Google Neighbourly Kya Hai aur Iska Istemal Kaise Kare

Google humesha se humare liye kuch na kuch naya karta rahta hai. Is bar usne ek jabardast app banaya hai jiska name hai Neightbourly. Is post me hum Google Neighbourly Kya Hai Aur Iska Use Kaise Kare? ke bare me vistar se janenge. What is Google Neighbourly? How to Use Google Neighbourly App – Full Guide in Hindi.

Google Neighbourly

Google ne is app ko starting me mumbai fir jaipur ke liye release kiya tha lekin abb ye app national level par release hone wala hai, Google senior product manager Ben Fohner ne iske bare me btaya hai.

Google ki kuch cheezo ko chhod kar baki sabhi chheze faydemand hoti hai. Google neighbourly app bhi bahut hi useful hai. Aaayiye iske bare me detail se jante hai.

Google Neighbourly Kya Hai?

Google neighbourly ek social application hai. Is app ki help se aapke aas-pas kya hai? aapke ird-gird kya ho raha hai? ke bare me online pata kar sakte ho aur apni jankari ko kisi aur ke sath share kar sakte ho.

Agar aap janna chahate hai ki aapke aas-paas kya ho raha hai aur aapke neighborhood me kaun-kaunsi cheeze hai to isme google neighbourly place finder app aapki madad karega.

Jis tarah local area ki jankari local person (neighbour) deta hai usi tarah google neighbourly app bhi aapko local area ke place, services ke bare me aapko information deta hai.

Google ne big cities me local place ki janakri dene ke liye google neighbourly app release kiya hai, jisme aap local place se related question puch sakte hai.

Download Neighbourly App

Ye app Google play store par available hai. July 2024 tak ye puri tarah se develop nahi hua tha aur iska beta version hi available tha lekin ab ye 11+ cities Ahmedabad, Coimbatore and Maysore me bhi workable hai.

Google Neighbourly App Ko Use Kaise Kare?

Google neighbourly ka upyog karne ke liye sabse pahle aapko google neighbourly ko join karna padega. Isse judne ke bad aap isme jude huye logo se aapke neighborhood me kya hai ke bare me sawal puch sakte hai.

Google neighbourly app kaise use kare:

  1. Sabse pahle google play store par ja kar neighbourly app install kar le.
  2. Install karne ke bad jo screen open hogi usme Done par click kare.
  3. Iske baad main screen par ja kar app ko open kare.
  4. App open hone ke bad uska interface kuch is tarah se hoga.

Neighbourly Interface

  1. Yaha aapko Find Location Question ka option milega, is par click kare.
  2. Ab aapse kuch permission mangi jayegi, unhe allow kar de. Iske bad aapke aas-pas ke area ko detect kiya jayega.
  3. Yaha aapko continue as (Your name) ka option milega us par click kare.
  4. Yaha aape aaspas ke area ke logo ne jo question puche honge unki list hogi, aap bhi puche gaye sawalo ka jawab de sakte hai.
  5. Yaha par aap jawab dene ke sath sawal bhi puch sakte hai aur ek se jyada neighborhood bhi add kar sakte hai.

In steps ki help se aap google neighbourly app ka istemal aasani se kar sakte ho. Sath hi aapko bta du ki ye aapp next week me Chennai, Hyderabad, Pune and Kolkata me bhi shuru hone wala hai.

Ab hum google neighbourly app kya hai aur iska istemal kaise kare ke bare me details se jan chuke hai. Google ke aese hi bahut saare apps hai, jaise

Aap inka istemal karke dekhe aur koi sawal ho to comment section me puch le aur is post ko social media par share jarur kare.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

मैं इस ब्लॉग का संस्थापक और एक पेशेवर ब्लॉगर हूं। यहाँ पर मैं नियमित रूप से अपने पाठकों के लिए उपयोगी और मददगार जानकारी शेयर करता हूं। ❤️

Comments ( 3 )

  1. Mohd Umer

    Sir Article Bahut Acha Likha Apne. thanks bhai

    Reply
  2. Suneet

    Kya ye blogger ko effect kr sakta hai?

    Reply
    • Jumedeen khan

      Nahi.

      Reply

Leave a Comment

I need help with ...