Google Adsense Par Ads Kaise Banaye Ki Puri Janakri in Hindi

Aaj hum baat karenge ki adsense par ads kaise banate hai. Actually bahut se new blogger ko adsense manage karne me bahut problem hoti hai. Yaha tak ki unhe ads create karne me bhi problem hoti hai. Isliye aaj is post me main aapko yahi batane walahu ki google adsense par ads kaise banate hai. Aap is post ki help se easily adsense par ads create kar sakte ho.

adsense par ads kaise banaye

Adsense par ads banana bahut aasan hai. Bas aapko ek bar iski achi jankari ho jaye. Main apni post Adsense Ke Ads Blog Me Kaise Lagaye me adsense create karne ki jankari bhi share kar chuka hu but is post me aaj hum sirf ads create karne ke bare me baat karenge ki adsense par ads kaise banate hai.

Jaha tak mujhe pata hai 3-4 type ke ads sabse jada populer rahate hai. 1. 300×600, 2. 300×250, responsive and links ads ye sabse better size hai adsense se paise kamane ka. Main supportmeindia par isi size ke ads use karta kar raha hu or 90% blogger isi sizes ke ads use karte hai isliye aapke liye bhi ye size better rahega.Adsense

Adsense Ke Ads Kaise Banaye

Adsense par ads banane ke liye aapko bas thodi si basic jankari ki jarurat hai. Aap aasani se adsense ke ads bana sakte ho. Ads banane ke liye adsense par jaye or log in kare.

1. Ads size

Step 1: 

  1. Go to Adsense home page.
  2. My Ads par click kare.
  3. New ad unit par click kare.

create AdSense ads

Step 2: New ads unit par click karne ke bad ye page open hoga. Aap upar screenshot dekh sakte hai.

  1. Ads ka name choone. Apni site se related ads name hi choone.
  2. Yaha par aap ads change kar sakte ho. links ads, responsive ads, customze size ads. Means aap yaha par click karke apne hisab se ads size create kar sakte ho.
  3. Adsense ne pahle se hi kuch ads size diye huye hai. aap in me se bhi size select kar sakte hai.
  4. Ads type Text & dissplay ads hi select kare.

2. Ads type

Adsense ke ads 3 type ke hote hai. 1. text & dispaly ads, 2. display ads only, 3. text ads only. Aap apni pasand or jarurat ke hisab se ads type select karte hai. In my case mai Text & dissplay ads use karta hu jisse humari jayda income hone ke chance badh jate hai.

3. Ads style

lagbhag har blogger ke liye ye bahut important hai ki ads style konsi better rahti hai. Mera manna hai ki aap apni site ke design ke hisab se ads style choone, kyuki isse aapki site ka look acha hoga or visiters ads par click karna pasand karenge.

But iska ye matlab nahi hai ki aap ads ko bilkul apni site se match kar do. Ads ko itna customize nahi karna hai jo ads ads na lage or site ka part nazar aaye. Aesa karne se visitors bhi aapke ads par click nahi karenge.

ads style

  1. Pahle se diye kisi bhi size par select kare.
  2. Copy and edit par click kare.
  3. Ab apni site ke design ke hisab se color select kare. kisi bhi color ko code pata karne ke liye Yaha Click Kare
  4. Jab aap ads style edit kar rahe honge to yaha par uska preview show hota hai.

4. Custom Channel

Ads banate time custom channel jarur create kare. custom channel name aapki site kis bare me hai se related hona chahiye. jis se adsense aapki site par usi type ke ads dikha sake.

ads custome channel

  1. Create new custom channel par click kare. Ab apni site se related channel name choone.
  2. Yaha aapke sare channels ki list hogi. Aap unme se bhi koi channel select kar sakte ho.
  3. Finally Save and get code par click kare.

Ab ek new popup window open hogi usme aapne jo abhi ads banaya tha uska code hoga is code ko copy kar ke aap apne blog par paste kar sakte ho. Blog par ads kaise lagate hai uske liye Yaha Click Kare

ads code popup windows

Agar aapko is post ke step samjh nahi aaye hai to koi bat nahi adhik jankari ke liye aap ye video dekh sakte hai.

