Google Advanced Search Kya Hai or Iska Istemal Kaise Kare

Aapne google search engine ka istemal to kiya hoga par kya aap Google Advanced Search ke bare me jante hai. Google hi nahi Bing, Yahoo, Ask and other baki all search engine Advanced Search Feature provide karte hai jisse users ko apni pasand ki jankari search karne me aasani hoti hai. Google Advanced Search Ka Use Kaise Kare in Hindi.

Google Advanced Search

Jab aap google.com ko open karenge to google ka simple look khulega or aapko google search box ke alawa bahut kam features dikhayi denge. But jab aap google footer navigation ko check karenge to usme aapko kai useful and helpful features mil jayenge jinse aap searching filter kar sakte ho.

Agar aap simple google search se apni pasand ki jankari search nahi kar pa rahe ho ya fir google me advanced search karna chahate ho to aapko advanced featured ki jarurat hai. Iske liye aap google advanced search ka istemal kare or behtar tarike se searching kare.

Google Advanced Search Kya Hai

Advanced search sabhi search engine dwara provide kiya gaya very useful feature tool hai. Advanced search engine se searchers ko apni jarurat ki information search karne me aasan hoti hai means ye search ability increase karta hai. Google bhi advanced search tool offer karta hai jise Google Advanced Search kahte hai.

Google me ek keyword type karne se millions results aate hai aese me jaruri janakri search karna thoda mushkil hai. Google advance search tool se aap searching ko filter kar apne kaam ki jankari aasani se search kar sakte ho.

Google advanced search tool ko open karne ke liye aap google.com par visit kare or footer navigation menu me settings par click kar Advanced Search option select kare.

  1. Google.com par jaye or bottom menu me Settings par click kare.
  2. Ab Advanced search option select kare.

Google Advanced Search

Google advanced search 2 type ka hota hai. Ek se aap web pages or dusre se images search kar sakte ho.

Google advanced search tool ke in dono features ka istemal kaise karna hai uske liye niche ki guidelines follow kare.

Google Advanced Search Ko Use Kaise Kare

Jab aap google.com site ko open karoge to iska look ek bahut hi simple search egnine ke jaisa hoga. But jab aap Google Advanced Search open karoge to aapke samne bahut sae features honge.

Yaha par aapko Find pages with… and Then narrow your results by… ke 2 category dikhayi dengi. Main aapko in dono ke feature ke bare me details se bta raha hu. In points ko read kar aap aasani se google advanced search ka istemal kar sakoge.

Jab aap google me web pages search karte ho to nimn feature ka use kar filtering kar sakte ho.

  1. All these words: Isme important keyword likhna hai.
  2. This exact word or phrase: Quotes me exact words add kare.
  3. Any of these words: All words ke bich jo word rakhna hai wo add kare.
  4. None of these words: Aap jin words ko search nahi karna chahaye unse pahle minus icon add kare. Jaise – blogging, -SEO etc.
  5. Number ranging from: Number ke between full stop number add kare.
  6. Language: Apni bhasha select kare.
  7. Region: Apna country choose kare.
  8. Last Update: aap kab tak ke results dekhna chahate ho uska time select kare.
  9. Site or domain: Agar aap kisi specific site par searching karna chahate ho tu uska link add kare.
  10. Terms appearing: Aap post title, text, description jisme searching chahate hai wo chune.
  11. Safe search: Google ko btaye ki sexual content ko filter karna hai.
  12. File Type: Jis type ki file search karni hai wo select kare.
  13. Usage rights: Un pages ko khoje jinhe use karne ke liye aap freedom hai.
  14. Finally, Advance search button par click kare.

Google Advanced Search Tips

Image advance search me bhi same fieature honge bas usme aapko image size, image color etc. ke kuch extra feature mil jayenge jinse aap iamge searching ko or better bana sakte ho.

Iske alawa jab bhi aap google me search karte ho to google search box ke bottom me advance search feature open hote hai. Yaha par aap  All, News, Videos, Images, Maps and More me se apni pasand ki category choose kar sakte ho.

Advanced search ke liye aap  Settings or Tools par click kare. Settings me aapko Search settings, Languages, Turn on SafeSearch, Hide private results, Advanced search, History, Search help and Tools me aap Country, Time, Results type choose kar search filter kar sakte ho.

Google Sarch Settings

So agar aapko akbhi google advanced search open karna hai to aapko google.com ya advanced search ko link ke through open karne ki jarurat nahi hai aap is tarike se easily advanced search open kar sakte ho.

Ye thi google advanced search kya hai or iska use kaise kare ki jankari. I hope aapko ye pasand aayegi or ab aap google me pahle se behtar tarike se searching ka sakoge.

Ye bhi padhe,

Post pasand aaye to social media par apne friends ke sath share karna na bhoole.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Comments ( 10 )

  1. arti maurya

    search engine ki aapne bahut achhi jankari di aapne. Thanks for sharing blog

    Reply
  2. pradeep tripathi

    Search engine ke bare me apne bahut achhi jankari share ki hai. Thanks for sharing. Aapki website sabse achhi website hai jisme har problem ka solution mil jata hai.

    Reply
  3. Ashish Kumar

    Sir mere footer credit par adsense ad show ho raha hai koi bhi ad apne aap kahi bhi lag ja raha h.kaise theek karu plzz reply me

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Mujhe aapke blog par kahi koi ad nahi dikh raha hai.

      Reply
      • Ashish Kumar

        Sir me aapko screenshot kaise send kar sakta hu aap apna whatsapp no de sakte jisse ki me aapko dikha saku ads show ho rahe hai but unki placement galat hai

        Reply
        • Jumedeen Khan

          Send me mail.

          Reply
  4. Javed

    google launched new latest update named MACCABEES. Make this video please

    Reply
  5. Prasiddh yadav

    sir mai aapke blog par guest post karna chahta hun 1500 word ka hai aur 4 image bhi post me

    Title:

    WordPress Site Ki Loading Speed Kaise Incresse kare 19 Killer Tips

    Reply
    • Jumedeen Khan

      Send on my email address.

      Reply
  6. rohaan

    Bahuto ko iske bare me nahi pata tha mujhe bhi nahi pata tha thanks for sharing !

    Reply

Leave a Comment

I need help with ...