Hum sabhi jante hai ki popu ups ki wajah se hume kitni pareshani hoti hai. Kuch websites par to itne popups hote hai ki un par next time visit karne ka man hi nahi karta. Google chrome browser, firefox, Opera browser me sabhi me pop-ups ko block karne ka feature hota hai magar iski jankari na hone ki wajah se user popup ko disable nahi kar pate hai. Is post me main aapko chrome browser me popups ko block karne ke bare me bta raha hu.
Email marketing har website or blog ke liye jaruri hai but kuch sites or blogs par to kai kai email subscribe pop ups add ki huyi hoti hai jinse users ko kafi problem hoti hai. Desktop laptop me to ye manage karne me easy hai magar mobile users ko isse sabse jyada problem hoti hai. Google humesha popups ka kam se kam istemal karne ko kahta hai.
- Google Chrome Browser 10 Useful Tips and Tricks 2024
- Kya Aap Jante Hai Google Chrome Ki Ye Interesting Tricks
Fir bhi humari favorite websites par hume visit karne ki jarurat hoti hai or har bar un sites par lage popups ka samna karna padta hai. Agar aapko aesi hi problem ho rahi hai or aap in sabko band karna chahate hai to aapko bas kuch steps follow karke apne internet browser me pop ups feature ko disable karna hoga.
Chrome Browser Me Pop Ups Ko Disable Kaise Kare
Google chrome India me sabse jyada popular internet browser hai sabse jyada log isi browser ka istemal karte hai so main aapko yaha chrome browser me popups ko disalbe karne ke bare me bta raha hu. Kuch aese hi steps se aap firefox and other browser me popups ko band kar sakte ho.
How top Block Pop Ups in Chrome Browser:
Main yaha aapko android mobile and desktop computer chrome browser sabhi ke steps bta raha hu. Aapke pas jo device hai aap uske steps follow kar sakte ho.
Computer Chrome Browser Me Pop Ups Ko Block Kaise Kare
Main yaha aapko chrome desktop latest version 59.0.3071.109 browser ke steps bta raha hu agar stpe match na ho to aap apne chrome browser ko update kar le.
- Apne computer me chrome browser open kare.
- Ab right side me top par Three vertical dot menu par click kare.
- Ab scroll down kare or Advanced par click kare.
- Ab Privacy and Security features me Content Settings par click kare.
- Ab thoda scroll kare or Popups option par click kare.
- Ab yaha Blocked (Recommended) select kare.
Is tarah se apa aasani se desktop chrome browser me popups ko stop kar sakte ho. Ab agar aap mobile user hai to aap ye steps follow kare.
Mobile Chrome Browser Me Popups Ko Block Kaise Kare
Agar aap smartphone istemal karte hai to apne mobile phone ke chrome browser me pop ups ko disable karna chahate hai to ye steps follow kare.
- Apne mobile me chrome browser open narek or right side me top par Three vertical dot menu par click kare.
- Ab drop down menu me Settings par click kare.
- Ab Content Settings par lcick kare.
- Yaha aapko Block po-ups ka option dikhayi dega. Is toggle ko on kark aap popups ko allow or off karke block kar sakte ho.
Is tarah se aap mobile chrome browser me pop-ups ko block kar sakte ho. Agar aapko is process me koi problem ho to aap comment section me apne question share kar sakte hai.
Ab kisi bhi website par aapko popups ki problem nahi hogi or bar bar disturb nahi hona padega. Aap bina pareshani ke kisi bhi website par visit kar sakte ho.
- Google Kya Hai Google Ke Bare Me Puri Jankari Hindi Me
- Chrome Browser Me Grammarly Extension Kaise Install Kare
Agar aapko ye jankari achhi lage to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
bahut hi acha article it worked in my laptop thank you
amazing tips… bahut badhiya…samjhaya picture ke sath…
Very nice post!
sir me apki post regular pdhta hu or es se mujhe bhut shikhne ko milta hai.
Welcome and keep visiting.
Bro agar meri blogger site pe adsense approved hojaye full to kia me ussi ki ads dosre website pe laga sakta hun ? Earning to hogi na ?
Yes laga sakte ho.
sir nice artical.sir mere blog ke post tital ko hilight kaise karu.matlb dark kaise karu.mai aapka daily reader hu please help.or ye bhi suggest kare ki mere theam me kya costomize karni chahiye.
Apako jis type ka logo pasand hai uski type ka logo banao. Baki backgroun aap CSS coding se badla sakte ho.
like
img{background:#000}
Hello Jume Deen bhai, Sabse pahle to aapko EID Mubarak 🙂
Late se wish karne ke liye maafi chahunga lekin aaj kal mai bhi dusre kaam me thoda busy chal raha hu…
Ek problem aa gai hai uska solution chahiye…
Maine host gator ki hosting le rkhi hai or apne website ko cloud flare par add kar diya hai lekin cloud flare ka name server ko kaha add karna hai? maine aapka cloudflare cdn setup guide post bhi padh liya usme aapne sirf Domain site likha hai….mai host gator me login kar raha hu tab bhi waha NS change karne ka option nahi mil raha hai….
is waqt mere paas do website or dono ki hosting ek hi hai…maine jis domain se hosting liya tha agar uska NS change karu to dusre site ka bhi NS change ho jayega?
Thank you,
Cloudflare ka name server record domain setting me ja kar DNS setting me add karna hai.
Nahi hoga. Aap jiska change karoge sirf usi ka change hoga.
Thanks Jume Deen bhai, maine Godaddy se domain purchase kiya tha…waha ja kar check kiya to waha se ho gaya… 🙂
Thanks again 🙂
Bro Doffolow Backlink Kaise Banaye Commenting Se Kuch Tips De Jise Dofolow Backlink Bane Coment Se
Dofollow backlinks ke liye guest posting use karo commenting se dofollow baclinks milna mushkil hai.
Hello sir bahut badhiya jankari share ki hai…
Mene aapko ek mail bheja hai ples check aur reply kare bro
Ok main aapko mail check karke reply kar dunga.
Bahut hi useful post hai thanks for sharing…
sir ye jo apka newsletter email ataa hai usme aapke post ka title pahle show hota hai or blog ka title baad me please mujhe bataye ki feedburner me ye setting aapne kaise ki hai.
Feedburner publishing setting me aap title set kar sakte ho.
AAP koun SA wp theme use krte Hai. Bahut hi fast Hai
Child theme+genesis framework
badhiya jaankaari di apne …popups block krne k bare me