अधिक जानकारी के लिए video देखे 

I hope is post se aapko adsense ke ads create karne me help jarur milegi. Adsense ke bare me or jankari pane ke liye humari site ki Adsense se related post padhe. Humari new post padne ke liye aap hume Youtube, Facebook, Twitter, Google Plus par follow kar sakte ho.

Finally agar aapko ye post real me achi lagi ho to ise social media par apne friends ke sath share jarur kare taki wo bhi apne blog ke liye ads create kar sake.

Avatar for Jumedeen Khan

by: Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 142 )

  1. Nice post Sir! Sir mera ek Question hai ham ek page ya post me kitne ads laga sakte hai??

    Reply
  2. maine post ke beech me 300×600 size ke 2 ads lagaye hai. kya ye adsense policy ke khilaf hai. agar hai, to kyu. kya aapko es bare me kuchh sahi pata hai. detail se bataye.

    Reply
    • Yes ye adsense policy ka violation hai.

      Reply
  3. jume deen sir mane aap ki post padi bahut badiya h mera ek swal h aapse mujhe text ad crate karna jisme meri post se related ho jase aap ne apni post ke sabse upar laga rakha ha. please reply jarur kare.

    Reply
    • Very simple jab aap ad create kar oto ad type me link ad choose karo.

      Reply
  4. Hii sir, mera adsense 3 month pehle hi aproved ho chuka h, lekin maine koi ad nh bnaya or lyaga.3 month bit jane ke baad maine ad bnaya or lgaya lekin 24 h se upar hone pr v add show nh hua.mera aapse swal h ki
    1)maine apni blog pr 12-15post likha tha jb m on page optimiz krna nh janti thi or mughe lagta h post choti hone or usme kai galti k karan ad show nh hota h
    2)mai in post ko delete karke 5-6 fresh post optimize krke likho
    3)ya mai un post ko rehne du or aage post likhu
    4)jb maine apna adsense account check kiya toh usme btaya your blog is not varified kya is wahah se ad show nh ho raha
    5)maine bohot halka template liya h or 1 hi ad lga rh hu ad ka size v chota hi h

    Aap mughe btaye kahan galti ho rh mughse jo ad show nh kr raha

    Reply
    • 1. Aap posts ko optimize karke unme jaruri content add karo.
      2. delete mat karo optimize karo.
      3. Yes or post likho.
      4. Iska reason adsense se aapko jo mail mila hai usme likha hota hai.
      5. Aap 2-3 ad lagane chahiye.
      Aapse ek bat kahu jaha aap mahine kharab kar rahe ho wohi 2-3 hours time nikal kar adsense policy padh lo sari problem solve ho jayegi.

      Reply
  5. great post sir… sir mai guest post karna chahta hu. kaise karna hoga?

    Reply
    • Iske liye aap contact forum me mail send kare.

      Reply
  6. सर आपने बहुत बढ़िया जानकारी दी मेरा एक question हैं मेरे पास adsense के ad नहीं हैं तो क्या मैं adnow के ad प्रयोग कर सकता हूँ क्या ये fake तो नहीं क्या इसके लिए बहुत ज्यादा ट्रेफिक की need नहीं हैं |

    Reply
    • Kar sakte ho nahi fake nahi hai.

      Reply
  7. Hello Sir
    Maira adsense account approved ho gya hai
    or maine apne blog pe get code waale trike se ad bhi lga di
    per maire adsense account mai earning or view etc. sab kuch 0(zero) hai
    or maira youtube channel bhi Monetization hai per add show nahi ho rahe
    plz help me

    Reply
  8. sir, Maine Google AdSense sign up kiya hai. Par wo hua ki nahi Muze pata nahi hai. To mai kya karu.

    Reply
    • Adsense.com par log in karke dekho log in kar pate ho to ho gaya hai.

      Reply
  9. Apki Is Post me article by ke uper jo AdSense ki ad lagi hai jisme apke blog ke article bhi ad me dikh rahe hai
    me bhi apne blog par isi tarh ki AdSense ad lagana chahta hoo, help me.

    Reply
  10. Sir mere video par pahle ads Hoti thi par aabhi nahi Hoti kyo kya problem hai

    Reply
    • Video manager me ja kar check karo ki video ke smane green ya blue icon hai ya nahi.

      Reply

Leave a Comment