Kisi bhi mobile number owner ke name, address and location details pata karna ek mushkil kaam hai kyuki India me privacy law ke according mobile numbers ki details ko public nahi kiya ja sakta. But y technology ka zamana hai or aaj internet par aese bahut tarike hai jinse aap aasani kisi bhi mobile number ki details pata kar sakte ho. Is post me main mobile number name location address trace karne ke top 5 tarike bta raha hu.
Agar aap google me search karoge to aapko mobile number track karne ki bahut si tips, online tools, mobile number tracker android apps, mobile number tracking websites, softwares mil jayenge. Main already is bare me kai article likh chuka hu. Jaise,
- Mobile Number Ka Name, Address or Location Trace Kaise Kare
- Kisi Bhi Mobile Number Ka Name Address Location Pata Kaise Kare
Jab koi hume bar bar call, miss call ya message karke pareshan karta hai to uske bare me pata karna jaruri ho jata hai. Aap chahe to iske liye police complaint kara sakte hai but uski jarurat nahi hai aap without police report ke
Is post me hum 1-2 nahi mobile number ki details pata karne wale 5 tariko ke bare me janenge aapko inme se mobile number location pata karne ka tarika sabse best lage aap wo follow karke unknown number ki details pata kar sakte ho.
Table of Contents
- Mobile Number Ka Name, Address or Location Trace Karne Ki Tips
- 1. Truecaller Se Mobile Number Location Kaise Pata Kare
- 2. Truecaller Website Se Mobile Number Ki Details Pata Kaise Kare
- 3. Mobile Number Tracker Website Se Mobile Number Trace Kaise Kare
- 4. Social Media Se Mobile Number Owner Ka Pata Kaise Lagaye
- 5. Google Search Engine Se Mobile Number Ki Details Kaise Pata Kare
Mobile Number Ka Name, Address or Location Trace Karne Ki Tips
Mobile number ki details pata karne ke bahut se tarike hai. Aap kisi or number se us number par call kar sakte hai. Agar aap finally uski details pana chahate hai to in tariko ko apnaye. Ye 5 tarike aapki mobile number location find karne me help karenge.
- Treucaller App
- Truecaller Website
- Mobile Number Tracker Website
- Social Media
- Google Search
In 5 tariko se aap aasani se kisi bhi mobile number ka name, address or location pata kar sakte hai. Main yaha in sabke bare me step by step details se bta raha hu. Aapko jo tarika achha lage follow kare.
1. Truecaller Se Mobile Number Location Kaise Pata Kare
Mobile number location pata karne ke liye truecaller sabse jyada best hai or sabse jyada user iska istemal karte hai. Ye aasani se aapko mobile number owner ki details bta deta hai.
Sabse pahle aap apne smartphone, android phone me truecaller app download kar install kare le. Aap ise google play store se direct download kar sakte ho. App ko open kar apna number verify kar sign in kare.
- Apne phone me truecaller app open kare.
- Ab jis mobile number ka name, address or location pata karni hai wo number type kare.
- Ab jo person is number ko use kar raha hai aapko uska name or uski location dikhayi degi.
Mobile number wale ke name par click karke aap uski baki details jaise mobile kis service provider dekh sakte hai.
2. Truecaller Website Se Mobile Number Ki Details Pata Kaise Kare
Agar aap desktop computer, laptop user hai to aap apne PC me internet browser open kar truecaller website par visit kare. Truecaller site par bhi aap truecaller app ki tarah kisi bhi mobile number ka name, address and location pata kar sakte hai.
Step 1:
Sabse pahle aap Truecaller.com website par jaye. Yaha par aapko searching karne ke liye sign in karne ke liye kaha jayega jaha aap google account se log in kar sakte ho.
- Country select kar jis number ki details pata karni hai wo number type kare.
- Search karne ke liye Enter key button press kare.
Step 2:
Ab aapke dwara search kiye gaye number wali sim ko use karne wale aadmi ka name or location ki details aapke samne hogi.
Yaha par aap mobile number use karne wala ka name, location dekh sakte ho. Iski adhik jankari ke liye Trucaller Se Mobile Number Ki Details Pata Kaise Kare.
3. Mobile Number Tracker Website Se Mobile Number Trace Kaise Kare
Internet par bahut si websites available hai jo aapko mobile number ki details trace karke deti hai. Aap google me ja kar Mobile Number Location Trace Karne Ki Websites search karenge to aapko is bare me kai posts mil jayegi. Inme se kai website free hai to kai website paise leti hai.
