Internet Par Hindi Indian Languages Kitna Use Hoti Hai

Internet ki duniya day by day badhti hi ja rahi hai. Pahle internet ko sabse jyada english me use kiya jata tha par ab aesa anhi hai ab hindi or india ki dusri language me bhi internet ka istemal kiya ja raha hai. 2011 ki tulna me 2024 me internet par hindi language use karne wale users ki sankhya me salana 41% teji se badhotari huyi hai. Internet par indian bhashao ke badhte dabdabe ko dekhte huye kah sakte hai india ki hindi and other Indian languages sab mil kar jald hi english language ko bhi piche chord sakti hai. Aayiye jante hai internet ke bare me kuch rochak bate jaise India Me Internet Ka Istemal Kitna Hota Hai or Future Me Kitna Hoga?

Hindi and other indian languages

Consulting form KPMG and google search engine ki report ke anusar indian language ke internet users ki sankhya teji se badh rahi hai. India me log ab internet ka pahle se jyada istemal kar rahe hai. Aap internet par hindi ya other indian language me koi bhi keyword search karoge to aapko million results milenge wo bhi indian languages  me.

Mostly, internet par hindi and hinglish yani internet users ke dwara hindi+english ko mila kar banayi gayi basha sabse jyada istemal hoti hai. Halanki ye koi official bhasha nahi hai magar social media, blogs, websites par bhi iska istemal hota hai.

To chaliye aaj main aapko bta raha hu ki internet par hindi or dusri indian languages ka kitna istemal hota hai or aane wale time me internet par indian language kitni hogi. Future me internet par hindi ka kitna dabdaba hoga. Internet Par Indian Languages Kitna Use Hoti Hai?

Internet Par Hindi Indian Languages Kitni Istemal Hoti Hai

Main hindi ke bare me pahle bhi kuch important janakri share kar chuka hu jo aap Hindi Ke Bare Me 10 Amazing Facts – Ajeeb Bate post me padh sakte ho. Aaj hindi ki internet importance and hindi ke future ke bare me bat karenge.

1. Abhi Internet Par Hindi and Other Indian Language Kitni Use Hoti Hai?

Iske bare me to main aapko upar hi bta chuka hu ki 2011 ki tulna me 2024 me internet par indian lnaguage users ki sankhya me 41% badhotari huyi hai.

Google search engine and consulting forum KPMG ki report ke according  2011 me internet par 4.2 crore indian language istemal karne wale user the jo ki 2024 me teji se badhkar 23.4 croe ho gaye. Hindi 20.1 crore, Marathi 5.1 crore, Bengali 4.2 crore, Tamil 3.2 crore, Telugu 3.1 istemal hoti hai.

2. Future Me Internet Par Indian Language Users Kitne Honge?

2011 me internet par indian language use karne wale user 4.2 crore the jo 2024 me 23.4 crore ho gaye agar aesa hi chalta raha to 2024 tak ye sankhya 53 crore tak pahuch jayegi. Khas bat ye hai ki 2024 me english language users ki sankhya only 17.5 hi thi jo ki hindi basha se bahut kam hai.

3. Indian People Kis Device Me Chalate Hai Internet?

Ek report ke mutabik indian language me internet use karne wale logo me se 70% users mobile devices ka istemal karte hai. Agar total internet users ki bat kare to india me 78% internet users mobile smart phone ka istemal karte hai.

4. India Me Kis Location Me Jyada Internet Istemal Hota Hai?

Agar aapse koi puche ki india me internet kaha jyada use hota hai cities me ya villages me to aap shayad city btayenge. Magar aesa nahi hai bharat me shahar se jyada ganvo me internet istemal hota hai.

Village location me har internet user per week lagbhag 530 minutes internet par kharch karta hai. Jabki city me internet users har hafte 480 minutes internet use karte hai.

5. Aane Wale Time Me Internet Par Indian Language Kaha Par Hogi?

Agar hum bat kare ki future me internet par hindi ya other indian language ka kitna istemal hoga to mera jawab hoga aane wale time me indian language top par hogi. Kyuki aaj mobile, desktop, laptop, tablet etc. har type ke device me hindi language available hai.

Hindi aaj jis tarah se internet par growth kar rah ihai use dekh kar kaha ja sakta hai ki ek din ye top par hogi or internet par sabse jyada hindi users honge.

Internet par hindi or dusri indian language ko growth hone me digital news and digital india se kafi help mili hai. Only digital news ke 10.6 core users hai jo ki 2024 tak 28 crore tak ho sakti hai. Digital news aane wale time me social networking sites ko bhi piche chord sakti hai.

Abhi social media par indian language use karne wale users 11.5 core hai or 2024 tak ye 30 crore tak ho sakte hai. Kuch bhi oh ye to kahna padega ki jis filed me india wale aa jate hai usme top par aa kar hi mante hai. 125 crore population wala country hai. Agar isme se 50 percent bhi internet ka istemal karte hai to badi bat nahi hogi.

Agar aapko ye jankari pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 35 )

  1. kamlesh

    Internet se related information Hindi me!

    Reply
  2. Shailesh Chaudhary

    Google Hindi ko Inta Promote kar rha hai. Kuch din me Internet par Hindi user sabse jayada honge. Well Done

    Reply

Leave a Comment

Ad

I need help with ...