo domain save to ho jata hai but khulta nahi ab blog me wo error nahi aati jisse mujhe wo code dwara mil jate jo dns zone file me add karna hai. 1 mahine se zyada ho gya ab wo mujhe kaise milega please help me sir. Godaddy ke customer care me bhi call kiya tha but kuch nahi ho pa raha hai. Ab aap hi koi solution nikaliye please sir bahut pareshan ho chuka hu ab kya karu.
Rahul yadav
Sir aapse ek question aur hai ki aap screenshot kaise lete hai aur screenshot lene ka koi best computer software btaiye. Aur screenshot kaise lete hai ye bhi btaiye. Please reply sir.
Jumedeen Khan
Aap bina software ke windows+PrtSc key button daba kar screenshot le sakte ho.
Dilip
me bahut badi musibat me hu mene Jo template upload kiya hai usame post ko open kare to last me author profile ati h jaise apki h to main baha par apne baare me likhna chahate h us jagah kisi or k bare me likha h ap mere blog ko open kar k post ke ander dekhkar bataye plz
Rahul yadav
Sir aapse ek question hai ki siteprice.org kya hai aur ispar apni website ko kase jode aur iska kya fayda hai aur jo do code milte hai wo hume kaha lagane hote hai please reply sir comment se hi bataye sir
Jumedeen Khan
Siteprice ek website value check karne ki site hai. Is par hum kisi bhi site ki popularty check kar sakte hai. Ise blog me add karne se koi fayda nahi hai.
surendra
maine 10 mahine pehle ek blog banaya tha okk or uske baad maine dusra blog bana liya he ab hamesha uspe hi blogging karta hu to 10 mahine wale par aaj bhi ache visitors aa rahe he ab kuch aisi tricks batao jisse saare visitors dusre blog par redirect ho jaye..?
Jumedeen Khan
Aap Blogspot Blog Ko WordPress Par Trasfer Kaise Kare post par jao or isme btaye second redirection code ko apne 10 mahine old blog me add kar lo.
surendra
Ab Last sawaal
Q:1 – Maine freedom book karne ke liye jo post likhi thi wo ekdam true thi . Ab toh mujhe koi problem nahi hai naa ?
Q:2 – mere blog par 1000 pageview par 4$ – 5$ ki Income hoti hai . Google AdSense ke hidab se yeh rate sahi hai kya . Kahi baad me mera AdSense disble ho jaye .
Jumedeen Khan
Aapke dono hi sawalo ke jawab hai aapko koi problem nahi hai. kyuki aapke pas original traffic hai. Top List Articles Se 1 Month Me 100,000 Visitors Kaise Paye me isi ke bare me btaya hai.
Surendra
Ab aapko meri ek baat manni paregi.
18 Date ko maine freedom wali post likhi toh mujhe ( 18 ,19 ,20 ) Teen din me total google search engine se 75000 Page view mile Aor iski wajha se 3 Din me meri income 100$ se bhi jayada hui .
Ab yeh bataye ki yeh income fake hui thi kya , agar fake hui hai toh mera AdSense kabhi bhi band ho sakta hai kya.
Ab aap meri confusion durr kare ??
Jumedeen Khan
kuch important time par jyada traffic mil jata hai. Jaise happy new year ya fir koi or important topic. Nahi aapke AdSense account isable nahi hoga. But aapne ho 251 wali post ki hai wo true honi chahiye.
Ravi Kumar
Maine to domain le li, ab Google search me lane ke liye kya – kya karu jisse jaldi Google search me aajayega , bhaiya
Jumedeen Khan
Aap supportmeindia ki SEO se related post padho.
Dilip
blogger par Jo me apne blog k page view karta hu bo bhi count ho jate h koi upay hai jisase ye ROK sake or count n ho
Jumedeen Khan
Nahi. blogger par aapke dwara huye pageviews bhi show honge.
Ravi Kumar
thanks bhaiya, aaj aap hi ke wajah se, domain lene me success hua hu, jus avi hi blog me add kiya hai, but meri blog nahi khul rahi hai, kyu bhaiya,
1…..Aur aap ye bhi bataiye mera domain name kaisa hai, please reply bhaiya
Jumedeen Khan
acha domain hai. thoda wait karo domain active hone me 24-48 hours ka time lag jata hai.
Rakesh kumar Batu
Hello bro 1 question hai.
wo ye ke aap ne post ke end mein jo 2 ad unit lgaa rkhe hai wo aap ne kaise bnaye .?
hope you reply soon as possible
Jumedeen Khan
Aapka jawab is post me hai. Adsense Matched Content Kya Hai or Ise Hum Kab Use Kar Sakte Hai
surendra
bhai Point No. 6 Samaj Nahi Aaya kyu Ki Spam Traffic Ka kya Matlab Hai .
agar Suppose Mante hai Ki Aaj mere blog par 1000 pageview hai Aor Next day 20000 Pageview ho jaye ( Jabki puraaa traffic Search engine se aaya hai ) . ab jo bhi AdSense se income hogi wo real hogi yaa fake
kyu ki AdSense toh search engine se aaye huye readers ko like karta hai
Jumedeen Khan
Spam traffic wo traffic hota hai. Jab aapke blog par wo visitors aate hai jinhe aapke blog me koi interest nahi hai or wo sirf self promotion ke liye aapki site par visit karte hai. Aaj kal robot se bhi auto commnets ki jati hai.
Surendra search ranking ek dam se increase nahi ho sakti hai. aapko kabhi bhi 1000 se 2000 pageviews search engine se nahi mil sakte. agar aysa hota hai to wo fake traffic hi hai.
Kiranbhai
Kai bar naye blogger copy paste se apni post dalte hai isame copy na hoto to source html code ko copy karke content ya kai gadget use karte hai.. Isame kaibar AdSense code bhi copy ho jata hai.. Isase Invalid click hoti hai.. Isase bachne ke liye claim your site ke siva koi dusara option hai..?
Jumedeen Khan
Copy paste se koi bhi aapke ads code ko copy nahi kar sakta. Bas aap kisi ko apna ads code email ya other message me send mat karo.
साहिल कुमार
Invalid click rokna bahut hi jaruri hai, ye aur bhi jaroori tab ho jata hai jab click hamate elaake se aa rahe ho
Jumedeen Khan
Don’t worry sahil ummid karta hu AdSense team bahut jald iska solution nikal degi.
Ameen khan
Bhai Mene reactive appel form usi din submit kr diya tha jis din suspend huwa tha & now i am very happy my account is today reactive..but 1 problam abhi h .mere account me 32 doller thy abhi 1 doller h 31 doller q kat gye bhai mene sb revenue sahi se check kr liya h 1 doller hi bacha h 32 thy ab bhai iska kya samasya h batao
Jumedeen Khan
Ameen shukr manao ki aapko AdSense account wapis mil gaya. dollar google ne kat liye kyuki apane AdSense policy ka violation kiya tha.
Ameen khan
Bhai wo to thik h lekin mere doller suspend home se 4.5 din pehle kte thy jiske bare me mene aap se bataya tha…aage bhi aisa mere saath kahi na ho to is liye aap hme is bare me koi upaye bataye..Plz.
Jumedeen Khan
Ameen uski wajah yahi thi aage se aesa nahi hoga aap khud apne ads par click mat karna or kisi se kah kar click mat karwana.
Chakradhari kumar
Thank you bhaiya Iski jankari share karne ke liye kyu ki mare AdSense me bhi ye problem ho chuka hai…..