But aap free website ka use karke hi mobile number details pata kar sakte hai. Top Free Mobile Number Trace Websites ye hai.
- http://bestcaller.com
- http://trace.bharatiyamobile.com
- http://www.mobilenumbertracker.com
- http://www.bestmobilenumbertracker.com
- https://in.mobiletrackerinfo.com
- http://www.findndtrace.com/trace-mobile-number-location
Ye sabhi sites free service provide karti hai or aap in all websites par kisi bhi mobile number ki details jaise name, address, location, state, city, sim service provider, telecom company ka pata laga sakte ho.
- Inme se kisi ek site ko open kare or search box me wo mobile number type kare jiski aapko location pata karni hai.
- Ab Trace button par click kare.
Ab us number ki puri details aapke samne hogi. Is tarike se aap mobile number owner state, city, sim service provider, signal etc. ka pata laga sakte ho.
Agar aap inke alawa or mobile number tracker websites ke bare me janna chahate ho to humari Mobile Number Location Trace Karne Ki Top 15 Websites post check kare.
Aaj duniya me har koi facebook, twitter, instagram social networking site ka istemal karta hai or har internet user ki social profile hoti hai. Ho sakta hai aapko jo unknown number se fake call message aa raha hai uska owner social media par activate ho or uski profile me mobile number add ho.
Facebook Se Mobile Number Owner Ka Pata Kaise Kare
Mostly, hum facebook hi use karte hai so yaha main aapko facebook ke steps bta raha hu. Aap same process twitter or other social sites par follow kar sakte ho. Facebook.com site par jaye or apni FB ID se sign in kare.
- Ab Friend Icon par click kare.
- Find Friends option par click kare.
- Uske bad search box me wo mobile number type kar search kare jiski aapko details pata karni hai.
- Ab aapke samne jiski profile me wo number add hoga uski facebook profile show hogi.
Yaha maine apna mobile number search kiya to meri facebook profile samne aa gayi. Ab aap us person ki facebook profile check kar uska address, location and other details pata kar sakte ho. Is tarah se aap social media par mobile number owner ka pata laga sakte ho.
5. Google Search Engine Se Mobile Number Ki Details Kaise Pata Kare
Google duniya ka sabse bada search engine hai or uske pas puri duniya or duniya ke un sabhi logo ki details save hai jo internet istemal karte hai or google me searching karte hai. Aap google me mobile number ki details pata kar sakte hai.
Google Me Mobile Number Details Kaise Dekhe
Bahut hi simple hai aap apne mobile, desktop, laptop CP jo bhi ho me internet browser open kare.
- Google search box me mobile number type kare search kare.
- Ab us number se judi jo bhi jankari google ke pas hai wo aapke samne hogi.
Is tarah aap google me kisi bhi mobile number ki details pata kar sakte ho. Mujhe in 5 tariko me se ye tarika sabse better lagta hai. Aapko jo better lage aap wo try kare.
Agar koi person aapko unknown number se call, miss call kar jyada pareshan kar raha hai or aap in tariko se uska pata na laga paye to aap uski police complaint kar sakte hai.
Important Note:- India me kisi bhi mobile number ki location share karna illegal hai or aesa karna crime mana jayega. Indian government privacy law ke accourding kisi bhi telecom company ko sim owner ki details public karna allow nahi hai.
So is post me btaye tariko se jo bhi name, address pata chale wo 100% sahi hai isme meri or supportmeindia ki koi gaurantee nahi hai. Isiliye aap in par aankh band kar wishwas na kare or details ko achhe se confirm karne ke bad hi koi action le.
Ye bhi padhe,
- Kisi Bhi Mobile Phone Ka IMEI Number Kaise Pata Kare
- Mobile Number Location Trace Karne Ke 10 Best Android Apps
- Mobile Number Aadhar Card Se Link Hai Ya Nahi, Kaise Pata Kare
In 5 tariko se aap kisi bhi mobile number ka name, address or location pata kar sakte ho.
12th class bihar bord se exam hai vacin ka certificate nikalna
Tankuuuu soo much bhai……. Ye bhut achi information hai tanxxx alot ❤
मेरा फोन रात को बंद हो जाता है ऑटोमेटिक इसका कारण क्या है और अपने आप गूगल चलने लगता है इसका भी कारण बताइए
Thanks for sharing such a awesome information bro.
Bohot hi badhiya jankari diye bhai thanks