WhatsApp Beta Version Download & Install Kaise Kare?

Kya aap WhatsApp latest features ka test karna chahate hai? agar haa to iske liye aapko apne android phone me WhatsApp beta version download and install karna hoga aur iske liye aapko beta tester banne ki jarurat hogi. Yaha aapko WhatsApp Beta Tester Kaise Bane aur WhatsApp Beta Version Download Kaise Kare ki puri jankari mil jayegi. How to Download WhatsApp Beta Version on Android – Complete Guide in Hindi.

WhatsApp Beta Version

WhatsApp beta tester bankar aap WhatsApp new features ka istemal baki users se pahle kar sakte hai. Ye feature hume app ko update karne par nahi milte hai. Beta version me hum unn features ko bhi istemal kar sakte hai jo future app update me aane wale hai.

New features ka istemal karne ke sath hum ana feedback bhi submit kar sakte hai aur bugs ki report bhi kar sakte hai taki app launch hone se pahle developer use fix kar sake.

Apne Android Mobile Me WhatsApp Beta Version Download Kaise Kare?

WhatsApp beta version downl karne ke liye hume 2 stesp follow karne hai, WhatsApp ka beta version install karne aur WhatsApp beta tester kaise ban sakte hai.

Main yaha WhatsApp beta tester banne aur WhtsApp beta version download karne ke bare me step by step with screenshot details se bta raha hu.

WhatsApp Beta Tester Kaise Bane?

Aap 2 tarike se wahtsapp beta tester ban kar beta version download kar sakte hai. Ek web browser ka istemal karke aur dusra google play store ke through.

Main aapko dono ke stesp with screenshot ke sath bta raha hu. Whatapp beta join kaise kare.

  1. Sabse pahle aap apne android mobile me chrome browser open kare.
  2. Ab google play store ki website par WhatsApp beta test page par jaye.
  3. Uske baad apne gmail account se login kare.
  4. Login karne ke baad jo page open ho usme Become A Tester par click kare.

Become WhatsApp Beta Tester

Congratulations! Become A Tester par click karne ke baad aap WhatsApp Beta Tester ban jaoge. Ab aap WhatsApp beta version download kar sakte hai.

Agar aap direct google play store se beta tester banna chahate hai, to google play store me whatsapp app page me jaye aur app description me check kare, waha aapko become a tester ka option mil jayega.

WhatsApp Beta Version Download Kaise Kare?

WhatsApp beta tester banne ke baad aap apne google play store se whatsapp beta version download aur install kar sakte hai. Iske liye ye stesp follow kare.

  1. Sabse pahle apne android phone me Google Play Store ko open kare.
  2. Ab WhatsApp type kar search kare aur WhatsApp app ke page ko open kare.
  3. Ab aap dekh sakte hai aapko WhatsApp Messenger (Beta) title dikhayi dega.
  4. Ab aap INSTALL button par click kar whatsapp beta version install kar sakte hai.

WhatsApp Messenger (Beta)

Beta title tabhi dikhayi deta hai, jab aap beta tester ban chuke ho. Agar aapne pahle se apne device me whatsapp app install kiya hua hai to aapko update available milega, aap use beta version me update kar sakte hai.

Windows Phone Me WhatsApp Beta Version Install Kaise Kare?

Agar aap windows smartphone use karte ho to windows phone me whatsapp beta tester banne ke liye aap Microsoft Get WhatsApp Beta link par visit kare.

Ab aap microsoft store me pahuch jaoge, yaha par aako whatsapp messenger beta app mil jayega.

  1. Get par click kar aap whatsapp beta version install kar sakte hai.

WhatsApp Beta for Windows Phone

Ye options desktop ke liye hai, smartphone me bhi same and easy steps honge, aap simply windows phone me bhi whatsapp beta version try kar sakte ho.

WhatsApp Beta Test Program Leave Kaise Kare?

Agar aap kabhi WhatsApp beta tester ko leave karna chahate ho to wo bhi kar sakte ho. Iske liye aap niche diye steps follow kar sakte hai.

  1. Sabse apne phone me se whatsap beta version app ko uninstall kar de.
  2. Ab apne phone me internet browser open kare.
  3. Ab google play store site par ja kar WhatsApp beta test page open kare.
  4. Ab yaha par aapko Leave the Program ka option milega, us par click kare.

Leave WhatsApp Beta Program

Leave the program button par click karte hi aap WhatsApp beta program se leave chuke honge. Ab aap apne mobile me google play store par ja kar whatsapp app download kar sakte ho.

Is tarah se aap WhatsApp beta tester ban sakte ho aur apne android phone me WhatsApp beta version download install kar sakte ho.

WhatsApp beta tester banne ka sabse bada fayda ye hai ki WhatsApp me jo update aane wala hoga, aapko uske bare me pahle se hi pata chal jayega.

Ye thi whatsapp beta version install karne ki process, agar aapko jankari achhi lagi ho to is post ko WhatsApp, Facebook, Twitter par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Leave a Comment